♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Dozakh Ki Aag Haraam Hai Har Aise Shakhs Par
Jo Mizaj Ka Tez Na Ho, Narm Ho, Logon Ke Kareeb Hone Wala Ho..”
– (Abu Daud, Tirmizi Sharif)
Related Posts:
Apne Bhai Ko Uskey Gunaaho Par Sharminda Na Karey ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaaya - “Jis Shakhs Ne Apne Bhai Ko Kisi Aise Gunaah Par Sharminda Kiya Jis Se Woh Taubah Kar Chuka Tha , Tou Woh Uss Waqt Tak Na Marega Jab Tak Ke Woh Uss Gunaah Ko Na Kar Lega” - (Sunan Tirmizi 2505, Shobul Imaan 6271)
Kalma-e-Shahadat Ke Taqazo Par Amal .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai - Aisa Koi Shakhs Nahi Jisney Sacchey Dil Ke Sath Iss Baat Ki Gawahi Di Ho Ke - "Koi Mabood Nahi Magar Allah Ta'ala Ke, Aur Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Iskey Bandey Aur Rasool Hain" Tou Allah Ne Isper (Jahannum Ki) Aag Haraam Kardi. - (Bukhari-O-Muslim, Sahih Muslim) # Sabaq: Iss Aahadees Se Maloom Hota Hai Ke, Kalma-e-Shahadat Ke Taqazo Par Puri Zindagi Amal Karna : - Yaani Puri Zindagi Ek Hi Haqeeqi Rab Par Imaan Rakhna, - Uskey Rasool Ki Ita-at Karna, - Uski Nazil Ki Hui Kitaab (Quraan-e-Kareem) Aur -…
Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai .... ♥ Al-Quraan: Allah Ta'ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. - [Surat Al-Mujadila(58): Ayat-11] ♥ Isi Tarha Ilm Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Talluk Se Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai - » Hadees: "Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai". - (Miskat P:24) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai". - (Sunan ibn Majah, Vol-1, Hadith-224) ♥ Mafhoom-e-Hadees: “Har Cheez Ka Ek Raasta Hai Aur Jannat Ka Raasta Ilm Hai”. - (K.Ummal) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Raat Me…
Momeen Dozakh aur Jannat ke darmiyan rok liye jayenge Jabtak… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Saeed khudri Radhi allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega aur phir ek dusre par kiye gaye zulmo ka badla liya jayega jo duniya mein unke darmiyan huye they , jab sab kuch saaf aur paak ho jayega (yaani sabko badla mil jayega) uske baad unhe jannat me dakhil hone ki ejazat milegi,. Uss Zaat ki Qasam jiske haath me Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki jaan hai jannaatiyo mein se har koi…
Logo Par Reham Karne ke Fayde ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Jo Ghusse Ko Pee Jaate Hai Aur Doosro'n Ke Kasoor Muaf Kar Dete Hain, Aise Log Allah Ko Bohat Pasand Hain." - (Surah-Al-Imran 3:134) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Jo Shakhs Kisi Ko Muaf Kar Deta Hai, Usse Allah Ta'ala Izzat se Sarfaraz Karta Hai. - (Muslim Sharif) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Wo Shakhs Jannati Hai Jo Raat Ko Soney Se Pehle Sab Ko Mua’af Ker Ke Soye. ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Roz Sayyiduna Musaa (Kalimullah Alaihi Salam) Ne Arz Kiya Ke, "Aey Rab! Tere Nazdeek Kaun Sa Banda Zyada Izzat Wala Hai?" Allah Ta'ala Ne Farmaya - "Wo Jo Badla Lene…
Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho (Maal Aur Doulat Me, Aur Husn Wa Jamaal Me Aur Aulaad Me) *Aur Usko Mat Dekho Jo Tumse Ziyada Hai Aur Aisa Karoge(Yaani Duniyayi Badey Aur Buland Martaba Ke Logon Ko Dekhoge) Tou Allah Ta'ala Ki Neymat Ko Apne Upar Haqeer (Yaani Kum) Samjhoge. - (Sahih Muslim, Vol 6, Hadees:7430)
Sawaal Karna (Maangna) Kiske Liye Jayaz Hai ?... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Qabisah Bin Mukhiriq Al-Hilali (RaziAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - 'Teen Tarah Ke Logon Ke Alawa Kisi Ke Liye Sawaal Karna (Maangna) Jayaz Nahi' 1. Ek Wo Shakhs Jis Par Zamanat Ka Bojh Ho Aur Jab Tak Wo Zamanat Se Nijat Na Pa Le Iske Baad Usko Baaz Rahna Chahiye, 2. Dusra Wo Shakhs Jisko Aisee Musibat Pesh Aaye Jiski Wajah Se Uska Maal Tabah Ho Gaya Ho Tou Uske Liye Bhi Sawal Karna (Maangna) Durast Hai Yaha Tak Ki Wo Aisa Sarmaya Hasil Kar Le Jis Se Wo Guzar Basar…
Gaali Galoch aur Baddkalami Karne wala Allah ke Nazdeek… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki - "Do Shakhs Jab Gaali-Galoch Kare Tou Dono Ka Gunaah Usi Par Hoga Jo Ibtida (Shuruaat) Karega, Jab Tak Mazloom(Zulm Sehne Wala) Jiyadati Na Kare" - (Sahih Muslim) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Musalman Ko Gaali Dena Fisq (Belong to Fasiq) Hai aur Qatl Karna Kufr Hai". - (Sahih Bukhari) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummul Momeneen Aayesha (Razi'Allaho Anha) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Mardo Me Sabse Bura…
Aur Uss Shakhs se badh kar koun Gumraah ho sakta hai jo… ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ “Aur Uss Shakhs se badh kar koun Gumraah ho sakta hai jo Allah ke siwa aise shakhs ko pukare jo usey Qayamat tak jawab na de?” – (Roman Urdu; Quran; Surah Kahaf 46:05) “और उस शख़्श से बढ़ कर कौन गुमराह हो सकता है जो अल्लाह के सिवा ऐसे शख़्श को पुकारे जो उसे क़यामत तक जवाब ना दे?“ – (हिंदी अनुवाद; कुरान; सुरह कहफ़ 46:05) “And who is more astray than one who invokes besides Allah, such as will not answer him to the Day of Judgement, and who (in fact) are unconscious of their call…
Jo Shakhs Gumshudah Chiz Uthake Aapne Pass Rakhe ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Zayed Ibn Khalid Juhani (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya, "Jo Shakhs Gumshudah Cheez Uthake Aapne Pass Rakhe Aur Uss (Gumshudah Cheez) Ka (Loutane Ke Niyat Se Logo Me) Ayelan Na Kare Tou Woh Shakhs Gumraah Hai..." - (Sahih Muslim, Hadith no. 4402)
Qabro Ki Ziyarat Mardo Par Halaal Aurto Par Haraam .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Tum Qabro Ki Ziyarat Kiya Karo Kyunki Wo Tumhey Mout Ki Yaad Dilati Hain" - (Sahih Muslim, Vol2, 2259) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Buraida (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Mainey Tumhey Mana Kiya Tha Qabro Ki Ziyarat Karney Se Lekin Ab Tum Ziyarat Karo Unki". - (Sahih Muslim, Vol5, 5114) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Qabro Ki Ziyarat Karo Kyunki Ye Tumhey Aakhirat Ki Yaad…
Jo Shakhs logon ke liye Aasani aur Sahulat paida karta hai Hadees of the Day Jo Shakhs logon ke liye Aasani aur Sahulat paida karta hai TRANSLITERATION ★ Abdullah bin Masud (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne faramya, ‟ Kya main tumko aise logon ke mutalliq na batauu jin par Dozakh ki aag haram hain aur wo aag par haram hain, har wo Shakhs jo apne qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai (un sab par dozakh ki aag haram hai)." HINDI ‟ क्या मैं तुमको ऐसे लोगों के बारे में न बता दू जिन पर जहन्नुम की आग हराम हैं, और वो आग पर…
Maa ki Nafarmani Tum Par Haraam ki Hadees of the Day Allah Taala ne Tumpar Maa ki Nafarmani Tum Par Haraam ki Al-Mughira (R.A) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya - "Allah Ta'ala ne tum par Maa ki Nafarmani Haraam Qarar di hai aur ( walidain ke haqooq ) na dena aur na-haq un se mutalibaat karna bhi haraam Qarar diya hai, aur Ladkiyon ko Zindah dafan karna ( bhi haraam qarar diya hai ) aur Kil wa qail ( fuzool bateen ) kasrat se sawal (Unnecessary Demand) aur maal ki barbadi ko bhi napasand kya hai." 📕 Sahih Bukhari; Hadees: 5975 : WAJAHAT :…
Har Shakhs Se Assalaam-O-Alaykum Kare .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah-Bin-Umar (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Ek Shakhs Ne Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Poocha ke: "Kaun Sa Islam Behtar Hai ?" Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Yeh Ke Tu Bhukhe Aur Mehmaan Ko Khana Khilaye Aur Har Shakhs Se Assalaam-O-Alaykum(Salaam) Karey Chahe Tu Uss Ko Pehchanta Ho Ya Na Pehchanta Ho.." - (Sahih Muslim Shareef: Jild-1, Page-138'139, Hadees no.160) *Sabaq: Baab-Khazayil Islam Ki Fazeelat Aur Uss Baat Ka Bayaan Ke Islam Me Kaun Se Kaam Afzal Hai.
Achhe Aur Burey Tajir Ka Hashr ..... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Sayeed (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Bahut Sacche Aur Dayanatdar Tajir(Businessman) Ka Hashr Nabiyo, Siddiqiyon Aur Shaheedon Ke Sath Hoga.." - (Tirmizi Jild_2 Page-229) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ek Aur Riwayat me Farmatey Hai - "Qayamat Ke Din Burey Tajiron Ka Hashr Nafarmano Ke Sath Hoga, Magar Jo Tajir Allah Ta'ala Se Dartey Hue Haraam Se Bachey, Jhooti Qasam Na Khaye Aur Sach Boley Tou Uska Hisab-o-Kitab Ambiyaon Ke Saath Hoga.." - (Tirmizi Jild-1 Page-230)