• Khizar (Alaihay Salam) Ke Jarye Musa (Alahi Salam) Aazmaish
Aziz Dosto ,… Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aksar Allah Ta’ala Se Hamkalaami (Baate) Karne Kohe Toor Par Jaaya Karte The. Ek Din Musa (Alaihay Salam) Ne Baargaahe Ilaahi Me Arz Kiya, “Aye Mere Rab Main Tera Deedaar Karna Chaahta Hoon, Tujhe Dekhna Chahta Hoon”.
Allah Ta’ala Ne Farmaaya, Aye Musa Tu Mujhe Nahi Dekh Sakta”. Lekin Musa (Alaihay Salam) Ke Bar-Bar Israar (Zid) Karne Par Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Aye Musa Tu Uss Saamne Waali Pahaadi Par Apni Nazre Jamaaye Rakh, Mai Uss Pahaadi Par Apne Noor Ki Ek Jhalak (Tajjalli) Daloonga, Agar Wo Pahaadi Mere Noor Ki Jhalak Bardast Kar Le Toh Tu Bhi Mujhe Dekh Sakega”.
Jaise Hi Allah Ta’ala Ne Apne Noor Ki Ek Jhalak Uss Pahaadi Par Daali Woh Pahaad Allah Ta’ala Ke Noor Ki Jhalak Bardast Na Kar Saka Aur Pal Bhar Me Jal Kar Khaak Ho Gayaa.
Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Aankhe Bhi Apne Rab Ki Adna Si Jhalak Par Chaka Chaundh Ho Gayee Aur Musa (Alaihay Salam) Behosh Ho Kar Door Ja Gire.
Jab Musa (Alaihay Salam) Ko Hosh Aaya Toh Woh Apne Rab Ki Khoob Paaki Aur Hamd-O-Sanaa Bayaan Karne Lage. Aur Musa (Alaihay Salam) Ne Baargaahe Ilaahi Me Ye Duwaa Ki, “Aye Mere Rab Paak Hai Tu Aur Main Tujh Par Pahele Imaan Lane Wala Hoon”.
Aziz Dosto Ek Dafa (Waqt) Ki Baat Hai, Gaalban Ye Waqeya Uss Waqt Ka Hai Jab Bani Israayeel Ko Abhi Firoun Ke Qaid Se Aazaadi Nahi Mili Thi Aur Musa (Alaihay Salam) Mishr (Egypt) Me Hi Rah Rahe They. Kyonki Bani Israayeel Ki Firoun Se Aazaadi Ke Baad Ka Sara Zamaana Musa (Alaihay Salam) Ne Sahera-e-Seena Aur Teehaa Ke Maidaan Me Basar Kiya. Toh Mishr (Egypt) Me Kisi Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Poochaa Ki, “Is Waqt Zameen Par Sab Se Jiyaada Ilm Wala (Aaleem) Koun Hai?”.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Jawaab Diya, “Is Waqt Zameen Par Sab Se Jiyaada Aaleem Main Hoon”.
Musa (Alaihay Salam) Ka Ye Jawaab Allah Ta’ala Ko Napasand Aaya.
Allah Ta’ala Ne Farmaaya, Aye Musa ! Tujh Se Jiyada Aaleem Iss Waqt Zameen Par Mera Ek Maheboob Banda Hai”.
*Riwayato Me Hai Ki Allah Ta’ala Ne Apne Jis Maheboob Bande Ka Ziqr Kiya, Unka Naam Khizar (Alaihay Salam) Tha. Jab Musa (Alaihay Salam) Ne Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Ka Naam Suna Tou Unse Mulaaqat Karne Aur Un Ki Khidmat Me RehKar Ilm Haaseel Karne Ka Iraada Kiya.
Allah Ta’ala Ne Musa (Alaihay Salam) Ko Uss Jagaah Ki Nishaandehi Kara Di Ya Bata Di Jaha Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Se Mulaaqat Honi Thi. Us Jagaah Ke Baare Me Allah Ta’ala Ne Ye Farmaaya Ki Do Dariya (Samundar) Ke Milaap (Sangam) Par Khizar (Alaihay Salam) Se Mulaaqat Hogi, Aur Saath Me Ye Bhi Farmaaya Ki, “Aye Musa Apne Saath Me Ek Machli (Fish) Bhi Rakh Lena Aur Wo Machli (Fish) Do Dariyavo Ke Milaap (Sangam) Par Jahaa Bhi Tum Se Kho Jaaye Ya Gum Ho Jaaye, Usi Muqaam Par Khizar (Alaihay Salam) Se Mulaaqat Ho Jayegi”.
Aziz Dosto Ye Jagaah Gaalban Jahaa Do Dariyavo Ka Sangam Ya Milaap Hota Hai Sudaan Me Hai, Jahaa Par Dariya-e-Neel Ki Do Dharaaye (Shakhaaye, Branch) Aapas Me Aa Kar Milti Hai. Ab Musa Apne Khaadeem (Shaagird) Jinka Naam Yusa-Aa Bin Noon Tha, Unhe Saath Lekar Safar Par Nikal Padey. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Apne Khaadeem Se Kahaa, “Main Tou Tab Tak Chalta Rahooga Jab Tak Do Dariyavo (Samundar) Ke Milaap Par Na Pahooch Jaawoo, Chaahe Mujhe Kitni Hi Muddat Chalna Kyon Na Pade,..”
Chalte-Chalte Jab Wo Dono Do Dariyavo (Samundaro) Ke Milaap Par Pahooche Tou Achaanak Wo Machli (Fish) Tadap Kar Samundar Me Ja Giri Aur Usne Samundar Me Ajab Tarhaa Se Surangnuma Raasta Bana Liya. Aur Ye Baat Musa (Alaihay Salam) Ko Pata Nahi Chali. Aur Woh Dono Dariya (Samundar) Ke Milaap (Sangam) Se Aage Badh Gaye. Kuch Aage Jaane Ke Baad Musa (Alaihay Salam) Ne Apne Saathi Se Kahaa, “Ye Safar Tou Bahut Thaka Dene Wala Hai, Mujhe Toh Iss Safar Se Koft Hone Lagi Hai, Tum Hamaara Khana Laavo Ke Khana Khaa Liya Jaaye,..”
*Unn Logo Ne Apne Khaane Ke Liye Shaayad Bhuni (Fry) Huyee Machli (Fish) Rakhi Huyee Thi, Khaane Ki Baat Par Unke Khadeem Ko Yaad Aaya Toh Kahene Lage, “Bhala Dekho Tou, Jab Ham Log Do Dariyavo (Samundaro) Ke Milaap Par Ek Chattan Ke Paas Ruke The Tab Hi Woh Machli Tadap Kar Samundar Me Ja Giri Aur Usne Samundar Me Ek Ajab Tarhaa Ka Raasta Bhi Bana Liya Tha, Yeh Baat Main Aap Ko Bataana Hi Chaaheta Tha, Lekin Ye Shaitaan Hi Hai Ki Usne Mujhe Aap Se Iss Baat Ka Ziqr Karna Bhula Diya.,.”
Aziz Dosto Yahaa Par Bhi Allah Ta’ala Ke Do Moujjaze (Nishaniya, Karaamaat) Zaahir Huve. Pahela Toh Ye Ki Woh Machli Bhuni Aur Mari Huyee Thi (Dead And Fry Fish) Lekin Jaise Hi Woh Log Do Dariyavo (Samundar) Ke Milaap Par Pahooche, Woh Machli Zinda Ho Kar Tadap Kar Samundar Me Ja Giri. Aur Dusra Yeh Ki Jab Koi Machli Paani Me Girti Hai To Kuch Hi Lamho Me Paani Ki Sataah (Level) Baraaabar Ho Jaati Hai Lekin Yahaa Par Us Machli Ne Ek Ajab Tarhaa Se Samundar Ke Paani Ke Andar Hi Surangnuma Raasta Banaate Huve Apne Piche Nishaan Chodti Gayee ….
Aziz Dosto ,….. Jab Musa (Alaihay Salam) Ne Apne Saathi Hazrat Yusa-Aa Bin Noon Se Ye Sara Waqiya (Baat) Suna Toh Fouran Keh Uthe, “Isi Cheez Ki To Hame Talaash Thi, Mujhe Fouran Uss Jagaah Par Le Chalo”. Isiliye Woh Log Apne Qadmo Ke Nishaan Par Waapas Chalne Lage Aur Khizar (Alaihay Salam) Ke Paas Ja Pahooche,.
*Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Allah Ta’ala Ke Nek Aur Barguzida Bande The, Allah Ta’ala Ne Unhe Apni Rahemat Se Nawaaza Tha, Aur Apne Paas Se Unhe Khaas Ilm Sikhaya Tha. Musa (Alaihay Salam) Ne Khizar (Alaihay Salam) Ke Paas Pahooch Kar Un Se Salaam Duwaa Ki Aur Kahaa, “Aye Khizar (Alaihay Salam) Agar Main Aap Ki Itteba (Pairvi) Karoo Toh Kya Aap Mujhe Uss Bhalaayee (Ilm) Ka Kuch Hissa Mujhe Sikha Denge ? Jo Allah Ta’ala Ne Aap Ko Sikhaya Hai..”
Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Kahaa, “Aye Musa (Alaihay Salam) Allah Ta’ala Ne Apne Ilm Me Se Ek Ilm Mujh Ko Sikhaya Hai Jise Aap Nahi Jaante Aur Ek Ilm Aap Ko Sikhaya Hai Jise Main Nahi Jaanta, Aur Haan Mera Aur Tumhara Dono Ka Ilm Mil Kar Bhi Dariya (Samundar, Sea) Se Ek Chidiya (Birds, Sparow) Apni Chonch Me Jitna Paani Leti Hai, Itna Hi Hai.
Aur Fir Farmaaya, “Aye Musa (Alaihay Salam) ! Aap Mere Sath Sabr Na Kar Sakoge, Aur Jis Haqiqat Ka Aap Ke Paas Ilm Na Ho Aap Uss Par Sabr Kar Bhi Kaise Sakte Ho ?”
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Aap In’sha’ Allah Mujhe Sabir (Sabar Karne Wala) Paaoge, Aur Main Aap Ki Nafarmaani Nahi Karooga”.
Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Agar Aap Ko Mere Saath Rahena Hai Toh Mujh Se Koi Baat Ya Sawaal Na Poochna Jab Tak Ki Main Khud Hi Aap Se In Baato Ya Sawaalo Ka Ziqr Na Karoo !”.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Mujhe Manzoor Hai”
Aziz Dosto Iss Ke Aage Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Saathi Hazrat Yusa-Aa Bin Noon Ka Ziqr Nahi Hai, Shaayad Khizar (Alaihay Salam) Se Mulaaqat Ke Baad Musa (Alaihay Salam) Ne Unhe Wapas Jaane Ka Huqm Diya Ho,..
Khair, Ab Khizar (Alaihay Salam) Aur Musa (Alaihay Salam) Saath-Saath Chal Pade. Kuch Der Chalne Ke Baad Raaste Me Ek Dariya (River, Nadee) Padi Isiliye Woh Dono Hazraat Qashti (Naav, Ship) Me Sawaar Ho Gaye. Uss Qashti (Naav) Ke Malik Ne Un Logo Se Kiraaya Na Liya. Jab Woh Log Kinaare Par Pahooche Tou Khizar (Alaihay Salam) Ne Uss Qashti (Naav) Me Shigaaf (Hole, Ched) Kar Diya. Riwaayato Me Hai Ki Us Qashti Ke Ek Baajoo Ka Lakdi Ka Palla (Fatta) Ukhaad Diya,.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Jab Ye Dekha Toh Un Se Rahaa Nahi Gaya Aur Un Hone Fouran Kahaa, “Kya Tum Ne Iss Naav Me Shigaaf (Chhed, Hole) Daala Hai Ke Qashti Walo Ko Hi Dooba Do ,.? Ye Toh Tum Ne Bahut Khatarnaak Aur Bura Kaam Kiya Hai…”
Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Maine Kahaa Nahi Tha Ki Tum Mere Saath Sabr Nahi Kar Sakoge”.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Apni Galti Ka Ahesaas Huwa Aur Un Hone Jawaab Diya, “Mujh Se Bhul Ho Gayee, Aap Meri Iss Galti Ko Nazar Andaaz Karde, Aur Mera Kaam Mere Liye Mushkeel Na Kare, Aaindaa Aisa Na Hoga”.
Chunanche Woh Dono Hazraat Fir Aage Chal Padey, Kuch Der Chalne Ke Baad Unhone Dekha Kuch Bachche (Child) Aapas Me Khel Rahe Hai. Khizar (Alaihay Salam) Ne Un Me Se Ek Bachche Ko Us Ki Gardan Marodkar Maar Daala. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Jab Ye Dekha Tou Unhe Bardaast Na Huwaa Aur Unhone Kahaa, “Tum Ne Ek Begunaah Shakhs (Bachche) Ko Maar Daala Jis Ne Kisi Ka Khoon Na Kiya Tha Aur Naa Hi Koi Gunaah, Aap Ne Toh Ye Ek Sakht Gunaah Aur Makrooh Kaam Kiya Hai,..”
Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Maine Kahaa Nahi Tha Ki Tum Kabhi Bhi Mere Saath Sabr Na Kar Sakoge”.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Ab Iss Ke Baad Maine Aap Se Koi Baat Poochi Ya Koi Sawaal Kiya Tou Aap Beshaq Mujhe Apne Saath Mat Rakhna, Aur Meri Taraf Se Bhi Aap Par Koi Ujar Ya Huzzat (Wajaah) Baqi Na Rahegi”.
Fir Dono Hazraat Saath-Saath Chal Pade Yaha Tak Ki Woh Dono Ek Basti Me Ja Pahooche, Un Logo Ne Basti Waalo Se Khaana Maanga, Lekin Uss Basti Waalo Ne Un Ki Mehamaan Nawaazi Se Inqaar Kar Diya, Kisi Ne Khaana Toh Kya Paani Tak Na Diya,.. Ghumte-Ghumte Wo Log Ek Jagaah Pahooche Jahaa Unhone Dekha Ki Ek Deewaar (Wall) Girne Ki Haalat Me Hai Ya Girne Wali Hai Toh Khizar (Alaihay Salam) Ne Usey Bana Diya Ya Girne Se Bacha Liya Aur Use Qaayem (Sidha) Kar Diya,..
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Jo Iss Baat Se Naaraaz They Ki Uss Basti Waalo Ne Unn Logo Ki Mehmaan Nawaazi Na Ki, Jab Unhone Dekha Ki Khizar (Alaihay Salam) Ne Woh Deewaar Bana Di Hai Toh Kahaa, “Agar Aap Chaahatey Tou Iss Basti Walo Se Iss Deewaar Ko Banane Ki Uzrat (Mehantaana, Mazdoori) Le Sakte They”.
Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Aye Musa (Alaihay Salam) Ab Mera Aur Tumhara Saath Yahaa Par Khatam (End) Huwa. Lekin Aap Ko Apne Se Judaa Hone Se Pahele Main Aap Ko Inn Baato Ki Haqiqat Batlaata Hoon, Aur Aap Ko Aap Ke Sawaalo Ke Jawaab Deta Hoon, Jin Baato Par Aap Sabr Na Kar Sake,…”.
Qashti (Naav, Ship) Ka Muaamla (Matter) Ye Tha Ki Woh Qashti Kuch Gareeb Aur Miskeen Logo Ki Thi Jo Ki Un Ki Rozi-Roti Ka Zariya Thi, Aur Woh Log Dariya Par Mehnat Majdoori Karte They, Maine Chaaha Ki Iss Qashti (Naav) Ko Aibdaar (Damage) Kar Doo. Kyonki Un Ke Aage Ek Zaalim Baadshah Tha Jo Har Qashti Ko Zabardasti Cheen Leta (Kabza Kar Leta) Aur Un Ke Maliko Se Begaar Karaaya Karta (Yani Ki Bina Majdoori Diye Kaam Karaya Karta Tha), Aur Agar Koi Qashti Aibdaar (Damage) Hoti Toh Woh Usey Chhod Deta. Isiliye Maine Uss Qashti Me Shigaah (Chhed, hole) Kar Diya Tha Taaki Woh Qashti Uss Zaalim Baadshaah Se Bach Jaaye”.
Aur Ladke Ka Kissaa (Story) Ye Hai Ki, Uss Ladke Ke Maa-Baap (Waldain) Momin, Saleh Aur Allah Ta’ala Ke Shukar Guzaar Bande They. Aur Uss Ladke Ke Muqaddar Me Kufr Karna Likha Huwaa Tha. Aur Woh Bada Ho Kar Kaafir Banta, Isiliye Mujhe Khouf Huwa Ki Ye Ladka Apni Sirkashi Aur Kufr Se Apne Maa-Baap (Waldain Ke Liye Musibat Na Khadi Kar De Ya Apne Maa-Baap Ko Kufr Karne Par Mazboor Na Kar De. Isiliye Maine Chaha Ki Allah Ta’ala Iss Ladke Ke Badle Me Iss Se Behter Ladka Ata Kare Jo Paakeeza Aur Dusro Ka Khayaal Rakhne Wala Ho Aur Apne Waldain Se Bhi Husn-e-Salook Karne Wala Ho”.
Aur Deewaar Ki Baat Ye Hai Ki, Wo Do Yateem (Orphan, Beshara Anaath) Ladko Ki Thi Jo Uss Shaher Ke Baahar Rahte They, Aur Iss Deewar Ke Niche Ek Khazaana Dabaa Huwa Tha Jo Ki Un Ke Baap (Waleed) Ne Deewar Ke Niche Dabaa Rakha Tha, Aur Un Bachcho Ke Baap (Waleed) Ek Saaleh Aur Nek Insaan The, Isiliye Aapke Rab Ne Chaaha Ke Ye Dono Yateem Apni Jawaani Ko Pahooch Kar Ye Khazaana Nikaal Le, Aur Jo Kuch Bhi Maine Kiya Aap Ke Rab Ki Rehmat Thi, Maine Apne Ikhtiyaar (Apne Dil Se) Kuch Bhi Nahi Kiya, Maine Wo Hi Kiya Jo Aap Ke Rab Ne Chaaha, Ye Inn Baato Ki Haqiqat Thi Jin Par Aap Sabr Na Kar Sake”. Aur Fir Hazrat Musa (Alaihay Salam) Mishr Waapas Laut Aaye.
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …