♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke –
“Jo Shakhs Masjid Se Jitna Door Hota Hai Wo Utna Hi Ziyada Sawaab Hasil Karta Hai
(Kyunki Namaz Ke Liye Janey Par Dahiney Qadam Par Ek Neki Ziyada
Aur Bahiney Qadam Par Ek Gunaah Kum Ho Jata Hai)..”
– (Sunan Abu Dawud, Vol-1, Hadith no.554)
# Sabaq: Beharhaal is Hadees ko Koi Galat Mane Me na ley ,..
Balki Iska Sahi mana ye hai ke jo Masjid Tak Pohochne me jitni jyada
mashakkat karega Allah use Utna hi Jyada Sawab ata karega
aur utne Gunaho ki magfirat ata farmayega ,. ♥ Subhan’Allah