• Hazart Yaqoob (Alaihay Salam) Ko Apne Bade Bhai Se Mili Qatl Ki Dhamki Ki Vajah Se Maa Baap Ke Kahne Par Wo Apne Maamu Laahan Ke Yaha Safar Karte Hai, Aur Unki Khidmat Me Rehkar Unki Beti Se Nikah Karte Hai.
Aziz Dosto ,….. Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Ke Bade Bete Ayeeshu Ne Apne Saath Be–Imaani Ho Jaane Par Apne Chote Bhai Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ko Qatl Ki Dhamki De Di (Yaha Tak Aap Part 18.2 me padh chuke ho). Lekin Hazrat Ishaq Ne Apne Bade Bete Ayeeshu Ke Kahene Par Un Ke Liye Bhi Duwaa Kar Di, Aur Farmaaya, “Aap Ki Aulaad Bhi Zameen Par Qasrat Se Failegi Aur Unhe Rizq Aur Falo (Fruits) Se Iss Qadr Nawaza Jayega Ki Woh Khush–Haal Rahege”.
Idhar Jab Unki Waalda Rafqaa Ko Ye Khabar Mili Ke Hazrat Aayeeshu (Alaihay Salam) Ne Apne Chote Bhai Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ko Qatal Ki Dhamki Di Hai Toh Unhe Khauf (Darr) Huwaa Ki Kahi Ayeeshu ! Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ka Qatal Hi Na Kar De. Isiliye Unhone Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ko Huqm Diya Ki, “Tum Mere Bhai Aur Apne Mamu (Uncle) Laahaan Ki Taraf Chale Jaavo, Jo Ki Haraan (Shaam, Siria) Me Raheta Hai. Aur Tab Tak Wahaa Raho Jab Tak Ayeeshu Ka Gussa (Naraazgi) Thanda Na Ho Jaaye”. Aur Ye Bhi Huqm Diya Ki, “Wahaa Ja Kar Apne Mamu Laahaan Ki Beti Se Shaadi (Nikaah) Kar Lena”.
Rafqaa Ne Apne Sauhar (Husband) Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Se Kahaa Ki, “Aap Bhi Yaqoob Ko Ye Hi Mashwara Do, Aur Use Huqm Do Ki Woh Haraan Chala Jaaye”.
Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Ne Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ko Ye Hi Mashwara Diya, Aur Unke Haq Me Duwaa Farmaayee.
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Usi Waqt Shaam (Siria) Ki Taraf Rawaana Ho Gaye. Chalte–Chalte Raaste Me Eik Jagaah Raat Ho Gayee. Unhone Eik Paththar Apne Sir Ke Niche Rakha Aur So Gaye. Aap Ne Khawaab Dekha Ki Eik Sidhi Jo Ki Aasmaan Se Zameen Tak Buland Hai. Farishte Uss Sidhi Ke Zariye Aasmaan Se Zameen Par Utar Rahe Hai Aur Waapas Zameen Se Aasmaan Par Chadh Rahe Hai. Aur Allah Ta’ala ! Aap Se Farmaa Raha Hai “Aye Yaqoob ! Mai Tujhe Ba–Barqat Banawoonga, Aur Teri Aulaado Ko Badhawunga, Aur Ye Sirzameen Tujhe Aur Tere Baad Teri Nasal Ko Dooga”.
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Jab Neend Se Jaage Toh, Jo Khawaab Dekha Tha Uss Se Bahut Khush Huve. Aur Aap Ne Mannat (Nazar) Maani Ki, “Agar Mai ! Khair Khairiyat Se Apne Ghar Waapas Aa Gaya Toh Iss Jagaah Allah Ta’ala Ke Liye Ibaadat Gaah Banawoonga. Aur Mere Paas Jo Bhi Malkiyat (Jaayedaad, Proparty) Hogi Uss Ka Daswaa (10th) Hissa Allah Ta’ala Ki Raah Me Dooga”.
Fir Aap Ne Uss Paththar Par Tel (Oil) Malaa (Lagaya) Aur Nishaan Banaya TaaKi Pahechaan Ho Sake. Aap Ne Jagaah Ka Naam Bait Ahal (Khana–e–Allah, Allah Ka Ghar) Rakaha. Dosto,… Ye Hi Wo Jagaah Thi Jahaa Par Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Baitul Muqaddas Ki Taamir Ki Thi.
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Apne Mamu Laahaan Ke Paas Haraan (Siria, Shaam) Pahoonch gaye. Unke Mamu ki do betiya (Ladkiya) thi. Badi ka naam “Liyaa” aur Choti ka naam “Raahil” Tha. Badi Ladki Ki Aankhe Choti thi aur woh Jyada Khoobsurat na thi aur Uss ki Shaqal–O–Surat me koi Kashish bhi na thi. Jab ki Choti ladki bahut Khoobsurat aur Haseen–O–Jameel thi. Isiliye Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) ne apne Mamu Laahaan ko Un ki Choti beti Raahil se Nikaah karne ka paigaam diya.
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) ke Mamu Laahaan ne iss shart par ye rishta Manzoor kiya ki Hazrat Yaqoob Saat (7) Saal tak Unki Bhedh Bakriyo ko Charaayege aur Unki Khidamat Karege. Aap ne jab Saat Saal ki Muddat Poori kar li toh Aap ka Nikaah ho gaya. Jab Raat Huyee toh Unke Mamu Laahaan ne Apni Badi Beti Liyaa ko Suhaag-Raat ke Kamre me Yaqoob (Alaihay Salam) ke paas bhej diya. Liyaa utni Khoobsurat toh nahi thi. Jab Suhaagraat Guzar Gayee toh agli Subaah Yaqoob (Alaihay Salam) kya dekhte hai ki Raahil ki jagaah liya unke kamre me hai.
* Aap Sakht Khafaa Huve Aur Apne Mamu Lahan Se Kahaa, “Aap Ne Mere Saath Be–Imaani Ki Hai, Maine Toh Raahil Ke Liye Paigaam–e–Nikaah (Rishta) Diya Tha”.
*Mamu Laahaan Ne Kahaa, “Barkhurdaar ! Hamaare Yahaa Ye Riwaaz Nahi Hai Ki Badi Bahen Se Pahele Choti Bahen Ka Nikaah Kar Diya Jaaye”. (Lihaza Nikah Bhi Parde ki Aad Me Choti Beti Rahil Ke Bajaye Badi Beti Liyaa Ke Sath Hee Hua Tha) Agar Tum Raahil Se Nikaah Karna Chaahte Ho Toh Tumhe Saat Saal aur Hamaari Khidmat me Reh kar Hamaari Bhedh Bakriya Charani Hogi”.
Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) ne aur Saat Saal Bhedh Bakriya Charaayee aur Liyaa Ki Choti Bahen Raahil se bhi Nikaah kar Liya.
Do (2) Baheno Ko Eik Nikaah Me Jamaa Karna Uss Waqt Ki Shariyat Me Jaayez Tha Jise Baad Me Allah Ta’ala Ne Tauraat (Woh Aasmaani Kitaab Jo Ki Hazrat Musa (Alaihay Salam) Par Nazil Huyee Thi) Uss Ke Zariye Mansookh (Khatm, Raddh) Kar Diya Gaya.
Aziz Dosto ,….. Jab Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Dono Baheno Se Nikaah Kar Liya Toh Aap Ke Mamu Laahaan Ne Apni Dono Betiyo Ko Eik–Ek Kaneej (Gulaam) Bhi Ataa Ki. Badi Ladki Liyaa Ko Jo Kaneej Di Thi Uss Ka Naam “Zulfi” Tha Aur “Raahil” Ki Kaneej Ka Naam “Halbee” Tha.
Allah Ta’ala Ne, “Liyaa” ki Kamzori Door kar di aur Inn par Rehmat ki aur Unhe Aulaad Ataa ki. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) ke Ghar Sab Se Paheli Jo Aulaad Huyee Uss Ka Naam “Ruhel” Tha. Uss Ke Baad “Samvoon” fir “Laahi” Aur “Yahooda” Paida Huve. Yahoodi Isi Yahooda Ki Nasal Se Ta’aluq rakhte hai.
“Raahil” ko ye dekh kar Hasad (Jalan) hone lagi Kyon ki abhi tak Uss ki koi bhi Aulaad nahi huyee Thi. Isiliye “Raahil” Ne Apni Kaneej “Halbee” Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ko Hibaa (Tohfe Ya Gift) Kar Di. Uss Kaneej Haibee Se Bhi Eik Aulaad Paida Huyee. Jis Ka Naam “Huyataali” Rakha Gaya.
Liyaa Ne Bhi Apni Kaneej “Zulfi” Ko Aap Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ko Hibaa (Gift) Kar Di.
Uss Kaneej Zulfi Se Do (2) Bachche “Jaad” Aur “Aseer” Paidaa Huve. Iss Beech Liyaa Ne Eik Aur Bachche Ko Paida Kiya Jis Ka Naam “Zublon” Rakha Gaya. Liya Ne Iss Baar Eik Aur Bachchi Ko Paida Kiya, Jis Ka Naam “Veena” Rakha Gaya. Iss Tarhaa Aap Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) (9) Bachcho Ke Waalid Ban Gaye.
“Raahil” Ne Baargaahe Khudawandi me Duwaa ki aur Hazrat Yaqqob (Alaihay Salam) se bhi Apne liye Eik Bachcha Paida ho Jaane ki Duwaa Karne ki Iltijaa ki. Allah Ta’ala ne Unki Duwaa Qabool farmaayee. aur Raahil bhi Haamlaa Huyee aur Aap ke Batan se Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) ke Ghar Eik Buland Martaba, Shareef, Haseen–O–Jamil, Sahib–e–Jamaal–Wa–Kamaal Bachcha Paida Huwa, Jis Ka Naam Raahil ne “Yusuf” Rakha.
Ye sab bhai Haaraan (Shaam, Siria) me Pale–Badhe. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) ne Nikaah karne ke baad bhi (6) Saal aur Apne Mamu Laahaan ki Bhedh Bakriya Charate rahe aur Iss Tarhaa Aap ne Apne Mamu ke Paas (20) Saal ki Muddat (Arsaa) puri ki.
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …