• Pyaare Aaqa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Khandani Halaat (Nasab Naama) Aap Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Ki Nasal (Nasab) Se. Aur
• Bani Israyil Ke Tamam Nabiyon Ki Khandani Halat (Nasab Nama) Nabi Ishaq (Alaihay Salam) Se.
♥ Nabi Ismayeel (Alaihay Salam):
Aziz Dosto ,…….. Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) ke Bare Me Aap Log Hiqayat Part 13, 14 aur 11.5 Tak Padh Chuke Hai Ab Aage ,..
Hazrat Ibraahim (Alaihay Salam) ! Allah Ta’ala Ke Jalil–O–Qadr Paigambar Huve. Youn Toh Aap Ki Kayee Aulaade Thi, Lekin Aap Ki Do (2) Aulaade Jiyaada Mashoor Hai Jo Ki Azim Aur Aalishaan Nabi Aur Rasool Hai. Aur In Dono Me Se Jiyada Jalil–O–Qadr Aur Buland Martaba Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Jabeeh–Ul– Laah Hai. Aap Hazrat Haazra (Razi Allahu Anhuma) Ke Batan Mubaarak Se Paida Huve. Jo Ki Nihaayat Jalil–O–Qaqr Aur Azim Martabe Wali Khatoon Thi.
Hazrat Ibraahim (Alaihay Salam) Ki Umar Mubaarak (86) Baras Ki Thi, Tab Aap Ko AAllah Ta’ala Ne Nek Aur Saleh Aulaad Ki Shaqal Me Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Ko Ataa Farmayaa.
Hazrat Ibraahim (Alaihay Salam) Ne Huqm–e-Rabbani Par Labbaik Kahete Huve Apne Doodh pite Bachche Aur Masoom Fitrat Biwi Hazrat Hazraa (Razi Allahu Anha) Ko Eik Sunsaan Biyaaban Sehraa (Registaan) Me Sirf Allah Ta’ala Par Tawaqqal (Bhrosa) Kar Ke Tanhaa Aur Akela Chodh Diya. Jahaa Na Pine Ko Paani Aur Na Khaane Ko Kuch Tha. Fir Allah Taala Ne Paththaro Ka Kaleja Cheer Kar Inhe Paani (Aab–e–Zamzam) At aa Kiya. Aur In Ke Akelepan Aur Gamkhawaari Ko Door Kar Ne Ke Liye Qabilaa Banu Jerham Ko Uss Biyaaban Sunsaan Waadi Me Rukne Par Mazboor Kiya.
Uss RAB Ki Jaat Ne Uss Biyabaan Aur Sunsaan Wadi Me Rahemato Aur Barqato Ka Dariya Bahaa Diya, Aur Qayaamat Tak Makkah Shareef Ki Waadi Me Faiz–O–Barkat Zaari Rahega. Aur Ye Sab Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Ki Wasa’at ya un ke Tufail Zaari Huwaa. Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Apne Waldain Ki Itni Farmabardaar Aulaad Thi Ki Jis Ki Misaal Duniya Me Koi Dusri Nahi Milti.
Aap Ne Apne RAB Ke Huqm Aur Apne Walid Hazrat Ibraahim (Alaihay Salam) Ki Farmabardaari me Apne Jaan Tak Ka Nazraana Dene Ya Apne Walid Ke Haatho Jebaah Hone Me Bhi Koi Hichkichahat Na Mahesoos Ki. Aur Apne Walid Se Kahaa, “Aap Ko Jo Huqm Huwaa Hai Aap Use Pura Kare, In’sha’Allah Aap Mujhe Sabr Karne Walo Me Paavoge”.
Allah Ta’ala Ne Qur’an Majeed Me Aap Ki Taareef Farmaayee, Kahee Aap Ko Haleem Toh Kahee Saabar (Sabar Karne Wala), Kahee Saadaq-Al-Waadah (Apne Waade Ko Sach Karne Wala), Kahee Muhaafiz Salaat (Namaazo Ki Hifaazat Kar Ne Wala) Kahaa Hai.
♥ Allah Ta’ala Qur’an Majeed Me Farmaata Hai – Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) ! Apne Ghar Walo Ko Namaaz Ka Huqm Dete Ta’aki Woh Azaab Se Mehfooz Rahe”.
*Allah Ta’ala Ne Aap Ka Ziqr Khair Quraan Majeed Me Kayee Jagaaho Par Kiya Hai.
Riwayato Me Hai Ki Sab Se Pahele Aap Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Ne Ghodho (Horse) Ki Sawaari Ki Aap Se Pahele Ghodhe Bhi Dusre Jungli Jaanwar Ki Tarha The. Aap Ne Arbi Nasl Ke Jangli Ghodo Ko Apni Taraf Manoos Kiya Ya Apne Si Hilaa Liya (Paaltu Banaya). Aap Ki Eik Aawaaz Par Woh Jungli Arbi Ghodhe Aap Ke Paas Daudhe Chale Aate The. Aap Huzur–e–Aqdas Rahematul Alamin Mohammed Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Ghodhe Paalo Aur Unn Ki Nasal Badhaavo, Kyon Ki Ye Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Ki Viraasat Hai”.
Riwayato Me Hai Ki Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Sab Se Pahele Fasheeh Aur Ballikh Arbi Zubaan Bolne Walo Me Se Hai, Ye Zubaan Aap Ne Hazrat Ibraahim (Alaihay Salam) Se Bhi Pahele Ke Qadim (Puraane) Qabile Jo Ki Makkah Aur Uss Ke Aas Paas Aabaad The Unn Se Sikhi Thi. Aap Huzur Pur Noor Hazrat Mohammed (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Woh Sakhsh Hai Jinhone Sab Se Pahele Fasheeh Aur Ballikh Arbi Zubaan Me Guftgoo (Baate) Ki, Aur Uss Waqt Aap Ki Umar Mubaarak 14 Saal Thi.
Ek Sau Tirehattar (173) Saal Aap Ki Hayaate Mubaarka Rahi. Aur Aap Aapki Waldaa Hazrat Bibi Hazraa Ke Paheloo Me Hateem (Makkah) Me Madfoon (Dafan) Hai .
Hamare Pyaare Aaqa Mohammed (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Ta’alluq Aap Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Ki Nasal (Nasab) Se Hi Hai
♥ Nabi Ishaq (Alaihay Salam):
Aziz Dosto ,…. Jis Waqt Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Paidaa Huve Uss Waqt Hazrat Ibraahim (Alaihay Salam) Ki Umar Mubaarak Sau (100) Saal Aur Hazrat Bibi Sayerah Razi Tala Ho Anhuma Ki Umar Mubaarak Nabbe (90) Saal Thi. Budhaape Ki Umar Me Allah Ta’ala Ne Inhe Aulaad Ataa Ki.
♥ Allah Ta’ala Ka Qur’an Majeed Me Irshaad–e–Aalishaan Hai,
Aur Hum Ne Basharat Di Aap Ko (Hazrat Ibraahim Alaihay Salam Ko) Ishaq Ki , Ke Woh Nabi Hoga Saleheen Me Se , Aur Ham Ne Barqate Nazeel Ki Iss Par Aur Ishaq Par Ki Inn Ki Nasal Me Koi Nek Hoga Aur Koi Apni Jaan Par Khulaa Zulm Karega”.
Allah Ta’ala Ne Jitne Bhi Paigambar (Alaihay Salam) Mabwoos Kiye Ya Bheje Woh Sab Ki Sab Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Ki Nasal Se Hi Hai. Siwaaye Aakhiri-Uz–Zamaa Aap Hazrat Mohammed Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke, Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Nasab Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Se Ja Milta Hai.
Riwaayato Me Hai Ki Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Ne Chalees (40) Baras Ki Umar Me Hazrat Ibraahim (Alaihay Salam) Ki Hayaat–e–Mubaarka Me “Rafqaa”’ Se Nikaah Kiya. Jo Ki Baanjh (Bachcha Na Paida Karne Waali Aurat) Thi. Isiliye Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Ne Baargaahe Allah Wandi Me Duwaa Ki Aur Allah Ta’ala Ne Aap Ki Duwaa Qabool Farmaayee, Aur Aap Ke Ghar Judwaa Aulaade Huyee. Jin Me Se Bade Ladke Ka Naam Ayeeshu Aur Chote Ladke Ka Naam Yaqoob Tha. Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) ! Hazrat Ayeeshu (Alaihay Salam) Se Jiyada Mohabbat Karte The Kyonki Woh Badi Aulaad Thi. Jab Aap Ki Biwi Raftaa Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Se Jiyada Mohabbat Karti Thi Kyounki Woh Chote The .
Aziz Dosto ,….. Jab Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Budhaape Ki Umar Me Pahooche Toh Aap Ke Aankho Ki Raushni Kam Ho Gayee. Jis Ki Wazaah Se Aap Ko Bahut Kam Dikhayee Deta Tha. Eik Din Aap Ne Apne Bade Bete Ayeeshu Se Farmaaya Ki, “Aye Mere Bete ! Tum Shiqaar Par Jaavo, Aur Shiqaar Kar Ke Pakaa Kar Ke Mujhe Umdaa Aur Laziz Khana Khilaavo, Taa Ki Mai Tumhaare Liye Barqat Ki Duwaa Karoo”.
Dosto Ye Ek Paigamber Ya Nabi Ki Wo Duwaa Hoti Hai Jo Ki Paigambar Ya Nabi Apne Baad Apne Jaa–Nasheen (Waaris) Ke Liye Khashushi Taur Par Karte Hai, Aur Wo Duwaa Baargaah–e–Ilaahi Me Maqbooliyat Ka Muqaam Rakhti Hai.Yaani Ki Yaqinan Qabool Hoti Hai.
Hazrat Ayeeshu Jo Ki Eik Shiqaari The, Isiliye Apne Abba–Jaan Ke Huqum Ki Taamil Karne Ke Liye Jungle Ki Taraf Rawaana Ho Gaye Taaki Kisi Jaanwar Ka Shiqaar Kar Ke La Sake. Lekin Jab Ye Baat Unki Waaldaa ‘Raftaa’’ Ke Kaano Me Padhi Toh Unhone Apne Chote Bete Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ko Huqum Diya Ki Apne Rewadh (Paaltoo Jaanwaro) Me Se Do Achche Baqre (Gots) Jeebah Karo Aur Unhe Bhoon Kar Aapne Waleed Ki Khidamat Me Pesh Karo”.
Yaqqob (Alaihay Salam) Ki Waalda Jo Ki Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Se Bahut Mohabbat Karti Thi, Un Ki Dili Khawaahish Thi Ki Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Apni Jaa–Naseeni, Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ko Ataa Kare Aur Un Ke Haq Me Barqat Ki Duwaa Kare .
Isiliye Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Apne Waalda Ke Kahene Par Do (2) Baqre Jeebah Kiye Aur Unhe Bhoon Liya. Aur Apna Huliya Apne Bade Bhai Ayeeshu Ki Tarhaa Banaya, Kyonki Hazrat Ayeeshu Unn Se Dildaul Aur Qad Me Jiyaada The Aur Un Ke Jism Par Baal Bhi Bahut Jiyaada The. Isiliye Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Apne Bade Bhai Ke Kapde Pahene Aur Apni Gardan Aur Haatho Par Baqre Ki Khaal (Jild) Ke Baal Laga Liye.
Aur Bhoona Huwaa Baqra Lekar Apne Waalid Hazrat Ishaq Ki Khidmat Me Pahooche. Aur Unhe Gost (Meat) Pesh Kiya Toh Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Ne Poocha Ki, “Tum Kaun Ho ?”
Toh Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ne Jawaab Diya, “Main Aap Ka Beta Hoon”. Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Ne Unhe Apne Gale Se Laga Liya Aur Unhe Chooma. Aur Kahene Lage, “Aawaaz Toh Yaqoob Jaisi Hai, Lekin Kapde Aur Jism Ayeeshu Ke Jaisa Hai”.
Aur Jab Khana Khaa Chuke Toh Duwaaye Karne Lage, “Tu Apne Bhaiyo Me Buland Martabe Wala Aur Unchi Shaan Wala Ho. Saare Bhaiyo Aur Saare Qabile Par Tumhara Naam Buland Ho, Aur Tu Aulaad Aur Maal Me Qasrat Se Nawaaza Jaaye”.
Jab Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Apne Waalid Ke Paas Se Rukhsat Huve Toh Tabhi Un Ke Bade Bhai Ayeeshu Bhi Wahaa Tashreef Le Aaye. Un Ke Paas Bhi Khaana Tayyar Tha. Aur Jab Shiqaar Ka Gost Unhone Apne Abba–Jaan Ki Khidamat Me Pesh Kiya Toh. Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Ne Poocha, “Bete Ye Kya Hai ?”’
Ayeeshu Ne Jawaab Diya, “Ye Khana Hai. Jis Ka Aap Ne Huqum Diya Tha”.
Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Kya Tum Thodi Der Pahele Nahi Aaaye The ?, Aur Maine Tum Se Khana Nahi Liya Tha ? , Aur Kya Maine Tuhaare Liye Duwaa Nahi Kar Di Thi ? ” Ayeeshu Ne Arz Kiya, “Nahi ! Main Toh Abhi Aa Rahaa Hoon”.
Hazrat Ayeeshu Samajh Gaye Ki Ye Saari Chalaaqi Aur Hoshiyaari Hazrat Yaqqob (Alaihay Salam) Ki Hai. Woh Bahut Sakht Naraaz Huve. Aur Hazrat Yaaqoob (Alaihay Salam) Se Kahaa, “Tum Ne Mere Saath Be–Imaani Ki Hai. Mai Tumhe Iss Be–Imaani Ki Sazaa Dooga Aur Tumhe Qatal Kar Dalooga”.
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …
♥ In’sha’Allah! Agle Part 37 Me Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ka Tazkira Karenge Jald ….