♥ Hiqayat: Hasan Basri (Rehmatullah Alayh) Se Kisi Shakhs Ne Aaker Kaha Ki Fala Shakhs Ne Aapki Geebat Ki Hain!
Hasan Basri Ne Usi Waqt Taza Choo-aare Mangwaye Aur Ek Tabaak (Thaal) Me Rakhker Unhe Bataur Tohfa Bheja Ki ‘Main Aapka Shukr-Guzaar Hoon Ki Aapne Meri Geebat Karke Apne Nekiyon Ko Mere Nama-A-Aamaal Me Muntakil (Trasnfer) Kerdiya Hain! Aapke Iss Ehsan Ka Badla Main Nahi Chuka Sakta! Yeh Hakeer-Sa Tohfa Kubul Farmayiye!’
Wo Shakhs Hazrate Hasan Basri (Rehmatullah Alayh) Ke Iss Sulook Ko Dekhker Bada Sharminda Hua Aur Aapki Khidmat Me Haazir Hoker Muafi Chahi!
– (Sacchi Hiwayat, Hissa-3, Pg-458)
# Sabaq:
» Kisiki Geebat Karne Se Sarasar Apna Hi Nuqsaan Hota Hain! Jiski Geebat Ki Jaye Wo Faide May Rehta Hain! Uski Nekiyan Usko Mil jati Hain! Lihaza Geebat Se Bachna Chahiye!
» Yeh Bhi Malum Hua Ki Nek Bande Burayi Ka Badla Burayi Se Nahi Dete Balki Burayi Ke Badle Bhi Neki Hi Karte Hain!