Hiqayat (Part 28) » Nabi Musa (Alaihay Salam)

• Allah Ta’ala Ke Deedar Ke Bina Allah Ta’ala Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Par Imaan Laane Se Bani Israayeel Ne Inkar Kar Diya, Unki Isi Jidd Ke Sabab Allah Rabbul Aalmin Ne Aasmaan Se Kehar Naazil Kiya Aur Unhe (Bani Israayeel Ko) Halaq Kar Ke Firse Zinda Kar Diya. !!!

Allah Ta’ala Ne Bani Israayeel Se Waada Kiya Tha Ki Unhe Magrib Aur Mashreeq (East & West) Ki Hukumat Ataa Karega, Yaani Ki Mishr (Egypt) Aur Shaam (Siriya) Ki. Riwaayato Me Hai Ki Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Saath Mishr (Egypt) Se Sabhi Bani Israayeel Nahi Aaye The, Kuch Bani Israayeel Mishr Me Hi Rah Gaye The, Aur Jab Firoun Apne Lashqar Samet Samundar Me Doob Gayaa Tou Mishr Me Baqi Bache Bani Israayeeliyo Ne Firoun Ke Mahal, Baag, Bagiche Khet Khaliyaano Aur Us Ki Huqumat Par Qabzaa Kar Liya. Aur Is Tarhaa Bani Israayeel Ko Sar-Zameen-Mishr Ki Huqumat Mil Gayee. Aur Jo Log Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Saath Aaye The Un Logo Ne 40 Saal Baad Shaam (Siriya) Par Qabzaa Kar Liya, Aur Is Tarhaa Ek Dabi Kuchli Aur Gulaam Qoum Ko Allah Ta’ala Ne Apne Fazal Se Mishr Aur Siriya Ka Huqumraan (Malik) Bana Diya.

*Allah Ta’ala Ke Itne Ahesanat Ke Bavojood Bhi Ye Yahoodi Qoum, Hazrat Musa (Alaihay Salam) Par Imaan Na Laayee Aur Kahne Lagi, “Aye Hazrat Musa (Alaihay Salam) ! Ham Tum Par Hargeez Imaan Na Laayege, Jab Tak Ham Apni Aankho Se Allah Ta’ala Ko Dekh Na Le !”.

Hazrat Musa (Alaihay Salam) Apni Qoum Ke Kuch Chuninda Logo Ko Lekar Allah Ta’ala Se Mulaaqat Karne Ke Liye Chal Pade, Lekin Allah Ta’ala Se Milne Ke Shouq Me Khud Tezi Se Aage Bad Gaye Aur Un Ki Qoum Ke Log Piche Rah Gaye. Jab Allah Ta’ala Ki Baargaah Me Pahooche To Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Aye Musa ! Tujhe Koun Si Cheez Mere Paas Sab Se Pahele Kheech Laayee ?”

*Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Aye Mere Rab Meri Qoum Tujhe Dekhna Chaahti Hai Aur Kaheti Hai Ki Tujhe Dekhe Bina Imaan Na Laayegi”

Bani Israayeel Ki Is Zidd Aur Nafarmaani Ki Wazaah Se Allah Ta’ala Ne Un Logo Par Aasmaan Se Kehar (Bijlee) Naazil Kiya, Aur Woh Sab Ki Sab Halaaq (Maar) Kar Diye Gaye Ya Mout Ki Neend Sula Diye Gaye.

Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Allah Ta’ala Ki Baargaah Me Bade Aazizi Se Kahaa, “Aye Mere Rab! Main To Unhe Tujh Se Mulaaqat Ke Liye La Raha Tha, Lekin Tune Unhe Mout Dedi, Ab Mai Apni Qoum Ke Logo Se Jaa Kar Kya Kahooga ?”

*Allah Ta’ala Ne Farmaaya, Aye Musa Ye Unn Ki Nafarmaaniya Aur Mujhe Dekhne Ki Bewazaah Ki Zidd Ki Sazaa Hai, Lekin Mai Unhe Fir Se Zinda Kar Dooga, Taaki Woh Log Meri Qudrat Ko Samjhe Aur Imaan Laaye. Kyonki Mai Har Cheez Par Qaadir Hoon, Zindagi Aur Mout Ka Malik Mai Hi Hoon”

Allah Ta’ala Ne Un Sabhi Logo Ko Dubaara Zinda Kar Diya Aur Pahaad (Mountain) Toor Ko Un Ke Saro Ke Upar Utha Diya. Youn Lagta Tha Ki Ab Gira Ki Tab Gira, Aur Toor Pahaad Ko Un Ke Saro Ke Uper Utha Kar Bani Isaraayeel Se Pukhta (Pakka, Sachcha) Waadaa Liya Ki, “Tum Log Sirf Allah Ta’ala Ki Ibaadat Karoge Aur Imaan Lavoge Aur Jo Kitaabe Saheefe Ya Shariyat Tum Par Utaari Jaaye Us Par Amal Karoge”. Aur Bani Isaraayeel Ne Is Baat Ka Pukhtaa Waadaa Bhi Kiya Tha, Lekin Baad Me Woh Log Apne Kiye Huve Is Waade Se Bhi Mukar Gaye.

* Allah Ta’ala Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Kitaab Ya Shariyat Ka Ilm Dene Ke Liye 30 Din Ke Liye Toor Ki Pahaadi Par Bulaaya ,..
– Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Apne Bhai Hazrat Haroon (Alaihay Salam) Ko Apni Gair Moujoodgi Me Qoum Ki Dekh-Rekh Aur Unki Islaah Karne Ki Hidaayat Di Aur Allah Ta’ala Se Mulaaqat Ke Liye 30 Din Ke Waaste Toor Ki Pahaadi Par Chale Gaye. Lekin Allah Ta’ala Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko 30 Din Ke Bajaaye 40 Din Thaharne (Rukne) Ka Huqm Diya ,..

Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)

To Be Continue …

Leave a Reply