Hiqayat (Part 31) » Dawood (Alaihay Salam)

Aziz Dosto ,…. Allah Ta’ala Ne Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ko Naboowat, Baadshahat, Ilm Aur Huqumat Ata Ki. Jab Ki Asal Me Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Gaderiye (Bhedh, Bakri Charaane Wale) The. Allah Ta’ala Ne Unhe Bahut Surili (Mithi) Awaaz Di Thi, Pahaado (Mountance) Aur Parindo (Birds) Ko Un Ke Ta’abey (Under Control) Kar Diya Tha.
Jab Hazrat Dawood (Alaihay Salam), Allah Ta’ala Ke Hamd Ke Nagme (Geet) Gaate Toh Jaise Sari Qaayenat Uss Aawaaz Ko Sunkar Madhosh Ho Jaati, Aap Ke Ird-Gird Parinde Jamaa Ho Jate, Jab Pahaad Aur Parinde, Aap Ki Aawaaz Me Apni Aawaaz Mila Kar Allah Ta’ala Ki Hamd Ke Nagme Gaate Toh Saari Fiza Uss Aawaaz Se Goonj Jaati. Pahaad Aur Parinde, Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ke Saath Mil Kar Subaah (Morning) Aur Shaam (Evening) Allah Ta’ala Ki Hamd-O-Sana Kiya Karte They.

Allah Ta’ala Ne Un Ke Liye Lohe (Iron) Ko Naram Kar Diya Tha, Lohe Ko Pighla Kar (Melt) Auzaar Ya Jangi Saaz-O-Samaan Tayyar Karne (Iron Smelting) Ka Ilm Allah Ta’ala Ne Un He Ata Kiya Tha Jo Ki Un Ke Zamaane Me Bahut Mahedood (Kam Jaankari) Thi. Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Lohe Ki Barik Sanqali, Zanzeer (Chain) Zirah Bakhtar, Yaani Ki Jang (Ladayee) Me Istemaal Hone Wali Cheeze Khud Banaya Karte Aur Uss Ki Kamaayee Se Hi Apni Roti Khaate (Guzar-Basar Karte).

*Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ki Ibadate , Allah Ta’ala Ko Bahut Pasand Thi, Woh Raat Me Kuch Der Hi Sote The Aur Baqi Hisse Me Allah Ta’ala Ki Ibaadat Kiya Karte The. Aur Ek Din Ke Chodkar Ya Ek Din Ki Aadh Me Roze (Fast) Rakha Karte The. Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ne Kuch Din (Days) Allah Ta’ala Ki Ibaadat Ke Liye Muqarrar Kar Rakhe The Aur Kuch Din Awaam (Public, Janta) Ke Masaayeel (Problem) Hal (Solve) Karne Ke Liye Rakhe The. Jis Din Woh Apne Ibaadat Khaane (Mehrab, Masjid) Me Ibaadat Karte Uss Din (Days) Kisi Ko Bhi Un Se Milne Ki Izaazat Na Hoti Aur Ibaadat Khaane Ke Baahar Pahredaar Pahera Dete Rahte. Ek Din Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Apne Mehraab Me Ibaadat Kar Rahe They. Usi Waqt Allah Ta’ala Ne Do Farishto Ko Aadmi Ki Shaqal Me Unhe Nasihat Dene Bheja.

Baahar Pahera Laga Huwaa Tha, Isiliye Dono Farishte Diwaar (Wall) Faandkar Mehraab Me Daakhil Huve. Jab Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ne Unhe Dekha Toh Ghabra Gaye, Un Farishto Ne Kahaa, “Ghabravo Nahi, Ham Apna Ek Muqadma Aap Ke Paas Laaye Hai Aur Iss Muqadme Ke Fariq (Party) Ham Dono Hai, Aur Ham Se Ek Ne Dusre Par Jiyaadati Ki Hai, Isiliye Aap Hamaare Darmiyaan Insaaf Se Faislaa Kar Dijiye Aur Ham Par Jiyaadati Na Kijiye Aur Hame Sidhi Raah Samjhaaye. Fir Un Me Se Ek Ne Kahaa, “Ye Mera Bhai (Partner, Sajhidaar) Hai, Iss Ke Paas (99) Dumbiya (Bhedh, Sheep) Hai Aur Mere Paas Ek (1) Dumbi (Bhedh, Sheep) Hai, Woh Kaheta Hai Ki Mujhe Wo Ek (1) Dumbi (Bhedh, Sheep) De De, Aur Baate Karne Me Bhi Bahut Tez Hai Aur Iss Ne Mujhe Baato Me Bhi Dabaa Diya Hai”.

Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ne Jawaab Diya, “Iss Aadmi Ne Teri Dumbi (Bhedh, Sheep) Ko Apni Dumbiyo Me Milane Ka Sawaal Kar Ke Tum Par Zulm Kiya Hai Aur Aksar Sajhidar (Partner) Ek Dusre Par Jiyaadati Karte Hai Siwaaye Unn Ke Jo Imaandar Ho Aur Nek Amal Karte Ho Lekin Aise Log Thode Se Hi Hai”.

Jab Un Dono Farishto Ne Ye Faisla Suna To Apne Muqadme Ke Faisle Ko Amal Me Laaye Bina Rukhsat Ho Gaye. Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Ko Inn Dono Ki Haqiqat Par Pahele Hi Shaq Tha Aur Jab Un Dono Ne Apne Muqadme Ke Faisle Ko Laagoo Karne Ka Mutaa-Alba Bhi Na Kiya Aur Chale Gaye Toh Hazrat Dawwod (Alaihay Salam) Ka Shaq Aur Pukhta (Mazboot) Ho Gayaa Ki Ye Muqadma Unn Dono Ka Nahi Balki Khud Un Ke Apne Liye Nashihat Ya Imtehaan Tha Ki Dusre Fareeq (Party) Ki Baate Sune Bina Faisla Nahi Karna Chahiye. Chunanche Unhone Allah Ta’ala Ki Baargaah Me Tauba Astagfar Kiya Aur Rukoov Me Gir Gaye Aur Apni Galti Ki Maafi Maangi. Aur Allah Ta’ala Ne Un Ki Taubaa Qabool Ki Aur Unki Galti Ko Muaf Kar Diya.

Aur Fir Allah Ta’ala Ne Hazrat Dawood (Alaihay Salam) Se Farmaaya, “Aye Dawood ! Ham Ne Tumhe Iss Zameen Ka Khalifaa (Naayeb, Waaris) Banaya Hai, Isiliye Logo Me Insaaf Se Faislaa Karo Aur Khawaahish Nafs Ki Pairvi (Ittebaa) Na Karna, Warna Ye Baat Tumhe Hamaari (Allah Ta’ala Ki) Raah Se Behka Degi, Aur Jo Log Hamari Raah Se Bahek Jaate Hai Un Ke Liye Sakhat Azaab Hai, Kyon Ki Woh Log Youm Hisaab (Aakhirat, Qayaamat) Ko Bhul Gaye Hai”.

Allah Ta’ala Ham Sab Musalmano Ko Sidhi Aur Sachchi Raah Chalne Ki Taufiq Ata Farmaaye !!! Aameen !!! Ya …. Rabbul ….Aalameen !!!

Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)

To Be Continue …

Rate this post

Leave a Comment