Chand ke 2 tukde hona:
#Hadees: Anas (R.A.) se riwayat hai ki Kuffar-e-Makkah ne
Rasool’Allah (ﷺ) se ye darkhwast ki, ke (Apni Nabuwat ki) koi nishaani batlaiye.
Tou Rasool’Allah (ﷺ) ne “Chaand ki taraf apni ungli se Ishaara kar ke Chaand ke tukdey ho jana dikha diya.”
- Bukhari 3637, Muslim 7076
#Hadees: Abdullah bin Masud (R.A) se riyawat hai ke
Rasool’Allah (ﷺ) ke zamane me Chaand taqseem ho kar do tukrey ho gaya tha aur Aap (ﷺ) ne farmaya tha ke “Logon Iss par gawah rehna.”
- Sahih Al-Bukhari; Book #56, Hadith #830