• Nafrman Aur Buzdil Qoum Bani Israyil Ko Khule Aasmaan Ke Niche 40 Saal Tak Zindagi Basar Karne Ki Saza
Aziz Dosto ,…. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Allah Ke Hukm Ki Tamil Karte Huye Apni Qoum Bani Israayeel Ko Zalim Firoun Ki Hukumat Se Azad Kar Bahar-e-Ahmer (Laal Sagar) Naam Ka Darya Paar Karte Hai. Aur Firoun Ko Allah Ta’ala Usi Darya Me Fanah Kar Deta Hai, Iss Waade Ke Sath Ke Uski (Firoun Ki) Lash Aanewale Zamane Ke liye Ibrat Ka Sabab Banaya Jayega. Yaha Tak Aap log Post ( Part 15.8 ) me Parh Chuke Ho, ab Aage ….
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Apni Qoum Bani Israayeel Ko Lekar Seena Ke Registaan (Sahera, Desert) Me Pahooche. Riwaayato Me Hai Ki Bani Israayeel Ki Tadaad Six Lakh (600000) Thi. Ab Bani Israayeel Firoun Ki Gulaami Se Aazaad Ho Chuke The. Woh Log Jahaa Pahooche Us Se Kuch Doori Par Ek Basti Aabaad Thi Jiske Rahne Wale Bade Taqatwar Aur Ladaaku Kisam Ke Log They.
*Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Apni Qoum Se Kahaa, Aye Meri Qoum ! Allah Ta’ala Ne Woh Basti (Ilaaqa) Tumhaare Liye Likh Dee Hai, Lihaza Tum Us Basti Me Daakheel Ho Jaawo Aur Wahaa Ke Rahne Walo (Zalimo) Se Jihaad Karo, Inshah Allah Tum Hi Gaaleeb (Faateh) Rahoge”.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Qoum Jo Ki Sadiyo Se Firoun Ki Gulaam Thi, Allah Ta’ala Ke Itne Mojjaze Aur Ahesaanat Dekhne Ke Baavojood Bhi, Allah Ta’ala Ke Huqm Ki Nafarmaani Ki Aur Apni Buzdili Ka Saboot Diya, Aur Kahene Lage, “Woh Qoum Toh Badi Taqatwar Aur Zaalim Hai, Ham Me Unse Ladhne Ki Kuwwat Nahi Hai, Aye Musa ! Tum Aur Tumhaara Rab Dono Jaavo Aur Unn Basti Waalo Se Ladho, Ham To Yahi Par Baith Kar Dekhege”.
Yahoodiyo Ko Unki Nafarmaani Ki Sazaa Ye Mili Ke Allah Ta’ala Ne 40 Saal (Years) Ke Liye Woh Basti Ya Zameen (Ilaaqa) Yahoodiyo Ke Liye Haraam Kar Dee. 40 Saal (Years) Tak Yahoodi Qoum Khule Aasmaan Ke Niche Apni Zindagi Basar Karti Rahi. Lekin Allah Ta’ala Ne Unn Yahoodiyo Ki Nafarmaani Ke Bavajood Bhi Unpar Rahem (Ahesaan) Kiya, Itni Badi Qoum Ke Liye Paani Ki Qillat (Tangi, Kami) Hone Lagi Toh Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Allah Ta’ala Se Paani Ke Liye Duwaa Ki, Allah Ta’ala Ne Unhe Apna (Aasaa, Laathi) Ek Patthar Par Maarne Ke Liye Kahaa,…
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Apni Laathi Ek Pathhar Per Maari To Usme Se 12 Chasme (Nahere) Foot Padi, Kyonki Bani Israayeel Me 12 Qabeele The Jo Ki Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ke 12 Beto (Son) Ki Naslo Me Se Thi. Isiliye Allah Ta’ala Ne Uss Patthar Se 12 Chasme (Nahre) Jaari Ki, Har Ek Qabeele Ki Liye Ek Chasma Tha Aur Har Qabeela Apne Hi Chasme (Nahar) Se Paani Bharta Ya Istemal Karta Tha. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Har Qabeele Se Ek Naqeeb (Sardaar Ya Leader) Muntakhhib (Chun Liya) Kiya Jo Apne Apne Qabeele Ka Khayaal Rakhta.
Allah Ta’ala Ne Un Yahoodiyo Ke Liye Aasmaan Se Mann Aur Salwa Utaara. Mann Ek Tarha Ki Mithee Cheez Thi Jo Saaboot Dhaniya Ki Shaqal Jaisa Hota Tha Aur Ye Aasmaan Se Ous (Shabnam) Ki Boond Ki Tarha Girta Tha, Jise Bani Israayeel Subah Uthkar Jamaa Karte Aur Use Khaane Ke Kaam Me Laate. Salwaa Ek Tarhaa Ka Teetar Ya Bater (Dove) Jaisa Koi Parinda (Birds) Hota Tha Jise Bani Israayeel Pakadkar Use Aag Me Boonjkar Khaate The. Aur Itni Badi Qoum Ke Sir Par Koi Chhatt Bhi Na Thi, Isiliye Allah Ta’ala Ne Un Par Saaya Karne Ke Liye Baadlo Ko Bheja, Jo Ki Hardam Unpar Saaya Karta. Aur Is Tarhaa 40 Saal Tak Bani Israayeel Be-Saro-Samaan Khule Aasmaan Ke Niche Padey Rahe.
Lekin In 40 Saalo (Years) Me Jo Nayee Nasal Paida Huyee Unhe Is Tarahaa Ki Be-Saro-Samaan Ki Zindagi Pasand Nahi Aayee Aur Unhone Us Basti Wali Qoum Se Jihaad Karne Ka Faisla Kiya. Aur Allah Ta’ala Ne Unhe Qaamyaab Bhi Kiya. Aur Bani Israayeel Ko Ye Huqm Diya Ki Tum Log Jab Us Basti Me Daakheel Ho To Ye Kalmaa Padhte Huve Aur Sajda Karte Huve Daakheel Hona,
“Httatoon!. Yaani Ki Aye Allah Ta’ala Hamaare Gunaaho Ko Muaf Kar”.
Ye Woh Gunaah Tha Jise Un Logo Ne Apne Rab Ke Huqm Ki Nafarmaani Kar Ke Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Ye Kehkar Ki Tum Aur Tumhaara Allah Jaa Kar Ladho Ham To Yahaa Baithe Hai.” Kiya Tha.
Lekin Un Zaalimo Ne Fir Allah Ta’ala Ke Huqm Ki Nafarmaani Ki. Aur Un Yahoodiyo Ne Hittatoon Ke Kalmaat Ko Badal Diya Aur Uss Ki Jagaah Ye Kehane Lage Ki Anaaj Ki Baali Me Daana Hai, Aur Us Basti Me Sajde Karte Huve Jaane Ke Bajaaye Apne Haatho Ki Kohniyo Ke Bal Ghasitte Huve Uss Basti Me Daakheel Huve.
*Dosto Ye Yahood Kitni Nafarmaan Qoum Thi Ke Unke Darmiyaan Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aur Hazrat Haroon (Alaihay Salam) Moujood The Aur Allah Ta’ala Un Par Rahem Kar Raha Tha Aur Un Ki Madad Bhi Kar Raha Tha. Lekin Iss Badbakhat Qoum Ne Fir Bhi Jihaad Se Inqaar Kiya Aur 40 Saal (Years) Tak Zaleel Aur Khawaar Hote Rahe. Yaad Rakho Dosto Allah Ta’ala Bhi Unki Raahenumaayee (Madad) Nahi Karta Jo Apni Madad Apne Aap Na Kare.
In Yahoodiyo Ke Liye Jo Aasmaan Se Khaana Aaya Karta Tha, Is Par Bhi In Logo Ne Allah Ta’ala Ki Na Shuqri Ki, Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Is Baare Me Jhagadne Lage Aur Kahene Lage, “Aye Musa (Alaihay Salam) ! Ham Roz-Roz (Har Din) Ek Hi Tarhaa Ka Khaana Khaa Kar Uqtaa (Bor) Ho Chuke Hai, Isiliye Tum Allah Ta’ala Se Kaho Ke Hame Wo Khaana De Jo Ham Log Mishr (Egypt) Me Khaya Karte The, Yaani Ki Piyaaz (Onion), Daale, Sabjiya Aur Wo Har Cheez Jo Zameen Se Ugti (Paidaa) Hoti Hai”.
*Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kahaa Tum Log Ek Umda (Achchi, Behtar) Cheez Ke Badle Ek Kamtar (Nichi) Cheeze Na Maango Aur Allah Ta’ala Ne Jo Tumhe Mann Aur Salwa Jaisi Umda Neymat Di Hai To Tum Log Apne Rab Ka Shuqr Adaa Karo Aur Kufraan-e-Neymat Na Karo”.
Lekin Unki Qoum Nahi Maani Aur Apni Zidd Par Qaayem Rahi. Un Logo Ki Is Zidd Aur Hathdharmi Ka Nateeja Ye Huwa Ki Allah Ta’ala Ne Aasmaan Se Manna Aur Salwa Bhejna Band Kar Diya Aur Un Logo Ko Huqum Diya Ki, “Jaavo Aur Khud Zameen Par Kheti Karo Hal Chalaavo Aur Un Cheezo Ki Paidaawaar Karo Jo Tum Log Khaana Chahte Ho”.
Dosto Ek Taraf Kahaa To Unhe Bina Mehanat Kiye Aasmaan Se Khaana Mila Karta Tha, Lekin Yahoodiyo Ki Kam Aqli Aur Zidd Ne Unhe Mashaqqat (Mehnat, Majdoori) Me Dal Diya. Ab Unhe Apne Khaane Ke Liye Kheti Karni Padti Aur Din Raat Mehanat Karni Padti. Isiliye Dosto Allah Ta’ala Jo Bhi Neymat Ata Kare Uss Par Uss Meharbaan Rab Ka Shuqr Adaa Karo, Uss Rab Ki Di Huyee Neymato Ki Na Suqri Mat Karo, Warnaa Aazmaayeesh Ya Mashaqqat Me Mubtilaa Ho Jaavoge.
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …