Ek-Doosre ko Burey Naam na rakho

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

❝ Aur ek doosre ko burey naam na rakho.❞

Al-Quran; Surah Al-Hujurat 49:11

✦ Tashrih:

Iss ayat ke tehat chand maslay maloom hotey hai,
1. Ek tou yeh ke Musalman ko kisi bhi tarha ke burey lafzo me na bulao.
2. Doosra yeh ke jis gunahgar ne apne gunaah se taubah kar li ho phir usay iss gunaah ka taana na do.
3. Teesra yeh ke Musalman ko aise laqab se na pukaro jo usey nagawaar ho agarchay woh aib uss me moujud ho. jaise koi jismani tour par kisi hisse se kamzor ho tou hum par yeh laazmi hai ke usey uss hisse ke mutalik hargiz takleef bhari baatey/taana na do.

♥ In sha Allah-Ul-Azeez! Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufiq dey.

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: