Deen Se Doori Halaqat Ka Sabab Banegi

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Soban (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
Qareeb Hai Ki Dusri Qaumein Tum Par Aisee Tut Parhegui Jaisa Bhuka Khane Par Tut Parhta Hai,
Kisi Ne Arz Kiya – “Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Kya Hum Uss Waqt Bahut Kum Hongey ?”

Farmaya Ki – “Nahi Bulki Tum Uss Zamaney Me Bahut Ziyada Hongey Lekin Tum Sailab (Ya Samundar) Ke Upar Tairtey Huye Koodey Kachrey (Ya Jhaag) Ki Tarah Hongey Aur Allah Subhanahu Ta’ala Tumhare Dushmano Ke Seeney Se Tumhara Khauf Aur Ruaab Nikal Dega Aur Allah Tumharey Seeno Me Wahan Daal Dega”.
Kisi Ne Kaha – “Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Wahan Kya Cheez Hai”?
Tou Farmaya – “Duniya Se Muhabbat Aur Mout(Aakhirat) Ko Na Pasand Karna”.
(Sunan Abu Dawud, Volume-3, Hadith no.892)

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Related Posts: