Dewar (Ya Jeth) to maut ki tarah hai
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Aurton mein jane se bachte raho is par Ansar Qabeele ke ek shakhs ne kaha ki Ya RasoolAllah (ﷺ) Dewar (Ya Jeth) ke mutalliq aapki kya raay hai? (Wo apni Bhabhi ke saath ja sakte yaa nahi )?
Toh Aap (ﷺ) ne farmaya ki Dewar (Ya Jeth) tou maut ki tarah hai (yaani unke saath jana hi to halaqat hai)”
Note :
Ulmao ka kahna hai ki Aurat ko aise kisi bhi rishtedar ke saath akele nahi jana chahiye jo gair mahram ho chahe wo kitni bhi kareebi rishtedar kyu na ho.
Aur haan humare yahan yahi dekha ja raha hai ki Aurat apne Shohar ke bhai ke sath aise rehti hai jaise ki koi dost ho aur gande mazak sath me aana jana aur yahi burai ka darwaza khol raha hai ziyadatar log Gunnah me doob jate hai.
Jabki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki ‘Dewar mout hai‘ barbadi aa jati hai jab log Gunaah ki raah me chal padte hai aur gGunnah ki raah se bacho phir chahe kisi ke bhi saath ho aur kahin bhi ho.
Allah SWT kehne sunne se ziyada amal karne ki taufiq de aameen.