Hiqayat (Part 19) » Nabi Musa (Alaihay Salam)

• Hazrate Yaqoob (Alaihay Salam) Ke Baraah (12) Beto me Se Yahood Naam Ke Bete Se Yahudiyon (Bani Israayeel) Ka Silisla Shuru Hua.

Aziz Dosto ,…. Aaj Ham Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aur Hazrat Haroon (Alaihay Salam) Ka Ziqr Karege . Dosto Hazrat Musa (Alaihay Salam) Mishar (Egypt ) Me Paida Huve . Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aise Akele Nabi Hai Jinka Ziqr Qur’an Majeed Me Sab Se Jiyaada Huwa Hai . Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Kisse (Waqyaat) Bhi Bahut Hai . Inhe Allah Ta’ala Se Hamkalaami (Baate Karne) Ka Sharaf Bhi Haasil Hai. Isiliye Inhe Kaleem Ulaah Ke Laqab Se Bhi Jaana Jaate Hai .

Yahoodi Inhe Allah Ka Darza Dete Hai (Nauzbillah) Aur Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Ko Allah Ka Beta Kahete Hai (Nauzbillah) Jab Ki Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aur Hazrat Uzair (Alaihay Salam) Sab Allah Wahdahu La Shariqalahu Ke Bande Aur Rasool The Aur Allah Ta’ala Ki Iabaadat Karte The. Yahoodiyo Ko Qur’an Majeed Me Bani Israayeel (Israayeel Ki Aulaad) Ke Naam Se Bhi Pukaara Gayaa Hai. Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ke Bete Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Aur Unke Bete Yaqoob (Alaihay Salam) Ka Ek Naam Israayeel Bhi Tha, Jis Ka Matlab Hai Allah Ta’ala Ka Banda Ya Farmaabardar. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ke Baraah (12) Bete The Jo Ki Baraah (12) Qabile Me Bat Gaye The.

*Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Ek Bete Ka Naam Yahood Tha, Yahoodi Usi Qabile Ki Aulaad Hone Ki Wajaah Se Yahood Ya Bani Israayeel Kahelaaye. Yahood Lafz Hawadatun Lafz Se Bana Hai, Jiska Matlab Mohabbat Hota Hai Ya Tahawwood Se Bana Hai Jiska Matlab Toubaa Karne Walaa Hota Hai, Isiliye Shuruwaat Me Inka Ye Naam Asal Me Touba Karne Ya Ek Dusre Se Mohabbat Rakhne Ki Wajaaz Se Padaa.

*Ummat-e-Mohammadi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Pehele Ye Ummat Sab Se Afzal Ummmat Thi, Allah Ta’ala Ne Bani Israyeel Par Bahut Ahesanaat Kiye Jin Ka Ziqr Qur’an Majeed Me Jagaah-Jagaah Par Kiya Gaya Hai. Aur Sab Se Jiyaada Paigambar (Alaihay Salam) Isi Ummat Ki Rahenumaaye Aur Bhalaayee Ke Liye Mabwoos Huve Ya Bheje Gaye.

*Allah Ta’ala Ne Bani Israyeel Par Bahut Se Inaamaat Bhi Kiye Aur Har Tarhaa Se Is Ummat Ko Nawaaza. Lekin Ye Ummat Badbakhat Ho Gayee. Aasmaani Kitaabo Ya Shahifo, Jaise Tauret Aur Zaboor Jo Inki Raahenumaayee Ke Liye Naazil Ki Gayee Thi, Uss Me Apne Faayede Ke Liye Fer-Badal Karne Lage Aur Raahe Raast Se Bhatak Kar Gumraah Aur Zalil Ho Gaye. Ye Qoum Itni Badbakhat Thi Ki Allah Ta’ala In Ki Islaah Ke Liye Jo Nabi Ya Rasool (Alaihay Salam) Bhejte Ye Unhe Qatal Kar Daalte, Yahaa Tak Ki Ek Din Me Kayee-Kayee Nabiyo (Alaihay Salam) Ko Qatal Kar Diya. Inke Beech Jo Bhi Rasool Ya Nabi Aata Ye Uski Baat Nahi Maante The. Aur Na Us Par Imaan Laate. Aur Apne Bad Bakhti Aur Bure Amal Me Hadd Se Aage Badh Gaye. Qur’an Majeed Me Sab Se Jiyada Inhi Ko Mutawazze Kar Ke Baate Ki Gayee Hai, Kyonki Ye Sab Log Madina Shareef Ke Aitaraaf Me Base Huve The.

