• Bete Hazrat Ismaayeel (Alaihay Salam) Ki Pehli Bivi Ki Na-Shukri Par Waalid Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Ghar Ki Choukhat Badalne Ka (Yaani Pehli Na-Shukr Bivi Ko Talaaq Dene Ka) Hukm Diya.
Aziz Dosto …… Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Khana-e-Kaaba Ki Taameer Ke Waqt Ye Duwaa Ki Ke Meri Aulaad Me Aakhiri Nabi Ko Mabwoos (Paida Kar Ya Bhej).
Aur jiska natija ye hua ke Allah Taala ne apne fazl se Ismayeel (Alahi Salam) ki nasl me Aise Nabi ko Paida farmaya jo na sirf Arbo ke liye balki tamam Aalam ke liye Rehmat banakar bheje gaye, Aahadees me aata hai ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne farmaya, “Main Ibrahim (Alaihay Salam) Ki Dua Hoon,..”
♥ Khana-e-Kaaba Ka Tawaaf :
Jab Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Baitullah Ki Taameer Kar Li To Unke Dil Me Khayaal Aaya Ki Kahee Kisi Cheez Ki Kami To Nahi Rah Gayee. Isiliye Unhone Ek Kone (Corner) Se (Tawaaf) Chakkar Lagaya Aur Baitullah Ke Charo Taraf Ghoom Kar Waapas Usi Kone Par Pahoonche. Lekin Unka Dil Mutmayeen Na Huwa, Fir Dusra Chakkar Lagaya Fir Usi Kone Par Waapas Pahoonche, Fir Bhi Unko Dili Tasalli Na Huyee Fir Teesra Chakkar Lagaaya, Isi Tarha Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Saat (7) Chakkar Khana-e-Kaaba Ke Lagaye. Unki Ye Adaa Allah Ta’ala Ko Itni Pasand Aaye Ke Tamaam Ummate Musalmaa Ko Jo Bhi Allah Ta’ala Ke Ghar Ki Jiyaarat Ke Liye Aaye Chaahe Wo Haj Karne Aaye Ya Umraah Karne, Uske Liye Apne Ghar (Baitullah) Ka Tawaaf Karna Farz Kar Diya. Aziz Dosto ,.. Riwaayato Me Hai Ki Jab Khanaa-e-Kaaba Ban Kar Tayyar Ho Gaya Toh Allah Ta’ala Ne Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Huqm Diya Ki, “Aye Ibrahim ! Logo Ko Mere Ghar Ka Tawaaf Aur Jiyaarat (Haj Aur Umraah) Kar Ne Ke Liye Daawat Do Ya Logo Ko Mere Ghar Ka Tawaaf Aur Jiyaarat Ke Liye Pukaaro”. Iss Par Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Arz Kiya, “Aye Mere Rab ! Yahaa Par Toh Koi Nahi Hai, Na Aadam Hai Na Aadam Ki Jaat, Meri Pukaar (Daawat) Koun Sunega ?” .
*Allah Ta’ala Ne Irshaad Farmaaya, Aye Ibrahim ! Logo Ko Pukaarna (Daawat Dena) Tumhara Kaam Hai, Aur Use Logo Tak Pahoochana Mera Kaam Hai. To Bas Tum Pukaaro”.
♥ Khana-e-Kaaba Ko Suthra Rakhne Ka Hukm:
Allah Ta’ala Ne Baitullah Ko Logo Ke Liye Sawaab Aur Aman Ki Jagaah Qaraar Diya, Aur Huqm Diya Ki Maqaam-e-Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Salaat (Namaaz Ya Ibaadat) Ki Jagaah Banaavo, Aur Ibrahim (Alaihay Salam) Aur Ismaayeel (Alaihay Salam) Ko Huqm Diya Ki, “Tum Mere Ghar (Baitullah) Ka Tawaaf Karne Walo, Aitqaaf, Rukoov Aur Sajdaa Karne Walo Ke Liye Saaf Suthraa Rakho”.
*Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Allah Ta’ala Se Duwaa Ki, “Aye Mere Rab, Is Shahar Ko Aman Ka Shaher Banaa De, Aur Is Ke Rahne Walo Me Jo Koi Allah Ta’ala Par Aur Aakhirat Par Imaan Laaye Unhe Falo (Fruits) Ka Rizq Ataa Kar”.
Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Mera Waada Kaafiro Ke Liye Nahi Hai, Jo Kufr Karega Use Thoda Faayeda Doonga, Fir Jahannum Ke Azaab Me Daal Dooga, Aur Ye Bahut Bura Thikaana Hai”.
Aur Is Tarhaa Allah Ta’ala Ne Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Aazmaaya Bhi Aur Un Par Rahem Bhi Kiya Unhe Apna Khalil Banaaya Aur Unki Aulaado Me Se Paigambar, Nabi Aur Rasool Banaaye.
*Ek Baar Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Allah Ta’ala Se Sawaal Kiya, “Aye Mere Rab Tu Mout Ke Baad Zinda Kis Tarhaa Karega ?”.
Allah Ta’ala Ne Farmaaya Ki, “Kya Tujhe Yaqeen Nahi Hai? ”.
Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Mere Rab Mujhe Pura Yaqeen Hai Bas Mai Dil Ki Tasalli Ke Liye Dekhna Chaahta Hoon”.
Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Chaar (4) Parinde (Birds) Le Aur Unhe Apne Saath Hilaa Le (Paaltu Bana Le) Aur Un Chaaro Ko Jibaah Karke Unka Gost (Meat) Aapas Me Milaa Le Aur Unko Pahaad Ki Choti Par Rakh Kar Awaaz De. Woh Doude (Bhagte) Chale Aayege”.
Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Aisa Hi Kiya Aur Woh Parinde Unki Aawaaz Par Zinda Ho Kar Doudte Huve Unke Paas Chale Aaye.
– (Surah Al-Baqara, Chapter #2, Verse #260)
♥ Har Haal Me Allah-e-Ta’ala Ka Shukr:
Aziz Dosto ,.. Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Jiyadatar Apni Paheli Biwi, Bibi Sara Aur Apne Bete Hazrat Ishaq (Alaihay Salam) Ke Saath Shaam (Syria) Me Hi Rahete The Aur Kabhi-Kabhi Apni Dusri Biwi, Bibi Hajra Aur Apne Bete Hazrat Ismaayeel (Alaihay Salam) Se Milne Makkah Shareef Aaya Karte They. Ek Baar Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Kaafi Arse (Bahut Dino) Ke Baad Apne Gharwalo Se Milne Makkah Shareef Aaye Aur Is Beech Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Ka Nikaah (Shaadi), Makkah Me Hi Rahne Wali Ek Khatoon (Aurat) Se Ho Gaya. Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Jab Ghar Par Ja Kar Dastak Di Tou UnKi Bahu Se Mulaaqat Huyee. Unki Bahu Ne Unhe Pahechana Nahi Ke Ye Mere Sasur (Father In Law) Hai. Kyon Ki Woh Unhe Paheli Baar Dekh Rahi Thi. Ibrahim (Alaihay Salam) ne apne bete Ismayeel (Alaihay Salam) Ke Baare Me Pochaa Tou Unki Bahu Ne Jawaab Diya Ki, “Woh Ghar Par Nahi Hai, Jungle Gaye Huve Hai Kisi Kaam Se”.
*Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Poocha, “Aap Log Khair Khairiyat Se To Ho? Aur Aap Logo Ka Guzar-Basar Tou Achchi Tarhaa Se Ho Raha Hai?”
Is Par Unki Bahu Ne Shiqwaa Aur Shiqaayat Bhare Laheze Me Kahaa, “Ham Logo Ke Ghar Me Bahut Tangi Hai, Aur Guzaara Bhi Badi Mushkil Se Hota Hai”.
Apni Bahu Ke Muhh Se Ye Baate Sun Kar Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Abhi Tou Main Waapas Ja Rahaa Hoon. Aur Jab Bhi Ismayeel (Alaihay Salam) Aaye Toh Unse Kehana Ki, “Aap Ke Waalid (Father) Aaye They Aur Aap Ke Liye Ek Paigaam (Message) De Gaye Hai Ki, Tumhaare Ghar Ki Chaukhat (Door Frame) Achchi Nahi Hai, Isey Badal Dalo!”.
Jab Ismayeel (Alaihay Salam) Jungle Se Waapas Aaye Tou Unki Biwi (Wife) Ne Unhe Unke Waalid (Father) Ka Paigaam (Message) Suna Diya, Aur Fir Khud Hi Kahaa Ki, “Aap Ke Waalid Ne Ghar Ki Chaukhat (Door Frame) Badalne Ke Liye Kyon Kahaa ? ,. Hamaare Ghar Ki Chaukhat Tou Achchi Hai”.
*Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Jo Ki Apne Waalid Ke Paigaam Ka Matlab Samajh Gaye They, Apni Biwi Se Kahaa Ki, “Mere Waalid Ne Tumhe Badalne (Talaak Dene) Ke Liye Kahaa Hai, Ghar Ki Chaukhat Se Muraad Tum Ho”.
Aur Ismayeel (Alaihay Salam) Ne Apni Paheli Biwi Ko Talaak De Diya. Aur Kuch Arshe Ke Baad Duri Khatoon (Aurat) Se Nikaah (Shaadi) Kar Liya. Fir Kuch Arshe Ke Baad Dubaara Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam), Apne Bete Ismayeel (Alaihay Salam) Se Milne Makkah Shareef Aaye. Is Baar Bhi Jab Ghar Ke Darwaaze Par Dastak Di Toh, Unki Dusri Bahu Se Mulaaqat Huyee. Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Un Se Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Ke Baare Me Poocha. Woh Dusri Bahu Bhi Ibrahim (Alaihay Salam) Ko Nahi Pahechaanti Thi, Kyon Ki Woh Bhi Unhe Paheli Baar Dekh Rahi Thi, Uss Ne Jawaab Diya Ki Ismayeel (Alaihay Salam) Tou Kuch Kaam Se Jungle Gaye Huve Hai.
*Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Apni Bahu Se Poocha, “Aap Log Khair Khairiyat Se Tou Ho? Aur Aap Logo Ka Guzar-Basar Achchi Tarhaa Se To Ho Rahaa Hai ?”.
Is Par Dusri Bahu Ne Jawaab Diya, “Alham-Du-Lillah. Allah Ta’ala Ka Shukr aur Ahesaan Hai”.
Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Jab Apni Bahu Ke Muhh Se Ye Baate Suni To Kahaa, “Abhi To Main Waapas Ja Rahaa Hoon, Jab Bhi Ismaayeel Ghar Wapas Aaye Tou Unse Kehna Ki, “Aap Ke Waalid (Father) Aaye They Aur Aap Ke Liye Ek Paigaam De Gaye Hai Ki, “Aap Ke Ghar Ki Chaukhat (Door Frame) Achchi Hai, Ise Sambhal Kar Hifaazat Se Rakhna”.
*Jab Hazrat Ismayeel (Alaihay Salam) Jungle Se Waapas Aaye Tou Unki Dusri Biwi Ne Unhe Unke Waalid Ka Paigaam Suna Diya. Apne Waalid Ka Paigaam Sunkar Ismayeel (Alaihay Salam) Ne Apni Dusri Biwi Se Kahaa, “Mere Waalid Tum Se Khush They, Aur Tumhe Izzat, Ahetaraam Aur Mohabbat Se Rakhne Ke Liye Kahaa Hai”.
Aziz Dosto, Hame Har Haal Me Allah Ka Shukar Adaa Karna Chahiye. Uski Neymato Ki Na-Shukri Nahi Karna Chahiye. Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ki Paheli Bahu Ne Allah Ta’ala Ki Na-Shukri Ki Thi, Isi Liye Aap Ne Apne Bete Ko Usey Talaak Dene Ke Liye Kahaa Tha. Jab Ki Dusri Bahu Ne Allah Ta’ala Ka Shukar Adaa Kiya Tou Aap Ne Apne Bete Ko Uss Se Pyar Mohabbat Aur Ahetraam Se Pesh Aane Ke Liye Kahaa.
*Dosto Na Shukri Karne Wale Ko Allah Ta’ala Pasand Nahi Farmaata, Isiliye Apne Rab Ke Shukr Guzaar Bande Bano, Aur Uss Ki Neymato Ka Har Waqt Shukriya Adaa Karte Raho, Jis Se Tumhaari Rozi Roti, Kaam-Dhande, Aulaad Aur Maal-O-Zaar Me Barqat Rahegi. Allah Ta’ala Ham Sab Ko Apna Shukr Guzaar Banda Banaaye. !!!!! Aameen !!!!! Ya Rabbul Alameen !!
Reference: (Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)
To Be Continue …
Aage Ki Hiqayat (Part 16) Me Hazrat Hood (Alaihay Salam) Ke Baare Me Zikr Karenge …