Daulatmand Se Jyada Muflis Musalman Behtar Hai

♥ Mafhoom-e-Hadees: Sahal Bin Saad (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Unhone Farmaya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas Se Ek Shakhs Guzra –
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Apne Paas Baithe Hue Ek Sahabi Se Farmaya “Iss Shakhs Ke Baare Me Tumhari Kya Raaye Hai?”

Unhone Arz Kiya “Yeh Tou Khaas (Ameer) Logon Me Se Hai, Allah Ki Kasam! Yah Tou Aisa Aadmi Hai Ki Agar Kisi Se Rishta Maange Tou Us Se Nikaah Kar Diya Jaayega (Har Shakhs Khushi Se Rishta Dene Ke Liye Taiyyar Ho Jaayega), Agar Sifarish Kare Tou Iski Sifarish Qubool Ki Jaayegi”,

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Khamosh Ho Gaye, Thodi Der Baad Ek Aur Aadmi Waha Se Guzra,
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya “Iss Shakhs Ke Baare Me Tumhari Kya Raaye Hai?”
Unhone (Sahabi Ne) Arz Kiya “Ya Rasool’Allah! Yeh Tou Muflis (Gareeb) Musalmano Me Se Ek (Aam Sa) Aadmi Hai, Yeh Tou Agar Kisi Se Rishta Maange Tou Iska Nikah Nahi Hoga. Agar Sifarish Kare Tou Iski Sifarish Qubool Na Ho, Agar Baat Kare Tou Koi Iski Baat Na Sune”.

Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya “Uss (Daulat-Mand) Jaise Aadmiyon Se Poori Zameen Bhi Bhari Hui Ho Tou Unsey Yeh (Muflis Musalman) Bahtar Hai..”
(Sahih Bukhari, Kitabur Riqaaq, Bab Faz Lul Fakhr, Hadith no. 6447)
(Sunan Ibne Maja, Hadees 4120)

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Related Posts: