• Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Aur Unka Mozza-e-Mubarak: Hawaa, Jinnaat-o-Shayateen, Parind Charind Par Hukumat !!!
Aziz Dosto ,…Jab Se Takhliqe Qaayenaat Amal Me Aayee Hai Aur Insaan Ko Iss Duniya Me Utaara Gayaa Hai, Tab Se Insaaniyat Islaahi Madaariz Taye Karte Huve Meraaj-e-Insaaniyat Ki Taraf Gaamzan Toh Hai Magar Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ko Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ki Tarhaa Baadshahat Ke Saath-Saath Naboowat Bhi Ata Huyee Aur Jinn-Jinnaat, Insan, Charind Parind Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ke Taabey Huve Aur Aisa Azeem-O-Aalishaan Darbaar Unhe Naseeb Huwaa Ki Kisi Aur Ke Hisse Me Na Aaya, Ki Jahaa Allah Ta’ala Ki Har Makhlooq Haath Baandhe Adab Se Khadi Hai
Subhan Allah ….
Aziz Dosto ,… Allah Ta’ala Ne Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ko Naboowat Aur Huqumat Ata Ki Aur Unhe Hadeed (Lohaa, Iron) Ki Masni’at Ke Ilm Ke Saath-Saath Parindo Aur Pahado Ko Un Ke Matee (Taabey) Kar Diya. Aur Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Jo Ki Unke Farzand (Bete, Son) The, Unhe Unka Waris Banaya Aur Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ko Bhi Naboowat Aur Huqumat Ata Ki. Aur Unhe Taamba (Copper) Ki Masni’at Ka Ilm Sikhaya. Eik Riwaayat Me Hai Ki Allah Ta’ala Ne Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ke Liye Pighle Huve (Melt) Taambe (Copper) Ka Dariya Bahaa Diya. Ya Unhe Taambe Ko Pighlaa Kar Uss Se Mujassame Banaane, Bartan Banaane Aur Badi-Badi Deyge Banane (Khana Banane Ka Bahut Bada Bartan) Banane Aur Bhi Dusri Cheeze Banaane Ka Ilm Diya Tha.
Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam), Allah Ta’ala Ke Aise Waheed Nabi The Jinhe Allah Ta’ala Ne Un Ke Kitna Bhi Kharach Karne Par Hisaab Kitaab Se Chhuth Di Huyee Thi Yaani Ki Woh Kitna Bhi Kharch Kare Unse Koi Hisaab Kitaab Na Liya Jayega. Lekin Fir Bhi Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Apne Haatho Se Banaayee Huyee Taambey (Copper) Ki Cheezo Ko Bechkar Apna Guzar-Basar Kiya Karte The. Allah Subhanahu Ta’ala Ne Unke Taabey (Under) Hawaa (Air) Ko Kar Diya Jo Unke Huqum Se Chalti Thi.
• Jinnaat-o-Shayateen Aur Hawaa Par Huqumat :
Azeez Dosto Hawaa Par Tabey Paane Ki Ek Riwayat Me Hai Ke, Aap Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ki Huqumat Ke Daur Me Jinnaato Aur Shayaateen Ke Fitno Ka Zahoor Huwa. Aap Ki Daar–Ul–Huqumat Jerusalam (Bait-Ul-Muqaddas) Thi. Aap Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ke Dour-e-Hukumat Me Allah Ta’ala Ne Jinnato Aur Shayatin Ke Liye Iss Duniya Ke Darwaze Khol Diye They.
Aur Sulaimaan (Alaihay Salam) Ko Iss Baat Ki Basharat Ki Ke Unki Hukumat Me Unkareeb Jinnaat Aur Shayateen Ka Nuzool Hoga,, Yeh Unki Doar Ka Sabse Bada Fitna Raha.. Aur Jab Unhone Iss Muamlat Ke Peshgoyi Ke Liye Apne Mulk Ke Dur Daraz Shaharo Ke Alimo Wa Yaudi Ulamao Se Guftgu Karna Chaha Toh Unn Yahudi Alimo Ne Unki Baato Ka Mazaak Udate Hue Unhe Aur Unki Naboowat Ko Bhi Zuthla Diya,,
Aap Hazrate Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Unn Yahudi Ulamaao Se Waaz (Speech) Farmaya Ke, “Jab Hazrate Aadam (Alaihay Salam) Zameen Par Tashrif Laye Tab Tamaam Aalam Ek-Dusre Se Judaa Ho Gaye, Unkareeb Unme Se Baaz Dubara Ek Dusre Se Mouhik Ho Jayenge, Jinnaat Aur Shayateen Jo Apni Apni Duniya Me Masruf The Wo Azaad Ho Chuke Hai. Aur Wo Humse Nazdik Hote Ja Rahe Hai, Nazdik Bohot Hi Nazdik Aur Unkareeb Wo Hamaare Iss Duniya Me Dakhil Hone Wale Hai”,
Lekin Aap Sulaimaan (Alaihay Salam) Ki Bate Unn Yahudi Badbakth Aalimo Par Kuch Asar Naa Kar Payi, Aur Wo Yahudi Badbakhto Aalim Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ko Apni Hukumat Ki Bag-dour Unke Hatho Soup Dene Par Dabaaw Dalne Lage.. Jab Ki Yeh Yahudi Ulama Hee The Jinhone Shariyate Mussa (Alahi Slaam) Ko Bhi Apne Jaroorato Ke Mutabik Raddo Badal Karte Rehte The, Inn Logo Ne Sood Jaise Maal-e-Haraam Ko Bhi Jayaz Bana Rakha Tha Aur Ab Farzande Dawood (Alaihay Salam) Ki Naboowat Ke Bhi Khilaf The Taaki Wo Khud Huqumat Ki Bag-dor Sambhale.
Jab Sulaimaan (Alaihay Salam) Inn Yahudi Aalimo Se Naamuraad Ho Gaye Tab Unone Khud Hee Inn Fitno Se Jung Karne Ka Aehad Kar Liya.., Unhone Apne Mulk Ke Digar Shehro Me Apne Azeez Tareen Lashkar Bheje, Ke Wo Inn Fitno Se Unki Ummat Ke Khatir Jung Kare.. Yaani Allah Ta’ala Ki Ibadat Ki Aur Rehnumayi Kare .
Azeez Dosto Yeh Aisa Fitna Tha Jiska Khatma Sirf Do Hi Baato Ko Amal Me Lana Tha,, Ek Taqwa Aur Dursra Eta’ate Paimbare Allah.
Yeh Fitna Bhi Iss Baat Ki Taraf Ishara Kiye Tha Ke Sulaimaan (Alaihay Salam) Ki Dour Me Allah Ta’ala Ne Jinnaat Aur Shayateen Ke Jarye Apne Bando Ke Emaan Ki Pukhtagi Ke Liye Aazmaish Ki.
Aur Jab Sulaimaan (Alaihay Salam) Bhi Apne Mulk Jerusalem (Baith-Ul-Mukkadas) Se Door Digar Shehro Me Inn Fitno Se Jung Ke Liye Tashrif Le Gaye Tab Inhi Yahudi Aalimo Ne Unki Hukumat Par Hamla Karne Ki Koshish Ki Taaki Wo Khud Takht-e-Baadshah Ke Mustahik Ho Aur Jerusalem Ki Shehanshahi Pa Sake. Unn Yahudino Ke Murda Dil-O-Emaan Me Jinnaat-O-Shayateen Ghalib Pane Me Kamiyab Ho Gaye Aur Unn Badbakth Yahudiyon Ne Hazrte Sulaimaan (Alaihay Salam) Ki Na-Moujudgi Ka Sahara Lete Hue Unki Hukumt Par Hamla Kiya…
Aur Yaha Hazarte Sulaimaan (Alaihay Salam) Apni Ummat Me Dushmar Huye Jinnat-o-Shayateen Ke Fitno Se Jung Me Fatah Paa Rahe The. Yeh Jung Insan-numa Shayateen Ke Saath Thi Yaani Insano Par Ghalib Hue Shaytan Ko Taqawe(Sirf Allah ki Ibadat-o-Mohtazi Ki Dawat Dena) Madat Se Maat Dena Tha.. Aur Wo Aur Unke Lashkar Bhi Jihad Me Kamiyabi Paa Rahe The. Ke Unhe Bhi Yahudiyon Ke Napak Irado Ki Khabar Mili. Tab Aap Ne Baargaahe Allah Wandi Me Duwaa Ki..
“Aye Parwardigara! Dushman Mukhtlif Charo Aur Se Hai Aur Ham Par Ghalba Paane Wala Hai, Fasla Jyada Hai Aur Ab Mera Badan Na’tamah Aur Meri Taqat Mehdud. Allah Mai Kya Karu? Parwardigara Dastgiri Farma”.
Allah Ta’ala Ne Unki Dua Kabool Farmayi Aur Unhe Basharat Di Ke. “Sulaiman! Mere Mehboob Bande, Humne Hawaa Ko Tumhare Liye Musakkahr Kar Liya Hai, Use Itemada Karo, Taaki Yeh Hawaa Tumhare Hukm Se Tumhe Jaha Chahe Le Jaye”.
Fir Hazarte Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne 2-3 Kashtiyonko Apne Saathiyon Ke Madad Se Aapas Me Jod Liya Aur Hawaa Ko Hukm Diya Ke Wo Unhe Jeruslaem Tak Pohocha De. Aur Hawaa Ne Hazarte Sulaimaan (Alaihay Salam) Ko Allah Wande Kareem Ke Mehbub Bande Ke Hukm Taamil Karte Hue Jerusalem Tak Uada Le Gayi..
Yeh Ek Moz’za Tha Jo Unn Yahudiyon Ne Dekha Lekin Fir Bhi Emaan Naa Laye.. Aur Hazarte Sulaimaan (Alaihay Salam) Ke Lashkar Par Toot Pade.. Tab Aapne Allah Rabbul Izzat Ki Baargaah Me Firse Dua Farmayee.. Aye Allah! Yeh Log Aaye Din Tere Mozz’at Dekhte Hai, Lekin Fir Bhi Emaan Nahi Laate. Gunaaho Ki Aaludgi Ne Inki Aankho Ko Andha Kar Diya Hai, Yeh Khudaparasti (Tawheed) Ke Jadon Ko Zameen Se Ukhad Faikne Ki Niyat Rakhte Hai, Aye Allah! Hum Teri Raah Me Qurbaan Hone Se Khoufjadah Nahi Lekin Hume Darr Hai Ke Yeh Log Teri Hukumat Me Fitna Fasad Na Paida Karde. Aur Yakinan Yeh Tujhe Gawara Na Hoga.. Aye Allah! Ek Baar Fir Humpar Apni Rehmat Nazil Farma. Aur Hamaari Nusrat Farma, Ke Tu Behtareen Nusrat Karne Wala Hai”.
Allah Ta’ala Ne Unki Dua Qubool Farmaaye Aur Unhe Firse Mozza’at Ki Surat Me Apni Rehmato Ka Mustahik Kar Diya Aur Farmaya, “Aye, Sulaimaan (Alaihay Salam)! Jinnaat Aur Shayateen Ke Matee (Controller) Hone Ke Liye Tayyar Ho Jao, Ke Humne Tumhe Inpar Qabu Pane Ki Taqat Ata Farmayee, Aur Yeh Taaqat Humne Tumhari Iss Angashtari (Anguthi, Ring) Me Rakh Di Hai Jo Hamesha Tumhare Sath Rahegi,”
Iss Angoothi Ko Angashtari (Angoothi) Sulaimani Ke Naam Se Jaana Jaata Hai. Iss Tarhaa Aap Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ki Huqumat Jinnato Aur Shayaateen Par Bhi Thi Jo Ki Aap Ke Gulaam The Aur Aap Ke Liye Bhaari Aur Mushkeel Kaam Ko Anjaam Diya Karte The Aur Aap Ke Liye Bade Se Bade Mahaal Aur Imaarate Banaya Karte The.
• Baitul Muqaddas Ki Taamir:
Jinnaat Unke Liye Bhaari-Bhaari Kaam Jaise Badi-Badi Imaarate (Buildings) Banaana Aur Samundar Me Gotaa Lagaa Kar Heere-Jawaheraat Nikaal Laane Ka Bhi Kaam Ko Anjaam Diya Karte They.
Kaha Jata Hai Ke Jerusalem Ki Aalishan Ibadat-Gaah Bhi Jinnatao Ke Hee Madat Se Hazrate Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Banwayi Thi, Aur Yeh Ibadatgaah Ummat-e-Muhammadiya (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Pehle Qible Ke Naam Se Bhi Janaa Jata Hai Jise Bait-Ul-Muqaddas Kahte Hai. Aur Hazrate Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Bhi Iss Baat Ki Aur Apni Ummat Ko Khushkhabri Dee Thi Ke Yahi Wo Mukkadas Jagah Hai Jaha Paimbarane Aakhirosama Tamaam Ambiyan Ko Apni Ibteda Me Namaz Padhayenge, Aur Meraj Par Tashrif le Jayenge, Yahi Wo Jagah Hai Jaha Aakhiri Zamaane Me Unki Nasl Se Ek Munzi Aakhiri Jung Karne Ke Baad Iblis Ki Gurdan Udayenge, Aur Fir Tamaam Malaiyika (Farishte) Zameen Par Noor-O-Afshani Karenge …
Jinnaato Ki Tarha Allah Subhanahu Ta’ala Ne Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ke Taabey Charind-Parind, Haiwaan (Jungli Jaanwar) Insaano Ko Bhi Kar Diya Tha. Aur Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Charind-Parind Aur Haiwaano Ki Boli (Bhasha) Bhi Samajhte The Aur Unse Baate Bhi Kiya Karte The,
• Insaaf Me Bhi Kamil Tareen Shakhsiyat :
Eik Dafaa (Waqt) Ka Waqeya Hai Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ke Darbaar Me Eik Muqadmaa Aaya, Uss Waqt Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Bhi Wahaa Moujood The. Muqadmaa Ye Tha Ki Eik Kisaan (Farmer) Ke Khet Me Raat Ke Waqt Kisi Charwaahe Ki Bakriya (Goat) Uss Charwaahe Ki La Ilmi Me Ghuss Gayee Aur Un Bakriyo Ne Uss Kisaan Ke Khet Ko Barbaad Kar Daala. Jab Ye Muqadmaa Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ki Adaalat Me Pahoocha Toh Saari Baate Tafseel Se Sun’ne Ke Baad Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ne Ye Faislaa Sunayaa Ki Kisaan Ki Kheti Barbaad Karne Ke Badle Me Charwaahe Ki Saari Bakriya Kisaan Ko De Di Jaaye.
Lekin Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ne Iss Faisle Me Ikhtilaaf Kiya Aur Ye Faislaa Sunaya Ki Charwaaha Uss Kisaan Ki Kheti Ko Durust Kare Uss Kheti Ko Pahele Jaise Haal Me Le Aaye Aur Tab Tak Woh Kisaan Uss Charwaahe Ki Bakriyo Ko Apne Paas Rakhe Aur Un Ki Dekh-Bhaal Bhi Kare Aur Un Se Faayeda Bhi Uthaaye Jaise Ki Bakriyo Ka Doodh (Milk) Baich Kar Nafaa Haasil Kare. Aur Jab Woh Charwaaha Uss Ki Kheti Ko Pahele Jaise Haal Me Le Aaye Toh Uss Ki Bakriya Use Waapas Kar De. Iss Faisle Se Kisi Ko Nuqsaan Bhi Na Hoga Aur Kisi Par Jiyaadati Ya Zulm Bhi Na Hoga Allah Subhanahu Ta’ala Ne Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Ke Dil Me Daala Ya Naazil Kiya Tha.
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …
Agla Kissa Hiqayat Ki Post (Part 33) Me Hazrat Sulaimaan (Alaihay Salam) Aur Suraj (Sun) Ki Ibadat Karnewali Malika Bilkis Ke Bare Me Jikr Karenge Bohot Jald …..