Gusl ke Haalat Aur Aqsaam…

Wajoob Ghusl ki Haalat ko haalat-e-Janaabat’ kehte hain. Jis insaan par Gusl Waajib ho wo Jumbi kehlata hai.
Jumbi Gusl karne se pehle Na tou Namaz ada kar sakta hai aur Na hi Ka’abe ka Tawaf kar Sakta hai.

Mudarja zel Halato’n me musalman Mard aur Aurat par Gusl karna farz hojaata hai.
1. Josh ke saath mani Khaari hone ke ba’ad. (Is me Ehtelaam (Nightfall) bhi Daaqhil hai)
2. Sohbat (Sexual Intercourse) ke ba’ad.
3. Haiz ke ba’ad.
4. Nifaas ke ba’ad (wo Khoon jo bacche ke paidaesh par jaari hota hai)
5. Marne ke ba’ad Maiyyat ka Gusl.
6. Kaafir Jab Islaam Qubool kare.

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Related Posts: