Hiqayat (Part 18) » Nabi Shoaib (Alaihay Salam)

• Nabi Shoiab (Alaihay Salam) Ki Nafrman Qoum Ko Allah Taala Ne Aag Ke Sholey Aur Zameen Ke Zalzale Se Halaq Kar Diya.

Aziz Dosto ,….. Aaj Ham Hazrat Shoaib (Alaihay Salam) Ka Ziqr Karege. Hazrat Shoaib (Alaihay Salam) Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Sasur The, Inka Waqiya Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Pahele Ka Hai. Yaman Se Shaam (Siriya) Aur Iraq Se Mishr (Egypt) Ki Shahraah (Main Road, Bada Raasta) Ke Chowk (Crossing, Chouraasta) Par Ek Basti Aabaad Thi Aur Wo Aaj Bhi Hai, Us Basti Ka Naam Madyan Ya Al Aikaah Tha, Al Aikaah Ka Matlab Ghana Darakht (Tree) Ya Ghana Jungle Ke Bhi Hota Hai, Jo Ki Red Sea (Bahar-e-Ahmar Ya Laal Saagar) Ke Kinaare Basi Huyee Thi.

*Ye Ek Puraani (Old) Tijaarati (Business) Shahraah Thi Jo Yaman Makkah Se Hotey Huve Shaam (Siriya) Tak Jaati Thi. Jis Par Makkah Ke Quraish Ke Log Tijaarat Kar Ke Bahut Khush Haal Ho Gaye The, Aur Madyan Ka Pura Ilaaqa Tijaarati Chowk Ya Tijaarati Mandi (Bazaar) Ban Gaya Tha, Wahaa Ke Rahnewale Logo Ne Tijaarat Kar Ke Khoob Faayeda Kamaaya Aur Khoob Maaldaar Ho Gaye The. Ye Log Ibrahim (Alaihay Salam) Ke Bete Ishaq Aur Unke Bete Madyan Ki Aulaado Se Ta’alluq Rakhte The, Isi Wazaah Se Inhe Ahle Madyaan Ya Ahle Madyen Kahaa Jaata Tha. Qur’an Majeed Me Ek Jagaah Inhe As-Haabe Al Aikaah Bhi Kahaa Gaya Hai.

*Ye Log Boot Parasti (Murti Pooja) Ke Alawaa Bhi Dusre Gunaaaho Me Hadd Se Badh Gaye They. Jaise Ki Anaaj Aur Dusre Samaano Me Milaawat Karna, Saamaan Kum Toul Kar Dena (Dandi Marna Ya Beimaani Karna), Jinse Saamaan Lena Hai To Jiyaada Le Lena Aur Bhi Bahut Si Khuraafaate Kiya Karte They.

*Allah Ta’ala Ne Is Qoum Ki Islaah Ke Liye Hazrat Shoaib (Alaihay Salam) Ko Iss Qoum Ki Taraf Bheja. Hazrat Shoaib (Alaihay Salam) Ne Apni Qoum Se Kahaa, “Aye Meri Qoum Ke Logo, Allah Ta’ala Wahdahu La ShariqalaHu Ki Ibaadat Karo, Uske Siwaa Koi Bhi Ma’abood Ibaadat Ke Laayeq Nahi, Tumhaare Paas Tumhaare Rab Ki Taraf Se Khuli Dalil (Nishaaniya) Aa Chuki Hai, Isiliye Tum Maap-Toul Pura Rakha Karo, Aur Logo Ko Unki Cheeze Kam Na Diya Karo, Aur Zameen Me Islaah Ho Jaane Ke Baad Is Me Bigaad Na Paida Karo, Ye Baat Tumhaare Liye Bahut Behtar (Achchi) Hai , Agar Tum Momin Ho, Aur Raaste Me Raahzan (Lutere) Ban Kar Mat Baith Jaawo Ke Logo Ko Dhamkaate Firo, Aur Jo Shakhs (Aadmi) Allah Ta’ala Par Imaan Laaye Usey Uski Raah Se Mat Rokne Lago, Aur Apne Gunaaho Par Jam Kar Mat Baith Jaawo, Aur Wo Waqt Yaaad Karo Jab Tum Log Thodey Se They. Tou Allah Ta’ala Ne Tumhe Jiyaada Kar Diya Aur Tumhe Doulat Se Nawaaz Diya. Aur Ye Bhi Dekho Ki Buraayee Aur Fasaad Karne Walo Ka Kya Anjaam Hota Hai. Aur Jo Kuch Mujhe Rab Ne De Kar Bheja Hai Tum Agar Uss Par Imaan Na Laaye To Sabar Karo Ke Allah Ta’ala Tumhaare Aur Hamaare Darmiyaan Faislaa Kar De, Aur Woh Hi Sab Se Behtar Faislaa Karne Wala Hai.

*Unn Ki Qaum Ke Ghamandi Aur Maaldaar Sardaaro Ne Kahaa, “Aye Shoaib (Alaihay Salam) ! Ham To Ye Samajhte Hai Ki Tum Par Kisi Ne Jaadoo Kar Diya Hai, Ham Teri Baat Na Maanege. Tum Aur Jo Log Tum Par Imaan Laaye Hai Agar Apne Baap-Dada Ke Deen (Mazhab) Par Waapas Na Aaye To Ham Log Tum Sab Ko Apni Basti Se Nikaal Baahar Karege”.
Hazrat Shoaib (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Khawaah Agar Ham Tumhaare Deen Ko Pasand Na Kare Tab Bhi ? Ham Logo Ka Tumhaare Deen Par Loutne Ka Sawaal Hi Nahi Uthta.

*Agar Ham Tumhaare Deen Me Waapas Aa Gaye To Iska Matlab Ye Hoga Ki Ham Ne Allah Ta’ala Par Jhooth Baandha Ya Allah Ta’ala Ke Baare Me Jhooth Kahe Rahe Hai. Jab Ki Haqiqat To Ye Hai Ki Allah Ta’ala Ne Hame Tumhaare Jhoothe Deen Se Chhutkaara Diya (Nizaat Di) Aur Hame Haq Ki Raah Dikhaayee Hai, Ab Hamaara Tumhare Deen Me Loutna Mumkin Nahi Hai, Alaawa Is Ke Ki Allah Ta’ala Ki Maishiyat (Agar Allah Ta’ala Chaahe) Ho Ya Allah Ta’ala Ki Is Me Razaa Ho. Hmaare Rab Ke Ilm Ne Har Cheez Ko Gher Rakha Hai, Ham Allah Ta’ala Par Hi Bharosa Rakhte Hai, Aye Hamaare Rab ! Hamaare Aur Hamaari Qoum Ke Darmiyaan Insaaf Se Faislaa Kar De Aur Tu Hi Sab Se Behtar (Achcha) Faislaa Karne Wala Hai”

*Iss Par Unki Qoum Ke Doulatmand Sardaaro Ne Kahaa, “Agar Ham Tumhaari Baat Maan Le To Hamara Nuksaan Ho Jaayega Aur Hamara Kaam Dhandha Choupat Ho Jayega”. Hazrat Shoaib (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Tum Log Jo Tijaarat Karte Ho Uski Bachat Hi Tumhaare Liye Behtar Hai, Aur Allah Ta’ala Tumhaari Uss Bachat Me Bahut Barqat Dega”.
Lekin Unki Qoum Ke Doulatmand Logo Ne Unki Daawat Ko Thukra Diya Aur Jo Log Imaan Laaye The Unhe Bhi Hazrat Shoaib (Alaihay Salam) Ke Paas Jaane Se Rokne Lage.

*Dosto Yahaa Ek Baat Gour Karne Laayeq Hai Ki, Allah Ta’ala Ne Jitne Bhi Ambiya (Alaihe Assalaam) Bheje Unke Sab Se Bade Dushman Unki Hi Qoum Ke Doulatmand, Ghamandi Aur Choudhri Aur Sardaar Kism Ke Log Huwaa Karte The, Iski Wajaah Ye Nahi Thi Ke Unhe Haq Baat Samajh Nahi Aati Thi, Balki Iski Wajaah Ye Hoti Thi Ke Nabiyo Ki Dawat Par Sab Se Pahele Labbaik Kahne Wale Gareeb Aur Miskeen Log Aur Samaaj Ka Pasmaanda Tabqe Ke Log Huwaa Karte The, Aur Agar Aisi Haalat Me Woh Doulatmand Aur Amir, Sardaar Kism Ke Log Us Nabi Ki Ita’at Qabool Karte Tou Is Par Un Logo Ki Huqumat Unka Iqtedaar (Raaj-Paat), Hukumat Khatam Ho Jaane Ka Darr Rahta, Aur Dusri Baat Ye Thi Ke Agar Nabi Ki Baat Maan Le To Unhe Bhi Apne Se Kamzor Aur Miskeen Gareeb Logo Ki Saf (Line) Me Shameel Hona Padta. Jo Log Kayee Sadiyo Se Gareebo Aur Miskeeno Ko Apna Gulaam Banaaye Huve The Unhe Iss Baat Ko Tasleem (Qabool) Karna Gawaara Na Tha .

*Aur Gareeb Log Sab Se Pahele Isiliye Labbaik Kahete The Ki Unhe Is Me Apni Nizaat (Aazaadi) Ki Raah Nazar Aati Thi. Ab Jo Log Bhi Nabi Ki Daawat Ko Qabool Karte To Ye Doulatmand Aur Sardaar Log Ye Kahe Kar Use Rokte Ki Woh Nabi To Hamaari Tarhaa Bashar Hai, Hamari Tarhaa Khata Pita Hai Aur Bazaaro Me Ghumta Hai, Uski Baate Na Maano, Woh Chaahta Hai Ki Tumhe Iqtedaar Se Hataa Kar Khud Iqtedaar Haaseel Karle.

