• Hazrate Musa (Alaihay Salam) Se Firoun Ko Haq Par Imaan Laane Ki Daawat.
Aziz Dosto ,…… Allah Ta’ala Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Apne Bhai Hazrat Haroon (Alaihay Salam) Ke Saath Firoun Ke Paas Ja Kar Use Narmi Ke Saath Haq Ki Daawat Dene Aur Allah Ta’ala Ki Ibaadat Karne Ke Liye Kahaa. Is Par Dono Bhaiyo Ne Kahaa, “Aye Hamaare Rab Hame Khouf Hai Ki Firoun Aur Us Ke Saathi, Hame Qatal Hi Na Kar Daale Ya Hame Koi Nuqsaan Hi Na Pahoochaaye, Kyonki Woh Log Bade Zaalim Aur Sirkash Hai”.
♥ Allah Ta’ala Ne Farmaaya, Tum Is Ke Baare Me Khouf Mat Karo, Tum Dono Aur Jo Tum Logo Par Imaan Laayega, Un Sab Ki Zimmedari (Haifaazat) Main Karooga, Aur Firoun Aur Uske Saathi Tum Logo Tak Pahooch Na Paayege Yaani Ke Koi Nuqsaan Na Pahoocha Paayege, Ab Main Tumhaare Saath Hoon, Aur Main Khoob Sun’ne Wala Aur Sab Kuch Janne Wala Hoon. Aur Hamne Tumhe Jo Mojjaze Diye Hai Is Ke Sabab Tum Aur Jo Tum Par Imaan Laayega Aur Tumhaari Taabedari Karega, Woh Hi Gaalib Rahega”.
*Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aur Hazrat Haroon (Alaihay Salam) Firoun Ke Darbaar Me Pahooche Aur Uss Se Kahaa,
“Ham Tere Aur Sab Ke Rab Ki Taraf Se Bheje Gaye Paigamber Hai, Tu Us Rab Par Imaan La Aur Hamaari Ita’at Kar, Aur Hamaare Saath Bani Israayeel Ko Bhej De, Aur Tune Jo Unhe Sazaaye De Rakhi Hai Use Khatam Kar, Ham Tere Paas Allah Ta’ala Ki Taraf Se Nishaaniya Le Kar Aaye Hai, Salaamati Usi Ke Liye Hai Jo Imaan Qabool Kare Aur Use Jo Hidaayat Ki Jaati Hai Uska Paaband Bane, Aur Jo Hame Jhuthlaaye Aur Hamaari Baato Se Muhh Fer Le Ya Inqaar Kar De To Uske Liye Sakht (Shadeed) Azaab Hai”.
*Firoun Ne Poocha, “Aye Musa !, Tum Dono Ka Rab Koun Hai ?”
*Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Hamara Rab Jis Ne Har Ek Ko Ek Khaas Shaqal-O-Surat Ke Saath Paida Kiya, Aur Haq Aur Hidaayat Ki Raah Dikhayee”.
Firoun Ne Baat Ko Badalte Huve Kahaa, “Achcha Ye Bataavo Guzar Gaye Zamaane Walo Ka Kya Haal Huwa, Jo Log Tumhare Rab Ke Siwa Dusre Ma’aboodo Ki Ibaadat Kiya Karte The?”.
*Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kaha, “Is Ka Ilm Mere Rab Ke Yahaa Ek Kitaab Me Moujood Hai, Aur Na To Mera Rab Galti Karta Hai Aur Na Hi Bhulta Hai. Aur Mera Rab Wo Hai Jisne Tumhaare Liye Is Zameen Ko Farsh (Hamwaar) Banaaya, Aur Is Me Tumhaare Chalne Ke Liye Raaste Banaaye, Aur Aasmaan Se Paani Bhi Wo Hi Barsaata Hai, Jis Ki Wazaah Se Har Kism Ki Sabzi Aur Fal Fruit Ki Paidawaar Hoti Hai Jise Tum Bhi Khaate Ho Aur Apne Jaanwaro Ko Bhi Khilaate Ho. Ye Mere Rab Ki Aqalmando Ke Liye Khuli Huyee Nishaniya Hai, Mera Rab Wo Hai Jis Ne Tumhe Isi Mitti Se Paida Kiya Aur Isi Mitti Me Tum Waapas Loutaaye Jaaoge, Aur Isi Se Fir Woh Tum Ko Dubaara Zinda Karke Nikaalega”.
Firoun Ne Fir Baat Ko Badalte Huve Kahaa, “Aye Musa ! Tu Mere Kiye Gaye Ahesaano Ko Bhul Gaya ? Yaad Kar, Ham Ne Bachpan Me Teri Apne Mahal Me Parwarish Ki Tujhe Paala Posaa, Aur Tune Apni Umar Ke Bahut Se Saal Hamaare Mahal Me Guzaare, Aur Fir Tune Hamaari Hi Qoum Ke Ek Aadmi Ko Qatal Kar Diya, Ab Bhi Ham Tujh Par Ahesaan Kar Rahe Hai Ki Tujhe Qaid Nahi Kiya, Tera Qatal Nahi Kiya, Lekin Tu To Na-Shukro Me Se Hai”.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Ye Kaam Maine Us Waqt Kiya Jab Mujhe Apne Rab Ki Taraf Se Hidaayat Nahi Mili Thi Aur Main Raah Bhule Huve Logo Me Se Tha, Aur Qatal Hone Ke Baad Main Tum Se Khouf Khaa Kar Bhaag Gayaa, Fir Mere Rab Ne Mujhe Hiqmqt Aur Ilm Ata Farmaaya Aur Mujhe Apne Paigambaro Me Chun Liya”. Aur Rahi Baat Tere Ahesaano Ki Jo Tu Mujh Par Jataa Rahaa Hai, To Tu Ne Bhi To Meri Qoum Bani Israayeel Ko Gulaam Bana Rakha Hai Aur Un Par Zulm-O-Sitam Karta Hai”.
Firoun Ne Fir Baat Ko Badalte Huve Apne Aas-Paas Baithe Huve Sardaaro Se Kahaa, “Ham Ne To Aaj Tak Aisi Baate Apne Baap-Dadaavo Se Bhi Nahi Suni Jo Ye Musa Hame Batlaa Rahaa Hai. Main To Apne Siwaa Tumhaara Koi Dusra Rab Nahi Paata, Aur Mujhe To Ye Musa Diwaana (Paagal) Lagta Hai”.
*Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Firoun Aur Uske Darbaariyo Ko Haq Ki Daawat Di Aur Ek Akele Allah Ta’ala Ki Ibaadat Karne Ke Liye Kahaa. Lekin Firoun Aur Uski Qoum Apne Kufar Par Qaayem Rahi. Firoun Ne Haq Baat Sun’ne Ke Baad Bhi Ye Hi Kahaa, “Ye Musa Tou Mujhe Deewana (Majnoon) Lagta Hai”.
*Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Mera Rab Hi Magreeb (West) Se Mashriq (East) Aur Zameen Se Aasmaan Aur In Ke Darmiyaan Ki Tamam Cheezo Ka Malik Hai, Aur Woh Hi Tumhara Aur Mera Haqiqi Rab Hai, Agar Tum Aqal (Samajhdaari) Rakhte Ho”.
Is Baat Par Firoun Cheedh (Angry) Ho Gaya Kyonki Woh Khud Ke Allah Hone Ka Daawa Karta Tha Aur Logo Se Apni Ibaadat Karwayaa Karta Tha. Firoun Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Kahaa, “Agar Tune Mere Siwaa Kisi Aur Ko Apna Ma’abood Banaya To Main Tujhe Qaid Kardooga Aur Tujhe Qatal Kar Dunga”.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Agar Main Tere Paas Apne Rab Ki Taraf Se Koi Khuli Nishaani Le Kar Aawoo Tab Bhi ?” .
Firoun Ne Kahaa, “Agar Tu Sachcha Hai To Apne Rab Ki Nishaniyo Ko Pesh Kar”. Usi Waqt Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Apni Laathi (Aasaa) Zameen Par Daal Diya Jo Ekdam Se Ek Bada Azdaah (Saanp, Snake) Ban Gayee. Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Apna Haath Baahr Nikaala To Tamaam Dekhne Wale Darbaariyo Safed (White) Chamakta Huwaa Nazar Aaya”. Allah Ta’ala Ki Khuli Huyee Nishaniya Dekh Lene Ke Baad Bhi Firoun Aur Uss Ki Qoum Ke Log Imaan Na Laaye Aur Apni Hath Dharmi Par Qaayam Rahe.
*Firoun Ne Apne Darbaariyo Se Kahaa, “Ye To Khula Jaadoo Hai, Aur Musa To Koi Bahut Bada Jaadugar Maaloom Hota Hai, Aur Ye Musa Ye Chaahta Hai Ki Apne Jaadoo Ke Bal Par Ham Logo Ko Hamaari Sarzameen (Watan) Se Baahar Nikaal De. Fir Usne Apne Sardaar Haamaan Se Kaha, “Aye Haamaan Tu Ek Bahut Badi Aag Jala Aur Us Me Pakki Mitti Ki Einte Tayyar Kar, Aur Us Einto Se Ek Bahut Bada Mahal (Qila, Deewaar Ya Sidhi) Banaa Jo Aasmaan Tak Jaaye, Aur Main Uss Par Chadh Kar Aasmaan Ke Us Paar Jhaak Kar Musa Ke Rab Ko Dekh Sakoo, Mujhe To Ye Musa Aur Is Ka Rab Dono Hi Jhuthe Maaloom Hote Hai”.
*Firoun Ki Qoum Ke Sardaaro Ne Kahaa, “Ye Musa To Hamaari Hi Tarha Ka Bashar Hai, Hame Is Ki Baate Hargeez Nahi Manni Chahiye”.
Firoun Ne Apne Sardaaro Se Kahaa, “To Ab Bataavo Hame Kya Karna Chaahiye ?”.
Unn Sardaaro Ne Kahaa, “Aap Ise Aur Iske Bhai Se Koi Ek Din Muqarrar Karle Ki Isne Jo Jaadoo Dikhaya Hai Ham Bhi Iske Muqaable Me Apne Shahar Ke Saare Jaadugar Bulaa Le Aur In Ke Beech Muqablaa Kara De”.
Firoun Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Kaha, “Tum Apne Muqable Ka Koi Ek Din Muqarrar Kar Lo, Taaki Uss Din Hamaari Saari Qoum Tumhaare Aur Hamare Jaadugaro Ke Beech Ka Muqabla Dekh Sake”.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Jashn Wala Din (Nouroz) Muqarrar Kiya. Nouroz Is Din Firoun Ki Qoum Ke Log Bahut Bada Jashan (Ya Eid) Ki Tarhaa Manaate The. Firoun Ne Apni Huqumat Ke Tamaam Jaadugaro Ko Nouroz Ke Din Ek Maidaan Me Jamaa Hone Ka Huqum Diya. Uski Riyasat Ke Kone-Kone Se Sabhi Bade-Bade Jaadoogar Wahaa Pahooch Gaye.
*Dosto Firoun To Khud Ek Allah Hone Ka Dawaa Karta Tha Lekin Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Mojjaze Ka Muqabla Khud Na Kar Saka, Aur Apne Hi Huqumqt Ke Jaadugaro Ka Sahaara Liya.
Ab Jashan Wale Din Firoun Ke Huqumat Ke Kone-Kone Se Bade Bade Naamwar Jaadugar Aur Kartab Dikhane Wale Jamaa Ho Gaye.
Ek Taraf Firoun Aur Uske Darbaari Baithe Aur Baaqi Pura Maidaan Iss Muqable Ko Dekhne Walo Se Bhar Gaya.
Jaadoogaro Ne Firoun Se Kahaa, “Agar Ham Jeet Gaye (Gaaleeb) Aa Gaye To Hame Inaam Milega ?”
Firoun Ne Kahaa, “Kyon Nahi, Agar Tum Log Qaamyaab Ho Gaye To Main Tumhe Inaam Aur Iqraam Se Nawaazooga Aur Tum Logo Ko Apne Darbaar Me Muqarrab (Khaas) Logo Me Shaamil Kar Looga”.
*Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Is Ke Pahele Ki Muqaabla Shuru Ho Jaadugaro Se Mukhaateeb Ho Kar Kahaa, “Main Koi Tumhaare Jaisa Jaadugar Nahi Hoon, Main To Tum Sab Aur Is Saare Aalam Ke Rab Ki Taraf Se Rasool Bana Kar Bheja Gayaa Hoon, Isiliye Tum Log Meri Ibtteda Karo Aur Us Rab Par Imaan Laao, Jis Ne Tumhe Aur Ham Sab Ko Paida Kiya, Aur Woh Hi Hame Mout Dega Aur Maut Ke Baad Fir Dubaara Zinda Karega, Aur Ye Bhi Jaan Lo Ki Qayaamat Qareeb Hai, Isiliye Sab Kuch Jaante Huve Bhi Apne Kuffar Par Qaayem Na Raho”.
Jab Jaadoogaro Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ka Ye Waaz (Nasihat) Suna To Fiqar (Soch) Me Pad Gaye. Aur Aapas Me Kahne Lage Ki, Koi Bhi Jaadugar Is Tarhaa Ki Nasihat Nahi Karta, Kahee Ye Musa (Alaihay Salam) Haqiqat Me Allah Ta’ala Ke Rasool To Nahi Hai ?”
Lekin Un Jaadoogaro Me Se Jiyaada Tar Logo Ne Kahaa, “Ye Musa (Alaihay Salam) Koi Nabi Ya Rasool Nahi Hai, Ye To Hamaari Hi Tarhaa Ka Ek Aam Bashar (Insaan) Hai, Aur Ye Chaahta Hai Ki Apne Jaadoo Ke Bal Par Ham Logo Ko Hamaare Hi Desh Se Baahar Kar De”.
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …