Hiqayat (Part 34) » Sulaimaan (Alaihay Salam)

• Sahi Faisla Karne Ki Salahiyat aur Bhookhi Machli Ke Jarye Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ki Aazmaish !!

♥ Sahi Faisla Karne Ki Salahiyat:
Azeez Dosto Hadees-e-Mubarak Me Hai Ke, Aap Huzoor Nabi–e–Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Ek Roz Do (2) Aaurate Ja Rahi Thi, Un Dono Ke Paas Eik–Eik Bachcha Tha. Tabhi Eik Bhedhiya Ne Jhapatta Mara Aur Eik Bachche Ko Le Bhaga. Woh Dono Aurate Aapas Me Jhagadhne Lagi.
Badi Aurat Ne Kahaa, “Bhedhiya Tere Bachche Ko Le Kar Bhaga Hai”, Jab Ki Chhoti Aurat Ne Kahaa, “Nahi ! Bhedhiya Mere Bachche Ko Nahi, Balki Tere Bachche Ko Lekar Bhaga Hai”.

Dono Aurato Ka Ye Muqadma Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ki Adaalat Me Pahoocha. Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ne Badi Aurat Ke Haq Me Faisla Sunaaya. Dono Aurate Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Ke Paas Pahoochi, Tab Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Ne Faislaa Sunaya Ki Eik Chhuri (Knife) Le Kar Aawo, Main Iss Bachche Ke Beech (Darmiyaan, Center) Se Do Tukde Kar Ke Inn Me Se Har Eik Ko Aadhaa–Aadhaa De Doo. Iss Faisle Par Choti Aurat Jo Ki Uss Bachche Ki Haqiqi Maa Thi Wo Cheekh Padhi, Aur Kahene Lagi, “Allah Ta’ala Aap Par Rahem Kare ! Aisa Na Kijiye. Ye Bachcha Uss Badi Aurat Ka Hai Use Hii De Dijiye”.

Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Samajh Gaye Ki Ye Bachcha Iss Chhoti Aurat Ka Hai Aur Woh Iss Bachche Ko Qatal Hone Se Bacha Rahi Hai, Aur Apni Mamta Ki Wazaah Se Ye Bachcha Badi Ka Hai Aisa Kahe Rahi Hai. Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Ne Uss Choti Aurat Ke Haq Me Faisla Diya Aur Bachcha Uss Choti Aurat Ke Hawaale Kar Diya .
(Sahih Muslim Book 018, Hadith no. 4269)

*Isiliye Allah Ta’ala Ne Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Ki Taaref Ki Aur Farmaya, “Ye Ilm Khaas (Faislaa Karne Ki Salahiyat) Hamara Hii Ata Kiya Huwaa Hai”. Aur Fir Allah Ta’ala Ne Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ki Ta’arif Bhi Ki.
Allah Ta’ala Ne Hazrat Sulaiman Alaihe Ko Parindo (Birds), Haiwaano (Jaanwaro) Ki Boli Samajhne Aur Un Se Baate Karne Ki Salahiyat Bhi Bakhshi Huyee Thi Jis Ki Kuch Misaale Iss Trahaa Hai .

♥ Bhukhi Machli Ke Jarye Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Ki Aazmaish:
Aap Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Ne Apne Dil Me Khayaal Kiya Ke Allah Ta’ala Ki Baargaah Me Allah Ta’ala Ki Tamam Makhlooq Ko Eik Din Ka Rizq Apne Haatho Se Dene Ka Ikhtiyaar Dene Ki Khawaahish (Chaahat) Zaahir Ki. (Allah–O–Aalam)

Khair ,.. Aap Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Ne Tamam Makhlooq Ke Khaane Ka Intezaam Ek Dariya (Samundar) Kinaare Eik Khule Maidaan Me Karna Shuru Kiya. Iss Poore Intezaam Ki Dekh–Bhal Aap Khud Hi Kar Rahe The. Isiliye Aap Ne Hawaa Ko Huqum Diya Huwa Tha Ki Jabtak Daawat Chalti Rahe Hawaa Aap Ke Takht Ko Zameen Se Upar Uthaaye Rakhe, Taaki Aap Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Tamaam Intejamaat Ki Nigraani Karte Rahe. Aap Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Sab Logo Ko Jamaa Hota Huwaa Dekh Rahe The.
Abhi Khaana Shuru Bhi Na Ho Paaya Tha Ki Ajib Waqeya Pesh Aaya. Eik Bahut Badi Machhli Dariya (Samundar) Me Namudaar Huyee. Aur Hawaa Me Unchaa Upar Uthh Kar Aap Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Ke Takht Ke Qareeb Aa Gayee. Aur Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Se Mukhaatib Huyee, “Aap Ne Mujhe Nahi Bulaaya, Lekin Fir Bhi Mai Aap Ki Daawat Me Shaamil Hone Chali Aayee”.

Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Ham Ne Dariya (Samundar) Ki Makhlooq Ko Toh Iss Daawat Me Bulaaya Nahi Tha, Lekin Aaisi Bhi Koi Pabandi (Manaahi) Nahi Hai, Ab Tu Aa Hi Gayee Hai Toh Eik Taraf Ho Kar Baith Ja. Aur Jab Sab Log Khaana Shuru Karenge Toh Tu Bhi Khaa Lena, Tera Khaana Hii Kitna Hoga ? ”

Machhli Ne Kahaa, “Main Bahut Bhookhi Hoon, Aur Mujhse Ab Sabar Nahi Hota, Mujhe Toh Abhi Hii Khaana Chaahiye, Aap Ke Mehmaan Baad Me Khaate Rahege”.
Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Achcha Ja Jitna Tujhe Khaana Hai Khaa Le”, Ye Sun’na Tha Ki Machhli Khaane Ki Taraf Chal Di.

Ye Koi Aam Machhli Nahi Thi Balki Ye Toh Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Ka Imtehaan Lene Ke Liye Bheji Gayee Thi. Iss Baat Ka Andaza Aap Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Ko Uss Waqt Huwaa Jab Uss Machhli Ne Hazaaro Aadmiyo Ka Khaana Akele Eik Hi Niwaale Me Khaa Gayee. Aur Fir Aap Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Ke Saamne Aakar Khadi Ho Gayee Aur Kahaa, “Aye Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) ! Mere Liye Aur Khaane Ka Intejaam Kar Do Mai Ab Bhi Bhookhi Hoon”.

Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Hazaaro Aadmiyo Ka Khaana Tum Akele Hi Khaa Gayee Ho Aur Ab Bhi Kahe Rahi Ho Ki Mai Bhookhi Hoon, Mere Mehmaan Ab Kya Khaayege ? Tu Ne Toh Saara Khaana Hi Khatam Kar Diya Hai”.
Machhli Ne Kahaa, “Achchi Daawat Hai Aapki ? Itne Logo Ko Khaana Khilaane Chale The Aur Eik Ka Bhi Pait Na Bhar Sake. Mera Rab Toh Mujhe Har Roz Khaane Ke Liye Teen (3) Niwwale Ata Karta Hai, Aur Ye Jo Iss Waqt Maine Jo Khaana Khaaya Hai Woh Toh Mere Liye Sirf Eik Hi Luqmaa (Niwaala) Tha, Abhi Bhi Do Luqme Baaqi Hai, Rizq Pahoochana Koi Khel Nahi Hai, Jis Ka Dawaa Aap Le Kar Uthhe The”. Itna Keh Kar Woh Machhli Dariya (Samundar) Me Waapas Samaa Gayee.

Ab Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Ke Saamne Saari Haqiqat Khul Chuki Thi Ki, “Itna Kuch Dekar Bhi Allah Ta’ala Ke Paas Kitna Kuch Hai, Mai Kisi Ko Eik Luqma (Niwaala) Bhi Nahi De Sakta Aur Woh Kitni Makhlooq Ko Khilaa Rahaa Hai”.
Ab Allah Ka Nabi Ro Raha Tha Aur Allah Ta’ala Se Aazizi Kar Raha Tha, “Aye Mere Rab ! Maine Bahut Bada Qasoor Kiya Hai, Maine Ye Gumaan Kiya Tha Ki Teri Makhlooq Ke Kuch Hisse Ko Pait Bhar Kar Khaana Khilaa Sakta Hoon, Aye Mere Rab ! Mujhe Muaf Kar De, Main Taubaa Karta Hoon, Rizq (Rozi) Dene Wala Sirf Tu Hi Hai, Aur Saare Jahaan Ka Pait Sirf Tu Hi Paal Sakta Hai, Main Miskeen Hu Aur Tu Gani Hai”. Itna Keh Kar Woh Sajde Me Gir Pade. Aur Allah Ta’ala Ne Unki Khata Ko Muaf Farmaa Diya.

Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)

To Be Continue …

Agli Hiqayat (Part 35) me Nabi Seesh (Alaihay Salam) Aaur Nabi Idrees (Alaihay Salam) Ka Zikr Karenge ….

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: