♥ Mafhoom-e-Hadees: Maqil (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Agar Koi Shakhs Musalmano Ka Haakim Banaya Gaya Aur Usne Unke Muaamle Me Khayanat Ki Aur Usi Haalat Me Mar Gaya Tou Allah Ta’ala Uss Par Jannat Ko Haraam Kar Deta Hai”.
Ek Aur Riwayat Me Ata Hai Ke –
“Jab Allah Kisi Bandey Ko Kisi Riayat (Yaani Kisi Jagah Ke Logon) Ka Haakim (Ruler) Banata Hai Aur Wo Imandari Ke Saath Uski Hifazat Nahi Karta Tou Wo Jannat Ki Khushboo Bhi Nahi Payega”.
– (Sahih Bukhari, Vol 8, H-7150 – @[156344474474186:])
♥ Mafhoom-e-Hadees: Maqil (RaziAllahu Anhu) se rivayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –
“Agar koi shaksh Musalmano ka Hakim banaya gaya aur usney unkey muaamley me khayanat ki aur usi haalat me mar gaya to Allah Ta’ala us par Jannat Haraam kar deta hai..”
– (Sahih Bukhari, Vol 8, 7151)