Hijama aur Shehad ki Fazilat

Hijama aur Shehad ki Fazilat

Hijama aur Shehad ki Fazilat

Jin cheezo se tum ilaj karte ho usmein sabse jyada khair Hijama (Cupping) me hai

✦ Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu anhu) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "Jin cheezo se tum ilaj karte ho agar usmein se kisi mein khair hai to wo Hijama (cupping) hai."
📕 Sunan Abu Dawood, Jild 3,459-Sahih

✦ Hadees: Ibn Abbas (RaziAllahu anhu) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne ehram ki halat mein apne sir mein Hijama karwaya , aadhe Sir mein dard ki wajah se jo aapko ho gaya tha.
📕 Sahih Bukhari, Jild 7, 5701

✦ Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu anhu) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) sallam ne farmaya "Jis shakhs ne 17, 19 aur 21 (Hijri) tarikh ke din Hijama karwaya to usmein har beemari se shifa hai."
📕 Sunan Abu Dawud, Jild 3, 463-Hasan


Hijama aur Shehad me khair aur Aag se ilaj ko Napasandida kiya

✦ Hadees: Jabir bin Abdullah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "agar tumhari kisi dawaon mein bhalayee hai to hijama (pachne lagwana), aur Shehad peene aur aag se dagne mein hai agar wo marz ke mutabiq ho magar main aap se dagne ko pasand nahi karta."
📕 Sahih Bukhari, Jild 7,5683

Post a Comment

© Blog | Ummat-e-Nabi.com. All rights reserved. Distributed by ASThemesWorld