*Inhi Logo Ko Baar-Baar Islaam Ki Daawat Di Jaati Lekin Ye Log Apni Hathdharmi Aur Allah Ta’ala Ki Nafarmaani Ki Wazaah Se Imaan Na Laaye. Waise Ye Qoum Yahood Shuru Se Hi Doulatmand Rahi Hai Aur Aaj Bhi Ye Bahut Bade Doulatmand Hai. Lekin Isi Doulat Aur Hathdharmi Ne Inhe Allah Ta’ala Ka Naafarmaan Aur NaShuqra Banaa Diya. Aaj Jitni Bhi Bad’Akhlaaqi Buraayee Aur Besharmi Faili Huyee Hai Sab In Hi Malwoono Ki Den Hai,

Banking System Inhi Ki Den Hai Jo Ki Sood Par Bana Huwa Hai Jab Ki Inki Shariyat Me Bhi Sood Lena Haraam Tha. Aaj Jitne Bhi Bade-Bade Kaarkhaane Aur Manufacturer Companies Hai, Suyee (Needle) Se Le Kar Airplane Banane Tak, Chaahe Wo Kisi Bhi Mulk Me Ho.

Aziz Dosto ,…… Qur’an Majeed Me Sab Se Jiyada Aayate Ya Ziqr Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ka Huwa Hai , Aur Jahaa Bhi Unka Ziqr Huwa Hai Wahi Par Yahoodiyo Ko Baar-Baar Nasihate Di Gayee Aur Unhe Haq Ki Daawat Qabool Kar Ne Ke Liye Kahaa Gayaa. Allah Ta’ala Ne Unhe Un Par Kiye Gaye Ahesaanat Yaad Dilaaye. Aur Un Par Jo Azaab Unki Kartooto Ki Wazaah Se Musallat Kiye Gaye The Us Se Nizaat De Kar Jo Inaamat Diye Us Ki Bhi Yaad Dahaani Karaayee, Lekin Ye Yahood Qoum Itni Badbakhat Thi Ke Laakh Samjhane Par Aur Azaab Ki Dhamki Dene Ke Baawjood Imaan Na Layee Aur Apni Hathdharmi Aur Khabaasat Par Qaayem Rahi. Aisa Nahi Tha Ki Un Logo Ko Haq Ki Baat Samajh Me Nahi Aati Thi.

*Woh Log Haq Ki Baat Achchi Tarhaa Jaante The, Kyonki Woh Log Jo Kitaabe (Taurat Aur Zaboor) Ya Sahife Padhte The Us Me Bhi Nabi Aakhiri-Uz-Zama Ke Aane Ka Ziqr Tha, Aur Woh Log Bhi Besabri Se Akhiri Nabi Ke Aane Ka Intezaar Kar Rahe The. Aur Madeena Me Rahne Wale Log Jo Abhi Imaan Na Laaye The Unse Aakhiri Aane Wale Nabi Ka Ziqr Kiya Karte The, Aur Kahete The Ki Jab Woh Aakhiri Nabi (Alaihay Salam) Aayenge Toh Ham Sab Se Pahele Un Par Imaan Laayege Aur Un Ke Saath Milkar Dushman Qaumo Se Jihaad Karege Ya Jung Ladhege Aur Apne Dushmano Par Fataah Paayege. Aur Nabi Aakhiri-Uz-Zama (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Aane Ke Pahele Unke Naam Ka Waseela Lekar Allah Ta’ala Se Duwaa Karte Aur Jange Ladhte Aur Qaamyaab Bhi Hote.

♥ Qur’an Majeed Me Surah Bakraah Me Allah Ta’ala Ne Yahoodiyo Se Mukhatib Ho Kar Farmaaya,
Ahle Kitaab (Yahood Aur Nasara) Haq Baat Ko Usi Tarhaa Pahechaante Hai Jis Tarhaa Apni Aulaado Ko Pahechante Hai”, Aur Ye Bhi Farmaaya, “Haq Baat Ko Pahechaante Huve Us Ka Inqaar Mat Karo Aur Sab Se Pahele Kaafir Na Bano”.

*Dosto Yahaa Par Ek Sawaal Aapke Jehan (Mind) Me Uth’ta Hoga Ki In Logo Ko Baar-Baar Samjhaane Aur Nasihate Karne Ke Baawjood Ye Log Imaan Kyon Nahi Laaye Aur Apni Hathdhrmi Par Kyon Qaayem Rahe ? To Iska Jawaab Ye Hai, JeSe Ki Hamne Pahele Bhi Likha Hai Ki Ummate Mohammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Pahele Ye Qoum Sab Se Afzal (Behtar) Qoum Thi, Kyonki Sab Se Jiyaada Paigambar (Alaihe As Salaam) In Hi Ki Qoum Me Se Maboos (Paida) Kiye Gaye. Isi Wazaah Se In Logo Ko Ye Bad Gumani Ho Gayee Ki Ham Log Paigambro Ki Aulaade Hai, Aur Ham Allah Ta’ala Ke Chahete Hai Aur Allah Ta’ala Ham Se Mohabbat Karta Hai, Isiliye Ham Log Jehannum Me Nahi Jaayege Aur Agar Gaye Bhi To Thodi Si Hi Muddat Ke Liye.

*Aur In Logo Ka Ye Gumaan Tha Ki Aakhiri Paigambar (Alaihay Salam) Jo Aayenge Woh In Hi Ki Qoum Se Hoge. Kyonki Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ke Baad Jitne Bhi Nabi (Alaihe As Salaam) Bheje Gaye Woh Sab Unke Bete Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Ki Nasl Se The. Aur Yahoodi Bhi Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Ki Nasl Se The. Lekin Allah Ta’ala Ne Aakhiri Nabi Mohammed (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ke Dusre Bete Hazrat Ismaayeel (Alaihay Salam) Ki Nasl Me Mabwoos (Paida) Kiya. Ye Hi Baat In Yahoodiyo Se Bardast Na Huyee Kyonki Woh Apne Aap Ko Duniya Ki Har Qoum Se Afzal Samajhte The Aur Dusri Qoumo Ko Haqir Aur Jaahil Gawaar Samajhte The. Aur Jab Aakhiri Nabi Mohammed (Sallallahu Alaihay Wasallam) Dusri Qoum Me Tasreef Laaye To Haq Baat Jaante Huve Bhi In Yahoodiyo Ne Unki Risaalat Ka Inqaar Kiya Aur Mohammed (Sallallahu Alaihay Wasallam) Par Aur Un Par Naazil Qur’an Majeed Par Imaan Na Laaye.

Aur In Badbakhto Ne Ye Bhi Ilzaam Lagaaya Ki Hazrat Ismaayeel Jo Ki Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ki Dusri Biwi, Bibi Haajraa Se Paida Huve The Aur Bibi Haajraa, Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ki Gulaam (Kaneez) Thi Aur Unka Nikaah Nahi Huwaa Tha (Nouzbillah) Isiliye Hazrat Ismaayeel (Alaihay Salam) Bagair Nikah Ki Aulaad Hai (Nouzbillah) Lekin Allah Ta’ala Ne Qur’an Majeed Me Bibi Haajraa Ko Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ki Biwi (Wife) Kaha aur farmaya ke Unka Nikaah Bhi Huwaa Tha.

*Allah Ta’ala Sab Kuch Jaan’ne Wala Hai Aur Har Baat Se Ba-Khabar Hai, Aur Jis Baat Ki Gawaahi Allah Ta’ala De, Us Se Badi Koi Dalil Nahi Ho Sakti. Lekin In Aqal Ke Andhe Yahoodi Jo Ek Taraf To Allah Ta’ala Ke Chahite Hone Ka Daawa Karte Hai Aur Dusri Taraf Allah Ta’ala Ke Maheboob Aakhiri Nabi Mohammed (Sallallahu Alaihay Wasallam) Par Aur Jo Allah Ta’ala Ka Kalaam (Qur’an) Un Par Naazil Huwaa Uss Par Imaan Na Laaye ,..

Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)

To Be Continue …

Rate this post

1 thought on “Hiqayat (Part 19) » Nabi Musa (Alaihay Salam)”

Leave a Reply

Related Posts: