• Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ke Baad Duniyavi Kaam Kaaz Ki Bag–Dour Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Ne Sambhali.
• Allah Taala Ne Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ko Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Ke Baad Naboowat Se Nawaza.
♥ Nabi Seesh (Alaihay Salam):
Aziz Dosto ,….. Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ke Bete Haabil Ke Qaabil Ke Haatho Qatal Ho Jaane Ke Baad, Allah Ta’ala Ne Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Aur Hazrat Hawaa (Razi Allahu Anhna) Ko Haabil Ke Badle Ek Nek Aur Saleh Aulaad (Beta) Ataa Kiya. Jin Ka Naam Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Tha. Seesh Ka Matlab Hai ‘Atiyaa Rabbani’ , Yaani Ki Rab Ka Ataa Kiya Huwaa. Jis Waqt Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Paida Huve Uss Waqt Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ki Umar (Age) 130 Baras Thi.
♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Riwayt ke Mutabik Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaaya –
Allah Ta’ala Ne Ek Sau Chaar (104) Saheefe (Kitaabe) Naazil Kiye, Jin Me Se Pachchaas (50) Saheefe Aap Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Par Naazil Huve They,..”
Ek Riwaayat Me Hai Ki –
*Jab Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ki Wafaat (Wisaal) Ka Waqt Qareeb Aaya Toh Aap Ne Apne Bete Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Se Eik Ahad (Wadaa) Liya Aur Unhe Raat Din Ke Waqto Ki Ibaadato Ki Taalim Di. Aur Ye Bhi Bataya Ke Kis Waqt Par Kaun Si Ibaadat Hogi. Aur Unhe Ye Bhi Bataa Diya Ki Meri Wafaat Ke Baad Eik Bahut Bada Toofaan Aayega.
Ek Aur Riwayat Me Hai Ki –
*Tamam Aulaad-e-Aadam Ka Silsila Nasab Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Se Ja Milta Hai. Kyonki Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ki Baaqi Aulaado Se Insaani Nasal Nahi Chal Saki. Sab Ki Sab Nasal Nest–o–Naabood Ho Gayee Thi. (Allah-o-Aalam)
Allah Ta’ala Ne Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ko Naboowat Ataa Ki Thi Aur Unke Baad Naboowat Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Ko Ataa Ki. Hazrat Aadam Ki Wafaat Ke Baad Aamoor–e–Duniya (Duniyavi Kaam Kaaz) Ki Bag–Dour Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Ne Sambhali.
Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Ki Wafaat (Wisaal) Ke Baad Aap Ki Jagaah Aap Ke Bete “Anwas” Ne Li. Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Ne Inhe Neki Adal Aur Insaaf Ke Qayem Karne Ki Nasihat Farmaayee Thi.
♥ Nabi Idrees (Alaihay Salam):
Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Ki Chauthi (4th) Ya Paachvi (5th) Pust (Nasal) Me Hazrat Khanookh (Alaihay Salam) Paida Huve, Jo Ki Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ke Naam Se Mashhoor Huve. Allah Ta’ala Ne Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Ke Baad Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ko Naboowat Se Nawaaza .
• Ek Riwaayat Me Hai Ki Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Hi Hazrat Iliyaas (Alaihay Salam) Hai. (Allah-o-Aalam)
♥ Allah Ta’ala Quraan-e-Kareem Me Irshaad Farmata Hai –
Aur Kitaab (Quraan) Me Idrees (Alaihay Salam) Ko Yaad Karo, Beshaq Woh Siddique (Sachcha) Tha Aur Gaib Ki Khabre Detaa, Aur Hum Ne Usey Buland Muqaam Par Uthaa Liya.” – (Mafhoom-e-Surah – Mariam)
Iss Aayat Me Allah Ta’ala Ne Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ki Taarif Farmaayee Hai. Aur Unki Naboowat Aur Sadaaqat (Sachchayee) Ko Zaahir Farmaaya Hai.
Hamaare Pyaare Aaqa Hazrat Muhammed (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Silsila–e–Nasab Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Se Hote Huve Hazrat Seesh (Alaihay Salam) Tak Ja Milta Hai.
Aziz Dosto ,…… Riwaayato Me Hai Ki Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Hi Woh Pahele Sakhs (Aadmi) Hai Jinhone Likne (Writing) Ka Tarika Izaad Kiya. Aap Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ret (Sand, Ramal) Par Likha Karte The. Aur Ret Par Likhaawat Ke Zariye Aap Guftgoo (Baate) Kiya Karte The. Isiliye Aap Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ko Iss Ilm Ka Sab Se Badaa Maahir Kahaa Jaata Hai.
Jab Hamare Pyaare Aaqa Hazrat Mohammed Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Ilm Ramal (Ret, Sand Par Likhne Wale) Ke Baare Me Poocha Gaya Toh Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Ek Nabi Ret (Sand, Ramal) Par Khatt (Lines) Khincha Karte The (Yaani Ki Likha Karte The), Isliye Agar Kisi Sakhsh (Aadmi) Ki Khatt (Likhaawat) Unn Nabi Ki Khatt (Likhaawat) Ke Muwaafiq Ho Ya Un Ke Likhaawat Jaisi Ho Toh Uss Shakhs Ko Bahut Si Ya Dusri Chipi Huyee Baato Ka Ilm Ho Jaata Hai”.
• Aap Huzur-e-Akram Mohammed Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Meraaj Par Gaye Toh Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Se Chauthe (4th) Aasmaan Par Mulaaqat Ki Thi .
* Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ke Muta’aliq Allah Ta’ala Quraan Majeed Me Irshaad Farmata Hai, “WARAA FA – ANAH MAKAAN AALIYA,..”
Iss Aayat Se Muraad Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ke Muqaam Aur Martabe Ki Bulandi Hai, Ya Fir Allah Ta’ala Ne Aap Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ko Buland (Uncha) Muqaam Ataa Kiya Ya Aap Ko Unche Muqaam Par Uthha Liya.
Aur Eik Riwaayat Me Hai Ki Allah Ta’ala Ne Aap Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ki Taraf Wahee Farmaaye, “Ki Main Tumhe Har Roz (Daily) Bani Aadam Ke Nek Aur Achche Amal (Kaam) Ke Mutaabiq Buland Karooga”.
Upar Daraz Ki Gayee Qur’an Majeed Ki Aayat Ki Tafseer Me Teen (Three) Riwaayate Mashhoor Hai ……
» 1) .. Aap Hazrat Idrees (Alaihay Salam) ke Paas Eik Farishta Aaya Jo Ki Aap Ka Bahut Gahera Dost Tha. Aap Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ne Uss Se Farmaaya Ki, “Allah Ta’ala Ne Meri Taraf Ye Wahee (Paigaam) Ki Hai. Isiliye Aap Maut Ke Farishte Se Baat Karo Ki Woh Mujhe Mohlat De Taki Mai Jiyada Se Jiyada Nek Amal Kar Sakoo”.
Toh Uss Farishte Ne Aap Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ko Apne Do Parro (Feathers, Pankho) Ke Darmiyaan Uthaaya Aur Aaamaan Ki Taraf Chal Diya.
Jab Woh Chauthe (4th) Aasmaan Par Pahooncha Toh Use Maut Ka Farishta Mila. Jo Niche Utar Rahaa Tha. Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ke Dost Farishte Ne Maut Ke Farishte Se Iss Baare Me Baat Ki. Jis Ke Baare Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ne Uss Se Baate Ki Thi. Maut Ke Farishte Ne Poocha, “Iss Waqt Idrees (Alaihay Salam) Kahaa Hai ?”
Uss Dost Farishte Ne Jawaab Diya Ki, “Iss Waqt Meri Peeth (Back) Par Sawaar Hai”, Maut Ke Farishte Ne Taajjub (Hairat) Se Kahaa, “Mujhe Toh Bheja Gayaa Hai Ki Jaawo , Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ki Rooh Qabz Karo. Jab ki Woh Toh Yahaa Chauthe (4th) Aasmaan Par Maujood Hai , Ye Kaise Ho Sakata Hai Ki Main Un Ki Rooh Chauthe (4th) Aasmaan Par Qabz Karoo , Unhe Toh Zameen Par Hona Chaahiye Tha . Uss Maut Ke Farishte Ne Aap Hazrat Idrees A(Alaihay Salam) Ki Rooh Chauthe (4th) Aasmaan Par Hi Qabz Kar Li .
» 2) ….. Dusri Riwaayat Me Hai Ki Jab Maut Ke Farishte Se Uss Dost Farishte Ki Mulaaqat Huyee Toh Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ne Uss Dost Farishye Se Kahaa Ki Maut Ke Farishte Se Poocho Ki Meri Kitni Umar (Age) Baaqi Hai. Dost Farishte Ne Maut Ke Farishte Se Poocha, Jab Ki Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Bhi Wahi Par Maujood The. “ Ki Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ki Umar Kitni Baaqi Hai”.
Maut Ke Farishte Ne Jawaab Diya, “Jab Tak Mai Dekh Nahi Leta Tab Tak Koi Jawaab Nahi De Sakta”.
Maut Ke Farishte Ne Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ko Dekha Aur Kahaa, “Aap Aise Shakhs (Aadmi) Ki Umar Ke Baare Me Mat Poochoye, Jin Ki Umar Palaq Jhapakne Ki Der Tak Baaqi Hai”. Jab Dost Farishte Ne Apne Parro (Pankho) Ke Beech Me Dekha Toh Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Wafaat (Wisaal) Ho Chuka Tha, Aur Uss Dost Farishte Ko Aap Ke Wafaat Ki Khabar Tak Na Huyee.
(Ye Riwaayat Israayeeli (Yahoodi) Riwaayato Se Li Gayee Hai ,Jis Ulemaavo Ka Ittefaq Nahi Hai)
» 3) …. Ek Riwaayat Me Hai Ki Aap Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ki Wafaat Nahi Huyee Balki Aap Ko Bhi Hazrat Esaa (Alaihay Salam) Ki Tarhaa Zinda Chauthe (4th) Aasmaan Par Uthhaa Liya Gaya Hai.
Allah-o-Alam (Allah Hi Saari Khuli Aur Cheepi Bato Ko Jan’ne Wala Hai)
Aap Hazrat Idrees (Alaihay Salam) Ne Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ka Zamaana Payaa, Yaani Ki Hazrat Aadam (Alaihay Salam) Ki Hayaat Me Aap Paida Huve The Aur Aap Ki Umar Mubaarak (380) Saal Thi, Jab Aap Ne Iss Duniya–e–Faani Se Rukhsat Huve .
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …
♥ In’sha’Allah! Agle Part (36) Me Nabi Ismayeel (Alaihay Slam) Aur Nabi Ishaq (Alaihay Slam) Ka Zikr Karenge Bohot Jald ,..