• Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ka Jadugaro Se Muqabla.
Aziz Dosto ,….. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aur Jaadugaro Ke Beech Muqabla Shuru Huwa. Ye Muqabla Haq (Such) Aur Baatil (Jhooth) Ke Darmiyaan Tha Aur Baatil Kitna Bhi Taaqatwar Aur Tadaad Me Jiyada Ho, Lekin Haq Hi Gaaleeb (Qaamyaab) Hota Hai.
Jaadugaro Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Kahaa, “Tum Pahele Shuruwat Karte Ho Ya Ham Kare ?” Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Pahele Tum Log Shuruwat Karo”.
Jaadugaro Ne Apna Jaadoo (Magic) Dikhaana Shuru Kiya Unhone Apne Jaadoo Se Rassi, Kapda, Rumaal Aur Bhi Bahut Si Cheezo Se Saanp (Snake) Bana Diya Aur Wo Sab Saanp (Snake) Maidaan Me Rengne (Chalne) Lage. Shaayad Un Jaadugaro Ko Ye Baat Maaloom Thi Ke Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Firoun Ke Darbaar Me Apni Chadi (Aasaa, Lakdi) Ko Saanp (Snake) Banaya Tha. Isiliye Un Sab Jaadugaro Ne Apne Apne Jaadoo Se Saanp (Snake) Hi Banaaye.
Jab Sabhi Jaadugaro Ne Apne Jaadu Se Saanp Bana Kar Maidaan Me Choda Aur Wo Saanp Idhar-Udhar Bhagne Lage. Itne Sare Saanpo (Snake) Ko Dekh Kar Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Kuch Khouf Huwa. Allah Ta’ala Ne Huqm Diya, “Aye Musa Apni Chadi (Aasaa) Daal De Aur Khouf Na Kar Tu Hi Gaalib Rahega”.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Apni Chadi (Aasaa) Maidaan Me Daal Diya To Woh Ek Bada Azdaah (Azgar Saanp) Ban Gayaa Aur Un Jaadugaro Ne Jo Bhi Kuch Apne Jaadu Ke Bal Par Maidaan Me Daala Tha Use Nigalna Shuru Kiya. Jaadugar Ye Maazraa Dekh Kar Hairaan Ho Gaye Aur Woh Samajh Gaye Ki Hazrat Musa (Alaihay Salam) Rab Ki Taraf Se Bheje Gaye Rasool Hai Aur Haqq Par Hai. Woh Sabhi Jaadugar Sajde Me Gir Gaye Aur Kahaa, “Ham To Imaan Laaye Allah Rabbul Alaameen Par Yaani Ki Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aur Hazrat Haroon (Alaihay Salam) Ke Rab Par”.
Firoun Ke Liye Ye Baat Badi Hairat (Shock) Kar Dene Wali Thi, Kyonki Un Sabhi Jaadugaro Ke Zariye Wo Apni Fateh (Jeet) Ki Ummeed Lagaaye Baitha Tha, Lekin Woh Sabhi Jaadugar Na Sirf Shikasht (Haar) Gaye Balki Is Mouke Par Woh Sab Ki Sab Uss Rab Par Imaan Le Aaye Jis Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aur Hazrat Haroon (Alaihay Salam) Ko Haq Ki Dalil Aur Moujjaze De Kar Bheja Tha, Hona To Ye Chaahiye Tha Ki Ye Sab Dalayeel Aur Moujjaze Dekh Kar Firoun Khud Bhi Allah Ta’ala Par Imaan Le Aata, Lekin Usne Ghamand Aur Apne Rab Ki Bagaawat Ka Hi Raasta Apnaate Huve Un Sabhi Jaadugaro Ko Darana Aur Dhamkana Shuru Kar Diya Aur Kahne Laga,
“Is Ke Pahele Ki Main Tumhe Huqm Deta Tum Log Khud Hi Imaan Le Aaye ?, Mujhe Ye Yaqeen Hai Ki Tum Log Aur Ye Musa Aapas Me Mile Huve Ho Aur Ye Musa Tum Sab Logo Ka Bada Ustaad (Teacher) Hai Aur Isi Ne Tum Logo Ko Jaadu Sikhaya Hai, Aur Tum Sab Log Milkar Hamaare Khilaaf Saajish Kar Rahe Ho Taki Ham Logo Ko Hamaare Mulq (Desh, Riyaasat) Se Baahar Kar Do. Isiliye Tumhe Abhi Maaloom Ho Jayega Ki Hamaare Saath Gaddari Karne Ka Anjaam Kya Hoga ? Kasam Hai Mujhe Ki Main Tumhare Haath (Hand) Aur Paavo (Legs) Mukhaalif Simt (Aposite Side) Se Katwa Duga Aur Tum Sab Ko Suli (Croos) Par Latkawaa Duga”.
Unn Jaadugaro Ne Jo Imaan La Chuke The Jawaab Diya, “Hame Koi Khouf Nahi Hai, Teri Marzi Hai Jo Tu Hamaare Saath Kar. Lekin Ham Apne Imaan Se Waapas Na Hatege Aur Ham To Apne Rab Hi Ki Taraf Waapas Lautne Waale Hai. Isi Liye Ham Tuhaare Muqaable Me Sab Se Pahele Imaan Wale Bane Hai, Aur Hame Ummeed Hai Ki Hamara Rab Hamari Sab Khataavo Ko Muaf Farma Dega, Aur Khaas Karke Jaadugari Ka Gunaah Jis Par Tu Ne Hame Majboor Kiya Hai, Allah Ta’ala Hi Behter Aur Baqi Rahne Wala Hai”.
In Sab Waqyaat Ke Baawjood Bhi Firoun Aur Us Ke Darbaari Aur Us Ki Qoum Ke Log Imaan Na Laaye Aur Apne Kufar Aur Zulm-O-Sitam Me Aur Hadd Se Jiyadah Badh Gaye. Allah Ta’ala Ne Un Logo Ko Teen (3) Baar Sakht Azaab Me Mubtilaa Kiya.
(1) Pahli Baar Sukha Pad Gayaa Baarish Na Huyee. Log Bhookh Aur Pyaas Se Halaaqaan Hone Lage. Jab Koi Raasta Na Dikhaayee Diya Iss Aakaal (Sukhe) Se Nipatne Ke Liye To Firoun Aur Uski Qoum Ke Log Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Paas Pahooche Aur Unse Fariyaad Ki, “Aap To Allah Ta’ala Ke Rasool Hai. Aap Allah Ta’ala Se Duwaa Kare Ki Woh Ham Par Rahem Kare Aur Baarish Barsaaye. Agar Baarish Ho Gayee To Ham Sab Log Imaan Le Aayege”,
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Allah Ta’ala Ki Baargaah Me Baarish Ke Liye Duwaa Ki Aur Tez Muslaadhar Baarish Hone Lagi. Ye Moujjaza Dekh Kar Bhi Firoun Aur Uss Ki Qoum Ke Log Apne Waade Se Mukar (Fir) Gaye Aur Imaan Na Laaye
(2) Dusri Baar Bimaari Tezi Se Failne Lagi Aur Firoun Ki Riyaasat Ka Har Aadmi Kisi Na Kisi Bimaari Me Mubtilaa Ho Gaya. Jab Is Azaab Se Bachne Ka Koi Raasta Na Dikhayee Diya To Firoun Aur Us Ki Qoum Ke Log Fir Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Paas Pahooche Aur Un Se Ye Bimaari Ka Azaab Taalne (Hataane) Ke Liye Allah Ta’ala Se Duwaa Karne Ki Fariyaad Ki Aur Un Par Imaan Laane Ka Waadaa Bhi Kiya. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Allah Ta’ala Ki Baargaah Me Ye Bimaari Ka Azaab Taalne Ki Duwaa Ki Ji Se Allah Ta’ala Ne Qabool Kiya Aur Bimaaari Ka Azaab Un Logo Par Se Hataa (Taal) Diya, Aur Jab Woh Log Sehatmand Huve To Fir Apne Waade Se Muqar Gaye Aur Imaan Na Laaye. Allah Ta’ala Ne Firuon Aur Uski Qoum Ko
(3) Teesri Baar Azaab Me Mubtilaa Kiya. Is Baar Allah Ta’ala Ne Azaab Ke Taur Par Juve, Khatmal , Mendak Frog) Aur Bhi Dusre Chote-Chote Kide-Makode (Insect) Ki Paidawaaar Itni Kar Di. Ki Ye Kide-Makode Har Jagaah Fail Gaye, Anaajo Me Paani Me. Khaano Me, Sabjiyo Me Falo (Fruit) Me. Aur Jab Ye Kide-Makode Paani Ya Khaano Me Girte Ya Marte To Fat Jaate Jise Paani Ka Rang Khoon (Blod) Jaisa Ho Jata. Har Jagaah In Kide-Makode Ki Moujoodgi Se Firoun Aur Us Ki Qoum Ki Zindagi Dushwaar Ho Gayee. Aur Is Baar-Baar Ke Azaab Se Firoun Aur Us Ki Qoum Ne Koi Sabak Na Sikha Ulte Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aur Jo Log Un Par Imaan Laaye The Un Logo Ko Manhoos (Nesti ) Kahene Lage , Aur Kahete The Ki Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aur Un Par Jo Log Imaan Laaye Hai Un Logo Ki Manhoosiyat Ki Wazaah Se Baar-Baar Ham Logo Par Ye Musibate Aa Rahi Hai.
Lekin Fir Bhi Is Azaab Se Bachne Ke Liye Woh Log Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Paas Pahooche Aur Is Azaab Se Chutkaara Paane Ke Liye Allah Ta’ala Se Duwaa Karne Ki Fariyaad Ki, Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Baargaahe Ilaahi Me Duwaa Ki, Aur Allah Ta’ala Ne Un Logo Ko Is Azaab Se Nijaat De Di. Firoun Aur Us Ki Qoum Is Par Bhi Imaan Na Laaye, Aur In Azaabo Ya Baqoul Un Ke Is Manhoosiyat Se Hamesha Ke Liye Chutkaara Paane Ke Liye Aapas Me Ye Mashwara Kiya Ki, Hazrat Musa Aur Hazrat Haroon (Alaihay Salam) Aur Tamaam Bani Israayeel Ko Hi Khatm (Qatal) Kar Diya Jaaye.
Idhar Firoun Aur Us Ke Sardaar Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aur Un Ki Qoum Ke Qatal Ka Mansooba Bandi Kar Rahe They, Idhar Allah Ta’ala Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Huqm Diya, Aye Musa !, Tu Raato Raat (Mid Night) Bani Israayeel (Mere Bande) Ko Le Kar Yahaa Se Nikal Ja, Aur Gam Na Karna, Firoun Bhi Tumhaare Piche Aayega, Tum Log Ghabraana Nahi. Tum Logo Ki Hifaazat Main Karooga, Aur Firoun Aur UsKi Lashkar (Fouz, Sipaahi) Tum Logo Tak Pahoonch Na Paayege”.
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …