Hiqayat (Part 12) » Ibrahim (Alaihay Salam)

Booto ki Touheen par Aag me Zokne ki Saza ka Hukm.

………. Aziz dosto ,…. Jab Ibrahim (Alaihay Salam) ki Qoum ne Ibrahim (Alaihay Salam) ko booto ki touheen karne ki jurm me qaid kiya aur unhe baadshahe waqt Namrood ki darbaar me pesh kiya. Baadshah Namrood jo ki khud ko Khuda kahelwata tha aur apne Khuda hone ka dawaa karta tha. uski saari awaam (public) usey Khuda ki tarha maanti thi.

………. Jab Ibrahim (Alaihay Salam) ko Namrood ke darbaar me paish kiya gayaa to Ibrahim (Alaihay Salam) ki qoum ne Namrood se kahaa, “Ye Shakhs humaare ma’aboodo ko bura-bhala kaheta hai aur hume kehta hai ki sirf ek ma’abood Allah ta’ala ki ibaadat karo.”

………. Namrood Ibrahim (Alaihay Salam) se mukhaatib huwaa aur kahaa, “Tu kis ki ibadat karta hai?.

………. Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “Main uss Rab ki ibaadat karta hoon jo saare jahaan ka malik hai.

………. Namrood ne kahaa, “Tera Rab kya kar sakta hai?.

………. Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “Mera Rab zindagi deta hai aur woh hi mout deta hai.” is par Namrood ne kahaa, “Ye to main bhi kar sakta hoon.

………. Uss waqt uske darbaar me do (2) aadmi laaye gaye unme se ek Begunaah tha aur ek mujrim jise mout ki sazaa huyee thi. Namrood ne jo begunaah tha use Qatal karne ka Huqm diya. usey usi waqt qatal kar diya gayaa aur jo muzrim tha jise mout ki sazaa huyee thi use aazaad kar diya aur Ibrahim (Alaihay Salam) se kahaa, “dekha main jise chaahoo zindagi doo aur jise chaahoo mout doo.

………. Is par Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “Mera Rab purab (east) se Suraj (sun) ko nikaalta hai aur paschim (west) me doobota hai, tu Suraj (sun) ko paschim (west) se nikaal kar bataa.”

………. is tarhaa Ibrahim (Alaihay Salam) ne Namrood ko lajawaab kar diya. Allah ta’ala Zaalimo ko hidaayat nahi deta. Namrood koi jawaab na de saka aur apne Khudayi ke daawe par banaa raha aur Ibrahim (Alaihay Salam) se kahaa, “Tu jiski ibaadat karta hai us se baaz aa ja, nahi to main tujhe mout ki sazaa dooga.

………. Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “Mere Rab ne mujhe Haq ki raah dikhayee hai, main agar usey chorr du tou mujhe apne Rab ke Azaab se koi nahi bachaa sakta aur Main bhi Zaalimo me Shumaar kiya jaunga, Main Raah-e-Mustaqeem se hargeez na hatunga.”

Pahaadi ke upar se niche Geeraane ki Saza

………. Is par Namrood ne unhe mout ki sazaa sunaayee aur unhe pahaadi ke upar se dhakka dekar niche Giraane ki Sazaa di. jab Ibrahim (Alaihay Salam) ko pahaadi ke upar se dhakka diya gaya to Allah ta’ala ne jibraayeel amin ko bheja, unhone Ibrahim (Alaihay Salam) ko sahi salaamat zameen tak pahoocha diya aur iss tarhaa Ibrahim (Alaihay Salam) bacha liye gaye.

………. Namrood ke sipaahiyo ne fir unhe qaid kar ke Namrood ke saamne pesh kiya is baar unhe ek bada sa paththar baandhkar pahaadi se niche giraane ka huqum diya gaya. jab dubaara Ibrahim (Alaihay Salam) ko bada sa paththar baandh kar pahaadi se niche feka gaya to jibrayeel amin ne unhe dubaara Allah ta’ala ke huqm se bachakar sahi salaamat zameen par pahoocha diya.

………. Namrood ke sipaahiyo ne phir Ibrahim (Alaihay Salam) ko qaid kar Namrood ke darbaar me pesh kiya.

………. Namrood ne kahaa, “Ek bahut badi aag ka alaaw tayyar kiya jaaye aur jalti huyee aag me Ibrahim (Alaihay Salam) ko daalkar jalaa kar maar diya jaaye.

Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ko aag me jalane ka hukm:

………. Ab aag ka alaaw tayyar kiya gayaa aur usme kayee dino tak aag ko dahekaaya gayaa aur us jalti huyee aag me Ibrahim (Alaihay Salam) ko daala gayaa. usi waqt Allah ta’ala ki rehmat josh me aayee aur Allah ta’ala ne aag ko huqm diya,Aye aag tu Ibrahim (Alaihay Salam) par salaamati waali ho ja, thandi ho ja.aur wo aag bhi Ibrahim (Alaihay Salam) ko jalaa na saki aur iss tarhaa Allah ta’ala ne unhe aag se bacha liya.

………. Uss waqt wahaa par Loot (Alaihay Salam) bhi moujood they, jab unhone ye Mojza (karaamat) dekha to fouran Ibrahim (Alaihay Salam) par imaan le aaye. Ibrahim (Alaihay Salam) aur loot (Alaihay Salam) Namrood se bachkar Syria (Shaam) ki taraf chale gaye.


Namrood ka bura Anzam:

………. Aziz dosto ,…. Namrood jo ki khud ke Khuda hone ka dawaa karta tha, ek din woh So rahaa tha ki eik langdaa (lamb) machchar ( Mosquito) uski naak ke raaste se uske dimaag me ghus gayaa, uska natizaa ye huwaa ki Namrood cheeq pe cheeq maarne lagaa.

………. Jab huqumat ke haqeemo ko bataya gayaa to unhone uska bahut ilaaj kiya lekin uska koi faayedaa nahi huwaa, aakhir me huqumato ke haqeemo ne usey salaah di ke aapke sir par jooto se maara jaaye to ho sakta hai ki woh machchar baahar nikal aaye aur aap ko aaraam aa jaaye.

………. Ab Namrood ke darbaar me jo bhi aata jo us adab se jhuk kar salaam aur sajdaa karte to Namrood kaheta pahele mere sir par joota maaro. uske darbaar me jo bhi aata woh uske sir par joota maarta. is tarhaa Khudayi dawaa karne waala ek chote se machchar ki wajaah se zaleel ho gayaa aur cheekh marte-marte wo halaaq ho gayaa aur isi wajaah se uski mout ho gayee.

To be Continued …

  PREV  ≡ List NEXT  

Aagey ka Kissa agle Part (13) me …

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Related Posts: