• Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ko 100 Saal Baad Zinda Dekh Unhe (Nauzubillah) Allah Beta Bana Diya, Jab Ki Allah Taala In Sab Se Paak Hai.
Aziz Dosto ,… Jab Woh Budhee Aurat, Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ko Apne Saath Le Kar Bani Israyeel (Yahoodiyo) Ki Basti (Mohalle Me Pahoonchi Toh Wahaa Eik Mazlees (Meeting) Chal Rahi Thi Jis Me Uss Mohalle (Basti) Ke Tamam Log Jamaa The. Aur Isi Mazlees Me Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ka Ladka (Beta) Bhi Maujood Tha, Jis Ki Umar (Age) Around 118 Saal Ho Gayee Thi. Aur Wahaaa Par Aap Ke Kuch Pote (Grand Sons) Bhi Maujood The Jo Ki Sab Ke Sab Boodhe (Old) Ho Chukey They.
Uss Boodhi Aurat Ne Mazlees Me Shahaadat (Gawaahi) Di Ki ‘Bila-Subha (Beshaq) Ye Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Hi Hai,’ Lekin Kisi Ne Bhi Uss Boodhi Aurat Ki Baat Ko Sach Na Mana.
Tabhi Aap Ke Bete (Ladke) Ne Kahaa “Mere Waalid (Father) Ke Dono Kandho Ke Beech Me Eik Bada Kaale (Black) Rang Ka Massaa Tha, Jo Ki Chaand Ki Shaqal Ka Tha”.
Aap Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ne Apna Kurta Utaar Kar Dikhaya Toh Woh Massaa Maujood Tha. Fir Logo Ne Kahaa Ki, “Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ko ‘Tauraat’ Zubaani Yaad Thi (Hifz Thi) Agar Aap Haqiqat Me Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Hai Toh ‘Tauraat’ Padh Kar Sunaaye.” Aap Ne Bina Kisi Zhizhaq Ke Poori ‘Tauraat’ Padh Kar Suna Di.
Aziz Dosto ,.. Jab Kaafir Aur Zaalim Badshah Baktht Nasar Ne Baitul Muqaddas Par Hamla Kiya Tha Toh Uss Waqt Uss Ne Kariban (40,000) ‘Tauraat’ Ke Aalimo (Jinhe Tauraat Zubaani Yaad Thi) Ko Chunn–Chunn Kar Maraa Tha. Aur Tauraat Ki Koi Bhi Kitaab (Jild) Iss Zameen Par Baqi Na Chhodhi Thi.
Ab Ye Sawaal Tha Ki Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ne Tauraat Sahi Padhi Hai Ya Nahi ?
Tabhi Bani Israyeel Ke Eik Aadmi Ne Kahaa ‘Maine Apne Baap Se Suna Hai Ke Jis Din Ham Logo Ko Bakht Nasar Ne Giraftaar Kiya Tha. Uss Din Eik Veraan Baag Me Eik Angoor Ki Bel Ki Jadh Me Tauraat Ki Eik Kitaab (Jild) Dafan Kar Di Gayee Thi’.
Jab Uss Aadmi Ne Kahaa Ki Maine Apne Baap Se Suna Hai Ki ‘Tauraat’ Ki Eik Kitaab (Jild) Kisi Viraane Me Angoor Ki Bel Ki Jadhh Me Dafan Kar Di Gayee Hai. Agar Aap Log Mere Dada (Grand Father) Ke Angoor Ke Baag Me Chal Kar Uss Kitaab Ko Dhoondh Nikaalne Me Meri Madad Karo Toh Kitaab Milte Hi Iss Baat Ka Pataa Chal Jayega Ki Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ne Jo ‘Tauraat’ Padh Kar Sunayee Hai Woh Harf–Ba–Harf Sahi Hai Ya Nahi ?
Isiliye Sab Logo Ne Milkar Uss Aadmi Ke Dada Ke Angoor Ke Baag Me ‘Tauraat’ Ki Kitaab (Jild) Ko Talaashna Shuru Kar Diya. Aur Woh Kitaab Aakhir Kar Zameen Khodkar Dastyaab Kar Li Gayee (Mil Gayee). Aur Jab Uss Kitaab Ko Dekha Gayaa Toh Wo Harf–Ba–Haraf Vaisi Hi Thi, Jis Tarhaa Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ne Muhh Zubaani Padh Kar Sunaayee Thi.
Ye Ajeebo Gareeb Aur Hairat Angez Mazraa Dekh Kar Tamam Bani Israyeel Ne Eik Zubaan Ho Kar Kahena Shuru Kar Diya, Beshaq Ye Hi Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Hai. Aur Ye Yaqinan Allah Ke Bete Hai. (Nauzbillah)
Aur Isi Din Se Ye Mushrikana Aur Baatil (Jhuthha) Aqida In Yahoodiyo Ke Beech Me Fail Gaya Ki (Nauz Billah) Hazrat Uzair (Alaihay Salam) ! Allah Ke Bete (Son) Hai . Aur Aaj Tak Yahoodi Isi Baatil Aqide Par Qaayem Hai Ki (Ma’aaz Allah) Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Allah Ke Bete Hai.
Jab Ki Qur’an Kareem Me Saaf Farmaa Diya Ki “Hamara Rab In Sab Aibo Se Paak Hai Ki Woh Kisi Ko Beta Ya Beti Banaye. Balki Ye Sab Allah Ta’ala Ki Makhlooq Aur Ibaadat Guzaar Bande Hai Jo Apne Rab Ki Ibaadat Kiya Karte The” .
♥ Allah Ta’ala Ne Qur’an Majeed Ki Suraah “Baqrah” Me Iss Waqeye Ke Inn Lafzo Me Bayaan Farmaya Hai
* Tarjumaa: Ya Iss Ki Tarha, Jo Guzra Eik Basti Par, Jo Ki Aundhe Muhh Giri Padhi Thi Apni Chhato Par, Woh Bolaa “Iss Ko Kis Tarha Zinda Karega, Allah Ta’ala ! Iss Ki Maut Ke Baad ?”
Toh Allah Ta’ala Ne Ise Murdaa Rakh (100) Baras , Fir Zinda Kar Diya,
Farmaya “Tu Yahaa Kitna Thhahera ?”
Arz Kiya “Din Bhar Thhahera Hoga Ya Iss Se Kuch Kam”
Farmaya “Nahi!, Balki Tujhe (100) Baras Guzar Gaye . Aur Apne Khana Aur Paani Ko Dekh Ab Tak Boo Na Laya (Kharaab Nahi Huwaa), Aur Apne Gadhe (Donkey) Ko Dekh (Ke Jis Ki Hadhdhiya Tak Salaamat Na Rahi), Aur Ye Iss Liye Ke Tujhe ! “Ham” Logo Ke Liye Nishaani Kar De, Aur In Hadhdhiyo Ko Dekh, “Ham” Kis Tarah Ise Banaate Hai Aur Fir Inhe Gost–Posht Pahenaate Hai, Jab Ye Mamla Iss Par Zaahir Ho Gaya Toh Bola “Main Khoob Jaanta Hoon, Allah Ta’ala Sab Kuch Kar Sakta Hai”.
Aziz Dosto ,… Beshaq Allah Ta’ala Har Cheez Par Qaadir Hai, Woh Hi Zindagi Deta Hai Aur Woh Hi Maut Deta Hai, Aur Ye Uss Ke Liye Bahut Aasaan Hai. Aur Maut Ke Baad Dubaraah Zinda Karna Bhi Uss Ke Liye Koi Mushqil Nahi Hai.
Ye Kaafiro Ka Aqida Hai Aur Kuch Bad Mazhabo Ka Bhi Aqida Hai Ki “Jab Ham Marr Kar Mitti Ho Jayege Aur Aur Hamari Hadhdhdiya Tak Reza–Reza Ho Jayegi Toh, Ham Dubara Zinda Kar Ke Kis Tarhaa Uthhaye Jayege.” Aur Maut Ke Baad Dubaarah Zinda Kiye Jaane Ka Inqaar Karte Hai.
Jab Ki Allah Ta’ala Farmata Hai “Ke Tum Marr Kar Chaahe Mitti Ho Jaavo, Chaahe Lohaa (Iron) Ya Aur Kuch Ho Javo, Hum (Allah Ta’ala) Tumhe Youm-e-Qayaamat Dubarah Zinda Farmaaynge.
Dosto ,. Riwaayato Me Hai Ke Insaano Ki Reedh Ki Hadhdhi Me Eik Daana (Beej) Hota Hai Jo Ki Insaan Ka Jism Mitti Me Mil Jaaye Ya Acid Ya Aag Me Jal Jaaye Ya Use Koi Jaanwar Hi Kyon Na Khaa Le, Woh Khatam Nahi Hota. Aur Usi Daane (Beej) Se Allah Ta’ala Insano Ko Dubaarah Usi Tarha Paida Karega Jaise Ki Anaaj Ya Koi Pedh (Darkht)Ka Beej Paani Milne Ugg Aata Hai.
Yaum-e-Qayaamat Jab Hazrat Israfil (Alaihay Salam) Sur Fookege Toh Eik–Eik Qabar Se (70–70) Hazaar Murde Zinda Ho Kar Baahar Nikal Ayege .
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …