Hadees Collection – Islamic Quotes and Sayings of Prophet Muhammad Salallahu Alaihi Wasallam in in Roman Urdu
कुर्बानी का गोश्त ३ दिन से ज्यादा रखना कैसा ?
कुर्बानी का गोश्त ३ दिन से ज्यादा रखना कैसा है ? अल्लाह के रसूल ने…
Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou 2 shakhs Kaanafusi na kare
Hadees of the Day
Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou
Abdullah (R.A) se riwayat hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“jab Teen shaksh saath ho to teesre Shakhs ko chor kar Do log aapas me Kaanafusi (chupke se baat) na karey.”
Jo Ilm ki Talash me Nikla Uske liye Jannat ka Raasta aasan
Hadees of the Day Ilm ki Talash me Jannat ka Raasta RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:…
Haaji Ka Laqab Lagana Kaisa ?
✦ Sawaal: Apne Naam ke aagey ‘Haaji‘ ka Laqab lagana kaisa? – Jawab: Hajj ek…
Kya Qurbani ka Gosht Gairmuslim ko de sakte hai?
Ji haa bilkul! Qurbani ka Gosth aise Gairmuslimo ko de sakte hai jo Islam se dushmani nahi rakhte. Allah farmata hai: “Allah tumhe un logo ke saath…
Qurbani ke Chamde ko Bechna Jaiz Nahi hai
Hadees of the Day Qurbani ke Chamde ko Bechna Jaiz Nahi hai ۞ Hadees: Rasool’Allah…
Jisme Shaq wa Shuba ho wo Kaam chor do
Hadees of the Day Jisme Shaq wa Shubha ho wo Kaam chor do ۞ Hadees:…
ईद उल अजहा / क़ुरबानी ईद मुबारक। Eid ul Adha Mubarak 2022
ईद उल अजहा / क़ुरबानी ईद मुबारक, ईद उल अजहा (क़ुरबानी ईद) हर मुसलमान के लिए एक अहम मौका होता है।
Maal ko Kharch kar, Gin Gin kar Na rakh, warna
Hadees of the Day Maal ko Kharch kar, Gin Gin kar Na rakh, warna ۞…
अरफा के दिन की दुआ सबसे बेहतरीन है
अरफा के दिन की दुआ सबसे बेहतरीन है रसूलुल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया: सबसे बेहतर दुआ…
Youm-e-Arfa ka Roza aur Uski Fazilat
Arfa – 9 Zil Hijja ka Roza 2022 (India)
India me Youm-e-Arfa ka Roza Saturday, 9 July 2022 ko hoga.
SEHRI 4:22 | IFTARI 7:17 (Mumbai, Pune)
<<<<<<<<< ۞ >>>>>>>>>
Mafhum-e-Hadees
Youm-e-Arfa ke Roze ki Fazilat
Abu Qatada (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) se Youm-e-Arfa (9 Zil Hajj) ke Rozey ke baarey me poocha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Is din ka Roza guzishta(guzre hue) saal aur aainda(aane wale) saal ke Gunnaho ka kaffara hai.“
Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai
Hadees of the Day
Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai
۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :
“Sadqe ne maal me kabhi koi kami nahi ki aur Muaf Karne se Allah Subhanahu Bande ko Izzat hi me badhata hai aur jo shakhs sirf Allah Subhanahu ki khatir Aajizi ikhtiyar karta hai to Allah Subhanahu uska Maqam buland Kar deta hai.”
Hadees: Allah ke Nazdeek Izzat wala banda
Hadees of the Day Allah ke Nazdeek Izzat wala banda Abu Huraira (R.A.) se riwayat…
Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai
Hadees of the Day
Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai
۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate Hai:
“Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai aur tumhaari madad ki jaati hai.”
Allah Ta’ala se Qareeb karne wale Aamal
Hadees of the Day Allah Ta’ala se Qareeb karne wale Aamal ۞ Hadees: Hazrate Samrah…
Kya Qurbani se pehle Aqiqa jaruri hai?
