Gusl Ki Zaroorat Ho Aur Paani Na Ho Tou

♥ Mafhoom-e-Hadees: Imran Bin Husain Al-Khuzai (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Ek Aadmi Ko Dekha Ki Alag Khada Hua Hai
Aur Logon Ke Saath Namaz Me Sharik Nahi Ho Raha ,..
Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki:
“Aye Falah! Tumhe Logon Ke Saath Namaz Parhne Se Kis Cheez Ne Rok Diya ?”
*Tou Usne Arz Kiya: “Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)!
Mai Junubi Hu (Yaani Mujhe Ghusal Ki Zaroorat Hai) Aur Paani Nahi Hai.”

*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Phir Tumko Paak Mitti Se Tayyamum Karna Zaruri Tha Wo Tumhare Liye Kaafi Ho Jata.”
(Sahih Bukhari: Jild-1, Page-318 )

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: