• Allah Taala Ki Razaa Se Nabi Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ka 100 Saal Baad Zinda Hona.
Aziz Dosto ,… Riwaayato Me Hai Ki Hazrat Uzair (Alaihay Salam), Aap Ka Pura Naam–e-Giraami Hazrat Uzair Bin Sharkhiyya, Jo Ki Bani Israyeel Ke Eik Nabi Hai, Aur Inhe Hi Yahoodi (Nauzbillah) Allah Ka Beta (Son) Kehte Hai, Jaise Ki Esaayee (Nasara) Bhi Aap Hazrat Esaa Bin Marium (Alaihay Salam) Ko Allah Ka Beta (Son) Kahete Hai (Nauzbillah). Jab Ki Allah Ta’ala In Sab Cheezo Se Paak Hai, Aur Ye Saare Nabi (Alaihay Salam), Allah Ta’ala Ke Nek Bande Hai Aur Allah Ta’ala Ki Hee Ibaadat Kiya Karte The.
Dosto ,… Riwaayto Me Hai Ki Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ka Dour (Zamana, Waqt) Hazrat Zaqariya Aur Hazrat Yahya (Alaihay Salam) Ke Darmiyan, Ya Hazrat Sulaiman Aur Hazrat Esaa (Alaihay Salam) Ke Darmiyan Ka Hai. Aur Eik Riwaayat Me Hai Ki Hazrat Uzair (Alaihay Salam), Hazrat Musaa (Alaihay Salam) Ke Daur Me Huve. Aur Aap Ne Hazrat Musaa (Alaihay Salam) Ki Khidmat Me (Mulaaqat Ke Liye) Haziri Ki Izazat Talab Ki, Lekin Hazrat Musaa (Alaihay Salam) Ne Unhe Izazat Na Di. Iss Ki Wazaah Riwaayato Me Ye Bayaan Ki Gayee Hai Ki Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ne Taqdeer Ke Ilm Ke Baare Me Sawaal Kiya Tha.
Unhone Allah Ki Baargaa Me Arz Kiya Tha, “Aye Mere Parwardigar ! Tu Makhlooq Ko Paida Farmata Hai Aur Jise Chaheta Hai Hidaayat Deta Hai Aur Jise Chaheta Hai Gumraah Karta Hai (Iski Kya Wazaah Hai ?)”.
Baargaahe Allahwandi Se Inhe Jawaab Diya Gayaa Ki “Ye Sawaal Rahene Do”.
Lekin Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ne Dubarah Ye Sawaal Baargaahe Allahawandi Me Arz Ki,
Unhe Baargaahe Allahwandi Se Jawaab Diya Gaya, “Aye Uzair ! Ye Sawaal Rahene Do, Tamaam Makhlooq Meri Baargaah Me Apni Aamaalo Ki Jawaabdaah Hai, Lekin Mai Jawaabdaah Nahi Hoon. Isiliye Ye Sawaal Rhaene Do, Nahi Toh Tumhara Naam Ambiya (Alaihay Salam) Ki Fehrist Se Mitaa (Hataa) Diya Jayega”.
Iss Bare Me Aimma Azmayeen Ne Ikhtilaafaat Kiya Hai, Kuch Kahete Hai Ki Aap Ka Naam Ambiya Ki Fehrist Se Hataa Diya Gaya. Aur Kuch Kahete Hai Ki Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ne Teesri Baar Wo Sawaal Na Dohraaya, Isiliye Aap Ka Naam Ambiya (Alaihay Salam) Ki Fehrist (List) Se Nahi Hataya Gaya. (Allah–Hu–Aalam)
Jab Bani Israyeel (Yahoodiyo) Ki Bad-Bakhtiya Aur Bad-Amaaliya Bahut Jiyaada Badh Gayee Toh Allah Ta’ala Ne In Par Azaab Musallat Kar Diya Aur Bakht Nasar Jo Ki Babil Ka Eik Zaalim Aur Kaafir Baadshah Tha, Uss Ne Eik Bahut Badi Fauj (Lashqar) Ke Saath Baitul Muqaddas Par Hamla (Dhawaa) Bol Diya, Aur Baitul Muqaddas Ko Todh–Fod Kar Tahas–Nahas Aur Barbaad Kar Diya.
• Bakht Nasar Badshah Ke Jarye Beimano Ka Anzaam:
Bakht Nasar Ne Taqreeban 1,00,000 Yahoodiyo Ko Qatal Kar Diya, Aur Taqreeban 1,00,000 Yahoodiyo Ko Apna Watan (Mulq) Aur Apna Sab Kuch Chhodh Kar Shaam (Siria) Ki Taraf Bhagne Par Mazboor Kar Diya, Aur Taqreeban 1,00,000 Yahoodiyo Ko Apne Saath Gulaam Aur Laundiya Bana Kar Qaid Kar Ke Le Gaya. Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Bhi Inhi Qaidiyo Me Shaamil The. Iss Tarha Bakht Nasar Ne Baitul Muqaddas Ko Khandhar Aur Veeraane Me Tabdeel Kar Diya. Aur Saara Ka Saara Shahar Khandar Aur Sunsaan Ho Gaya.
Dosto ,.. Aap Logo Ko Bakht Nasar Ke Baare Me Kuch Maloomat De Doo. Babal (Iraaq) Me Ek Qaum Amaalqa Thi Uss Qaum Ke Booth (Murti, Muzassama) “Nasar”, Jis Ki Woh Kaafir Qaum Ibaadat Kiya Karti Thi, Uss Booth Ke Samne Ek Ladka Lawaaris Haalat Me Pada Huwa Mila. Ab Kyonki Iss Ladke Ke Haqiqi Maa–Baap Ka Naam Kisi Ko Maloom Nahi Tha. Isiliye Logon Ne Iss Ladke Ka Naam Bakht Nasar Yaani Ki Nasar Ka Beta Rakh Diya.
Ye Allah Ta’ala Ki Qudrat Hee Thi Ki Ye Lawaris Ladka Bada Ho Kar Kabr-Aasif Baadshah Ki Taraf Se Saltanat Babil (Iraaq) Ka Governer Muqarrar Kiya Gaya, Fir Ye Khud Duniya Ka Bahut Bada Baadshah Ho Gaya.
• Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ko 100 Saal ki Neend:
Kuch Arse (Waqt) Ke Baad Hazrat Uzair (Alaihay Salam) ! Bakht Nasar Ki Qaid Se Aazaad Hoker Eik Gadhe (Donkey) Par Sawaar Ho Kar Apne Shahar Baitul Muqaddas Me Pahoonche. Apne Shahar Ki Veeraniya Aur Bad’haali Ko Dekh Kar Aap Ka Dil Bhar Aaya Aur Aap Rone Lage. Shahar Ke Chaaro Taraf Ka Chakkar Lagaya Lekin Unhe Kisi Bhi Insaan Ki Shaqal (Surat) Nazar Nahi Aayee.
Jab Ki Unhone Dekha Ki Darakht (Tree) Par Bahut Jiyaada Fal (Fruits) Aaye Huve Hai Jo Ki Pak Kar Tayyar Ho Chuke Hai, Lekin UnKo Todh Kar Khaane Wala Koi Nahi Hai. Ye Manzar Dekh Kar Nihayat Hi Hasrat Aur Afsos Ke Saath Aap Ki Zubaan Mubaarak Se Ye Alfaaz (Jumla) Nikal Padaa Ki “Iss Shahar Ki Aisi Veeraani Aur Barbaadi Ke Baad, Bhalaa Allah Ta’ala Iss Shahar Ko Kis Tarha Aabaad Karega ?”
Fir Aap Ne Kuch Fal (Fruit) Todh Kar Khaya Aur Angoor Ka Rass (Juice) Nichodh Kar Piya. Aur Bache Huve Falo Ko Apne Jhole (Bag) Me Rakh Liya Aur Bache Huve Angoor Ka Rass (Juice) Apne Maskiza (Mashq) Me Bhar Liya, Aur Apne Gadhe (Donkey) Ko Eik Moti Aur Mazboot Rassi Se Baandh Kar Aap Khud Eik Darakht (Tree) Ke Neeche Let Kar So Gaye. Aur Isi Neend Ki Haalat Me Allah Ta’ala Ne Aap Ki Rooh Qabz Kar Li Yaani Ki Aap Ki Wafaat Ho Gayee. Aur Allah Ta’ala Ne Aap Ke Jism Ko Darindo (Waheshi Janwar), Parindo, Jinno Aur Isaano, Sab Ki Nazar Se Ojhal Kar Diya Ki Koi Aap Ke Jism Ko Dekh Na Sake.
Yahaa Tak Ki (70) Saal Ka Zamana Guzar Gaya. (70) Saal Ke Baad Faaras (Iraan) Ka Eik Baadshah Apne Eik Bade Lashqar (Fauj) Ke Saath Baitul Muqaddas Ke Veerane Me Daakhil Huwaa. Aur Uss Ne Baitul Muqaddas Me Eik Nayaa Shahar Aabaad Kiya. Aur Bahut Sare Logo Ko Wahaa Per La Kar Basaya, Aur Jo Bani Israayeel (Yahoodi) Apna Watan Chhodh Kar Dusre Ilaaqo Me Chale Gaye The Woh Bhi Dubaarah Wahaa Aa Kar Bas Gaye. Aur Inn Logo Ne Nayee Imaarate (Ghar) Bana Kar Aur Tarha–Tarhaa Ke Fal–Foolo Ke Baag–Bagiche Laga Kar Iss Shahar Ko Pahele Se Jiyada Khoobsurat Aur Raunaq Wala Bana Diya.
Jab Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ki Wafaat Ke Poore (100 Saal) Ho Gaye Toh Allah Ta’ala Ne Aap Ko Dubaarah Zinda Farmaya, Toh Aap Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ne Dekha Ki Aap Ka Gadha Marr Chuka Hai Aur Uss Ki Haddiya Sadhh–Gal Kar Idhar–Udhar Bikhri Padhi Hai, Lekin Thaile (Bag) Me Rakhe Huve Fal (Fruits) Aur Mashq (Mashkiza) Me Rakha Gaya Angoor Ka Rass (Juice) Bilkul Kharaab Nahi Huwa Aur Na Hee Un Ke Zayeqe (Test) Me Koi Badlaaw Ya Kami-Beshi Huyee Hai, Aur Na Hee Uss Me Koi Badboo Ya Baas Paida Huyee Hai.
Aur Aap Ne Ye Bhi Dekha Ki Aap Ke Sir (Head) Ke Baal (Hair) Aur Daadhi Ke Baal Bhi Kaale (Black) Hai Aur Aap Ki Umar Mubaarak Bhi (40) Baras Ki Hai. Aap Hairaan Ho Kar Soch–Vichar Me Padh Gaye.
Tabhi Allah Ta’ala Ne Aap Se Farmaya “Aye Uzair ! Tum Kitne Dino Tak Yahaa Thahere (Ruke) Rahe”.
Hazrate Uzair (Alaihay Salam) Ne Khayaal Kiya Aur Arz Kiya “Aye Mere Rab ! Mai Subaah Ke Waqt Soyaa Tha, Aur Ab Asar Ka Waqt Ho Gaya Hai. Yaani Ki Mai Din Bhar Ya Din Ke Kuch Hisse Bhar Se Kam Me Sotaa Raha”.
Allah Ta’ala Ne Gaib Se Farmaya “Nahi ! Aye Uzair ! Balki Tum Poore (100) Baras Yahaa Thahere Rahe. Aur Ab Hum Tumhe Apni Qudrat Ka Nazara Dikhaate Hai, Zaraa Apne Gadhe Par Nazar Daalo, Iss Ki Haddiya Sadh–Gal Kar Idhar–Udhar Bikhar Chuki Hai. Aur Ab Apne Khaane–Pine Ki Cheezo Par Nazar Daalo Ki Inn Me Koi Kharaabi Ya Bigaadh Nahi Paida Huwaa Hai.
Aur Fir Farmaya “Aye Uzair ! Apne Gadhe Ki Taraf Dekho Ki Hum Kis Tarha Uss Ki Bikhri Huyee Haddiyo Ko Samet (Zamaa) Kar Ke Aur Uss Par Gosht-Poshtt Chadha Kar Usey Dubaarah Zinda Karte Hai.”
Hazrate Uzair (Alaihe Salam) Ne Dekha Ki Unke Gadhe Ki Bikhri Huyee Haddiya Aapas Me Juddh Gayee Aur Gadhe Ka Haddiyo Ka Dhanacha Tayyar Ho Gaya, Aur Uss Par Gosht–Poshtt Aur Khaal (Skin) Bhi Chadh Gayee Aur Dekhte Hi Dekhte Gadaha Zinda Ho Kar Khada Ho Gaya Aur Apni Boli Bhi Bolne Laga Yaani Ki.
Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ne Jab Allah Ta’ala Ki Qudrat Ka Ye Nazara Dekha Toh Beshakhtaa Pukaar Uthe “Mai Jaanta Hoon Ki Allah Ta’ala Har Cheez Par Qaadir Hai, Aur Allah Ta’ala Hee Sab Kuch Kar Sakta Hai.”
Fir Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Apne Shahar Me Daakhil Huve Aur Ghumte Huve Uss Hi Jagaah Par Pahoonch Gaye, Jahaa Par (100) Saal Pahle Aap Ka Ghar (Makaan) Tha. Na Toh Aap Ko Hi Kisi Ne Pahechana Aur Na Hee Aap Ne Kisi Ko Pahechana. Balki Aap Ne Dekha Ki Eik Bahut Hi Boodhi Aur Apaahiz Aurat Jis Ne Aap Ko Bachpan Me Dekha Tha. Makaan (Ghar) Ke Paas Baithi Hai. Aap Ne Uss Se Poocha Ki “Kya Ye Hee Uzair Ka Makaan Hai ?” Uss Budhiya Ne Jawaab Diya “Jee Haan”.
Budhiya Ne Fir Kahaa “Aap Uzair Ka Ziqr Kar Rahe Hai. Un Ko Toh Laa–Pataa Huve (100) Baras Ka Zamana Guzar Chuka Hai.” Itna Kahe Kar Woh Budhiya Rone Lagi.
Toh Aap Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ne Farmaya “Aye Budhiya ! Mai Hi Uzair Hoon”.
Uss Budhiya Ne Kahaa “Subhan Allah ! Aap Kaise Uzair Ho Sakte Hai ?.”
Tab Aap Ne (Ba-adab Se) Farmaya “Aye Budhiya ! Mujhe Allah Ta’ala Ne (100) Baras Tak Murdaa Rakha, Aur Fir Zinda Farma Diya, Aur Ab Mai Apne Ghar Aa Gayaa Hoon”.
Budhiya Ne Kahaa Ki “Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Toh Aise Ba–Kamaal The Ki Un Ki Zubaan Se Nikli Huyee Har Duwaa Baargaahe Ilaahi Maqbool (Qabool) Hoti Thi, Agar Aap Haqiqat Me Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Hai Toh Aap Mere Liye Duwaa Kar Dijiye Ki Meri Aankho Me Raushni Aa Jaaye, Aur Mera Faaliz (Paralices) Bhi Achcha Ho Jaaye”.
Hazrate Uzair (Alaihay Salam) Ne Duwaa Farma Di Toh Uss Budhiya Ki Aankho Ki Raushni Bhi Wapas Aa Gayee Aur Uss Ka Faaliz Bhi Achcha Ho Gaya. Fir Uss Budhiya Ne Gaur Se Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ko Dekha Toh Pahechaan Liya Aur Bol Uthi “Main Shahaadat (Gawaahi) Deti Hoon Ki Aap Hi Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Hai”.
Fir Woh Budhiya Aap Ko Saath Lekar Bani Israayeel Ke Mohalle Me Gayee. Jahaa Ittefaq Se Sare Hi Mohallae Wale Eik Mazlees (Meeting) Me Jamaa They.
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …