♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke –
“Koi Aisa Musalman Nahi Jo Koi Dua Kare Jisme Gunaah Aur Kitta Rehmi Na Ho
Magar Allah Uss Dua Ki Wajah Se Uss Ko 3 Cheezo Se Zaroor Nawaz Deta Hai”.
(1). Ya Tou Filhaal Wohi Cheez De Deta Hai,..
(2). Aur Uski Aakhirat Ke Liye Zakhira Deta Hai (Aakhirat Ke Liye Uss Dua Ko Baaki Rakhta Hai),
(3). Ya Koi Aisi Hi Burayi Uss Se Hataa Deta Hai (Uss Dua Ke Badley Koi Musibat Taal Deta Hai).
*Sahaba (RaziAllahu Anhu) Ne Farmaya –
“Iss Haalat Me Tou Hum Phir Khoob Kasrat (Continuously) Se Dua Kiya Karenge”,..
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Allah Ke Yahan Iss Se Bhi Ziyada Ata Ki Kasrat Hai”
(Yaani Tum Dua Mangney Me Kasrat Karoge Woh Phir Ata Karne Me Tum Se Zyada Kasrat Karega).
– (Book : Ahmed Bin Hanbal)