Hiqayat (Part 22) » Nabi Musa (Alaihay Salam)

Hazrate Musa (Alaihay Salam) Ki Mulaqat Shoieb (Alaihay Salam) Ke Sath, 8 Saal ke Safar ke Baad.

Aziz Dosto ,……. Jab Is Baat Ki Khabar Firoun Ke Sipaahiyo Ko Ho Gayee Ki Hazrat Musa (Alaihay Salam) Hi Us Qabti Jo Ki Firoun Ki Qoum Se Tha, Ke Qatil Hai To, Sipaahiyo Ne Is Baat Ki Ittelaa (Khabar) Firoun Ko De Di. Firoun Aur Uske Sardaaro Ne Faislaa Kiya Ki Is Qatal Ke Zurm Me Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Bhi Qatal Kar Diya Jaaye. Jab Firoun Aur Uske Sardaar Ye Faislaa Kar Rahe The,Tab Wahaa Ek Shakhsk (Aadmi) Aur Bhi Moujood Tha, Jo Ki Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Khairkhawaahi Aur Bhalaayee Chaahne Wala Tha,

Ek Riwaayat Me Hai Ki Ye Aadmi Firoun Ki Hi Qoum Se Tha, Aur Dusri Riwaayat Me Hai Ki Ye Aadmi Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Qoum Se Tha. Paheli Wali Riwayat Sahi Maloom Padhti Hai. Kyonki Ye Faislaa Firoun Ke Darbaar Me Huwaa Tha. (Wallaho Aalam),
Khair Woh Shakhsh (Aadmi) Firoun Ke Mahal Se Bhagta Huwa Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Paas Pahoocha Aur Kahaa, “Musa !,.. Firoun Aur Uske Sardaaro Ne Tumhaare Qatal Ka Mashwaraa Kiya Hai, Is Ke Pahele Ki Woh Log Tum Tak Pahooche Tum Yahaa Se Nikal Jawo”.

Hazrat Musa (Alaihay Salam) Wahaa Se Chupte Chupaate Huve Nikal Padhe. Aur Allah Ta’ala Ke Huzur Me Ye Duwaa Ki, “Aye Rab ! … Mujhe In Zaalimo Ke Giroh (Qoum ) Se Bacha Le”.
Kyonki Ye Waqya (Kissa) Eikdam (Achanak) Se Pesh Aaya Tha. Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Mishr (Egypt) Me The Unhe Kuch Samajh Na Aaya Ki Kahaa Jaaye Kis Taraf Ka Rukh Kare. Tab Allah Ta’ala Ne Unki Rahenumaayee Ke Liye Ek Farishte Ko Ghodh Sawaar (Horse Rider) Bana Kar Bheja, Jis Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Ilaaqa Madyan Ki Taraf Rahenumaayee Ki, Jo Ki Mishar Se Aath Din (8 Days) Ki Doori Par Tha Aur Firoun Ki Huqumat Ke Daayere Se Baahar Tha. Aur Ye Ilaaqa Madyan.. Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ke Bete Ishaq (Alaihay Salam) Aur Unke Bete Madyan Ke Naam Par Tha Aur Woh Log Madyan Ki Aulaado Me Se The, Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Bhi Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Ki Nasl Se Hi The, Isiliye Uss Ilaaqe Ke Logo Se Unka Nasbi (Nasli) Ta’alluq Bhi Tha.

Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Madyan Ki Taraf Rawana Huve To Ye Duwaa Ki, “Mujhe Ummeed Hai Ki Mera Rab Mujhe Sidhi Raah Dikhayega”.

Aath Din (8 Days ) Chalte Chalte Hazrat Musa (Alaihay Salam) Bhuke Pyaase Madyan Ke Ilaaqe Me Ek Paani Ke Kuve (Wel) Ya Ek Paani Ke Ghaat Ke Paas Pahooche. Waha Par Unhone Dekha Ki Do Ladkiya (2 Girls) Apne Jaanwaro (Bhed, Bakriyo) Ko Lekar Ek Taraf Khadi Hai, Aur Dusre Charwaahe (Cowboy) Aa-Aa Kar Apne Jaanwaro Ko Paani Pilaa Kar Ja Rahe Hai. Aur Wo Ladkiya Aisi Hi Khadi Hai.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Unse Poocha, “Tum Log Yahaa Kyon Khadi Ho Apne Jaanwaro Ko Paani Kyon Nahi Pilaati ?”.

*Unhone Jawaab Diya Ki, “Jab Tak Ye Charwaahe Waapas Na Chale Jaaye, Tab Tak Ham Apne Jaanwaro Ko Paani Nahi Pilaa Sakti ?”. Aur Ye Bhi Kahaa “Hamaare Abba Jaan Bahut Budhe (Old) Aur Zayeef Hai, Isiliye Khud Kuve Par Jaanwaro Ko Paani Pilaane Nahi Aa Sakte”,
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Khud Kuve Se Paani Nikaal Kar Unke Jaanwaro Ko Pilaa Diya. Aur Jab Woh Dono Ladkiya Apne Jaanwaro Ko Lekar Chali Gayee To Hazrat Musa (Alaihay Salam) Khud Bhi Ek Darakht (Tree) Ki Chaavo Me Baith Gaye. Aur Allah Ta’ala Se Duwaa Ki, “Aye Mere Rab Tu Mujhe Jo Bhi Rizq (Bhalaayee) De Mai Fir Bhi Tera Mohtaaj Hoon”.

*Dosto Ye Kitni Pyaari Duwaa Hai Jo Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Apne Rab Se Maangi Ki Bande Ko Uske Rab Ki Taraf Se Kitna Bhi Rizq, Ya Nemate Bhalaayee, Nemate Mile, Lekin Banda Fir Bhi Apne Parwardigaar Ka Mohtaaj Hi Rahta Hai.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Mishar (Egypt) Se Itna Lamba Safar Karke Madyan Pahooche The, Khaane Ke Liye Unke Paas Kuch Nahi Tha. Isiliye Safar Ki Thakaan Aur Bhookh Se Nidhaal Ho Kar Woh Ek Darakht Ki Chaavo Me Baith Gaye Aur Allah Ta’ala Se Duwaavo Me Mashroof Ho Gaye. Unhone Jo Apne Liye Bhalaayee Ki Duwaa Maangi To Bhalaayee Ka Matlab Ye Tha Ke Khane Par, Sahi Salaamt Rahene Par, Ibaadat Karne Par Nek Kaam Karne Par Aur Quwat Aur Taaqat Par Aur Maal Par. Ye Sab Allah Ta’ala Ki Taraf Se Khair Aur Bhalaayee Hi Hai Jo Woh Apne Bando Par Naazil Karta Hai ……..

*Aziz Dosto ,…… Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Un Dono Ladkiyo Ke Jaanwaro Ko Paani Pila Diya To Woh Dono Ladkiya Waapas Apne Ghar Ja Kar Apne Abba Jaan Se Sara Kissa (Story) Bataaya. Un Ladkiyo Ke Abba Jaan Hazrat Shoeb (Alaihay Salam) The, Jo Gaalban Apni Qoum Par Azaab Aane Ke Baad Is Jagaah Par Aa Base The Aur Sukoon Ki Zindagi Guzaar Rahe The. Unki Sirf Do Hi Ladkiya Thi Aur Koi Ladka Nahi Tha. Aur Woh Bhi Khud Zayeef (Budhe) Ho Gaye The. Jab Ladkiyo Ne Unhe Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Baare Me Bataaya To Unhone Ladkiyo Se Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Bulaa Lane Ke Liye Kahaa. Woh Ladkiya Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Paas Pahoochi, Unme Se Ek Ne Sharmaate Huve Kahaa, “Aap Ko Hamaare Abba Jaan Bulaate Hai, Aap Ne Jo Hamaare Jaanwaro Ko Paani Pilaaya Hai To, Woh Chaahte Hai Ki Aap Ko Is Kaam Ki Uzrat (Mazdoori) De”.

*Dosto Yahaa Par Allah Ta’ala Ne Ladkiyo Ki Sharm Ka Ziqr Kiya Hai Kyonki Sharmo-Hayaa Hi Ladkiyo Ka Gahena (Jewar) Hai. Aur Behayayee Aur Bepardagi Ko Allah Ta’ala Na-Pasand Farmaata Hai. Yahaa Tak Ki Jo Aurate Beparda Ho Kar Ghar Se Baahar Nikalti Hai To Un Par Allah Ta’ala Aur Uske Farishte Aur Tamaam Makhlooq Laanat Bhejti Hai. Isiliye Aurato Aur Ladkiyo Ko Chahiye Ki Apne Parde Ka Khaas Khyaal Rakhe, Koi Aisa Libaas Pahenkar Baahar Na Nikle Jis Se Jism Ki Numaayeesh Ho.

