Hadees: Do Aadatein aisee hain ki agar koi Musalman isko ikhtiyar kar le to wo Jannat mein jayega

[tabs]
[tab title=”Roman Urdu”]

✦ Mafhum-e-Hadees:

Abdullah bin Amr (RaziAllahu anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya:

Do Aadatein aisee hain ki agar koi Musalman isko ikhtiyar kar le to wo Jannat mein jayega. Wo Dono aasan hain magar us par Amal karne wale bahut kum hain,

1). Pahli ye ki Har Namaz ke baad 10 baar SubhanAllah , 10 baar Alhamdulillah aur 10 baar Allahu Akbar kahe , rawi kahte hain ki maine RasoolAllah (ﷺ) ko dekha ki aap ungliyon par gina karte they. Phir farmaya ki wo Zuban par 150 (Yaani 5 waqt ki Namaz ke baad 5×30=150) aur meezan par 1500 hain.

2). Dusri aadat ye bayan farmayee ki ‘Jab tum sone ke liye jao to (33 baar) SubhanAllah , (33 baar) Alhamdulillah aur (34 baar) Allahu Akbar kaho ye Zuban par tou 100 hain magar meezan par 1000 hain.’

Aage Aap (ﷺ) ne farmaya ki tum mein se kaun hain jo Din-Raat mein 2500 buraeeya karta hai? (kyunki neki burayee ko mita deti hai)

Sahaba (RaziAllahu anhu) ne farmaya ‘hum kaise iska khayal nahi rakhenge , tou Aap (ﷺ) ne farmaya: ‘jab tum Namaz  me hote ho tou Shaitan tumhare pass aata hai aur kehta hai ki falah cheez yaad karo, falah cheez yaad karo, yahan tak ki wo (banda) Namaz se farig ho jata hai aur us ko nahi karta , aur isse tarah jab koi sone ke liye Bistar par jata hai to Shaitan waha bhi aa jata hai aur usko Sulata rahta hai yahan tak ki wo so jata hai.’

📕 Jamia Tirmizi, Jild 2,1335-Hasan

[/tab]
[tab title=”English”]

✦ Mafhum-e-Hadith:

Abdullah bin `Amr [may Allah be pleased with both of them] said:
“The Messenger of Allah said: ‘There are two characteristics over which a Muslim man does not guard, except that he enters Paradise. And indeed, they are easy, and those who act upon them are few:

He glorifies Allah at the end of every prayer ten times (saying Subḥān Allāh) and praises Him ten times saying (Al-Ḥamdulillāh) and extols His greatness ten times (saying Allāhu Akbar).’”

He said: “And I have seen the Messenger of Allah counting them with his hand. He said: ‘So this is one hundred and fifty with the tongue, and one thousand and five hundred on the Scale. When you go to bed, you glorify Him, extol His greatness, and praise Him a hundred times, so this is one hundred with the tongue and one thousand on the Scale. Which of you perform two thousand and five hundred evil deeds in a single day and night?’

They said: ‘How could we not guard over them?’ He said: ‘Shaitan comes to one of you when he is in his Salat and says: “Remember such and such, remember such and such” until he turns perhaps he will not do it. And he comes to him and he is lying down and makes him sleepy until he falls asleep.’”

📕 Jami` at-Tirmidhi 3410-Hasan

[/tab]
[/tabs]

 

Leave a Reply