• Hukm-e-Rabbani Ke “Yaqoob (Alaihay Salam) Apne Waalid Ke Ghar Lout Jaye”
• Bada Bhai Ayeeshu Apne 400 Fauji (Lashqar) Ke Saath Aap Se Mulaaqat Ke Liye Aane Ki Khabar.
Eik Din Aap Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Apne Mamu Se Apne Waleed Ke Gharr Waapas Jaane Ki Izaazat Talab Ki. Mamu Laahaan Ne Kahaa, “Aap Ki Wazaah Se Mere Maal Aur Maveshi (Jaanwaro) Me Bahut Barqat Huyee Hai. Aap Inn Me Se Jitna Chhahe Le Sakte Hai”.
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Iss Saal Jitni Bhi Bhoori (Brown), Chitqabri (Chaqattedaar) Aur Kaale (Black) Rang Ki Bhedh Aur Bakriya Ke Bachche Paida Hoge Woh Sab Mere Hoge”.
Mamu Laahaan Ne Kahaa, “Mujhe Manzoor Hai”.
♥ Maveshiyon Ke Khas Rang Ki Paidawar Ke Liye Tarkeeb:
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ke Bachcho Ne Jis Rang (Colour) Ki Bhedh Aur Bakriyo Unhe Chahiye Thi Unse Dusre Rango (Colours) Ki Bhedh, Bakriya Alag Kar Di Aur Unhe Haank Kar Teen Din Ki Doori Par Le Gaye. In Ka Maqsad Yahi Tha Ki Jo Rang Ki Bhedh, Bakriya Unhe Chahiye Thi Wo Jiyada Se Jiyada Bachche Paida Kare, Na Ki Dusre Rang Ki Bhedh Aur Bakriya.
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Bhi Eik Tarqeeb Ki, Unhone Safedah, Badaam Aur Akhrot Ki Hari (Green, Sabz) Taheniyo (Lakdi) Ko Chheel Kar Aapas Me Milaya Jis Se Woh Lakdiya Teen (Three) Rang Ki Nazar Aati Thi. Aur Uss Lakdi Ko Unhone Uss Jagaah Gaadh Diya Jis Ghaat Par Bakriya Aur Bhedhe Paani Pine Aati Thi. Iss Lakkdi Ko Wahaa Par Gaadhne Ka Maqsad Ye Tha Ki Bakriya Aur Bhedhe Uss Teen Line Waali Lakdi Ko Dekh Kar Darr Jaaye Jis Se Unke Pet (Batan) Me Palne Wale Bachche Harqat Kare Aur Unka Rang (Colour) Tabdeel (Badal) Ho Jaaye .
Inn Sab Tarqeebo Se Jis Rang Ke Bachche Unhe Chahiye The Un Ki Paidawaar Bahut Huyee. Jis Se Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ke Maal Aur Maveshi (Jaanwaro) Ki Tadaad Bahut Badh Gayee. Kaneejo (Laundiyo) Aur Gulaamo Ki Tadaad Me Bhi Qasrat Se Ijaafa Huwaa.
Ye Sab Dekh Kar Un Ka Mamu Laahaan Jal–Bhoon Gaya (Naraaz Ho Gaya). Mamu Laahaan Ke Bachcho Ke Chehre Ka Rang Bhi Badal Gaya, Jaise Ki Woh Sab Aap Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Se Naraaz Ho. Iss Se Pahele Ki Woh Log Aap Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Aur Aap Ke Ahle Khaana (Ghar Walo) Ke Khilaaf Kuch Karte. Allah Ta’ala Ne Aap Hazrat (Alaihay Salam) Ki Taraf Wahee (Sandesh, Message) Ki.
♥ Hukm-e-Rabbani Ke Yaqoob (Alaihay Salam) Apne Waalid Ke Ghar Lout Jaye:
Aziz Dosto ,… Allah Ta’ala Ne Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ki Taraf Vahee Ki (Paigaam Bheja) Ke “Aye Yaqoob ! Apne Waleed Mohtaram Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Ke Paas Apne Abaayee (Maadre) Watan Chale Jaavo” Aur Saath Me Ye Waadaa Bhi Farmaa Diya Ki, “Meri (Yaani Allah Ta’ala Ki) Madad Tumhaare Saath Rahegi”.
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Iss Baat Ki Khabar Apne Ghar Walo Ko Di Toh Sabhi Ne Aap Ki Ita’at Ki Aur Aap Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Apne Tamam Maal–Maveshi (Jaanwar), Kaneej, Gulaam Aur Apne Tamam Ahle Khana Ke Hamraah Nikal Pade.
Raahil(Maamu Laahaan Ki Choti Beti) Ne Apne Waalid Laahaan Ke Booto (Murtiyo) Ko Bhi Chipaa Kar Apne Saath Rakh Liya. Aur Jab Woh Sab Log Uss Illaqe Se Guzar Kar Apne Watan Ki Hadudh Me Daakhil Huve Toh Mamu Laahaan Aur Uss Ki Qaum Ne In Ka Pichha Kiya Aur Inn Tak Pahoonch Gaye.
Aur Jab Laahaan Aur Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ka Aamna–Samna Huwaa Toh, Laahaan Bahut Naraaz Huwaa Aur Kahene Laga Ki “Tum Mujhe Bina Bataaye Ya Bina Khabar Diye Huve Wahaa Se Kyon Chale Aaye ? Tum Mujhe Agar Iss Baat Ki Khabar Dete Toh Main Khud Tum Logo Ko Khushi–Khushi Izzat Aur Ahetaraam Ke Saath Alwidaa Karta, Aur Apni Betiyo Aur Un Ki Aulaado Ko Bhi Izzat Ke Saath Rukhsat Karta”.
Aur Fir Poocha Ki, “Kya Tum Log Hamaare Maabood (Murtiyo) Ko Bhi Apne Saath Laye Ho ?
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Nahi Jaante The Ki Raahil Apne Saath Booth (Murti) Chipaa Kar Layee Hai. Isi Liye Aap Ne Iss Baat Se Inqaar Kar Diya Ki Woh Log Booth Churaa Kar Laaye Hai. Lahaan Ne UnKe Samaan Ki Talashi Lena Shuru Kar Di. Aur Woh Apni Betiyo Aur Kaneezo Ke Khemo Me Daakhil Ho Gaya.
Raahil Ne Uss Boot Ko Uoonto (Camel) Ke Palaan Ke Niche (Yaani Ki Woh Kurshi Jise Uoonto Ki Peeth Par Baandha Jata Hai Aur Jis Par Baith Kar Uoonto Ki Sawaari Ki Jaati Hai) Chipaa Diya Aur Khud Uss Par Chadh Kar Baith Gayee. Jab Laahaan Un Ke Kamre (Kheme) Me Daakhil Huwaa Toh Woh Apne Baap Ki Izzat Aur Ahetaram Ke Liye Uthh Kar Khadhi Na Huyee. Aur Kahene Lagi, “Abba Jaan ! Maaf Karna, Mai Khadhi Nahi Ho Sakti, Kyon Ki Mai Uss Haalat (Haiz) Me Hoon Jo Aurto Ko Huwaa Karti Hai”.
Laahaan Bahut Koshish Aur Talaashne Ke Bavojood Bhi Uss Booth Ko Talaash Na Kar Saka. Mamu Laahaan Aur Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ke Beech Jul–Aad Naam Ke Eik Pahaadi Teele Par Eik Muaahidah (Qaraar, Agriment) Huwaa. Muaahidah (Qaraar) Ye Tha Ki Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Uss Ki Betiyo Ko Ruswaa Nahi Karege, Yaani Ki Un Ko Talaaq Nahi Dege. Aur Un Dono Ke Baad Kisi Aur Se Nikaah Nahi Karege. Aur Iss Pahaadi Teele Se Na Toh Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Aage Badhege Aur Na Hi Laahaan Aage Badhega. Yaani Ki Dono Ke Darmiyaan Ye Pahaadi Teela Sarhad (Boundri) Hogi.
Fir Unhone Khaana Tayyar Karwaaya Aur Poori Qaum Ne Inn Ke Saath Milkar Khaana Khaya. Fir Dono Ne Eik Dusre Ko Alwidaa Kahaa Aur Apen–Apne Watan (Mulko) Ki Taraf Rawaana Ho Gaye. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Sab Apne Mulk (Watan) Ke Qareeb Pahoonche Toh Eik Jagaah Aap Ki Farishto Se Mulaaqat Huyee. Farishto Ne Aap Ko Khush Khabri Di Ki Aap Apni Manzil Par Pahoonchne Wale Hai.
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Apne Bhai Ayeeshu Ki Taraf Eik Qaasid Ko Bheja. Aur Khidmat Me Bahut Pyaar Mohabbat Aazizi Aur Inqesaari Ka Izhaar Kiya. Qaasid Waapas Aaya Aur Khabar Di Ki Ayeeshu Apne 400 Fauji (Lashqar) Ke Saath Aap Se Mulaaqat Ke Liye Aa Rahaa Hai.
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …
♥ In’sha’Allah! Agle Part 39 Me Aage Ka Kissa Bayan Karenge ….