Shab-e Baraat Haqeeqat ke Aaine mein | By Hafiz JAVEED USMAN Rabbani

Shab-e Baraat Manana kaisa?

Shab-e Baraat Haqeeqat ke Aaine mein | By Hafiz JAVEED USMAN Rabbani

Shab e Barat me kya hota hai, Shabe Barat me Jagna kaisa hai, Shab e Barat ki Namaze kaisi hoti hai, kya Shab e Barat manana Sunnat se sabit hai, shab-e-barat according to hadith, shab-e-barat background? Tafseeli jankari ke is video bayan ka mutala farmaye.

JazakAllahu khairan kaseera.

4.7/5 - (3 votes)

Shab e Meraj ka Waqia aur Humari Bidatein by Adv. Faiz Syed

Shab e Meraj Ka hakiki Waqia kya hai?, isme Ummate Muslima ko kounsa tohfa mila , aur isme Kiye jaane wale amaal kis hadd tak Sunnat se sabit hai? tafseeli jankari ke liye is video bayan ka jarur mutala karey, aur isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare. jazakAllahu khairan kaseera.

History Shab e Meraj, Shab e Meraj in Urdu, Shab e Meraj In Quran, Shab e Meraj Namaz, Shab e Meraj Ka Waqia

5/5 - (3 votes)
Har Neki Qaabile Qadr hai Hadees Muslim 6857

Har Neki Qadr ke Qaabil hai

Hadees of the Day

Har Neki Qadr ke Qaabil hai

– TRANSLITERATION –

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

(Har neki qaabile qadr hai, is liye) kisi neki ke kaam ko maamooli na samjho, agarche apne bhai se muskura kar milna hi kyun na ho.
(kyun ke yeh bhi koyi maamooli neki nahin hai)

Read More

5/5 - (9 votes)
Hadees about Allah ki Raah me kharch karne ki Fazilat

Kharch karnewalo ke liye Farishton ki Dua

Hadees of the Day

Allah ki Raah me kharch karne ki Fazilat

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“Koi din aisa nahi jata ke jab bandey subah ko uthte hai tou 2 farishtey aasmaan se na utarte ho, ek Farishta yeh kehta hai ke Aye Allah! (Khairat/Zakaat/Sadaqat) kharch karne wale ko is ka badla de, aur dusra farishta kehta hai, Aye Allah! Kanjush (Baqeel) ke maal ko barbaad karde.”

📕 Bukhari Shareef, 1442

4.8/5 - (17 votes)
6 Baato ki Amaanat aur Jannat ki Zamanat Hadith

6 Baato ki Amanat aur Jannat ki Zamanat

Hadees of the Day

6 Baato ki Amanat aur Jannat ki Zamanat

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya –

“Tum Apni taraf se Mujhe Chhe (6) Baato ki Zamanat de do,
Mai Tumhe Jannat ki Zamanat deta hoon.”

(1). Jab Baat karo tou Sach Bolo.
(2). Jab Wadaa karo tou Poora Karo.
(3). Jab Tumhare Paas koi Amanat rakhe tou Uske Maangne par Wapas Do.
(4). Apni Sharmgaaho ki Hifaazat karo.
(5). Apni Aankho ko Niche rakho. (Gair Galat Cheeze dekhne se bacho)
(6). Apne Haatho ko (Zulm se) roke raho.

📕 Ibn Habban : 271
📕 Ahmad : 5/323
📕 Haakim : 4/358,359

4.8/5 - (38 votes)
Juma ki Namaz kis par Farz hai.jpg

Juma ki Namaz kis par Farz hai?

Hadees of the Day | Jumuah Series

4 logo ke Alawa har Musalman par Farz hai

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Jumuah ki Namaaz Jama’at se Ada Karna har Musalman par Farz hai Siwaye 4 Logon: Ghulaam, Aurat, Nabaligh Bachcha aur Bimaar ke.”

📕 Abu Dawood: 1067 (Sahih)

5/5 - (8 votes)
Koun kisko Salam kare Hadees Sahih Bukhari 6231

Koun Kisko Salaam kare?

Hadees of the Day

Koun Kisko Salaam kare?

Hazrat Abu Hurairah (R.A) se riwaayat hai ke,
Nabi-e-Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya:

“Chhota bade ko Salaam kare, Guzarne waala baithe hue ko Salaam kare aur thode aadmi Zyaada Aadmiyon ko Salaam Karein.”

📕 Sahih al-Bukhari 6231

Read More

5/5 - (3 votes)
Rehmat ke Farihste dakhil nahi hote jaha Ghunghroo Ya Ghanti ho

Rehmat ke Farihste Dakhil nahi hote jaha Ghunghroo ya ghanti ho …

Hadees of the Day

Rehmat ke Farihste dakhil nahi hote
jaha Ghunghroo Ya Ghanti ho

Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Ghanti Shaitan ka Baaja hai.”

Ek aur riwayat me Biwi Hazrate Umme Salamah (R.A) riwayat karti hai ke:
Maine Rasool’Allah (ﷺ) ko ye farmate huye suna ki,
“Farishte (Rehmat ke) Un Gharon me nahi daakhil hote Jinme Ghunghroo ya Ghanti ho,
aur farishtey (Rehmat ke) Un Kaafilon ke saath nahi jaate jinme Ghanti ho”

📕 Sahih Muslim, Hadees 5548
📕 Sunan An-Nasayi , Hadees 5224

4.6/5 - (12 votes)
Kaamil imaan waale woh log hain jin ke Akhlaaq sab se acchhe hain

Kaamil imaan waale woh log hain jin ke Akhlaaq sab se acchhe hain

Hadees of the Day

Kaamil imaan waale woh log hain jin ke Akhlaaq sab se acchhe hain

– TRANSLITERATION –

Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

Kaamil imaan waale woh log hain, jin ke akhlaaq sab se achchhe hain aur tum mein sab se achchhe woh log hain, jo apni biwiyon ke saath achchha bartaao karte hain.

Read More

4.7/5 - (3 votes)
BaddGumani baddtareen Jhoot hai

BaddGumani Baddtareen Jhoot Hai

۞ Hadeese Nabwi (ﷺ)

BaddGumani Baddtareen Jhoot Hai

Allah ke Rasool (ﷺ) ka farmane haq hai ke,

“Acha Gumaan Acchi Ibadat se hai.”

📕 Abu Dawood, J-4, 4993

Read More

5/5 - (3 votes)
Haram lukme ki Nahusat Targhib 2484

Haraam lukme ki Nahusat

Hadees of the Day

Haraam lukme ki Nahusat

– TRANSLITERATION –

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Jab koi shakhs haraam luqma pet mein daalta hai, to Allah Ta’ala us ka koi amal chaalees din tak qubool nahi karta.”

📕 Targhib 2484

Read More

4.7/5 - (4 votes)
Jis Musalman ke 3 Nabaaligh Bachche Faut Ho Jayein

Jis Musalman ke 3 Nabaaligh Bachche Faut Ho Jayein

Hadees of the Day

Jis Musalman ke 3 Nabaaligh Bachche Faut Ho Jayein

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Jis Musalman ke 3 Nabaaligh Bachche Faut (Death) ho Jayein to Allah Ta’ala us Rahmat ke Nateeje mein jo un Bachchon se Woh Rakhta hai Usey Jannat mein Daakhil karega.

📕 Sahih Bukhari: 1248

5/5 - (9 votes)
Hadees: Haq par hote hue Jhagda chor de

Haq par hote hue Jhagda chor de

Hadees of the Day

Haq par hote hue Jhagda chor de

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: 

“Main Us Shakhs Ke Liye Jannat Mein Ek Mahel Ka Zimmedar Hun Jo Haq Par Hote Hue Zagda Chhod De.”

📕 Sunan Abu Dawood: 4800 (Sahih)

Allah Taala hum sabko kehne sunne se jyada
amal ki taufiq de. ameen! Allahumma ameen.

4.8/5 - (112 votes)
Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai [Hadees Sahih Bukhari 71]

Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai

Hadees of the Day

Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai

Hazrate Muawiya (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool ( ﷺ) ne farmaya:

“Allah Ta’ala Jis ke Sath Bhalayi ka Irada farmata hai Uss ko Deen ki Samajh de deta hai, Aur Mai to Mehaz Taqseem Karne Wala Hoon.
Deney wala to Allah hi hai

Aur yeh imaan hamesha Allah ke hukm per Qaym rehega
Aur jo shakhs unki Mukhaalifat karega, Unhen Nuqsaan nahi puhancha sakega,
yaha tak ke Allah ka hukm (Qayamat) aa jaye (aur yeh aalam fana ho jaye).”

📕 Sahih Bukhari; Hadees: 71

Read More

5/5 - (6 votes)
Ghusse ki haalat me koi faisla na kare Hadees

Ghusse ki haalat me koi faisla na kare

Hadees of the Day

Ghusse ki haalat me koi faisla na kare

Abd al-Rahman bin Abi Bakrah (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Faisla karne wala 2 (Aadmiyon ya 2 fareeqon) ke darmiyan gusse ki halat me faisla na kare.”

📕 Abu Dawood 3589

5/5 - (23 votes)