♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Anas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki –
Kuffar-e-Makkah Ne Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Ye Darkhwast Ki, Ke (Apni Nabuwat Ki) Koi Nishaani Batlaiye ?
*Tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Chaand Ki Taraf Ungli Se Ishaara Kar ke Chaand Ke Tukdey Ho Jana Dikha Diya.
– (Bukhari#3637, Muslim#7076)
*Hazrate Abdullah Bin Masud (RaziAllahu Anhu) Se Riyawat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Zamane Me Chaand Taqseem Ho Kar Do Tukrey Ho Gaya Tha,..
*Aur Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Tha Ke – “Logon Iss Par Gawah Rehna.”
– Sahih Al-Bukhari” (Book #56, Hadith #830)
– – – – –
> Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka ye Mubarak Mojza Duniya Bhar Ke Logon Ne Dekha ,. Usme Se Ek Hindustan Ke Raja Cheraman Perumal Bhi They Jo Tehkik Kar Khud Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Hatho Basharfe Islam Hue Aur Sahabi Ka Sharf Hasil Kiya.
*MOJZA-E-RASOOL: Chaand Ke Do Tukdey Hone Par Raja Cheraman Ki Iman Lane Ki Dasta:
> CHERAMAN PERUMAL (622-628 CE, 1-7 Hijri) Kodungallur Kerala Ka Raja Tha. Ek Raat Apne Mahal Se Dekha Ke Aasman Me Chaand Ke Do Tukdey Hogaye. M.Hamidulla Apni Kitab “Muhammad Rasoolullah (SAW)” Me Is Waqiye Ko Bakhubi Nakal Karte Hain. Ye Kitab London Ke INDIA OFFICE LIBRARY (Refrence Number: Arabic 2807,152-173) Me Maujood Hai.
– Jab Kuch Log Malabar Ke Raaste China Jarahe They, Unhone Cheraman Perumal Ko Ye Bayan Kiya Ke Ye ARAB Me Rahne Wale Rasool, Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Allah Ki Maddad Se Kiya Hai.
– Cheraman Perumal Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Baarey Me Sun Kar Hairaan Hogaya. Cheraman Peruman Ne Ye Suna Tha Aur Maloom Tha Ke Ek Shakhs Arab Me Hai Jo Ek ALLAH Ki Daawat De Raha Hai. Wo Apne Aap Ko ALLAH Ka Rasool Kehta Hai.
> Kuch Sahaba, Shaykh Sahirudhin ke Sath Raja Cheruman Perumal Se Mulakat Ki Aur Kaha Ke: “Wo Arab Se Aye Hain Aur Wo Musalmaan Hain, Wo Srilanka Jarahe Hain Tijarat Ke Silsiley.
– “Raja Cheraman Perumal Jo Islam Se Wakif Tha Un Sahaba Se Islam Ke Baare Me Sunkar Khush Hogaya Aur Kaha Ke Jab Wo Sahaba Wapas Arab Jayen Tou Usey Bhi Sath Lekar Jayen.
DALEEL: THUHFATHUL-MUJAH-e-DEEN By Ahmad Zainudhin Makhdum Kitab “KERALOPATHI” Me Likha Hai: – @[156344474474186:]
– Fir Cheruman Perumal Hajj Ke Liye Aur Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Milne Ke Liye Un Sahaba Ke Sath Nikal Pada.
*RAJA PERUMAL KA SAHABI KA SHARF HASIL KARNA:
> Raja Perumal Ne Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Milkar, Bayat Lekar Musalman Hua Aur Apna Naam “TAJUDHIN” Rakh Liya,
– Abu Saeed Al-Khudri (RaziAllahu Anhu) Farmate Hain – “Cheraman Perumal Ne Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Adrak Wala ACHAR Diya Aur Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Usey Chakha Aur Apne Sahaba Ko Bhi Diya.
Hakim Apni Hadees Ki Kitab Al-Musthadrak; Kitab Al-Hakim Vol-4, Page-150
– Cheraman Perumal, Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Milkar Aur Hajj Karke Jab Wapas Laut Raha Tha, Tou Wo Bimaar Hokar Saltanat-e-Omaan Ke Shehar Salaalah Me Uski Wafaat Hogayi.
– Cheraman Raja Yaani Tajudin(RaziAllahu Anhu) Ka Khath Lekar Malik Bin Deenar(RaziAllahu Anhu) 13 Sahaba Ke Sath Hindustan Aaye.
– Cheramal Perumal Ki Puri Kahani Ke Waqiye Ko Imam Ibn Hajar Al-Asqalani Ne Apni Kitab > AL-ISABAH Vol.3, Pg.279 Aur LISAN AL-MIZAAN Vol.3, Pg.10 Me Likha Hai.
*CHERAMAN PERUMAL KI WASIYAT: HINDUSTHAN ME ISLAM KI DAWAT:
> Cheraman Perumal Ne Apni Wafaat Se Pehle Apne Shehar Walon Ko Ek Khat Likhkar MALIK BIN DINAR (RaziAllahu Anhu), Jo Ki Sahaba-e-Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Zamane Se They, Unke Haaton Dediya, Aur Kaha Ke Wo Kerala Jakar Islam Ko Phelaye Aur Ek Masjid Tameer Kare.
– Malik Bin Dinar: A’imaa Aur Fuqahane Unhe Hadees Ke Tehkeek Me Ek Bharosemand Raawi Kaha Hai.
– Malik Bin Dinar (RaziAllahu Anhu), Qaabul Shehar Me Paida Hue, Aur Wo Ek Parsi Ghulam Ke Bete They,
– Malik Bin Dinar (RaziAllahu Anhu) 99 Ki Umr Me Shehar-e-Basra Me Unki Wafaat Hui (748 C.E) Hindustan Me Sabse Pehle Islam Lanewale Malik Bin Deenar (RaziAllahu Anhu) Hi They.
*HINDUSTAN MEIN PEHLI MASJID :
> Malik-Bin-Dinar (RaziAllahu Anhu) Ne Pehli Masjid Hindustan Me 629 C.E Me Kodungallur (Thrissur, NH17, Kerala) Ke Shehar Me, Raja Varma Kulashekhara Jo Ki Hindustan Ka Pehla Musalman Tha, Uski Madad Se Is Masjid Ko Banaya.
– Is Masjid Ko Banane Ke Liye Raja Rama Varma Kulashekhara Ne Arathali Namak Ek Jagah Masjid Ke Liye De Di.
– Malik Bin Dinar Is Masjid Ke Qazi Bane Rahe, Baad Me Habib Bin Malik Is Masjid Ke Qazi Bane.
– Is Masjid Ko “CHERAMAN JUMA MASJID” Kehte Hain.
– Ye Masjid Aaj Bhi Maujood Hai. Malik Bin Dinar Ne Hindustan Me Dusri Masjid, Takreeban 642 C.E Me Thalangana, (Railway Stn Rd, Kasaragod, Kerala) Me Tameer Kiya. Is Masjid Ko “MALIK-IBN-DINAR MASJID” Kehte Hain. Ye Masjid Aaj Bhi Maujood Hai.
> Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Wafaat 632 C.E Me Hui, Aur Malik-Bin-Dinar (RaziAllahu Anhu) Hindustan 629 C.E Me Aaye Aur Islam Ki Dawat Aam Ki, Masjiden Tameer Ki,.
– Malik-Bin-Dinar (RaziAllahu Anhu) Ki Aamad Ke Waqiye Aur Saboot Se Ye Maloom Hota Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Dour Me Hi Islam Hindustan Me Malik-Bin-Dinar (RaziAllahu Anhu) Ke Jarye Aa Chuka Tha.