Hazrat Shoaib (Alaihay Salam) Ne Apni Qoum Ke Logo Se Kahaa, Kya Tum Allah Ta’ala Se Nahi Darte Aur Tumhe Allah Ta’ala Ka Khouf Nahi Hai ?. Main Tumhaari Taraf Allah Ta’ala Ki Taraf Se Bheja Gaya Amaanatdaar Rasool Hoon, Main Tumhaari Bhalaayee Chaahta Hoon, Allah Ta’ala Se Daro Aur Meri Farmabardaari Aur Ita’at Karo. Main Apne Is Kaam Ke Liye Tumse Koi Mehantaana (Uzrat, Mazdoori) Nahi Maangta. Mera Ajar (Kamaayee Ya Majdoori) To Allah Ta’ala, Jo Ki Dono Jahaan Ka Paalne Wala (Rab) Hai Uske Paas Hai, Tum Log Naap-Taul Pura Diya Karo Aur Sidhi Taraazoo Se Toula Karo Aur Achchi Cheezo Me Buri (Khabeesh) Cheez Mila Kar Mat Diya Karo”.

*Unki Qoum Ke Kaafir Sardaaro Ne Kahaa, “Ham To Tujhe Apni Hi Tarha Ka Insaan Samajhte Hai, Aur Ham Tujhe Aur Jo Tujh Par Imaan Laaye Sab Ko Jhootha Samajhte Hai. Ham Teri Baat Par Hargeez Imaan Na Laayege, Agar Tu Sachcha Hai To Ham Par Aasmaan Ka Koi Tukda Gira De Ya Jiski Tu Hame Dhamki Deta Hai Wo Azaab Le Aa”.

Hazrat Shoaib (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Mera Rab Khoob Jaanne Wala Hai Jo Kuch Tum Log Kar Rahe Ho”.
Is Tarhaa Hazrat Shoaib (Alaihay Salam) Ki Qoum Ke Logo Ne Unhe Jhuthlaa Diya Aur Siwaaye Thode Se Logo Ke Baaqi Ne Imaan Na Laaya. Ab Kyonki Un Kaafiro Ne Unhe Jhuthlaa Diya Aur Azaab Ki Maang Ki To Unhe Sayaa (Chaavo Ya Shadow) Wale Din Ke Azaab Ne Pakad Liya, Woh Bade Bhari Din Ka Azaab Tha.

*Allah Ta’ala Ne Hazrat Shoaib (Alaihay Salam) Aur Jo Log Un Par Imaan Laaye The Unhe Bachaa Liya. Aur Jin Logo Ne Kufr Kiya Aur Hathdharmi Dikhate Huve Azaab Ki Maanng Ki Thi Allah Ta’ala Ne Un Par Azaab Naazil Kar Diya.
Kuch Riwaayato Me Aaya Hai Ki Saat Din (7 Days) Un Logo Par Sakht Garmi Aur Dhoop Musallat (Daal Di Gayee) Kar Di Gayee Is Se Woh Log Bad-hawaas Ho Gaye. Is Ke Baad Aasmaan Par Ek Kaala Ghanaa Baadal Chhaa Gayaa, Aur Woh Sab Kaafir Garmi Aur Dhoop Ki Siddat (Tezi) Se Bachne Ke Liye Us Kaale Ghane Baadal Ke Niche Jamaa Ho Gaye Taki Kuch Raahat Ki Saans Mil Sake Aur Dhoop Aur Garmi Se Chhutkaara Mil Sake, Lekin Achaanak Aasmaan Se Aag Ke Sholey Barasne Lage, Zameen Bhi Zalzale Se Larajne Lagi (Kaapne Lagi, Hilne Lagi) Aur Ek Zordaar Chinghaad (Aawaaz) Ne Sab Ko Mout Ki Neend Sula Diya. Aur Is Tarhaa Sare Kaafir Halaaq Kar Diye Gaye.

*Dosto Isiliye Bahut Zaroori Hai Ki Hum Allah Ta’ala Ki Ibaadat Kare Aur Har Waqt Uss Se Apne Gunaaho Ki Maafi Maangte Rahe. Allah Ta’ala Ne Hume Mohlate Isiliye Di Hai Ki Ham Apne Gunaaho Par Naadeem Ho Sharminda Ho Aur Sachche Dil Se Touba Kare, Zindagi Ka Koi Bharosa Nahi Na Jaane Kis Modh Par Mout Ka Farishta Hamaara Intezaar Karta Ho, Is Se Pahele Ki Mout Aa Jaaye Apne Gunaaho Ki Touba Kar Lo. Is Ke Pahele Ki Tumhari Namaaz (Janaaza) Padhi Jaye, Bhaiyo Namaaze Padho. Hamara Rab Beshaq Sab Gunaaho Ko Maaf Karne Walaa Aur Bada Rahem Karne Wala Meharbaan Hai.

Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)

To Be Continue …

Rate this post

Leave a Comment