*Hazrat Musa (Alaihay Salam) Un Ladkiyo Ke Hamraah Unke Ghar Pahooche Jahaa Un Ke Waleed Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ka Istaqbal Kiya. Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Unhe Apna Aur Firoun Ka Sara Kissa (Story) Bayaan Kiya. Hazrat Shoeb (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Tum Ab Koi Khouf Na Karo, Allah Ta’ala Ne Tumhe Zaalim Qoum Se Nizaat Di Hai, Aur Ye Ilaaqa Firoun Ki Huqumat Ke Hadd Se Baahar Hai”. Un Ladkiyo Me Se Ek Ne Kahaa, “Abba Jaan Aap Ko Apne Kaam Ke Liye Ek Aadmi Ki Ki Zaroorat Thi Jise Aap Mazdoori (Uzrat) Par Rakhna Chahete The, To Aap In Hi Ko Kyon Nahi Rakh Lete, Ye To Badi Quwat Wale (Taqatwar) Aur Amaanatdaar Hai”.
Hazrat Shoeb (Alaihay Salam) Ne Apni Ladki Se Poocha, “Tumhe Kaise Maloom Huwa Ke, Ye Aadmi Taqatwar Aur Amaanatdar Hai”.

*Uss Ladki Ne Kahaa, “Jis Kuve (Wel) Se Ham Apne Jaanwaro Ko Paani Pilati Hai. Us Kuve Par Jab Sab Log Apne Jaanwaro Ko Paani Pilaa Lete Hai To Us Kuve (Wel) Ko Ek Bade Paththar Se Band Kar Diya Jata Hai, Us Paththar Ko Hataane Ke Liye 10 Aadmiyo Ki Zaroorat Padhti Hai Aur Ye Kaam Inhone Akele Hi Kar Diya. Aur Jab Ham In Ko Lekar Apne Ghar Ki Taraf Aa Rahi Thi To Baar Baar Hawaa Ki Wazaah Se Hamaari Chaadar Hamaare Jism Se Hath Jaati Thi,
Kyonki Inko Hamaara Ghar Nahi Maaloom Tha, Isiliye Ham Aage-Aage Chal Rahi Thi Aur Ye Hamare Piche-Piche Aa Rahe The. Aur Is Tarhaa Baar-Baar Hamaari Chaadar Ka Hawaa Se Hathna Aur Jism Ka Numaaya Hona Inhe Achcha Nahi Laga, Aur In Hone Kahaa, “Main Aage-Aage Chalta Hoon Aur Tum Log Mere Piche-Piche Aavo”. Aur Mujhe Raasta Batlaane Ke Liye Mere Piche Se Ek-Ek Pathar Fekti Rahena Taki Mujhe Maaloom Ho Sake Ki Kahaa Mudhna Hai Aur Kis Taraf Jana Hai”, Aur Is Tarhaa Ham Inke Piche-Piche Apne Ghar Tak Aayee Hai”.

*Hazrat Shoeb (Alaihay Salam) Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Kahaa, “Main Chahta Hoon Ki Tum Mere Yahaa Rahekar Ham Logo Ka Kaam (Khidmat) Karo, Inshah Allah Tum Par Koi Zulm Na Kiya Jayega Aur Tum Mujhe Bahut Rahem Dil Aur Nek Paavoge. Agar Tumne Aath Saal (8 Years) Hamaari Khidmat Ki To Iske Badle Me Main Apni Ek Beti Ka Nikaah Tum Se Kar Dooga. Aur Agar Tum Ne Das Saal (10 Years) Hamaari Khidmat Ki To Ye Ham Par Tumhara Ahesaan Hoga, Is Ke Liye Tum Par Koi Zabardasti Ya Paabandi Nahi Hogi”.

*Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Theek Hai Main Aapke Yahaa Aath Saal Kaam Karooga, Aur Baqi Ke Do Saal (2 Years) Meri Marzi Par Hoge Ki Main Kaam Karoo Ya Na Karoo, Aur Is Ke Liye Mujhe Mazboor Nahi Kiya Jayega Aur Koi Zor Zabardasti Nahi Ki Jaayegi”.
Hazrat Shoeb (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Mujhe Manzoor Hai, Aur Hamaare Darmiyaan Jo Bhi Ahad (Agreement) Huwa Hai Us Par Ham Dono Allah Ta’ala Ko Gawaah Banaate Hai” Aur Is Tarha Hazrat Musa (Alaihay Salam) Wahaa Rahekar Un Logo Ki Khidmat Anjaam Dene Lage.

Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)

To Be Continue …

5/5 - (1 vote)

Leave a Comment