Hiqayat (Part 20) » Nabi Musa (Alaihay Salam)

• Firoun Ki Badshahat Ko Khatm Kar Dene Wale Nabi Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Wiladat

*Allah Ta’ala Ki Sunnat (Tarika) Hai Ki Agar Koi Qoum Uski Nafarmaani Karti Hai To, Allah Ta’ala Us Qoum Par Dusri Zaalim Qoum Ko Musallat Kar Deta Hai. Allah Ta’ala Ne Bani Israayeel Ko Naafarmani Ya Aazmaayeesh Ki Wazaah Se Firoun Jo Zaalim Huqumraan Tha, Bani Israayeel Par Musallat Kar Diya. Aur Firoun Ne Unhe Apna Gulaam Banaa Liya. Firoun Jo Khud Ko Allah Kahelwata Tha Aur Logo Se Apni Ibaadat Karwata Tha. Kayee Saalo Ki Aazmaayeesh Ke Baad Allah Ta’ala Ne Bani Israayeel Par Rahem Kiya Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Uss Qoum Ki Aazaadi Aur Bhalaayee Ke Liye Mabwoos (Paida) Karne Ka Faisla Kiya.

*Riwaayato Me Hai Ki Firoun Ne Khawaab Dekha Ki Bani Israayeel Me Ek Ladka Paida Hoga Jo Uski Mout Aur Uske Baadshahat (Saltanat) Ko Khatm Kar Ne Ka Sabab Banega, Aur Ek Dusri Riwaayat Me Hai Ki Firoun Ke Darbaar Ke Najoomiyo (Jyotishiyo) Ne Peshgoyee Ki Thi, Aur Ek Aur Riwaayat Me Hai Ki Bani Israayeel Ke Beech Hi Ye Baate Chali Aa Rahi Thi Ke Rab Ta’ala Apne Ek Paigambar Ko Unke Beech Paida Karega Jo Unhe Is Zillat Ki Zindagi Se Aazaad Karega Aue Ye Baate Firoun Ke Ek Sipaahi Ne Suni Aur Firoun Ko Jaa Kar Bataayee (Allah-O-Aalam).

*Firoun Ne Jab Ye Khawaab Dekha Toh Badaa Bechain Ho Gayaa Aur Apne Darbaar Me Sabhi Najoomiyo Aur Khawaabo Ki Taabir Bataane Walo Ko Jamaa Kiya, Aur Un Logo Se Is Khawaab Ki Taabir Aur Us Se Nipatne Ka Tarika (Hal) Poocha. Toh Un Nazoomiyo Ne Uska Ye Hal (Raasta) Bataaya Ki Bani Israayeel Me Aane Wale Saal Me Jo Bhi Ladka Paida Ho Use Qatal Kar Diya Jaaye Aur Jo Ladki Ho Use Rahene Diya Jaaye. Firoun Ko Ye Tazweez (Hal) Pasand Aaya Aur Usne Apni Huqumat Ke Tamam Sipaahi Aur Daayiyo (Bachcha Paida Karwaane Wali Aurat, Nurs) Ko Is Kaam Par Laga Diya Ki Bani Israayeel Ke Har Ghar Aur Har Bachcha Jannewali (Haamlaa) Aurat Par Nazar Rakhi Jaaye Aur Jo Bhi Ladka Paida Ho Use Qatal Kar Diya Jaaye. Firoun Ke Zaalim Sipaahiyo Ne Aisa Hi Kiya Aur Na Jaane Kitne Maasoom Begunaaho Ko Qatal Kar Diya.

*Ye Allah Ta’ala Ki Hee Qudrat Thi Ke Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Waalda Haamlaa (Pregnet) Huyee To Jo Aasar Ek Haamlaa Aurat Ke Numaaya (Dikhna) Hote Hai Wo Numaaya Nahi Huve. Aur Isi Wazaah Se Kisi Bhi Daayee (Nurse) Aur Firoun Ke Sipaahi Ko Is Ki Bhanak Tak Na Lagi.
Aur Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Paida Huve To Unki Waalda Ko Fiqar Laahaq Huyee. Tab Allah Ta’ala Ne Unse Kahaa, “Is Bachche Ko Apne Hi Paas Rakho Aur Aur Ise Khilaavo Pilaavo Aur Jab Tumhe Koi Khdsha (Andesha) Ho To Is Bachche Ko Dariya (Paani, River) Me Baha Dena. Aur Gam Mat Karna Main Iss Bachche Ka Nighebaan Rahooga Aur Iss Bachche Ko Sahi Salaamat Tum Tak Pahoocha Dooga”.

*Allah Ta’ala Ne Hazrat Musaa (Alaihay Salam) Ki Waalda Ke Haamlaa Wale Asaarat Tou Chupa Liya Aur Wo Kisi Par Numaaya Na Huve, Lekin Jab Bachcha Paida Huwa To Zaahir Si Baat Hai Ki Logo Ko Is Ki Khabar Bhi Milegi, Aur Iski Khabar Shaayad Firoun Ke Sipaahiyo Ko Mil Gayee. Is Ke Pahele Ki Wo Sipaahi Hazrat Musa (Alaihay Salam) Tak Pahoochte Unki Waaldaa Ne Unhe Ek Ghaas (Graas) Ki Tokri Me Rakh Kar Dariya Neel Me Bahaa Diya Aur Apni Beti Mariam Jo Ki Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Badi Bahen Thi Unse Kahaa, “Is Tokri Par Nazar Rakhna Aur Ye Kahaa Jaati Hai Is Ke Piche Piche Jaana”.

**Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Bahen Ne Aisa Hi Kiya Aur Woh Chup Kar Uss Bahti Huyee Tokri Ka Picha Karne Lagi. Is Dariya-e-Nil Ke Kinaare Par Hi Firoun Ka Mahal Tha. Wo Tokri Ya Youn Kahiye Ki Wo Bachcha Bahete Huve Firoun Ke Mahal Tak Pahoocha. Jahaa Uss Bachce Ko Firoun Ke Noukaro Ne Utha Liya Aur Uss Bachche Ko Firoun Ki Biwi Bibi Aashiya Ke Paas Le Gaye. Wo Badi Nek Aur Allah Ta’ala Ki Ibaadat Guzaar Aurat Thi. Jab Unhone Itna Haseen Aur Zameel Khoobsurat Bachcha Dekha Toh Use Aage Badhkar Khud God Me Le Liya ….

Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)

To Be Continue …

Leave a Reply