Aaj ki Aayat | Verse of the day
Allah ke siwa koi Ghaib nahi janta
Allah Taala Quran me farmata hai:
“Keh Dijiye Aasman walo me se aur Zameen wale me se
Allah ke Siwa koi Gaib nahi Jaanta.”
Insh Allah ka matlab (Meaning) Insh Allah ka Matlab hota hai “agar Allah ne chaha.”(if …
Aaj ki Aayat | Verse of the day
Allah Taala Quran me farmata hai:
“Keh Dijiye Aasman walo me se aur Zameen wale me se
Allah ke Siwa koi Gaib nahi Jaanta.”
Aaj ki Aayat | Verse of the day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Jo Log Asaani me aur Sakhti ke Moqe par bhi
Allah ke Raste mein Kharch Karte Hain.
Allah Taala hum sabko kehne sunne se jyada amal ki taufiq de.
Ameen summa ameen
Aaj ki Aayat | Verse of the day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Allah Taala ka farman hai:
“Aur Jo Shakhs Allah ke Bulaane Wale ka kaha na Maanega Pas Woh Zameen mein Kahin (Bhaag kar Allah ko) Aajiz Nahi kar Sakta, Na Allah ke Siwa aur koi Uske Madadgaar Honge, Yeh Log Khuli Gumraahi mein hain.”
Aaj ki Aayat | Verse of the Day Allah ke Qalaam ki Pairwi karo ۞ …
04th Ramzan Quote: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ❝ Ramzan ka wo Mahina jis me Quraan ka Nuzool hua saari Insaniyat ki Hidayat aur Rahnumai ke liye.❞ 📕 Surah Baqrah 2:185
Ramadan Day 01
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:
❝ Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye,
jaise tumse pichali Ummato par humne farz kiye they
ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.❞
Qurani Dua
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Aye Humare Rab! Humein Duniya mein Neki dey aur Aakhirat mein bhi Bhalayi ata farma aur hume Jahannam ke Aazab se bacha.”
Kya Shab e Barat Manana Quran wa Sunnat se Sabit hai? Shaban Maheene me 15th …
Allah Ta’ala ne Farmaya:
“khabardaar! Zina ke Qareeb bhi na Phatakna Kyunki Woh Badi Behayaai hai aur Bahot hi Buri Raah hai.”
Kunde ki Niyaz ki Hakikat 22 Rajjab ko Barre Sageer (Hindustan, Pakistan aur Bangladesh) me …
Aaj ki Aayat : Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai:
“Agar tum Un Bade bade Gunaahon se bachoge jinse tumhe mana kiya gaya tou hum tumharey (chotey) Gunaah muaf kar dengey aur tumhe Ezzat ke Maqam mein dakhil karengey.”
Kya Mushrikeen Bejaan Booto ko Poojte they? Jawaab: Buto ii Haqeeqat Hazrate Ibn-e-Abbaas (R.A) bayaan …
Aaj ki Aayat
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye, tou yeh badi Himmat ki baat hai.”
Allah Taala Quran me farmata hai:
“Apne Rab ki Bakhshish aur Jannat ki taraf Daudo, Jiski Chaudaai Aasmano aur Zameen ke Barabar hai jo Parhezgaaro ke liye Muhayya ki gayi hai.”
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai:
“Aqalmand We Log hai Jo Khadey aur Baithey aur Letey, har Haal me Allah Ta’ala ko Yaad kiya karte hain.”
Hadees-e-Nabwi (ﷺ)
Usman (R.A) ne Wuzu kiya tou Ek Shakhs se farmaya,
“Main Tumko Ek Hadees Sunata hu agar Quraan Paak ki Ek Aayat (Nazil) na hoti tou Main ye Hadees Tumko na sunata ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Jab bhi koi Achchi tarah Wuzu karta hai aur Namaz parhta hai tou Uskey Ek Namaz se Dusri Namaz ke parhney tak ke Gunnah muaf kar diye Jaatey hain.”
(Sahih Bukhari; Vol 1, Hadees: 153)
Urwah (R.A) kahtey hain Wo Ye Aayat ye hai –
“Jo Log Allah ki Uss Nazil ki Huyee Hidayat ko Chupatey hain Jo Usney logon ke liye Apni Kitab me bayan ki hai, Un par Allah ki Lanat hai aur (Dusrey) Lanat karney walon ki lanat hai”
(Surah Al-Baqrah 2:159)
New Year ki Sharayi Haisiyat NAYE SAAL KI AAMAD!Josh se Nahi Hosh se Kaam Lein. …
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
‟Momin Aurto se keh do ke woh Apni Nigaahein nichi rakhe aur apne Sharmgah ki hifazat kare aur apni Zeenat ko kisi par Zaahir na kare.”
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
❝Allah se darte raho, Allah yaqeenan tumhare tamam kaamo se poori tarah ba khabar hai.❞
Hazrat Loot Alaihis Salam ka Waqia ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Nabi Loot (Alaihay Salam) Ki Qoum …
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Kisi Qoum ki Dushmani tumhe (un ke sath) Na Insaafi karne par naa ubhare, (balke is waqt bhi tum) insaf se kaam lo. yahi tareeka Taqwa se ziyada qareeb hai.”
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
‟Maa Baap ke liye yeh Dua karo ke
‘Aye mere Rab! Jis tarah unhone mere bachpan me
mujhe pala hai tu bhi unke saath rehmat ka
muamla farma.’
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
❝Allah ne tumhe jo kuch de rakha hai, uske zariye Aakhirat waala ghar banaane ki koshish karo aur duniya me se bhi apne hisse ko nazar andaaz na karo.❞
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai:
“Badi kharaabi hai aise shakhs ke liye, jo peeth pichhe dusron par Aib lagaane waala (aur) munh par taana dene ka aadi ho.”
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Jo Mushkil Waqt me bhi Allah ki Raah me Kharch karte aur Apne Gusse ko roktey hai, Allah Ta’ala Unsey Mohabbat rakhta hai.”
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Unki Misaal Jo Apne Maal Allah ki Raah me Kharch karte hai Uss Dane ki tarah hai Jisko 7 Baali nikley Aur Unn har Baaliyon me se Sou-Sou Daane nikle Aur Allah Uss se bhi Zyada Barhaaye jiske liye chahe aur Allah Wus’at Wala Ilm Wala hai.”
» Wajahat: *Allah ki Raah me Kharch Karnewale ke Talluk se Iss Ayat me Allah Ta’ala Ek Misaal ke Tehat Farmata hai –
“Ke Koi Shakhs Ek Dana(Beej) Zameen Me Boye aur Uss Daane se 7 Baliya Nikal aayi aur Har Baaliyon me 100-100 Daane hai.
Matlab Agar Isey 7 Se Multiple karey Tou 700 Gunaa Azr Yaa Uss se bhi Jayada Uss Beej Bone Wale (Yaani Allah Ki Raah Me Kharch Karnewale) ko milta hai … ” (Subhan’Allah!!!)
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!! Allah Rabbul Izzat Hume kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufeeq dey. Ameen
۞ Roman Urdu ۞
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Jo Zakaat tum Allah ki khushnoodi haasil karne ke iraade se dete ho, to jo log bhi aisa karte hain, woh (apne maal ko) kayi guna badha lete hain.”
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Aur Baaz Log Aise hai Jo Allah ki Ibaadat Kinare par Khade ho kar karte hai, Agar Unhe Faida Pahuncha tou Mut’mayin honge,
aur Agar Musibat Aa Padi tou Usi Waqt Mooh Ferlia,
Ye Dunia Wa Aaqirat Dono me Nuksaan Utaane Wale hai, Aur Yahi Khula Nuksaan hai”
Lihaja Allah ki taraf se aane waali har Aazmaish me poora Utarna aur Allah aur Uske Rasool (ﷺ) ke Ehkamat ke tabey rehna humpar wajib hai. Allah Taala hume Amal ki toufiq de.
Ameen! Allahumma Ameen
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Jo Log Apna Maal Allah ki Raah me Kharch karte hai, Phir Kharch karne ke baad na tou Ahsaan Jatlaate hai aur Na Takleeef pahunchaate hai, Unka Silah tou unke Rab ke yahan hai hi, aur Qayamat ke din Unko na tou koi khauf hoga aur na woh Ghamgeen honge.”
Aaj ki Aayat | Verse of the Day Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara …
Maghfirat ki Qurani Dua ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ رَبَّنَا لاَ تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَا أَوْ أَخْطَأْنَا ❛ …
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai.
Tumharey Dilo me jo kuch hai usey tum Zaahir karo ya chupaao Allah us ka Hisaab tum sey lega.
Phir jisey chahey bakshey aur jisey chahey Saza de aur Allah har cheez par Qaadir hai “
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
—✦ TRANSLITERATION ✦—
“Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge ?
halaan ke ab tak tum par wo halat nahi aaye jo tumse pehle logo par aaye they,
Unhe Bimariyan aur Musibato ne is tarah gher liya ke, yaha tak ke Wakt ke Rasool aur unke Sath wale Neik log pukaar uthey ke
“Allah ki madad kab aayegi ?”
(phir unhe tasalli di gayi ke)
Haa! Allah ki Madad Karib hai.”
Aaj ki Aayat | Verse of the Day Allah Kaafi hai Momineen ke liye Allah …
Verse of the Day | Aaj ki Aayat
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Allah Rabbul Izzat Quran-e-Majid me farmata hai:
❝ Har jaandar ko mout ka mazaa chakhna hai (Kullu Nafsin Zaikatul mout)
aur tumhe Qayamat ke din purey purey badley milenge,
phir jo koi Dozakh se door rakha gaya aur Jannat me dakhil hua so wo pura Kamiyab hua, Duniya ki Zindagi tou dhokey ke Maal ke siwa kuch bhi nahi hai.❞
Hadees(Verse) of the Day
Allah Ta’ala farmata hai:
“Jin Logon ko Humare Paas Aane ka Yaqeen Nahi hai aur Woh Duniyawi Zindagi par Raazi ho gaye aur us Mein Jee laga baithe aur Jo log Humari Aayaton se Ghaafil hain.
Aise Logon ka Thikaana Unke Aamaal ki Wajah se Dozakh (Jahannum) hai.”
Hadees(Verse) of the Day
Allah Ta’ala Jannatiyon ki Pehchan Batate hue farmata hai:
“Aur Woh Allah Ta’ala ki Mohabbat Mein Khaana Khilaate hain Miskeen, Yateem aur Qaidiyon ko.”
Verse of the Day
Allah Ta’ala Quran me farmata hai:
Baaz Log Allah ke Baare Mein Baghair Ilm ke Baghair Hidayat ke Aur Baghair Roshan Kitaab ke Jhagadte Hain.