Hiqayat (Part 16) » Nabi Hood (Alaihay Salam)

• Allah Ta’ala Ne Hood (Alaihay Salam) Ki Nafrman Qoum Ko Saat (7) Din Aur Aath (8) Raat tak Shadeed Aandhee Ke Azaab Se Nest-o-Nabood Kar diya.

Aziz Dosto ,…. Aaj Ham Hood (Alaihay Salam) Ka Ziqr Karenge. Hood (Alaihay Salam) Ek Qoum Jo Ki Aad Aram Ya Aad Aulaa Ke Naam Se Mashhoor Thi Unki Taraf Bheje Gaye. Ye Arab Ki Qadeem Tareen (Puraani) Qoum Thi. In Ka Ilaaqa Hajjaj Yamen Aur Omaan Ke Darmiyaan (Center) Me Tha, Aur Ab Ise Raabia Khaali Ke Naam Se Jaana Jaata Hai. Ye Ilaaqa Ab Sunsaan Biyaaban Registaan Hai, Jahaa Koi Aabaadi Nahi Hai.

*Riwayato Me Hai Ki Ye Qoum Bahut Taqatwar Thi. Ye Log Zameen Ke Andar (Under Ground) Aur Pahaado Ko Kaat Kar Ya Taraash Kar Apne Ghar Banaate The. Allah Ta’ala Ne Toofaane Nooh (Alaihay Salam) Ke Baad Iss Qoum Ko Yahaa Basaaya Aur Inhe Jo Quwat Bakhshi, Vaisi Quwat Duniya Ki Qoum Ko Na Di. Aur In Pe Bade Ahesaanaat Kiye, Lekin Ye Qoum Bhi Sirkash (Hadd Se Aage) Ho Gayee. Aur Boot Parasti Me Lag Gaye.

*Allah Subhanahu Ta’ala Ne Is Qoum Ki Islaah Ke Liye Hood (Alaihay Salam) Ko Bheja. Hood (Alaihay Salam) Ne Apni Qoum Se Kahaa, “Aye Meri Qoum Sirf Allah Ta’ala Ki Ibaadat Karo, Uske Siwaa Koi Ibaadat Ke Laayeq Nahi, Kya Tum Allah Ta’ala Se Darte Nahi ?”.

*Unki Qoum Ke Jo Kaafir Sardaar The Unhone Kahaa – “Ham To Tumhe Hi Naadaan (Kam Aqal) Samajhte Hai, Aur Tumhe Jhootha Samajhte Hai. Hame To Lagta Hai Ki Hamaare Kisi Ma’abood Ne Tum Ko Paagal Banaa (Bahekaa) Diya Hai”.
Hood (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Aye Meri Qoum, Main Naadaan Nahi, Balki Main Toh Sab Jahaano Ke Rab Ka Raasool Hoon, Main Apne Rab Ka Paigaam Tum Tak Pahoochaata Hoon, Aur Main Tumhaari Salaamati Chaahne Wala Aur Khairkhawaah Hoon”.

*Unki Qoum Ke Sardaaro Ne Kahaa, “Tum To Hamaare Jaise Hi Insaan Ho, Aur Ham Sab Taqatwar Jamaat Hai, Jab Ki Tum Kamzor Ho, Ham Kaise Maan Le Ki Tum Allah Ta’ala Ke Nabi Ho?, Koi Mouzzaza Ya Koi Daleel Le Kar Aawo”.
Hood (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Kya Tumhe Is Baat Se Ta’ajjub (Hairat) Huwa Ki Tumahaare Paas Tumhaare Rab Ki Taraf Se Nasihat Tumhaari Hi Qoum Ka Ek Aadmi Le Kar Aaya Hai, Taki Woh Tumhe Daraaye Aur Allah Ta’ala Ke Ahesaanaat Yaad Karaaye, Ke Rab Ne Tumhe Qoum Nooh (Alaihay Salam) Ke Baad Zameen Ka Maalik Banaaya Aur Tumhe Khoob Taqatwar Banaaya, Isiliye Tum Allah Ta’ala Ko Yaad Karo Uss Ki Paaki Bayaan Karo. Taki Tum Falaah (Qaamyaabi) Pa Sako”.
Unki Qoum Ke (Kaafir) Sardaar Kahene Lage, “Kya Tu Hamaare Paas Isiliye Aaya Hai Ki, Ham Sirf Ek Akele Allah Ta’ala Ki Ibaadat Kare, Aur Jinki Ibaadat Hamaare Baap-Dada Karte Rahe Inhe Chhod De?, Agar Tu Sachcha Hai To Jis Azaab Ki Tu Dhamki Deta Hai Use Le Aa”.

*Hood (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Tumhaare Rab Ki Taraf Se Tum Par Azaab Aur Uska Gazab Saabit Ho Chuka Hai, Kya Tum Mujh Se Aise Allahawo (Ma’abood) Ke Naamo Ke Baare Me Jhagadte Ho Jinhe Tumhaare Baap-Dadaavo Ne Khud Hi Ghad (Apne Dil Se Jhootha Rakh) Liya Hai. Jin Ke Liye Allah Ta’ala Ne Koi Dalil Ya Sanad Nahi Utaari Hai, Isi Liye Ab Tum Bhi Intezaar Karo Aur Ham Bhi Intezaar Karte Hai, Rab Ne Jis Azaab Ka Wada Kiya Hai Wo Aa Kar Hi Rahega”.

*Allah Ta’ala Ne Hood (Alaihay Salam) Aur Jo Unpar Imaan Laaye The Un Sab Ko Sahi Salaamat Bachaa Liya Aur Qoum Aad Par Shadeed Aandhee Ka Azaab Musallat Kiya, Jo Ki Saat (7) Raate Aur Aath (8) Din Musalsal (Continue) Chalti Rahi. Un Ke Under Ground Gharo Me Ghus Kar Unhe Patak-Patak Kar Maarti Rahi, Kaafiro Me Se Koi Bhi Na Bach Saka. Iss Tarhaa Puri Qoum Azaab-e-Ilaahi Se Safe Hasti Se Mit Gayee Unka Namo Nishaan Baqi Bhi Na Rahaa. Aur Allah Taala ne Iss Nafarman Qoum ka Hashr bhi Aane wali Qaum Ke Liye Ibrat ki Nishani Banayi.

Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)

To Be Continue …

Aagli Hiqayat (Part 17) Me Hazrat Saleh (Alaihay Salam) Ke Baare Me Zikr Karenge …

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Related Posts: