• Allah Ta’ala Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko 30 Dino (Days) Ke Liye Kohe Toor (Toor Ki Pahaadi) Par Bulaaya Aur Isi Douran Unki Qoam Ke Kuch Logon ne Gaay Ke Bachde Ka Mujassama Bana Kar Uski Ibadat Karne Lage, Is Kufr Par Musa (Alaihay Salam) NE Samri ko badduwa De Di. !!!
Azizi Dosto ,….. Allah Ta’ala Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko 30 Dino (Days) Ke Liye Kohe Toor (Toor Ki Pahaadi) Par Bulaaya, Ta’aki Allah Ta’ala Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Bani Israayeel Ke Liye Ibaadat Ke Tarike Aur Acchi Aur Pakeezah Zindagi Basar Karne Ke Liye Shariyat (Allah Ta’ala Ka Kanoon Ya Nizaam) Ata Kar Sake, Jis Par Amal Kar Ke Bani Israyeel Duniya Aur Aakhirat Dono Me Qamiyaab Ho Sake.
Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Allah Ta’ala Se Mulaaqat Karne Kohe Toor Ki Muqaddas Waadi Me Pahooche To Allah Ta’ala Ne Apni Mashlehat Ke Tahat Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Mulaaqat Ka Waqt 30 Din (Days) Se Badhakar 40 Din (Days) Kar Diya. Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) 40 Dino Tak Kohe Toor Par Namaaze Padhte Aur Allah Ta’ala Ki Hamd-O-Sanaa Aur Paaki Bayaan Karte Rahe. Idhar Jab 30 Dino Tak Hazrat Musa (Alaihay Salam) Waapas Na Aaye To, Unki Qoum Ke Logo Ne Ek Gaaye (Cow) Ka Bachda (Bachche) Ka Boot (Murty) Bana Kar Uski Ibaadat Karna Shuru Kar Diya.
Iss Se Pahele Bhi Woh Log Kayee Bar Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Ye Mutalbaa (Demand) Kar Chuke The Ki Jis Tarha Mishr (Egypt) Ke Log Booto (Murtiyo) Ki Ibaadat Karte Hai Usi Tarhaa Hamaare Liye Koi Boot (Murty Ya Mujassama) Banaa Do Taaki Ham Us Ki Ibaadat Kar Sake. Aisa Isiliye Ke Kayee Sadiyo Ki Gulaami Aur Mishr Ke Kaafiro (Firoun Aur Us Ki Qoum) Ke Saath Rahte Rahte, Booto Ki Ibaadat Bhi Un Logo Ke Dil-O-Dimaag Me Rach-Bas Gayee Thi, Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Har Baar Un Logo Ko Aise Mushrikaana Mutaalbe (Demand) Na Karne Ki Sakhti Se Manaahi Karte.
Lekin Ab To Un Logo Ke Darmiyaan Hazrat Musa (Alaihay Salam) Nahi The, Aur Jab Hazrat Haroon (Alaihay Salam), Jinhe Ki Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Apni Qoum Ki Dekh Bhal Aur Qoum Ki Islaah Ka Zimmedaar Banaya Tha, Unhone Apni Qoum Ko Is Khuraafaat Se Door Rakhne Ki Aur Aisa Kaafirana Amal Na Karne Dene Ki Bahut Koshishe Ki, Lekin Unki Qoum Ke Kaafir Log Unke Hi Khoon Ke Pyaase Ho Gaye Aur Unhe Qatal Kar Dene Par Utaaroo Ho Gaye.
Riwayato Me Hai Ki Jab Bani Israayeel Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Saath Mishr Se Nikle Toh Apne Saath Bahut Sath Sona-Chandi (Gold-Silver) Le Kar Aaye The. Aur Ek Riwaayat Me Hai Ki Jab Firoun Ka Lashkar Samundar Me Doob Gayaa Toh Unki Laashe (Dead Body) Paani Ke Upar Aa Gayee Toh Unki Laasho Par Jo Bhi Gahene Ya Jewar The Woh Sab Bani Israayeel Ne Utaar Liye The Ye Ek Tarike Ka Maale Ganimat Tha Jo Jung Ya Ladhaayee Ke Baad Dushman Qoum Se Haasil Hota Hai Aur Jo Halaal Hota Hai.
Ye Hi Jewar (Gehane) Bani Israayeel Ko Bojh Maaloom Hone Lage The Ki In Jewaro Ko Uthaaye Huve Kahaa-Kahaa Firte Rahege. Isiliye Un Logo Ne Saamri Jo Ki Unn Hi Ki Qoum Se Tha Aur Jaadugar Tha. Uss Ke Kahene Par Ek Bahut Badi Aag Tayyar Ki Aur Uss Me Apne Sare Jewar (Sona-Chandi) Daal Diye, Aur Saamri Ne Us Jewar Ko Pighlakar Ek Gaay Ke Bacchde Ka Mujassama (Boot) Tayaar Kiya Aur Logo Se Kah Diya Ki Ye Tumhara Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ka Rab Hai.(Nauzubillah).
Riwayato Me Hai Ki Saamri Ne Hazrat Zibrayeel (Alaihay Salam) Ko Jaate Huve Dekha Jo Ghode (Horse) Par Sawaar The, Usne Unke Ghode Ke Taapu Ke Nishaan Ki Mitti Utha Li Thi Aur Wo Hi Mitti Us Ne Apne Uss Banaaye Huve Gaay Ke Bachde Ke Muhh Me Daal Di Jis Se Us Ke Muhh Se Gaaye (Cow) Ki Rambhane Ki Aawaaz Aati Thi Aur Ek Riwaayat Me Hai Ki Us Gaay Ke Bachde Ke Mujassme Ki Banaawat Kuch Aisi Thi Ke Jab Us Ke Darmiyaan Se Ho Kar Hawaa (Air) Guzarti To Aise Lagta Ki Jaise Koi Zinda Gaaye (Cow) Aawaaz De Rahi Hai Ya Rambha Rahi Hai.
Jab Gaaye Ka Bachda Ban Kar Tayyar Ho Gayaa To Bani Israayeel Ke Logo Ne Uski Ibaadat Shuru Kar Di Aur Ek Bahut Bada Mela (Jashn) Manaaya, Ye Jashn Waisa Hi Hai Jaisa Ke Aaj Yahood Aur Nassara Aur Un Ki Pairvi Karne Wale Gumraah Log Naye Saal Ka Jashn Manaate Hai Jisme Sharaab, Naach Gana Aur Ayyashi Aur Behooda Harqato Ke Siwa Kuch Nahi Hota…
Aziz Dosto ,.. Allah Ta’ala Ne Apni Mayeshiyat Ke Tehat Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko 30 Din (Days) Ke Bajaaye 40 Din (Days) Tak Apne Paas Thaheraye Rakha. Aur Idhar Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Qoum Ne Ek Gaay Ke Bachde Ka Mujassama (Murty) Banakar, Apna Rab Kahhekar Uski Ibaadat Karne Lage Aur Ek Bahut Bada Jashn Bhi Manaya. Allah Ta’ala Ne Kohe Toor Par Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Wahee (Shariyat, Ya Paigaam) Ki Jo Ki Paththar Ki Takhti (Slate) Par Darz Ya Likhi Huyee Thi, Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Ye Bhi Farmaa Diya, “Aye Musa Teri Qoum Boot Parashti Aur Shirq Me Pad Chuki Hai, Un Zaalimo Ne Ek Gaaye Ke Bachde Ko Apna Rab Bana Liya Hai, Kya Woh Nahi Dekhte ? Ke Na To Woh Gaay Ka Bachda, Na To Un Ki Baat Ka Jawaab Hi Deta Hai, Aur Na Hi Un Ke Liye Faayede Aur Nuqsaan Ka Mukhtaar (Malik) Hai ”.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Jab Apni Qoum Ki Taraf Waapas Loute To Apni Qoum Ko Gaaye (Cow) Ke Bachde Ki Ibaadat, Jashan, Sharaabkhori Aur Ayyashi Me Garq (Dooba) Huwaa Paaya. Apni Qoum Ki Is Nafarmaani Se Hazrat Musa (Alaihay Salam) Bahut Khafaa Aur Ranzida Huve Aur Gusse Ki Haalat Me Apne Haath Me Jo Wahee (Shariyat, Paigaam-e-Ilaahi) Thi Use Ek Taraf Fek Diya Aur Gazabnaak Ho Kar Hazrat Haaroon (Alaihay Salam) Ko Daadhi Aur Sir Ke Baal (Hair) Pakad Kar Jhakhjhor Diya Ya Apni Taraf Kheencha Aur Kahaa, “Jab Tumne Inhe Gumraah Hote Dekha Toh Tumhe Kis Baat Ne Roke Rakha ? Tum Ne Inhe Roka Kyon Nahi ? Ki Meri Itteba Karo ? Tum Ne Mere Huqm Ki Na Farmaani Ki Hai. Maine Kahaa Nahi Tha Ki Mere Baad Meri Qoum Ki Islaah Karna Aur Unka Khayaal Rakhna ?”
Hazrat Haaroon (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Aye Meri Maa Ke Bete (Aulaad) Meri Daadhi Aur Sir Ke Baal Na Pakdo Aur Mujhe Apni Hi Qoum Ke Logo Ke Liye Hansi Aur Mazaaq Na Banaavo, Maine To Pahele Hi Inse Kahe Diya Tha Ki Ye Tumhari Aazmaayeesh Hai, Aur Bilasubaah Tumhara Rab,. Rahemaan Hi Hai, Isiliye Meri Itteba Karo Aur Mere Huqm Ki Ita’at (Pairvi) Karo. Lekin Ye Log Kahene Lage Ki Jab Tak Hazrat Musa (Alaihay Salam) Nahi Aa Jaate, Ham Toh Isi Bachde Ki Ibaadat Karte Rahege, Aur Ye Log Mujhe Hi Qatal Kar Dena Chaahete The, Aur Mujhe Is Baat Ka Khatra Tha Ke Tum Waapas Aa Kar Ye Na Kaho Ki Maine Bani Isaraayeel Me Foot Daal Di Ya Do Firko Me Baat Diya Aur Meri Baat Ka Lihaaz Na Kiya”.
*Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Allah Ta’ala Se Duwaa Ki, Aye Hamaare Rab Mujhe Aur Mere Bhai Ko Bakhsh De, Aur Hame Sahi Raah Dikha”.
Fir Apni Qoum Ki Taraf Mukhaatib Ho Kar Kahaa, “Tumhe Kis Cheez Ne Bachde Ki Ibaadat Karne Ke Liye Mazboor Kiya, Tum Log Mere Waapas Aane Tak Ka Intezaar Toh Kar Lete”.
Unki Qoum Ke Logo Ne Kahaa, “Hame Saamri Ne Gaaye Ka Bachda Banaa Kar Diya Tha Aur Kahaa Tha Ki Ye Hi Tumhaara Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ka Rab Hai, Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Iss Baat Ko Bhul Gaye Hai”.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Saamri Se Kahaa, “Tu Bataa Tera Kya Muaamlaa Hai ?”
Saamri Ne Kahaa, “Maine Woh Cheez Dekhi Jo Kisi Ko Nazar Na Aayee, Maine Hazrat Zibraayeel (Alaihay Salam) Ko Dekha, Maine Unke Naqse Qadam Se Ek Mutthi Khaak Uthaa Li Aur Is Bachde Ke Jism Me Daal Di, Mere Nafs (Mere Dil) Ne Mujhe Aisa Hi Samjhaya Tha”.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Gusse Me Ek Mukka (Ghusaa) Saamri Ke Sir Pe De Maara, Jis Se Wo Badhawaas Ho Gayaa, Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Saamri Ko Ye Badduwaa Di, “Jaavo Tumhaare Liye Zindagi Bhar Ye Sazaa Hai Ki Tum Dusro Se Kahete Rahoge Ke Mujhe Na Chhoona. Aur Tere Liye Azaab Ka Ek Waqt Hai Jo Tujh Se Kabhi Tal Nahi Sakta, Aur Tu Dekh Ham Tere Is Ilaaha (Maabood) Ka Kya Karte Hai, Jis Ke Aage Tu Sajdaa Karta Tha Aur Jis Ki Ibaadat Karta Tha, Dekh Kaise Ham Ise Jalaa Kar Iski Raakh Ko Dariya Me Bahaa Dete Hai. Hamara Maabood To Sirf Allah Ta’ala Hi Hai, Jis Ke Ilm Ne Har Cheez Ko Gher Rakha Hai”.
Aziz Dosto Riwaayato Me Hai Ki Saamri Par Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Badduwaa Ka Ye Asar Huwaa Ki Jo Koi Bhi Saamri Ko Chhoota To Uska Aur Saamri Ka Jism (Badan) Bukhaar Me Tapne Lagta Aur Ye Bukhaar Bhi Aisa Hota Jaise Ke Kisi Ne Badan (Jism) Me Aag Lagaa Di Ho. Isiliye Saamri Logo Se “Mujhe Na Chhoona Mujh Se Door Raho” Ye Kaheta Huwaa Badhawaas Ho Kar Jungle Ki Taraf Bhaag Gaya. Aur Isi Haal Me Uski Dardnaak Mout Huyee.
Aur Bani Israayeel Ko Unke Is Gunaah Ki Ye Sazaa Mili Ke Unhe Ye Huqm Diya Gaya Ki Jin Logo Ne Boot Parashti Ka Gunaah Kiya Tha Woh Log Aapas Me Ek Dusre Ko Qatal Kare. Riwaayato Me Hai Bani Israayeel Me Sabhi Logo Ne Boot Parashti Ya Gaay Ke Bachde Ki Ibaadat Nahi Ki Thi, Un Me Bhi Kuch Imaan Waale Log The Jo Is Gunaah Se Door The, Isiliye Bani Israayeel Me Do Giroh Ban Gaye The Ek To Woh Jin Logo Ne Boot Parasti Ki Thi Aur Dusra Woh Jo Imaan Wale The, Isiliye Ye Huqm Diya Gaya Ki Jo Imaan Wale Hai Woh Apne Haatho Se Kaafiro Ka Qatal Kare (Wallaho Aalam).
Fir Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ka Gussa Thanda Huwa Toh Unhone Wahee-e-Ilaahi (Shariyat Jo Paththar Ki Takhti Par Likhi Huyee Thi Use Utha Liya. Aur Apni Qoum Ki Islaah Me Mashroof Ho Gaye …
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …