• Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Aur Suraj (Sun) Ki Ibadat Karnewali Mallika Balqis !!
Aziz Dosto ,…..Allah Subhanahu Ta’ala Ne Sulaimaan (Alaihay Salam) Ko Huqumat Aur Naboowat Ataa Ki Aur Un Ke Taabey (Under) Hawaa (Air), Charind, Parind, Insaan, Jinnaat Kar Diye .
Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ke Zamaane Me Baaz Logon Me Jaadoo (Magic Sikhne Aur Sikhane Ka Chalan Bahut Jiyada Tha. Isiliye Allah Subhanahu Ta’ala Ne Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ko Aise Moajjazat Ataa Kiye Jo Bade Se Bade Jaadoogaro Ki Bisaat (Bas) Se Baahar Ki Baat Thi..
Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Jab Jaadoogaro Ka Daur-Daura Dekha Toh Un Ki Saari Kitaabe Chheen Kar Apne Mahal Ya Kutub Khane Me Jamaa Karwa Diya. Allah Ta’ala Ne Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ko Hawaa (Air) Par Qudrat Bakhshi Ke Wo Aap Ke Takhat Ko Uthaa Kar Aap Jahaa Chaahe Le Jaati Thi.
Har Ek Giroh Ko Alag–Alag Kaam De Diya Gaya Tha, Jaise Ki Jinnaat Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ke Liye Bade–Bade Mahal Banate Aur Bhari-Bhari Kaam Karte. Gotakhor(Jinnaat) Samundaro Se Gotaa Lagaa Kar Heere, Moti, Jawaharaat Nikaal Laate, Parinde (Birds) Aap Ke Liye Jasoosi Karte Ya Aap Ko Khabre La Kar Dete.
In Hee Parindo Me Eik Parinda Hud–Hud Bhi Tha, Jis Ke Jimme Ye Kaam Tha Ki Woh Sehreaa (Registaan) Me Kahaa Zameen Ke Andar Paani Hai Uss Ki Khabar Batataa. Taa Ki Awaam (Public, Jantaa) Ke Liye Paani Dastyaab Ho Sake Ya Mil Sake. Allah Ta’ala Ne Hud–Hud Ko Wo Salahiyat Ya Khoobi Bakhsi Thi Ki Who Hawaa Me Udte Huye Bhi Ye Dekh Leta Tha Ki Kis Zameen Ke Andar Paani Hai. Aur Hud–Hud Jis Jagaah Ki Nishaandehi Karta Uss Jagaah Kuwaa (Well) Khod Kar Paani Nikaal Liya Jaata. Aur Hud–Hud Aap Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ko Khabar Bhi La Kar Diya Karta Tha.
• Aapko Jaanwaro Ke Guftagu Ka Bhi Ilm:
Eik Din Aap Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Apne Lavo–Lashqar (Fauj) Ke Saath Rawaana Huve. Iss Lashqar Me Jinnaat, Insaan, Charinde (Jaanwar) Parinde Har Kism Ki Makhlooq Thi. Jinn Aur Insaan Aur Charinde Aap Ke Saath Chal Rahe The Aur Parinde Apne Paro Se Saayaa Kiye Huve Lashqar Ke Saath Saath Udh Rahe The. Pura Lashqar Paro Ki Chaavo Me Sukoon Se Badha Ja Raha Tha. Har Koi Apni–Apni Jagaah Par Aaraam Se Chal Raha Tha. Na Kisi Ko Aage Badhne Ki Jaldi Thi Aur Na Hi Koi Piche Rahena Chaheta Tha.
Yahaa Tak Ki Iss Lashqar Ka Guzar Chitinyon Ke Maidan Se Huwaa Jahaa Par Chiyontiyo (Ant) Ki Rihaayeesh (Bil, Gharaunda) Thi. Abhi Lashqar 3 Ya 6 Kos Doori Par Hi Tha Ki In Chiyontiyo Me Se Ek Ne Apne Sathi Chintiyo Se Kahaa “Aye Chiyontiyo ! Jaldi Se Apne Bil (Gharaunde) Me Daakhil Ho Jaavo, Kahee Aisa Na Ho Ki La–Ilmi Me Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Ka Lashqar Tumhe Raund (Dabaa De Ya Kuchal De) Daale.
Hazrat Sulaiman (Alaihay Salam) Chiyonti Ki Ye Guftgoo (Baate) Sun Kar Muskura Diye, Jo Apni Saathi Chitiyon Ko Bachne Ki Nasihat Kar Rahi Thi. Aap Ka Chehra Khushi Se Khil Utha Aur Dua Karne Lage Ke, “Aye Parwardigar ! Tu Mujhe Toufiq De Ke Mai Teri Inn Neymato Ka Shukr Baja Laaun Jo Tune Mujh Par Aur Mere Maa Baap Par Inaam Ki Hai Aur Mai Aise Nek Amal Karta Rahu Jinse Tu Khush Rahe, Mujhe Apne Rehmat Se Nek Bando Me Shamil Karle”.
• Parinda Hud-Hud Ki Ajeeb Khabar:
Eik Din Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ka Darbaar–e–Aalishan Laga Huwa Tha. Aap Ne Parindon Ka Jayeza Liya Aur Farmane Lage Yeh Kiya Baat Hai Ke Mai Hud-Hud Ko Nahi Dekhta? Kiya Waqaee Woh Ghair Hazir Hai? Agar Woh Gair Haazir Hai Toh Mai ! Use Zaroor Sakht Sazaa Dooga, Ya Use Jibaah Hi Kar Daalooga. Ya Toh Use Mere Paas Apne Gair Haazir Rehani Ki Koi Roshan Daleel (Jaayez Wazzah) Deni Hogi”.
Abhi Kuch Waqt Hee Guzraa Tha Ki Woh Aa Gaya, Aur Kahene Laga, “Mai Eik Aisi Khabar Laya Hoon, Ki Jis Ki Khabar Aap Ko Bhi Na Thi. Mai Aap Ke Paas Mulq Sabaa Ki Ek Sacchi Khabar Laya Hoon. Mai Ne Dekha Ke Unn Ki Badshahat Ak Aurat Ker Rahi Hai Jisey Her Qism Ki Cheez Se Kuch Na Kuch Diya Gaya Hai Aur Uss Ka Takht Bhi Bari Azmat Wala Hai, Aur Use Har Kism Ki Nemato Se Nawaaza Gaya Hai.
Mai Ne Dekha Ki Woh Aur Uss Ki Qaum Suraj(Aaftab, Sun) Ko Sajdaa Karti Hai Siwaaye Allah Ta’ala Ke. Shaitaan Ne In Ke Liye Kaafiraana Aamaal Ko In Ke Liye Khoobsurat Banaa Kar Pesh Kiya Huwaa Hai Aur Ye Log Raah–e-Raast Se Bhatak Gaye Hai. Aur Woh Log Hidaayat Qabool Nahi Karte.
Woh Log Sajdaa Kyon Nahi Karte Allah Ta’ala Ko, Jo Nikaalta Hai Poshedaah (Chipi Huyee) Cheezo Ko Aasmaano Aur Zameen Se. Aur Woh Jaanta Hai Har Uss Baat Ko Jo Tum Log Chipaate Ho Aur Tum Jo Zaaheer Karte Ho. Nahi Hai Koi Ma’abood Siwaaye Allah Ta’ala Ke Jo Ki Arsh–E–Azim Ka Malik Hai”.
Hazrate Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Farmaaya, “Ham Iss Baat Ki Poori Taheqiq (Jaanch–Padhtaal) Karege Ki Tu Sach Bol Rahaa Hai Ya Galat Bayaani Se Kaam Le Rahaa Hai. Ja Ye Mera Likha Huwaa Khat (Leter, Paigaam) Le Jaa Aur Pohoncha De Unn Ki Taraf. Aur Fir Eik Taraf Hatt Kar Ya Chipp Kar Dekh Ki Woh Log Aapas Me Kya Baate Karte Hai, Aur Iss Khatt (Message) Ka Kya Jawaab Dete Hai,..” – (Surah Naml Ayat 21-28)
Allah Ta’ala Ne Iss Mulq Sabaa Ko Apni Bahut Si Neymato Se Nawaaza Tha. Yahaa Ke Bashinde Bahoot Khush–Haal The. Lekin Ye Qaum Sabaa Bhi Kaafir Thi. Aur Allah Ta’ala Ki Ibaadat Ke Bajaaye Suraj Ki Pooja (Ibaadat) Kiya Karti Thi. Shaitaan Ne Inn Ke Iss Amal Ko Khubsurat Banaa Kar Pesh Kiya Huwaa Tha Jaise Ki Moujuda Tarikh Me Bhi Dikh Raha Hai. Aur Ye Qaum Sabaa Gumraahi Me Padhi Huyee Thi.
Aziz Dosto ,…… Hazrate Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Hud–Hud Ki Baate Sunn Kar Mallika Balqis Ke Naam Eik Khatt Rawana Kiya. Jis Me Use Allah Ta’ala Aur Uss Ke Rasool Ki Ita’at Ki Tablig Ki. Aur Likha Ki, “Tum Mere Samney Sirkashi Na Karo Aur Musalman Bann Ker Mere Pass Aajao”.
Hud-Hud Ne Khatt Liya Aur Balqis Ke Paas Pahoonch Gayaa. Uss Waqt Balqis Apne Mahal Me Akeli Tanhaa Baithi Huyee Thi. Hud–Hud Ne Khatt Uss Ke Aage Faink Diya Aur Balqis Ne Use Utha Liya. Uss Ne Uss Khatt Me Likhi Huyee Tahereer Ko Bade Gaur Se Padha, Lekin Kisi Faisle Par Na Pahoonch Saki Aur Bechain Ho Gayee.
Agle Hee Din Uss Ne Apna Darbaar Lagaya Jis Me Uss Ki Huqumat Ke Tamaam Wazeer Aur Sardaar Bhi Haazir The. Jinke Saamne Uss Ne Iss Masle (Problem) Ko Rakha. Balqis Apni Huqumat Ke Sardaaro Se Mukhaatib Huyee Ki, “Mere Paas Eik Badi Azmat Wala Khatt Bheja Gaya Hai, Jo Ki Sulaiman Ki Taraf Se Hai. Jis Me Likha Hai ‘Bismillah Hir Rahemanir Rahim’ (Allah Ke Naam Se Shuru Karta Hoon Jo Ki Rahemaan Aur Rahim Hai) Tum Log Guroor Aur Taqabbur Na Karo Aur Mere Paas Farmabardaar Bann Kar Chale Aawo”.
Balqis Ne Apni Huqumat Ke Saradaaro Se Kahaa, “Hame Iss Naye Naazooq Halaat Me Kya Karna Chahiye Aap Log Koi Mashwaraa De”,
Iss Par Un Sardaro Ne Bade Adab Se Kahaa, “Ham Toh Aap Ke Gulaam Hai, Aur Aap Jo Bhi Faisla Karegi Wo Faislaa Hamaari Sir Aankho Par”.
Balqis Ne Kahaa, “Aap Log Jaante Hee Ho Ki Aap Logo Se Mashwara Liye Bagair Mai Koi Faisla Nahi Karti. Isiliye Aye Mere Wafaadar Rahenumaavo! Iss Masle Me Bhi Mujhe Koi Mashwara Do”.
Unn Sardaaro Ne Kahaa, “Ham Bahut Taqtwar Qaum Hai, Aur Dushman Ko Jawaab Dene Ki Ham Me Quwat Aur Hauslaa Bhi Hai. Agar Aap Huqum Kare Toh Ham Jang Ladhne Ke Liye Bhi Tayyar Hai, Lekin Ye Faislaa Aap Ke Hi Ikhtiyar Me Hai Ki Aap Hame Kya Huqum Deti Hai ? ”
Balqis Ki Qaum Ke Sardaaro Ka Ye Mashwaratha Ki Ham Dushaman Fauj Se Muqabla Kar Sakte Hai. Lekin Balqis Ki Raaye Unn Logo Se Bilkul Mukhtalif Thi. Woh Unn Logo Se Jiyada Samajhdaar Aur Aqalmand Thi, Khatt Padh Kar Who Itna Toh Zaroor Samjh Gayee Thi Ke Ye Khatt Kisi Aam Baadshah Ka Nahi Hai, Ye Khatt Eik Aisi Hasti Ka Hai Ke Jise Na Toh Haraaya Ja Sakta Hai, Na Hee Unn Ke Qadam Ko Roka Ja Sakta Hai, Na Hee Dhokaa Diya Ja Sakta Hai Aur Na Hee Uss Ki Mukhalfat Ki Ja Sakti Hai.
Har Baat Par Gaur–O–Fiqar Kar Ke Balqis Ne Apni Raaye Unn Sardaaro Ke Saamne Rakhi Aur Kahene Lagi, ‘Agar Who Baadshah Hum Se Jeet Gaya, Aur Uss Ki Fauz Hamaare Shahar Me Daakheel Ho Jaayegi, Aur Hamaari Izzatdaar Riyaaya (Awaam, Public) Ko Jillat Aur Ruswaayee Ka Muhh Dekhna Padega. Aur Ham Log Apne Watan Se Dar-Badar (Baahar) Kar Diye Jaayege, Mera Mashwara Ye Hai Ki Hame Uss Baadshah Ke Paas Keemti Heere, Moti Jawaaherat Ka Nazrana (Tohfaa) Bhejna Chaahiye Jis Se Ye Pataa Chal Sake Ki Ye Koi Aaam Baadshah Hai Ya Haqiqat Me Allah Subhanahu Ta’ala Ke Rasool Hai”.
Aur Isi Iraade Ke Tahat Malika Balqis Ne Qaseed (Paigaam Le Jaanewala, Raajdoot) Ko Keemti Tohfo (Nazrano) Ke Saath Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ke Darbaar Baitul Muqaddas Ke Liye Rawaana Kiya.
Mallika Balqis Ka Qaasid Jab Ye Tohfe Le Kar Aap Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ke Huzur Me Haazir Huwaa Toh Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Uss Qaasid Se Farmaya, “Yeh Tohfe Aur Ye Nazraane Le Kar Wahee Par Waapas Chala Ja, Jahaa Se Tu Inhe Le Kar Aaya Hai. Mere Paas Allah Ta’ala Ki Ataa Ki Huwi Wo Nemate, Tohfe, Wo Daulat Hai, Aur Aisi Khidmat Guzaar Makhloq Hai Ki Tum Log Iss Ka Tasawwoor Bhi Nahi Kar Sakte. Jis Raaj–Sinhaasan (Takht, Arsh) Par Tum Log Ghamand (Taqabbur) Kar Rahe Ho, Aur Khush Ho Rahe Ho. Allah Ta’ala Ki Ataa Ki Huyee Nemato Ke Aage Uss Ki Koi Haisiyat Hi Nahi Hai”.
Jaa ! Apni Malika Se Ja Kar Kahe De Ki Mere Muqaable Me Sirkashi Na Kar Aur Mera Farmabardaar Bann Kar Mere Darbaar Me Haazir Ho Ja. Nahi Toh Tum Logo Se Muqaable Ke Liye Mai Eik Aisa Lashqar Bhejooga, Jis Se Muqaable Ki Tum Me Taaqat Na Hogi, Uss Lashqar Ke Badhte Huve Qadam Ko Tum Rok Na Sakoge, Aur Unn Ke Saath Jung Kar Ke Tumhe Shiqastt (Haar) Hi Hogi. Woh Lashqar Tumhe Barbad Kar Ke Rakh Dega. Tumhe Apna Watan Chhodh Kar Bhaagne Par Majboor Kar Dega. Who Lashqar Tumhe Zalil-O–Khawar Kar Ke Tumhari Izzat Ko Mitti Me Mila Dega. Zillat Aur Ruswaayee Hi Tumhara Muqaddar Ban Jaayegi Aur Tum Sab Log Maut Ke Ghaat Utaar Diya Javoge”.
Aziz Dosto ,….. Malika Balqis Ka Qaasid Waapas Apne Mulq Sabaa (Yamen) Pahooncha Aur Uss Ne Mallika Balqis Ko Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ka Paigaam Pahoonchaya. Ye Paigaam Sunkar Balqis Samjh Gayee Ke Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ki Ita’at Aur Farmabardar Bann Kar Unn Ke Darbaar Me Haaziri Dene Ke Alawa Koi Dusra Raasta Nahi Hai, Toh Uss Ne Apni Huqmat Ke Waziro Aur Sardaaro Aur Sipahiyo Ke Hamraah Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ki Khidmat Me Haazir Ho Ne Ka Iraada Kiya. Aur Baitul Muqadas Ke Safar Par Rawaana Ho Gayee. Jo Ki Mulq Sabaa (Yamen) Se Taqreeban 1,500 Kilometer Ki Doori Par Tha.
• Mallika Balqis Ne Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Khidmat Me Haazir Hone Ka Iraada Kiya:
Idhar Jab Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ko Balqis Ke Apne Huqumat Ke Aala Ohdedaro Ke Hamraah Baitul Muqaddas Aane Ki Khabar Mili Toh Aap Jinnaato Se Mukhatib Huve Aur Framaya, “Aye Darbariyo ! Tum Me Se Kaun Hai Jo Mera Farmabardar Bann Kar Mere Paas Mallika Balqis Ka Takhat (Raj Gaddi, Arsh) Balqis Ke Yahaa Aane Se Pahele Le Aaye Jis Par Baith Kar Woh Apne Awaam (Pablic, Riyaya) Ka Faisla Karti Hai Aur Huqumat Karti Hai”.
Eik Jinnaat Ne Arz Kiya, “Main Le Aata Hoon, Iss Se Pahele Ki Aap Apna Darbaar Khatam Kar Ke Uthe, Mai Taqatwar Hoon Aur Amanatdar Bhi, Mai Use Bina Koi Kami–Beshi Ke Aap Ke Paas Le Awoonga”.
Eik Shakhsh (Aadmi) Bol Utha Ki, “Main Uss Takht Ko Le Aawoonga Iss Se Pahele Ki Aap Apni Palqe Jhapkaaye”. Quraan Majeed Me Allah Ta’ala Ka Irshaad–e–Aalishaan Hai Ki, “Uss Shakhsh Ko Kitaab-e-Ilahi Ka Ilm Diya Gaya Tha”(Yaani Ek Aalim Tarin Shakhs Tha).
Aur Riwaayato Me Hai Ki Use Isam–e–Aazam Yaad Tha. Ya Woh Koi Aalim Tha . Aur Eik Riwaayat Me Hai Ki Ye Aalim Aasif Bin Barkhiya The Jo Rishte Me Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ke Khala-Jaat Bhai The. (Allah–O–Aalam)
Allah Ta’ala Ne Uss Aalim Ko Karamat Ke Taur Par Ye Qudrat Bakshi Thi Ke Palaq Jhapaqne Me Woh Takhat Le Aaya. Karamat Aur Moajjaza Naam Hi Aise Kaamo Ka Hai Jo Insaano Ki Soch Aur Dimaag Se Ya Duniyavi Taur-Tarike Ke Bilkul Khilaaf Hoti Hai. Yaani Ki Agar Insaan Use Apni Aankho Se Dekh Bhi Le Toh Uss Par Yaqeen Kar Paana Uss Ke Liye Mushkil Hota Hai. Kyon Ki Aisi Cheeze Duniyavi Nijaam Ya Tariqe Ke Khilaaf Hoti Hai.
Aur Jab Hazrate Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Uss Takht Ko Apne Paas Rakha Paaya Toh Baargaahe Ilaahi Me Ye Duwaa Ki, “Ye Mere Rab Ka Fazal–O–Karam Hai, Taa Ki Woh Mujhe Aazmaaye Ki Mai Uss Ka Shukr Ada Karta Hoon Ya Nashukri. Aur Jo Apne Rab Ka Shukr Adaa Karte Hai, Woh Apne Bhale Ke Liye Hi Karte Hai. Aur Jo Nashukri Karta Hai Woh Apna Hi Nuqsaan Karta Hai. Bilashuba (Beshaq) Mera Rab ! Gani Bhi Hai Aur Kareem Bhi”.
Aziz Dosto ,…. Hazrate Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Apne Gulaamo Ko Huqm Diya, “Iss Takht Ki Shaqal–O–Surat Badal Dalo, Hum Mallika Balqis Ki Samajhdari Aur Aqalmandi Ka Imtehaan Lenge Ki Woh Apne Iss Takht Ko Pahechanti Bhi Hai Ya Nahi. Aur Hum Ye Bhi Dekhenge Ki Woh Hidaayat Paane Walo Me Se Hai Ya Gumraah Rahene Walo Me. Jo Log Haqiqat Ko Nahi Pahechante”.
• Mallika Balqis Ke Liye Kaanch Ka Sheesh Mehal Banane Ka Huqm:
Aur Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Jinnaato Ko Huqm Diya Ke Malika Balqis Ke Aane Ke Pahele Eik Kaanch ( Glaas) Ka Shish Mahal Tayyar Kiya Jaye . Jis Ki Deeware, Chhatt Aur Farsh Sab Kaanch (Glaas) Ka Ho, Aur Farsh Ke Niche Gahere Paani Me Paani (Samundari) Ke Jaanwar Bhi Ho .
Jab Balqis Whaa Pahoonchi Toh Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Uss Se Poocha, “Kya Tera Takhat Aisa Hi Hai?”
Balqis Ne Jawaab Diya, “Lagta Toh Hu–Ba–Hu Waisa Hi Hai. Hame Iss Waqaye Ki Ittilaa (Khabar) Pahele Hi Mil Gayee Thi, Isi Liye Ham Farmaabardaar Bann Ke Haazir Huve Hai”.
♥ Quraan-e-Majeed Me Allah Ta’ala Ka Irshaad–e–Aalishaan Hai, Aur Roke Rakha Tha Uss Ko Imaan Laane Se Un Booto (Murtiyo) Ne Jis Ki Woh Ibaadat Kiya Karti Thi Allah Ta’ala Ke Siwaa, Beshaq Woh Kaafir Qoum Me Se Thi.”
– (Al-Quran: Surah 27 Naml:43)
*Aur Balqis Ko Shish Mahal Me Daakhil Hone Ke Liye Kahaa Gaya. Uss Shish Mahal Me Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Apna Takht Lagaa Kar Baithe Huve The. Jaise Hi Balqis Ne Uss Shish Mahal Ke Farsh Ko Dekha Toh Uss Ne Khayaal Kiya Ki Koi Gahera Paani Hai, Jis Me Se Use Guzar Kar Jana Hai. Isi Khayaal Se Uss Ne Apne Kapde Ko Pindhliyo Se Upar Utha Liya.
Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Farmaaya, “Ye Paani Nahi Hai, Ye Shish Mahal Hai Jis Ka Farsh Kaanch (Glaas) Ka Banaa Huwa Hai, Jis Ki Wazzah Se Tumhe Paani Nazar Aa Raha Hai”.
Mallika Balqis Ki Aankhe Hairat Se Khuli Rahe Gayee. Usne Baargaahe Ilaahi Me Arz Kiya, “Aye Mere Parwardigaar ! Mai Aaj Tak Apni Jaan Par Zulm Dhaati Rahi Hoon, Mai Emaan Laati Hoon Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Par Aur Un Ke Ma’abood Allah Ta’ala Par”.
Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Balqis Ko Suraj Ki Ibaadat Se Roka, Balqis Aur Uski Qaum Ke Log Suraj Ki Ibaadat Kisi Dalil Ki Binaa Par Nahi Karte The Balki Apne Baap-Daadavo Ki Pairvi Karte Huve Unn Logo Ne Iss Baatil (Jhoothe) Deen (Mazhab) Ko Apna Rakha Tha Yaa Ikhtiyar Kar Rakha Tha”.
• Maillka Balqis Ka Nikaah:
Azeez Dosto Mailkka Balqis Ke Nikaah Ke Bare Me Do (2) Mukhtalif (Alag Alag) Riwayate Hai..
Eik Riwaayat Me Hai Ki Balqis Ke Emaan Laane Aur Musalmaan Ho Jaane Ke Baad, Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Uss Se Nikaah Kar Liya Aur Yamen (Mulq–e-Sabaa) Ki Huqumat Uss Ke Paas Hi Rahene Di. Aur Aap Ek Mahine Me Teen Din Balqis Ke Saath Mulq–e–Sabaa Me Rahete Aur Baaqi Din Baitul Muqaddas (Yerusalam) Me Rahete, Aur Aapne Balqis Ke Liye Yamen Me Teen Shaandaar Mahel Taamir Karwa Diye The.
Jub Ki Eik Aur Riwaayat Me Hai Ki Aap Harzat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Balqis Ka Nikaah Yamen (Mulq–e–Sabaa) Ke Hi Kisi Aadmi Se Karwa Diya Tha Aur Wahaa Ki Baadshahat Unn Dono Ko De Dee Thi. Aur Tohfe Me Unhe Teen Shaandaar Mahal Taamir Karwa Ker Diye The. (Allah–Hu–Aalam)
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez ! Aage Ka Kissa Hiqayat Ki Post (Part 34) Me …..