Peer aur Jumerat ke Roze ki fazilat

Hadees-e-Nabwi (ﷺ)

Peer aur Jumerat ke Roze ki fazilat

Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne irshaad farmaya –

“Har Peer aur Jumeraat (Monday & Thursday) ke din Allah Ta’ala ke saamne bando ke amaal pesh kiye jaate hain, Chunache Allah Ta’ala uss din har uss shakhs ki jo Allah Ta’ala ke saath kisi ko Shareek na thehraata ho magfirat farmata Hai,

Albatta woh shakhs uss bakhshish se mehroom rehta hai ke jiski apne kisi (Musalman) bhai se dushmani ho, (Allah Ta’ala ki taraf se farishto) ko kaha jayega: ‘un dono ko rehne do jab tak aapas me Sulah wa Safaayi na kar le, unn dono ko rehne do jab tak aapas me sulah wa safaayi na kar le.”

📕 Sahih Muslim, Hadees 6546

Leave a Reply