Qurbani se pahle Aqiqa ho aisa koi jaruri nahi. Kisi ka Aqiqa bachpan me na hua ho tab bhi wah Qurbani kar sakta hai. …
Hadees: Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat
Hadees of the Day
Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat
Ibn Abbas (R.A) bayan karte hain ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
❝Ashrah Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh Allah Ta’ala ko Jis Qadar Mahboob wa Pasand hain, Dusre dino ke Aamal iss Qadr mahboob nahi.“
Sahaba-e-Kiram (R.A) ne arz kiya: “Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Dusre dino ka jihaad bhi ?”
Aap (ﷺ) ne farmaya:
“Dusre dino ka Jihaad bhi iss Qadr mahboob nahi, haan! Mujaahid apni jaan aur maal Allah Ta’ala ke raastey me Qurbaan kar dey tou aisa Jihaad afzal aur pasandeedah ho sakta hai.”
Ashra Zul-hijjah mein qasrath se Karne waale Amaal
1 se 13 Zul Hijjah ko Sooraj Ghuroob Hone Tak Padhi Jane Wali Takbeeraat
الله اكبر الله اكبر لا اله الا الله والله اكبر الله أكبر ولله الحمد
Allah Sabse Bada hai, Allah Sabse Bada hai, Allah ke Siwa koi Ma’bood nahi, aur Allah Sabse Bada hai, Allah Sabse Bada hai, aur Allah ke Liye hi Sab Tareef hai.
📕 Musannaf Ibn Abi Shaybah: 5694
Sabse Afzal Din Zill Hijjah ke 10 Din
Hadees of the day Sabse Afzal Din Zill Hijjah ke 10 Din Allah ke Rasool…
Jo shaksh kisi Maa ko uske bachche se juda karega to
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
Jo shaksh kisi Maa ko uske bachche se juda karega to
۞ Hadees: Anas (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya
“Jo shaksh kisi Maa ko uske bachche se juda karega to Allah subhanahu Qaymat ke din usko uske mehboob logo se juda kar dega.”
Nikah Meri Sunnat Hai
Hadees Of The Day Nikah Meri Sunnat Hai ۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya…
Ek Saath khana khao aur us par Allah ka naam le liya karo
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day Ek Saath khana khao aur us par…
Walid Jannat Ka Markazi Darwaza Hai
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
Walid (Baap) Jannat ka Markazi Darwaza hai
Abu Darda (R.A) farmate hai ke,
Maine Allah ke Rasool (ﷺ) ko ye farmatey huye suna,
“Walid (Baap) Jannat ka Markazi Darwaza hai, Ab ye Tumhari Marzi hai ke Tum Iss Darwazey ko Zaya Karo (Yaani Iss Ko Naraaz kar ke Jannat se Mehroom bano) ya Iski Hifazat karo (Yaani Iss ki Khidmat ke Raste se Jannat me Dakhil ho jao.)”
📕 Jameh Tirmazi: 1900,
📕 Sunan Ibne Majah: 2089,
📕 Musnad Ahmed: 4456
Museebat mein pareshaan aadmi ko tasalli dene ka sawab
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
Museebat mein pareshaan aadmi ko tasalli dene ka sawab
Table of Contents
– Roman Urdu –
❖ Hadees: Abdullah (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya:
❝ Jo shakhs museebat mein pareshaan aadmi ko tasalli deta hai
to us ko bhi pareshaan aadmi ki tarah sawaab milta hai.
Dusro ki Aurton se door raho, Tumhari Auratein Paakdaman rahengi
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
Dusro ki Aurton se door raho,
Tumhari Auratein Paakdaman rahengi
Table of Contents
– ROMAN URDU –
۞ Hadees: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Dusro ki Aurton se door raho, Tumhari Auratein bhi Paak Daaman rahengi.”
Apne Walidain ke sath accha sulook karo …
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
Apne Walidain ke sath accha sulook karo
tumhari Aulad bhi accha sooluk karegi
Table of Contents
– ROMAN URDU –
۞ Hadees: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‟Apne Walidain ke sath accha sulook karna, tumhari aulaad bhi tumhare sath accha sulook karengi.
Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani Aag ko bujha deti hai
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani Aag ko bujha deti hai
Table of Contents
– ROMAN URDU –
۞ Hadees: Ka’b bin Ujrah (R.A.) se riwayat hai ke Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
❝ Sadqa Gunaahon ko iss tarha khatam kar deta hai jis tarah paani Aag ko bujha deti hai. ❞
Agar kisi se milne jao tou andar dakhil hone se pehle
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
Agar kisi se milne jao tou andar dakhil hone se pehle 3 martaba ijazat maang lo
Table of Contents
– ROMAN URDU –
۞ Hadees: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‟Agar kisi se milne jao tou andar dakhil hone se pehle 3 martaba ijazat maang lo, agar ijaazat mil jaye tou thik hai, warna wapas laut jao
Allah Ta’ala Zaalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai
Hadees of the Day
Allah Ta’ala Zaalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai
✦ Hadees: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
Allah Ta’ala Zaalim ko chand roz duniya me muhlat deta rehta hai lekin jab pakadta hai toh phir nahi chodta. Rawi ne bayan kiya ke phir Aap (ﷺ) ne is aayat ki tilawat ki:
{ وَكَذَلِكَ أَخْذُ رَبِّكَ إِذَا أَخَذَ الْقُرَى وَهْىَ ظَالِمَةٌ إِنَّ أَخْذَهُ أَلِيمٌ شَدِيدٌ }
“Aur tere Parwardigar ki pakad issi tarha hai, jab wo basti walo ko pakadta hai Jo zulm karte rehte hain, beshak iski pakad badi takleef dene waali aur badi hi sakht hai.” (Surah Hud 11:102)
📕 Sahih al-Bukhari; © www.ummat-e-nabi.com/home | Arabic ref: Book 65, Hadith 4686
Momin ki Sifat Sabr aur Shukr karna
Hadees of the Day
Momin ki Sifat Sabr aur Shukr karna
۞ Hadees: Rasool-e-Kareem (ﷺ) farmate hai:
“Momin ka Muamla bhi Ajeeb Hai ke! jab ALLAH usey Neymat bakshta hai tou wo Shukr karta hai aur ispe isko Sawab milta hai aur jab Allah usey Aazmata hai aur uspe Taklif dalta hai tab wo Sabr karta hai aur ispe bhi isko Sawab milta hai.”
Tanhaai bure sathi se behtar hai aur nek saathi behtar hai tanhaai se
Hadees of the Day
Table of Contents
– TRANSLITERATION –
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
‟ Tanhaai bure saathi se behtar hai
aur nek saathi behtar hai tanhaai se.
Pehlwan woh Nahi Jo Logo ko Pachad deta hai
۞ Hadees of the Day ۞
Pehlwan woh Nahi Jo Logo ko Pachad deta hai
۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai:
“Pehlwan woh Nahi Jo Logo ko Pachad deta hai, Balki Pehlwan tou woh Hai Jo Ghusse ki Halat me Apne Nafs par Qaabu Pa Leta hai.”
Nabi ﷺ ke Aakhri Alfaz Namaz aur Gulamo ka Khayal rakhna
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Namaz aur Gulamo ka Khayal rakhna
۞ Hadees: Ali Ibne Abu Talib (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ke Zubane Mubarak ke Aakhri Alfaz they:
“Namaz, Namaz; aur un logo ke baare me Allah se daro jo tumhare dahine hath me hai. (Namaz aur Gulaamo ka khayal karo)”
📕 Sunan Abu Dawud 5156
📕 Book 43, Hadith 384-Sahih
Har Shakhs ke sath Bhalayi karo
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Har Shakhs ke sath Bhalayi karo
❝ Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari cheez Allah ki raah me kharch na karoge. ❞
Shohar par Biwiyon ke Huquq Kya hai ?
✦ Hadees: Biwiyon ke Huqooq ✦ Muawiyah al-Qushayri (R.A.) se riwayat hai ki,Main RasoolAllah (ﷺ)…
नमाज़ गुनाहों को ऐसे ही खत्म कर देती है जिस तरह पानी गन्दगी को
नमाज़ गुनाहों को ऐसे ही खत्म कर देती है जिस तरह पानी गन्दगी को ۞…
Jisne Tanhayi me Allah ko Yaad kiya aur uske Aansoo Jaari ho Gaye
Table of Contents
Jisne Tanhayi me Allah ko Yaad kiya aur uske Aansoo Jaari Ho Gaye
۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya,
“7 tarah ke log hain jinhe Allah Subhanahu Ta’ala Apne (Arsh ke) saaye me panaah dega, unmein se ek wo bhi hai jisne Tanhayi me ALLAH Subhanahu Ta’ala ko yaad kiya aur uski Aankhon se Aansoo jaari ho gaye.”
Jo Allah ko Naraz karke logon ko raazi karna chahega to
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Table of Contents
Jo Allah ko Naraz karke logon ko raazi karna chahega to
Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Jo Allah ko Naraz karke logon ko raazi karna chahega to Allah Taala us ko logon ke hawale kar dega”
Aksar logo ka Bahana | Aksar log Humari Aayato se Gaafil hai – Al-Quran: 10:92
Aksar logo ka Bahana “Arey Bhasahab! hum Maantey hai ke Mazarparsti (Qabrparsti) ki Talim Islam…
Gusse mein ek Doosre ke Raaz kholna kaisa hai?
Gusse mein ek Doosre ke Raaz kholna kaisa hai? ۞ Hadees: Rasool Allah (ﷺ) ne…
Iman par Qayam Rehne ki Dua: Mai Razi hu ke Allah Mera Rab Hai
Iman par Qayam Rehne ki Dua Mai Razi hu ke Allah Mera Rab Hai ✦…
Ramadan Day 29 | Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne Sadqa-e-Fitr Eid ki Namaz ke liye jaane se pehle pehle Nikalne ka Hukm diya…
Ramadan Day 29 ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Roman Urdu Hadees ✦ Ibn Umar (RaziAllahu Anhu)…
Quran Kya Hai – What is Quran ?
Quran Kya Hai – What is Quran ? Quraan ka Buniyadi Ta’aruf, Quran kaha se…
Ramadan Day 28 | Jisne Namaz-e-Eid se pehle Sadqa-e-Fitr ada kiya uska Sadqa maqbool hua
Ramadan Day 28 ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Roman Urdu Hadees ✦ Ibn Abbas (R.A) se…
Ramadan Day 27 | Log Sadaqat-ul-Fitr, (Eid ke) 1 ya 2 din pehle bhi de diya karte they…
Ramadan Day 27 ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Hadees: Hazrate Nafi (R.A.) ne bayan kiya ke: ❝…
ज़कात क्या है ? और किसको देनी चाहिये ?
ज़कात क्या है ? और किसको देनी चाहिये ? रमज़ान के अशरे में सब मुसलमान…
Jo Shakhs Shab-e-Qadr ki Raat se Mehroom Raha woh …
۞ Hadees about Shab e Qadr: Jo Shakhs Shab-e-Qadr ki Raat se Mehroom Raha woh…
शबे क़द्र और इस की रात का महत्वः (शबे क़द्र की फ़ज़ीलत हिंदी में)
शबे क़द्र का अर्थ: रमज़ान महीने में एक रात ऐसी भी आती है, जो हज़ार…