• Ayyub (Alaihay Salam) Ki Aazmaish me Muslmano Ke Liye Ibrat
Aziz Dosto ,… Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ne Allah Taala Ke Huqm Se Eik Jhaadhu Lekar Jo Ki Khazoor Ke Patto Se Bani Huyee Thi Apni Zauzaah Mohtarma ( Biwi ) Ko Maari Aur Iss Tarhaa Apni Qasam Poori Ki .
Dosto ,.. Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ka Ye Waqeya ( Qissa ) Un Sab Logo Ke Liye Nasihat Hai Jo Kisi Jismaani Bimaari Me Mubtilaa Ho, Ya Jin Ki Maal-O–Daulat Sab Kuch Khatam Ho Gaya Ho, Ya Jin Ki Aulaade Faut (Maut, Death) Ho Chuki Ho. Har Musibat Zadaa Shakhsh (Aadmi) Ke Liye Allah Ke Nabi Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ki Zindagi Ka Behtareen Namoona Misaal Ke Taur Par Maujood Hai. Kyonki Jo Takleef Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ko Pahoonchi, Wo Un Sab Taklifo Se Kahee Jiyaada Thi. Lekin Aap Ne Sabar Kiya Aur Lamha–Lamha Yaad-e–Allah Me Basar Kiya. Yahaa Tak Ki Allah Taala Ne Apne Maheboob Bande Hazrat Aayyub (Alaihay Salam) Ki Saari Takleefe Aur Musibate Door Farmaa Di, Aur Unhe Buland Muqaam Par Faayez Kar Diya.
Dosto ,… Ham Me Se Bahut Se Log Aiase Bhi Hai Ki Agar Hame Thodhi Si Bhi Dukh Taqleef Pahoochti Hai Ya Kaam Dhande Me Nuqsaan Ho Jaaye Toh Shiqwaa Shiqaayat Karne Lagte Hai. Kuch Log Toh Yahaa Tak Kahete Hai Ki Allah Taala Hamari Duwaaye Qabool Nahi Karata Ya Ye Ki Allah Taala Hame Bhool Gayaa Hai, Aur Agar Hamara Apna Koi Faut (Death) Ho Jaaye Toh Bahut Se Naadaan Log Ye Tak Kahe Dete Hai Ki Allah Taala Hamara Hi Ghar Mila Tha Ya Allah Taala Ne Achcha Nahi Kiya Aur Log Apni Kismat Aur Taqdeer Ko Kosne Lagte Hai Ki Hamare Hi Muqaddar Kharaab Hai Ya Hamaari Hi Taqdeer Footi Hai (Nauzbillah)
Dosto ,.. Dawaa Toh Ham Apne Musalman Hone Ka Karte Hai Aur Allah Ta’ala Par Imaan Rakhne Ki Baat Karte Hai. Jab Bhi Kabhi Ham Par Koi Musibat Takleef, Pareshani Ya Bimaari Aaye Toh Hame Sabar Karna Chahiye, Aur Apne RAB Par Imaan Rakhna Chahiye Aur Us Ki Taraf Ruzu Karna Chahiye, Kyonki Uss RAB Ne Agar Dukh Takleef, Musibat Aur Pareshani Di Hai Toh Woh RAB Hi Hame Hamari Dukh Takleef, Musibat Se Hame Nizaat Dega. Kyonki Allah Taala Jise Bhalaayee Dena Chaahe Toh Use Duniya Ki Koi Taaqat Nahi Rok Sakti Aur Agar Woh RAB Buraayee Dena Chaahe Toh Duiya Ki Saari Taaqte Mil Kar Bhi Uss Buraayee Ko Door Nahi Kar Sakti.
Aur Sab Se Badhkar Hamara Ye Imaan Hona Chahiye Ki Hame Jo Bhi Nemate Ya Bhalaiya Milti Hai Wo Sab Allah Taala Ki Taraf Se Hai, Aur Iss Par Hame Allah Ka Shuqr Guzaar Hona Chahiye. Aur Dusra Ye Ki Agar Hame Koi Burayee Milti Hai Toh Wo Hamaare Apne Bure Aamaalo (Kaam) Ki Wazaah Se Aur Kabhi Ye Hamaari Aazmayeesh Bhi Hoti Hai. Agar Koi Burayee Hame Apne Bure Aamaalo Ki Wazaah Se Mile Toh Hame Baargaahe Ilaahi Me Taubaa Karna Chaahiye Aur Aise Bure Aamaalo Ko Tarq (Choodh) Kar Siraat–e–Mustaqeem Par Chale Ki Koshish Karna Chahiye, Namaaz Rozo Ki Pabandi Karni Chahiye. Jis Se Hamara RAB Ham Se Raazi Ho Jaaye Aur Hamare Gunaaho Ko Bakhsh De Aur Hamari Pareshni Aur Taqleef Ko Ham Se Door Farma De.
Aur Agar Ye Hamaari Aazmaayeesh Hai Toh Is Par Hame Sabar Karna Chahiye Aur Jiyada Se Jiyada Hame Yaad–e-Allah Me Apna Waqt Guzaarna Chahiye. Kyonki Aazmayeesh Un Hi Bando Ki Hoti Hai Jinhe Allah Taala Apna Maheboob Rakhta Hai. Kyonki Sabar Karne Aur Ziqr–e–Allah Karne Se Hi Banda Uss Aazmayeesh Se Qaamyaab Ho Kar Nikalta Hai Aur Us Ke Darzaat Buland Kiye Jaate Hai .
IN NAL LAAHA MA AS SABIREEN” Yaani Ki Allah Taala Sabr Karne Walo Ke Saath Hai.
• Har Haal Me Sabr Aur Shukr Ada Kartey Rahe Apne Rab Ka:
Aziz Dosto ,… Iss Qisse Me Aap Logo Ne Shuruwat Padha Hai Ki Allah Taala Ne Shaitaan Iblees Ko Ikhtiyaar Diya Ki “Ja! Ayyub (Alaihay Salam) Ko Zameen, Jaayeda, Aal Aulaad Aur Sehat Se Maheroom Kar De Ya Chhin Le Aur Fir Dekh Mera Maheboob Banda Kya Karta Hai.” Aur Shaitaan Iblees Ne Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ko Har Cheez Se Maheroom Kar Diya. Hazrat Ayyub (Alaihay Salam) Ka Jism Mubaarak Bimaari Takleef Aur Balaavo Me Giraftaar Ho Gaya. Lekin Allah Taala Ne Aap Ki Zubaan Aur Dil Ko Mahefooz (Salaamat) Rakha. Iss Takleef Ke Bavojood Bhi Aap Shaqeer (Shuqr Karne Wale) Aur Saabir (Sabar Karne Wale) Rahe. Raat Din Har Lamhaa Har Ghadhi Ziqr–e–Ilaahi Me Basar Ki.
• Kya Shaitan Insano Ki Jaan-e-Maal Per Qudrat Rakhta Hai ?
Dosto ,.. Yahaa Par Aap Ke Jehan Me Ye Sawaal Uthhta Hoga Ki Shaitaan Iblees Kisi Ko Bhi Dukh Takleef, Bimaari Aur Maut De Sakta Hai ? Iss Ka Jawaab Hai “Nahi !”, Bilkul Nahi !. Balki Shaitaan, Insaano Ko Halaaqaan Toh Kar Sakta Hai, Pareshaan Toh Kar Sakta Hai Lekin Maut Nahi De Sakta. Lekin Agar Allah Taala Ki Aisi Hi Mashlehat (Marzi) Ho Toh Shaitaan, Jinnat, Khabees, Jaadoogar, Aur Dushman ! Kisi Bhi Insaan Ko Dukh–Takleef, Pareshani, Bimaari Me Mubtilaa Kar Sakte Hai. Magar Dosto Hamara Iss Baat Par Pukhtaa Yaqeen Aur Imaan Hona Chahiye Ki Allah Taala Jo Bhi Karta Hai Achcha Hi Karta Hai Aur Jo Bhi Hota Hai Allah Taala Ki Marzi Se Hi Hota Hai.
Kyonki Allah Taala Aalam–ul–Gaib Hai, Usey Har Baat Ki Khabar Hai, Us Ke Ilm Ne Har Cheez Ko Gher Rakaha Hai, Kahi Kisi Darkht (Tree Se Koi Patta Bhi Girta Hai Toh Uss Ki Bhi Usye Khabar Hoti Hai, Darakht (Tree) Ka Patta Bhi Nahi Hilta Uss Ki Marzi Ke Bagair.
Isiliye Dosto,.. Agar Ham Ko Koi Takleef, Dukh–Dard, Ya Bimaari Pahooche Toh Uss Par Apne RAB Ki Marzi Samajh Kar Sabar Karna Chahiye Aur Iss Musibat Pareshani Se Nizaat Paane Ke Liye Allah Taala Ki Taraf Hi Ruzu Karna Chahiye Yaani Ki Allah Taala Par Tawaqqal (Bharosa) Karna Chahiye Aur Uss Ki Ibaadat Me Apne Aap Ko Mashroof Kar Dena Chahiye.
Dosto ,… Yaqeen Rakhiye Ki Allah Taala Har Cheez Par Qaadir Aur Khoob Hiqmat Wala Hai.Aur Woh Apne Bando Ki Duwaa Aur Azar Ko Zaaya Nahi Karta. Aur Aap Ke Sabar Ka Azar Iss Duniya Me Nahi Toh Aakhirat Me Zaroor Milega. Aur Zaalimo Ko Bhi UnKe Gunaaho Ki Sazaa Zaroor Milegi. Roz–e–Qayaamat , Allah Taala Haq Ke Saath Faislaa Kar Dega Aur Kisi Ke Bhi Saath Zulm Na Kiya Jaayega.
Riwayato Me Hai Ki Agar Sing Waali Bakri (Goat) Ne Kisi Bagair Sing Wali Bakri Ko Mara Hoga Toh Allah Taala Un Ke Darmiyaan Bhi Faishla Kar Dega. Fir Ham Toh Ashraful Makhlooqat Hai Hamara Insaaf Kyon Kar Na Hoga ? Hamara Bhi Insaaf Zaroor Hoga.
» Dua : Allah Taala Hume Har Haal Me Sabr Aur Shukr Ada Karne Ki Toufuq Ata Farmaye !
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …
46 part missing