♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hain Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ki –
“Ek Shakhs Ne Kaha Ki Mai Khairaat Karunga! Chunanche, Jab Khairaat Ka Maal Leker Chala, Tou (Anjaane Me) Kisi Chor Ke Hath Me De Diya! Log Subah Ko Baatey Karne Lage Ki Chor Ko Khairaat Di Gayi,
*Tou Wo Shakhs Kehne Laga – “Ilahi! Tera Shukr Hain, Ab Main Fir Khairaat Dunga!”
Chunanche, Dobara Khairaat Ka Maal Leker Chala, Tou Jaaniya (Zinaa Karne Wali) Aurat Ko De Aaya,
Log Subah Ko Baatain Karne Lage Ki Aaj Raat Zinaa Karne Wali Aurat Ko Khairaat Di Gayi!
*Wo Shakhs Kehne Laga: Ilahi! Tera Shukr Hain Ki Jaaniya Ko Khairaat Dilwayi! Ab Main Fir Khairaat Dunga!
Chunanche, Tisri Bar Khairaat Ke Liye Maal Leker Chala, Tou Kisi Maaldar Ke Hath Me Pahuch Gaya,
Log Fir Kehne Lage Ki Aaj Ek Daulatmand Ko Sadqa Diya Gaya,
*Uss Shakhs Ne Kaha: Ilahi! Tera Shukr Hain Ki Tuney (Anjanepan Me) Chor, Zinaa Karne Waali Aur Daulatmand Ko Sadqa Dilwa Diya,
Allah Ta’ala Ne Uske Paas Payaam Bhijwaya Ki (Teri Khairaat Bekaar Nahi Gayi) Chor Ko Khairaat Dene Me (Tou Yeh Hiqmat Hain) Ki Shayed Iski Wajahse Wo Chori Karna Chodd De
Aur Shayed Jaaniya Bhi Zinaa Se Taubah Karlen,
Raha Daulatmand Aadmi Tou Shayed Usko Bhi Isse Naseehat Haasil Ho Aur Wo Bhi Khairaat Karne Lage!
– (Bukhari Pg-182-183)
» Mas’ala: Zakaat Ka Rupiya Murde Ke Kafan-Dafan Ya Masjid Ki Tameer Me Nahi Kharch Ker Sakte Ki Takmil-A-Faqeer Nahi Payi Gayi, Yaani Yahan Per Faqeer Ko Maalik Banana Na Paya Gaya, Aur Inn Kaamo Me Surf Karna Chahe Tou Uska Tarika Yeh Hain Ki Faqeer Ko Maalik Kerde Aur Wo (Faqeer) Surf Karen Tou Sawaab Dono Ko Milega Balki Hadees Me Hain
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Agar 100 Hathon Se Sadqa Guzra Tou Sabko Waisa Hi Sawaab Milega Jaise Dene Wale Ke Liye, Aur Uske Azr Me Kuch Kami Nahi Hogi!”.
– (Radh-Ul-Mohtar)