♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Ibn Abbas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Do Neymate Aiseee Hain Ki Aksar Log Unki Qadar Nahi Kartey,
(1) Sehat (Health) Aur Dusri Neymat Hai
(2) Fursat (Achchey Kaam Karney Ke Liye).
– (Sahih Bukhari)
Related Posts:
Allah ki Neymato ka Izhar Kiya Karo ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Amr-bin-Shu'aib (RaziAllahu Anhu) Aapne Walid Se Aur Wo Unke Dada Se Riwayat Karte Hain Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya "Allah Subhanahu Ta'ala Apne Bande Par Apni Neymat Ka Izhar Pasand Karta Hai" - (Jamia Tirmidhi, Jild 2, Hadees 723-Sahih) # Sabaq: Yani Allah Subhanahu Ta'ala Ki Taraf Se Koyi Ne'mat Ata Ki Gayee Ho Tou Usko Chhupana Nahi Chahiye, aur dikhawa bhi is qadr na ho Ke Riyakari ke aadi ho jaye.. - Lihaja Jab bhi Kisi neymat Ka Tazkira ho uspar Allah Ki Humdo Sana bayan Karey ,. Jaise ke Masha'Allah, Subhan'Allah, Alahmdulillah, ShukranAllah ,..
Aksar logo ka Bahana | Aksar log Humari Aayato se Gaafil hai… Aksar logo ka Bahana "Arey Bhasahab! hum Maantey hai ke Mazarparsti (Qabrparsti) ki Talim Islam me nahi milti! lekin aaj Aksar Log kayi zamane se karte aa rahe hai tou kya wo galat ho sakte hai ? .." Masha'Allah ! Isi Tarha ke Jawabat Hume Logon se Miltey hai jab unse pucha jata hai ke falah-falah amal jo Qurano Sunnat se sabit nahi jisey aap Deen samjh ke karte ho tou "Aksar Logo ka Bahana" batakar humare kayi hazrat apne aap ko sahih Sabit karne ki koshish karte hai. Allah reham kare. Tou Aayiye inhi Aksar logo ke Aqeede ka…
Gaib Ki Kunjian 5 Hain ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Umar(RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Gaib Ki Kunjian 5 Hain, Jinhe Allah Ke Ilaawa Koi Nahi Janta". ∗1. Koi Nahi Jaanta Ke Kal Kya Hoga ?. ∗2. Koi Nahi Jaanta Ke Maa Ke Pait Me Kya Hai ?. ∗3. Koi Nahi Jaanta Ke Kal Woh Kya Kamaega ?. ∗4. Koi Nahi Jaanta Ke Iski Mout Kahan Waaqey Hogi ?. ∗5. Koi Nahi Jaanta Ke Baarish Kab Hogi ?. - (Sahih Bukhari)
Deen e Islam par Qayam rahne ki dua ♥ Mafhoom-e-Hadees: Shahr bin Hawshab (R.A.) se riwayat hai ki maine Umm Salma (R.A.) se pucha ki "Aye Ummul Momeenin! RasoolAllah (ﷺ) aapke pass jab rahte to aksar kaunsi Dua kiya karte they ? Unhone jawab diya - "Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak" (Aye Dilo ko pherne wale(Allah) mere Dil ko tere deen par qayam rakh) Phir farmane lagi ki maine Rasool'Allah (ﷺ) se arz kiya ki aap aksar yahi dua kyu kiya karte hain ? ,. Aap (ﷺ) ne farmaya: "Aye Umm Salma (RaziAllahu Anha) ! koi Shakhs aisa nahi ki uska Dil Allah ki do ungliyo ke…
Sharmgah Chune Se Wuzu Tut Jata Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Busrah Bint Safwan (RaziAllahu Anha) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Jo Shakhs Apni Sharmgah Ko Chu Le Usey Chahiye Ki Wo Wuzu Karey". - (Sunan Nasaii, Vol 1, 447 - Sahih) » Ek Aur Riwayat Me Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai, "Jo Shkash Apni Sharmgah Ko Chu Le Wo Shakhs Tab Tak Namaz Na Padhe Jab Tak Wuzu Na Kar Le". - (Sunan Nasaii, Vol 1, 448 - Sahih) » Hazrate Aayesha (Razi Allahu Anha) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Gusl Karney Ke Baad Wudhu Nahi Farmatey They…
Kya Musalman bhi Shirk kar sakta hai ? Aksar Log Humse aisa Sawal Karte hai Ke - "Kya Musalman Kabhi Shirk Kar Sakte Hai ?" Tou Aayiye Shariyat kya kehti Iskey Talluk Se Ye Jaan Letey hai ,.. ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ke – “Qayamat Uss Waqt Tak Qayaam Na Hogi Jab Tak Meri Ummat Ki Ek Jamaat Mushriko Se Na Jaa Miley aur Meri Ummat Ke Bahut Se Log Buth-Parasti Na Kare” - (Tirmizi Sharif) ... Aaj Hum Jaantey hai Aalamt-e-Qayamat ke Ye Aasar abhi se nazar aa rahe hai ,.. Aur kayi Musalman Gairmabudo ko Apne Nafa aur Nuqsaan ka Zaamin Thehra rahe…
Rasool'Allah Se Mohabbat Dono Jahaa Me Azmat .... ♥ Al-Quraan: Tumharey Pass Tum Hi Me Se Ek Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Aaye Hai Tumhari Takleef Unko Gira'ah (Apni Takleef) Maloom Hoti Hai, Aur Tumhari Bhalayi Ke KhwahishMand Hai Aur Momeeno Par Nihayat Shafqat Karney Waley (Aur) Meharbaan Hai. - (Surah At-Taubah (9), Aayat-128) ♥ Al-Quraan: Aur Hum(Allah)ne Aap(Sallallahu Alaihay Wasallam)Ko Tamaam Jahaan Ke Liye Rehmat Banakar Bheja Hai - (Surah Al-Anbiya (21), Aayat-107) ♥ Al-Quraan: Humney Aapko Tamam Insaano Ke Liye Khushkhabri Sunaney Wala Aur Daraney Wala Banakar Bheja Hai Lekin Aksar Log Nahi Samajhtey. - (Surah Saba (34) , Aayat-28) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allahu (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne…
Geebat Karney Walon Ka Azaab .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas Bin Malik (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Jab Mujhe Meraj Ata Ki Gayee Tou Uss Raat Mera Guzar Ek Qoum Par Se Hua Jinkey Nakhun Taanbey(Copper) Ke They Aur Wo Un Nakhuno Se Apney Chehrey Aur Seeney Ko Khurach Rahey They Tou Mainey Kaha Ye Kaun Log Hain Aye Jibril ?,.. To Unhoney Kaha Ki - Ye Wo Log Hain Jo Logon Ka Gosht Khatey Hain (Yaani Unki Geebat Kartey Hain) Aur Unki Izzat Aur Aabru Ke Peechey Parey Rahtey Hain,.." - (Sunan Abu Dawud , Vol 3, 1449…
Khane Ke Faraiz : Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao… ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao, Ki Barqat Jamaat Ke Saath Hai, Aur Khadey Hokar Na Khaao Aur Na Piyo.." - (Ibne Maajah, Jild-4, Safa-21, Hadees-3287) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Koi Khaana Khaye Tou Wo Uss Waqt Tak Haath Na Dhoye Jab Tak Wo Ungliyon Ko Chaat Na Le.." - (Bukhari Sharif) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Khana Kha Ke Shukar Ada Karne Wale Ka Darja, Sabr Karne Wale Rozedar Ke Barabar Hota Hai.." - (Tirmizi, Hadees-2021)
Nazar Ki Pairwi Na Karo ..... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Jarir (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Mainey Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Pucha Ki: (Ghair Mahram Par) Achanak Girney Wali Nazar Ka Kya Hukm Hai? Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki, "Tu Apni Nazar Pher Le". - (Sunan Abu Dawud, Vol 2, 381-Sahih) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Buraydah Ibn Al-Hasib (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu) Se Farmaya - "Nazar Ki Pairwi Na Karo, (Gair Mahram Ki Taraf) Pahli Nazar Tou Muaf Hai Magar Dusri Nigaah Muaf Nahi". - (Sunan Abu Dawud, Vol 2, H-382) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate…
Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi : Hadees Hadees of the Day Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi TRANSLITERATION Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Zinaa karney wala Zinaa kartey waqt Momin nahi rehta, Sharaab peeney wala sharaab peetey waqt momin nahi rehta, Chori karney wala chori kartey waqt momin nahi rehta, Jab koi lootney wala loot'ta hai aur log usey dekhtey hain Uss waqt wo bhi momin nahi rahta." HINDI ज़िना करने वाला, ज़िना करते वक्त मोमिन नहीं रहता, शराब पीने वाला, शराब पीते वक्त मोमिन नहीं रहता, चोरी करने वाला, चोरी करते वक्त मोमिन नहीं रहता, जब कोई…
Khwab Ka Bayan Hadees Ki Roshni Me .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas (RaziAllahu Anhu) Ne Kaha Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Achha Khwab Nabuwat Ke 46 Hisson Me Se Ek Hissa Hai". - [Sahih Bukhari Volume 009, Book 087, Hadith no. 118] ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Jab Tum Me Se Koi Aisa Khwab Dekhe Jise Wo Pasand Karta Ho Tou Wo Allah Subhanahu Ta'ala Ki Taraf Se Hota Hai - Iss Par Allah Ki Hamd (Shukr Ada) Karey Aur Dusron Ko Bata De - Lekin Agar Koi Aisa Khawab Dekhta Hai Jo Usey Napasand Ho Tou Ye Shaitan Ki Taraf Se…
Allah Ki Neymat Ka Tark Karna Kufr Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, "Jab Koi Banda Allah Ta'ala Ke Diye Huve Neymat Par Alahmdulillah Kehta Hai Tou Allah Ta'ala Uss Se Afzal Neymat Ata Farmata Hai". - (Ibne Maaja Hadith no.3805) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, "Jab Tumney Alhamdulillah Kaha Tou Rab Ka Shukr Ada Huwa Aur Tumhari Neymat Me Ezaafa". - (Jameul Bayan 1/90) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Jis Ne Khaleel Chiz Ka Shukr Ada Nahi Kiya Usney Kaseer Chiz Ka Bhi Shukr Ada Na Kiya Aur Allah Ki Neymat Ka…
Takabbur Aur Ghuroorr Walo Par Allah Ki Rehmat Nahi .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Umar (Razi'Aallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke, "Allah Ta'ala Uss Shakhs Ki Taraf Nazar-e-Rehmat Nahi Karega Jo Apna Kapda Takabbur Aur Ghuroor Ki Wajah Se Zameen Par Ghaseet Kar Chalta Hai". - (Sahih Bukhari, Vol 7, Hadith no. 5783)
Padosi ko Takleef denewala Musalman Jannat me Nahi Jayega ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se Rivayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya, Wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (Padosi) uske makar-o-fasad (yani Zulm-Sitam se) se mehfooz na ho (Chahe uska padosi kafir bhi kyu na ho ).." - (Sahih Muslim, Hadith No. 79)