• Yaqoob (Alaihay Salam) Ki Apne Bhai Se Mulaqaat
• Khwab Me Dekhi Hui Jagah Par Baitul Muqaddas Ki Shurua’ati Tamir Ki.
• Ayeeshu Ki Nasal Rome (Europe) Me Ja Kar Bas Gayee. Yaani Ki Roomi, Ayeeshu Ki Hi Aulaade Hai. Aur Yahoodi, Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ki Nasal Se Hai .
Aziz Dosto ,….. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ko Jab Ye Khabar Mili Ki Aap Ka Bada Bhai Ayeeshu (400) Sipahiyo Ke Saath Aa Raha Hai Toh Aap Ko Ye Khauf (Andesha) Huwaa Ki Kahee Ayeeshu Aap Se Ladaayee Karne Ke Liye Toh Nahi Aa Raha Hai. Aap Ne Fauran Namaaz Adaa Ki Aur Bargaahe Ilaahi Me Nihaayat Aazizi Aur Inqesari Se Gidhgidha Kar Duwaa Ki, “Aye Mere Rab ! Tu Ne Meri Nusrat (Madad) Ka Waayeda Kiya Hai, Apne Uss Waayede Ko Pura Farmaa, Aur Mujhe Mere Bhai Ayeeshu Ke Sir (Buraaiyo, Jiyaadatiyo) Se Mahefooz Rakh”.
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Apne Bade Bhai Ayeeshu Ke Liye Tohfe (Nazraane) Tayyar Karwaaye. Jis Me Takriban (200) Bakriya, (20) Bakre, (200) Bhedhe (Dumbiya) (20) Mendhe, (3) Uoonte (Camel). (40) Gaaye (Cow) (20) Bail, (20) Gadhiya Aur (10) Gadhe (Donky) Shaamil The. Aap Ne Apne Gulaamo Ko Huqm Diya Ki, “Inn Jaanwaro Ko Alag–Alag Haank Kar Le Jaavo. Aur Apne Beech (Darmiyaan) Me Thodi Thodi Dooro Ka Faasla Rakho.
Aur Jab Tum Se Ayeeshu Ki Mulaaqat Ho, Aur Woh Tum Se Pooche Ki Tum Kis Ke Gulaam Ho Aur Ye Jaanwar Kis Ke Hai, Toh Keh Dena Ki Ham Aap Ke Gulaam Yaqoob ! Ke Gulaam Hai Aur Jaanwar Bhi UnKe Hai Jinhe Unhone Apne Aaqa Ayeeshu Ke Liye Hadiya (Tohfaa, Nazraana) Bheja Hai, Aur Iske Baad Wala Bhi Ye Hi Jawaab De, Aur Iss Ke Baad Ke Sabhi Logo Se Ayeeshu Ko Ye Hi Jawaab Milna Chahiye. Aur Har Shakhsh Ayeeshu Ko Ye Batlaaye Ki Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Sab Se Piche Aa Rahe Hai”.
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Apni Dono Biwiya, Kaneezo Aur Gyaarah (11) Bachcho Ko Saath Lekar Kaafile Se (2) Raat Ki Doori Par Piche Chal Rahe The. Aap Ka Kafilaa Raat Ko Safar Karta Aur Din Me Chupp Kar Baith Jaata. Jab Dusri Raat Khatam Huyee Aur Subaah Ka Waqt Huwaa Toh, Aap Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ke Paas Eik Farishta Insaan Ki Shaqal Me Haazir Huwaa. Uss Farishte Ne Aap Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ko Qushti Ladhne Ke Liye Lalkaara.
Aap Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Uss Farishte Se Qushti Ladhne Lage Aur Uss Farishte Ko Patakhne Ki Koshish Karne Lage. Aakhir Me Aap Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Uss Farishte Ko Pathak Diya Ya Uss Par Gaalib Aa Gaye, Lekin Uss Farishte Ne Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ke Pairo Ki Raan Ki Eik Nass (Ragg) Ko Chuwaa Toh Wo Nass (Ragg) Sikudh Gayee. Jis Ki Wazaah Se Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Langde Ho Gaye.
Jab Subaah Ki Raushni Failne Lagi Toh Uss Farishte Ne Kahaa, “Aaj Se Tumhaara Naam Yaqoob Nahi Balki Israyeel Hoga”. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Uss Farishte Se Poochaa, “Aap Ka Naam Kya Hai ? Aur Aap Hai Kaun ?”
Uss Farishte Ne Koi Jawaab Na Diya Aur Gaayeb Ho Gaya, Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Samajh Gaye Ki Ye Koi Farishta Tha. Jab Subaah Ho Gayee Toh Aap Langdaa Kar Chal Rahe The. Isi Wazaah Se Bani Israyeel (Yahoodi) Kisi Bhi Jaanwar Ke Raan Ke Uss Hisse Ka Gost Nahi Khaate Jis Me Se Eik Nass (Ragg) Raan Se Ho Kar Pairo Tak Jaati Hai. Aur Yahoodi Chiknayee (Charbi) Wala Gost Bhi Nahi Khaate, Aur Use Haraam Qaraar Dete Hai. Jab Ki Unn Ki Shariyat Ya Jo Kitaabe Unn Logo Ke Paas Thi Uss Me Bhi Jaanwaro Ka Charbi Wala Gost Aur Jaanwaro Ki Raan Ka Gost Khaana Halaal Hai Jis Tarhaa Ham Musalmano Ke Liye Jaanwaro Ki Charbiwala Gost Aur Raan Ka Gost Halaal Hai. Lekin Iss Baat Par Yahoodi Mann–Ghadhant Daleel Pesh Karte Hai Aur Kahete Hai Ki Kyonki Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Charbi Wala Gost Nahi Khaate The, Isi Liye Ham Bhi Nahi Khaate.
Jab Ki Allah Ta’ala Qur’an Majeed Me Irshaad Farmata Hai Ki, “Jaanwaro Ki Charbi Wala Aur Raan Ka Gosht Bani Israyeel Ki Shariyat Me Haraam Nahi Tha, Woh Toh Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Kisi Bimaari Ki Wazaah Se Iss Ka Khaanaa Chodha Huwaa Tha”.
Lekin Ye Yahoodi Qaum Shuru Se Hi Allah Ta’ala Ke Huqm Ki Na-Farmaani Karti Aa Rahi Hai. Aur Apne Faayede Ke Liye Unn Logon Par Jo Aasmaani Kitaabe Naazil Ki Gayee Hai Uss Me Fer–Badal Karti Rahi Hai. Aur Apne Duniyawi Mafaad (Fayede) Ke Liye Haraam Ko Halaal Aur Haraam Ko Hallal Karti Rahi Hai.
♥ Yaqoob (Alaihay Salam) Ki Apne Bhai Se Mulaqaat:
Aziz Dosto ,….. Jab Subaah Ho Gayee Toh Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Nazre Uthha Kar Dekha Toh Apne Bade Bhai Ayeeshu Ko (400) Aadmiyo Ke Saath Aate Huve Dekha. Aap Apne Gharwalo Ko Chhodhkar Khud Hi Tanhaa Aage Badh Gaye. Aur Jab Apne Bhai Ayeeshu Ko Dekha Toh Un Ki Taajeem (Izzat) Me Saat (7) Baar Sajdaa Kiya. Uss Waqt Ki Shariyat Me Salaam Duwaa Ka Ye Hi Tarika Hota Tha Ke Log Apne Se Bade Aur Izzatdaar Logo Ki Taazeem Me Un Ko Sajdaa Kiya Karte The. Aur Uss Waqt Ki Shariyat Me Sajdaa–e–Taazimi Jayez Tha.
Ye Usi Tarhaa Ka Taazimi Sajdaa Tha Jaisa Ki Farishto Ne Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ki Taazim Me Kiya Tha. Aur Hazrat Yusuf (Alaihay Salam) Ki Taazim Me Unke Maa–Baap Aur Un Ke Gyarah (11) Bhaiyo Ne Kiya Tha, Aur Uss Waqt Ki Shariyat Me Sajdaa–e–Taazimi Jayez Tha Jo Ki Sharyat–e–Mohammedi Me Mansookh (Raddh, Cansel) Kar Diya Gaya. Ab Sajdaa Allah Ta’ala Ke Siwaa Kisi Ko Bhi Karna Jaayez Nahi Hai.
Jab Ayeeshu Ne Apne Chote Bhai Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ko Dekha Toh Aage Badhkar Unhe Gale Se Laga Liya, Unhe Chooma Aur Fir Khoob Roya. Dosto Ye Wo Hi Ayeeshu Tha Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ko Qatal Karne Par Amaada Tha. Lekim Allah Ta’ala Ne Uss Ke Dil Me Apne Chote Bhai Ke Liye Mohabbat Bhar Di, Aaj Wo Hi Ayeeshu Unhe Apne Gale Se Lagakar Choom Rahaa Hai Aur Ro Raha Hai .
Allah Ta’ala Ne Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Se Jo Wayedaa Kiya Tha Un Ki Hifaazat Ka Toh Use Iss Tarhaa Puraa Kiya. Beshaq Hamara Rab Jo Bhi Wadaa Karta Hai Use Zaroor Pura Karta Hai Aur Apne Wadaa Ke Khilaaf Nahi Karta.
Ayeeshu Ne Nazre Uthha Kar Aurato Aur Bachcho Ko Dekha Toh Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Se Poochha. “Ye Sab Kaun Log Hai ?
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Allah Ta’ala Ne Ye Sab Tere Gulaam Yaqoob ! Ko Ataa Farmaaye Hai. (Yaani Ki Mere Biwiya, Bachche Aur Kaneej Hai)
Fir Aap Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ki Biwiyo, Bachcho, Aur Kaneejo Ne Aage Badhkar Ayeeshu Ka Istaqbaal Kiya Aur Taajimi Sajda Bhi Kiya. Aap Ke Bachcho Me Hazrat Yusuf (Alaihay Salam) Bhi The Unhone Bhi Sab Ke Saath Ayeeshu Ko Sajda Kiya.
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Ayeeshu Se Kahaa, “Aap Ye Tohfe (Nazraane) Qabool Kar Le. Ayeeshu Apne Chote Bhai Ki Mohabbat Dekhkar Bahut Roya Aur Unhe Gale Lagaa Kar Betahasha Choomta Raha. Aur Fir Apne Chote Bhai Ko Alwidaa Keh Kar Waapas Laut Gaya.
♥ Khwab Me Dekhi Hui Jagah Par Baitul Muqaddas Ki Shurua’ati Tamir Ki:
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Bhi Wahaa Se Kuch Der Ke Baad Apne Baal–Bachcho Aur Jaanwaro Ke Saath Rawaana Ho Gaye Aur Eik Sahar “Sahoor” Me Pahoonche Aur Wahaa Par Eik Ghar Banaya Aur Jaanwaro Ke Liye Bhi Chappar Daale. Uss Ke Baad Aap “Yarusalam” Me Dakheel Huwe. Aap Ne Wahaa Par Usi Jagaah Ko Jahaa Par Aap Ne (20) Saal Pahele Khawaab Dekha Tha Ya Aap Ki Taraf Jis Jagaah Par Allah Ta’ala Ne Wahee (Sandesh Ya Paigaam) Ki Thi.
Aur Jis Paththar Par Aap Ne Nishaan Lagaya Tha Usi Jagaah Ko (100) Uoont (Camel) Dekar Khareed Li. Aur Aap Ne Uss Jagaah Par Allah Ta’ala Ke Huqm Se Eik Ibaadat Gaah (Baitul Muqaddas) Ki Taamir Ki, Aur Apne Ghar Walo Ko Huqum Diya Kiiss Ghar Me Woh Log Allah Ta’ala Ki Ibaadat Kare. Isi Baitul Muqaddas Ki Naye Seere Se Baad Me Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Taamir Ki Thi.
Raahil Fir Eik Baar Maa Bani Aur Uss Ne Eik Bachche “Bin Yamin” Ko Paida Kiya. Lekin Bachche Ki Paidaayeesh Ke Fauran Baad Unn Ka Inteqaal Ho Gaya. Raahil Se Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ki Do (2) Aulaade Thi, Bade Bete Hazrat Yusuf (Alaihay Salam) Aur Chote Bete Bin Yamin.
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Raahil Ko, “Afraat” Me Dafan Farmaya Jo Ki Aaj Tak “Qabar–e–Raahil” Ke Naam Se Mashhoor Hai. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ke Do (2) Biwiyo Aur Do (2) Kaneezo (Laundiyo) Se Hone Wali Kul Aulaade (Ladke)(12) Hai.
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Apne Walid Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Ki Khidmat Me Hazir Huve. Aur Kuch Arshe (Waqt) Tak UnKe Saath Rahe. Fir Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Bimaar Huve Aur (180) Saal Ki Umar Me Aap Wafaat (Wisaal) Gaye. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Aur Ayeeshu, Dono Ne Milkar Unhe Dafan Kiya. Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Aur Hazrat Ibraahim (Alaihay Salam) Ki Qabar–e–Mubaarak Eik Hi Jagaah Hai.
Ayeeshu Se Jo Nasal Aage Badhi Woh Rome (Europe) Me Ja Kar Bas Gayee. Yaani Ki Roomi, Ayeeshu Ki Hi Aulaade Hai. Aur Yahoodi, Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ki Nasal Se Hai .
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …
Insha Allah! Agle Part 40 Me Uzair (Alaihay Salam) Ka Zikr Karenge ….