Hadees of the Day | Jumma Series
Behtreen Din Jumma ka Din hai
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Behtreen Din Jis par Sooraj Tuloo hota hai, Jumuah ka Din hai.”
Hadees of the Day | Jumma Series
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Behtreen Din Jis par Sooraj Tuloo hota hai, Jumuah ka Din hai.”
Hadees of the Day Acchi baat kaho ya Khamosh Raho Allah ke Rasool (ﷺ) ne …
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai.
Tumharey Dilo me jo kuch hai usey tum Zaahir karo ya chupaao Allah us ka Hisaab tum sey lega.
Phir jisey chahey bakshey aur jisey chahey Saza de aur Allah har cheez par Qaadir hai “
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
—✦ TRANSLITERATION ✦—
“Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge ?
halaan ke ab tak tum par wo halat nahi aaye jo tumse pehle logo par aaye they,
Unhe Bimariyan aur Musibato ne is tarah gher liya ke, yaha tak ke Wakt ke Rasool aur unke Sath wale Neik log pukaar uthey ke
“Allah ki madad kab aayegi ?”
(phir unhe tasalli di gayi ke)
Haa! Allah ki Madad Karib hai.”
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Tum Mazloom ki Baddua se bacho
kyunki uske aur Allah ke Darmiyan
koi aad nahi hoti.“
Verse of the Day | Aaj ki Aayat
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Allah Rabbul Izzat Quran-e-Majid me farmata hai:
❝ Har jaandar ko mout ka mazaa chakhna hai (Kullu Nafsin Zaikatul mout)
aur tumhe Qayamat ke din purey purey badley milenge,
phir jo koi Dozakh se door rakha gaya aur Jannat me dakhil hua so wo pura Kamiyab hua, Duniya ki Zindagi tou dhokey ke Maal ke siwa kuch bhi nahi hai.❞
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya
“Bewaon (Widow) aur Miskeenon (Gareeb) ke kaam aane wala Allah ki Raah me Jihaad karne wale ke barabar hai, ya Raat bhar Ibadat aur Din bhar Roza rakhne wale ke barabar hai.“
Hadees of the Day
Mustawrid (R.A) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya :
“Duniya ki Misaal Aakhirat ke Muqable me Aisee hai Jaisey Tum me se koi Apni Ungli Samandar me Daley Phir Dekhey ki Kitna Paani Uski Ungli me Lagta hai.”
Hadees of the Day
Anas (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:
❝4 Cheeze badnaseebi ki pehchan hai; (1) Aankho ka khushk hona, (2) Dil ka Sakht hona, (3) Ummidon ka lamba hona, (4) Dunia ki hirs wa lalach ka hona .❞
Hadees of the Day
۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate Hai:
“Jisme Shaq wa Shuba ho, usko chorkar uss cheez ko ikhtiyaar karo jis me shaq wa shuba naa ho.”
Hadees of the Day
۞ Hadees: Asma (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Maal ko (Jayaz) Kharch kar, gin gin kar na rakh, warna Allah Ta’ala tujhe bhi gin gin kar dega (phir Rozi se Barqat khatm ho jayegi) aur Maal ko rok kar na rakh, Warna Allah Taala tujhse Rizq ko rok lega.”
Hadees of the Day
Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Hazrat Musaa (Alaihi Salam) ne Allah Taala se daryaft kiya ke Aap ke nazdik sabse jyada Izzat wala banda koun hai?“
Allah Taala ne farmaya ke:
“Jo badla lene ki Quwwat ke bawajud bhi muaf kar de.”
Hadees of the Day
۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate Hai:
“Tumhaare Kamzoron ki wajah se hi tum ko Rozi di jaati hai aur tumhaari madad ki jaati hai.”
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
۞ Hadees: Wahshi bin Harb (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
‟Ek Saath khana khao aur us par Allah ka naam le liya karo, is me tumhare liye barqat hogi.
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
❖ Hadees: Abdullah (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya:
❝ Jo shakhs museebat mein pareshaan aadmi ko tasalli deta hai
to us ko bhi pareshaan aadmi ki tarah sawaab milta hai.
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
۞ Hadees: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Dusro ki Aurton se door raho, Tumhari Auratein bhi Paak Daaman rahengi.”
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
۞ Hadees: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‟Apne Walidain ke sath accha sulook karna, tumhari aulaad bhi tumhare sath accha sulook karengi.
Aaj ki Hadees | Hadees of the Day
۞ Hadees: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‟Agar kisi se milne jao tou andar dakhil hone se pehle 3 martaba ijazat maang lo, agar ijaazat mil jaye tou thik hai, warna wapas laut jao
Hadees of the Day
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
‟ Tanhaai bure saathi se behtar hai
aur nek saathi behtar hai tanhaai se.
۞ Hadees of the Day ۞
۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai:
“Pehlwan woh Nahi Jo Logo ko Pachad deta hai, Balki Pehlwan tou woh Hai Jo Ghusse ki Halat me Apne Nafs par Qaabu Pa Leta hai.”
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
۞ Hadees: Ali Ibne Abu Talib (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ke Zubane Mubarak ke Aakhri Alfaz they:
“Namaz, Namaz; aur un logo ke baare me Allah se daro jo tumhare dahine hath me hai. (Namaz aur Gulaamo ka khayal karo)”
📕 Sunan Abu Dawud 5156
📕 Book 43, Hadith 384-Sahih
۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya,
“7 tarah ke log hain jinhe Allah Subhanahu Ta’ala Apne (Arsh ke) saaye me panaah dega, unmein se ek wo bhi hai jisne Tanhayi me ALLAH Subhanahu Ta’ala ko yaad kiya aur uski Aankhon se Aansoo jaari ho gaye.”
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Jo Allah ko Naraz karke logon ko raazi karna chahega to Allah Taala us ko logon ke hawale kar dega”
✦ Hadees: Rasool-e-Kareem (ﷺ) ke khadim, Abu Salam (R.A.) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya “Jo bhi Musalman ya Insaan (ya banda) Subah Shaam ye Kalimat kahe “Radhitu billahi Rabba Wa bil Islami Deena wa bi Muhammadin Nabiyyan” tou Allah Subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma dega.
(Main raazi hu Allah ke Rabb hone par, Islam ke Deen hone par aur Muhammad ﷺ ke nabi hone par.)
۞ Hadees about Shab e Qadr: Jo Shakhs Shab-e-Qadr ki Raat se Mehroom Raha woh …
3 din se Zyada Narazgi Hadees in Roman Urdu | Hadees: “Kisi Musalman ke liye ye Jayez Nahi ki Apne Bhai se 3 Din se Zyada Narazgi ki Wazah se Baat Chit Karna Chhor de.” [Sunan Abu Dawood, Hadith 1483]
99 क़ीमती बातें | कुरआन व हदीस की रौशनी में 99 Qeemti Baatein Quran aur …
Hadees Of The Day Hadees: Bhai ke samne Muskura dena bhi Sadqa hai Abu’zar (R.A.) …
Aaj ki Aayat | Verse of the day Allah Taala ki Aayatein Momino ke Iman …
Hadees Of The Day Bechte aur Khareedte wakt Narmi Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya …
Aaj ki Aayat | Verse of the day Allah ke Siwa koi ek Makkhi bhi …
Aaj ki Aayat | Verse of the day Jab Quran Parha Jaye tou Gaur se …
Hadees Of The Day Har Shakhs Khataa karne wala hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne …
Hadees: Juma Momino ke liye Eid ka Din hai [Sahih Ibn Khuzaymah: 2161]
Bujurgon Ke Aqwaal “Jab Aankhein Nafs ki Pasandeeda Cheezein Dekhne Lage toh Dil Anjaam se …
Aur Qayamat ke Din koi Dost kisi Dost ko Nahi Puchega. [Quran, Surah Al Marij 70:10]
Padosi ka Haq Jab Tum Shorba (Salan) PakaoTou Padosiyon ko bhi do ۞ Hadees : …
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Roman Urdu ❝Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari …
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah ko Gaali na do Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: Allah …
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Hazrat Isa (Alaihi Salaam) ne kaha – Beshaq Allah Hi Mera aur …