Hadees of the Day
Sabse Afzal Sadqa woh hai jo aise Rishtedaar par kiya jaaye
Umme Kulsoom (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
‟Sabse Afzal Sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil me dushmani chupa rakhi ho.
40 hadees in Roman Urdu Tarjuma Translation, Short & Sahih Hadees in Roman Urdu, Hadees in Roman Script
Hadees of the Day
Umme Kulsoom (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
‟Sabse Afzal Sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil me dushmani chupa rakhi ho.
Hadees of the Day
Ibne Abi Husain (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
❝ Tum Paani Choos kar piyo aur gataagat naa piyo, is (gataagat peene) ki wajah se jigar ki beemari hoti hai.
Hadees of the Day
Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
‟Insan me paayi jaani waali sabse buri aadatein;
intehayi darje ka lalach aur buzdili hai.
Hadees of the Day
Abu Umamah (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya:
❝Logo! Ilm ke wapas liye jaane aur utha liye jane se pehle ilm hasil kar lo.❞
Hadees of the Day
Abu Hurayrah (R.A.) riwayat karte hai ki,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ki –
“Jo Koi Shakhs kisi Imanwale ki Pareshani ko Door karta hai, Allah Qayamat ke Roz Uss Shakhs ki Ghabrahat ko Door farmayega.
Aur Jo koi bhi Shakhs kisi Dusre ki Musibat hal karta hai, Allah Uss Shakhs ke liye Duniya aur Aakhirat ki Mushkeele’n Aasaan bana deta hai.
Aur Allah Apne Bande ki Madad karta Rahta hai Jab tak Wo Banda Apne Bhai ki Madad Karta rehta hai”
Hadees of the Day
Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate hai ke, Allah Ta’ala farmaata hai:
“Main 2 saath mil kar kaam karne walon ke saath hota hoon jab tak ke koi sathi khayanat na kare, jab koi ek bhi khayanat karta hai to meri madad uthh jati hai.”
📕 Sunan Abu Dawud 3383 © www.ummat-e-nabi.com/home
Hadees of the Day
RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke:
“Logo me Sabse Bura Aadmi Wo hai Jiski Badzubani ki wajah se Log Us se Milna Chhor de.”
Hadees of the Day
Abdullah Ibne Masood (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
‟Allah se Darte raho aur apne Rishtedaro ke sath Husn-e-Sulooq karo.
Hadees of the Day
Jabir (R.A.) se riwayat hai ke,
Jaishaan se ek Aadmi Aaya aur Jaishaan Ek Shahar (Town) hai Yeman me, Uss Aadmi ne RasoolAllah (ﷺ) se Uss Sharaab ke Baarey me Puchha ke Jo Unn Elaqon me Pee jati hai aur wo Sharaab jo Taiyaar hoti hai Uss Sharaab ko Mizr kaha jata tha.
Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “Wo Sharaab Nasha (Intoxicating) waali hai?”
Uss ne Arz Kiya, “Ji Haan!”
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :
“Har Nasha Wali Cheez Haraam hai, Kyon ke Allah Ta’ala ka uss Aadmi ke liye Waada hai ke Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta’ala Tinatah-al-khabaal peelayega.”
Sahaba ne arz kiya: “Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Tinatah-al-Khabaal kya cheez hai ?
Hadees of the Day
Numan Bin Bashir (R.A) se riwayat hai ki,
Mai ne Rasool’Allah (ﷺ) se suna ki –
“Halaal aur Haraam Khula hua hai aur Inn Dono ke Darmiyan kuch Cheezein Shuba (Doubtful) waali hain Jinko bahut se Log nahi jantey.”
*Phir Jisney Apne Aapko Inn Shuba ki Cheezon se bacha liya Usney Apney Deen aur Izzat ko bacha liya.
Aur jo koi In Shuba ki Cheezon me parh gaya uski missal Uss Charwahey ki hai Jo kisi ki Charagah ke Aas-Paas apney Janwaron ko charaye aur Kareeb hai ki Uskey Jaanwar Usmein chale jaye,
*Sun Lo! har Baadshah ki Ek Charagah hoti hai, Allah ki Chaaragah Uski Zameen par Haraam Cheezain hain.
Sun Lo! Badan me Ek Ghosht ka tukda hai Jab Wo Durast Hoga tou Sara Badan Durast Hoga
Aur Agar wo Bigad haya tou Sara Badan bigad gaya aur Wo Tumhara Dil hai.”
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Har Deen Mein Koi na Koi Imtiyazi aur Akhlaqi Khoobi hoti hai aur Islam ki Imtiyazi Khoobi Haya hai.”
Hadees of the Day
Abdullah bin Amr (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
❝ Agar Tumhare paas 4 Cheezein ho tou duniya ki kisi cheez ke na hone ka afsos nahi hoga: 1) Amanat ki Hifazat, 2) Baat me Sachhai, 3) Achchi Aadate, 4) Pakeeza Rozi.❞
Hadees of the Day
Al-Mughira (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya –
“Allah Ta’ala ne tum par Maa ki Nafarmani Haraam Qarar di hai aur ( walidain ke haqooq ) na dena aur na-haq un se mutalibaat karna bhi haraam Qarar diya hai, aur Ladkiyon ko Zindah dafan karna ( bhi haraam qarar diya hai ) aur Kil wa qail ( fuzool bateen ) kasrat se sawal (Unnecessary Demand) aur maal ki barbadi ko bhi napasand kya hai.”
: WAJAHAT :
Yaani Allah Ta’ala ne Maa ki Nafrmani aur Betiyonko Zinda Dafnana bhi Haraam Karar kar diya,
– Aur Kisiko na dena Matlab Sadqa-Khairaat na karna aur beja Sawal (Mangna) karna bhi Haraam thehraya,
– Aur Fizul baate karna, Zaroorat se jyada mangna, Maal ko barbad karna Inn Saari baton ko bhi Haraam me Shumar kiya hai.
Ameen ! Allahumma Ameen
Hadees of the Day
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya –
“Momin ki Rooh Uss Waqt tak Jannat me Jaane se Rooki Rehti hai Jab tak ke Uska Qarz Ada naa kiya jaye.”
Hadees of the Day
Abdullah Ibne Amr (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
‟Sabse Behtareen Sadqa aapas me Sulah kara dena hai.”
Hadees of the Day
۞ Hadees: Anas (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke
“(Bagair majboori ke) Qarz lene se bacho, is liye ke Qarz raat mein ranj wa Gham aur din mein Zillat wa Ruswaayi ka Sabab hai.”
Hadees of the Day
Abdullah Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Mujhe Dozakh dikhai gayi, Maine waha Aurato ko jyada paya, wajah ye hai ki woh kufr karti hai.”
Sahaba-e-Kiram ne Arz kiya –
‘Kya wo Allah ke sath kufr(Shirk) karti hai?’
Aap ﷺ ne farmaya :
‘Nahi! Wo Shohar ki Nashukri karti hai! Jo ke ek tarah ka Kufr hai aur Ahsaan nahi manti,
agar tu kisi aurat se Umar bhar Ahsaan aur Neki ka sulook kare lekin 1 baat bhi Khilafe Tabiyat ho jaye tou jhath se keh dengi ‘Maine tuzse kabhi aaram aur sukoon nahi paya.’
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Allahumma Rabba Hadhihi D-Dawatit-Tammaa
Was-Salatil Qaimah,
Aati Muhammadan Al-Wasilata Wal-Fazilah,
Wabaathhu Maqaman Mahmudan
il-Ladhi Waadtah
तर्जुमा : ऐ मेरे अल्लाह जो इस सारी पुकार का रब है और कायम रहने वाली नमाज़ का भी रब है, नबी-ऐ-करीम मुहम्मद (ﷺ) को क़यामत के दिन वसीला अता फ़रमा और मुकाम-ए-महमूद पर उनका क़याम फर्मा जिसका तूने उनसे वादा किया है।
Hadees of the Day
Abdullah Ibn Aabbas (R.A) farmatey hai ke (Mere Bachpan me) Mai ek Martaba Aap (ﷺ) ke Sath Unth ke pichey Baitha tha, Tab Aap (ﷺ) ne Mujhe kuch Naseehate ki aur farmaya :
“Aye Abdullah! Tum Allah ke Ahqaam ki hifazat karna,
Woh tumhari hifazat karega,
Tum Allah ke Ahqaam ki Hifazat karo tou tum usey apne samne paoge,
Jab Tum koi Sawal Karna (Mangna) tou Sirf Allah se karna.
Hatta ke Ek riwayat me Aap (ﷺ) ne farmaya :
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Sadko (Rasto) par baithane se bacho.”
Sahaba ne kaha ki “hum log wahi baithne ko majaboor hain. yeh wah jagah hai jahaa hum baithate hain aur jahaa hum baat karate hain.” is par, Nabi (ﷺ) ne kaha –
“Yadi tum wahaa baithane ke lie majaboor ho, to Raaste ka Haq ada karo.”
Sahaba ne poochha aur Raste ka Haq kya hai? Nabi (ﷺ) ne kaha,
“Apni Nigaahein nichee rakho, kisi ko chot pahunchaane se bacho, Salaam ka jawaab do, logon ko achchhe kaam karne ka hukm do aur unhen bure kaam karne se roko.”
Hadees ke muamle me chaan-bin aur Ahtiyaat Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me fermata hai: Aur …
Hadees Of The Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke,
Allah Taala farmata hai –
“Mera Banda Farz ada karne ke Baad Nafeel Ibadatein Karke Mujhse Itna Qareebho jata hai ki Main Us se Mohabbat karne lag jata hu.”
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai ke –
Allah Ta’ala farmata hai aur Iska Farmaan-e-Haq hai ke,
“Jab Mera Banda Neki ka Iraada kare tou (Aye Farishto)! Iski 1 Neki likho.
Phir agar Woh ker Chuke tou Iski 10 Nekiyan Likh lo,
Agar Woh Burayi ka Iraada kare tou Kuch na likho,
Agar Kar Chuke Tou 1 Hee Burayi Likho,
Aur agar Na kare tou Iske Liye bhi 1 Neki Likho”
Phir Aap (ﷺ) ne ye Aayat Tilawat farmaayi –
Hadees of the Day
Abdullah Bin Salaam (R.A) Se Mairwi hai ki,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya –
“Jab Koi Banda Allah Ta’ala ke Hazoor Taubah Karta hai aur Apne Gunaah par Nadamat Mehsoos karta hai tou Uskey Nadeem hone se pehle hee uske Tamaam Gunaah muaf farma diye jate hain.”
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Khade ho kar Namaz padha karo, Agar Uski bhi Taaqat na ho to Baith kar aur Agar uski bhi na ho to Pehlu ke Bal Let kar padh lo.”
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Jo Shakhs Kisi Kaahin (Mustaqbil Batane Wale/Jyotish) ke Paas jaye aur Uski Baaton ko Sacha Maan Le tou Usne Muhammad (ﷺ) par Naazil Shuda (Deen) ka Inkaar kar diya.”
Hadees of the Day
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Jo shaks Allah se milne ko pasand karta hai, Allah bhi us se milne ko pasand karta hain aur jo shaks Allah se milne ko pasand nahi karta, Allah bhi us se milne ko pasand nahi karta.”
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Allah Ta’la us waqt tak Bande ki madad mein laga rehta hai jab tak Banda apne Bhai ki madad mein laga rehta hai.”
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Ek Momeen dusre Momin ke liye Imarat ki tarah hai, Uska ek hissa dusre hisse ko Quwwat pahuchata hai.”
Mafhoom-e-Hadees
Hazarte Malik bin Deenar ne apne Daamaad
Mughera bin Shoba se farmaya: Aye Mughera!
“Jis Bhai Ya Saathi ki Dosti tumhe Deeni Fayda na pohanchey
Tum Uski Dosti se bacho taa ke Tum Mehfooz-wa-Salamat raho.”
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“(Khwaab ko) Apne Kisi Muhabbat karne wale (Mukhlis) ya Sahib-e-ilm ke Alawa kisi se hargiz bayan na karo.”
Hadees of the Day
Abu Barza (R.A) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne irshaad farmaya –
‟Qayamat ke Din insan ke dono qadam uss waqt tak (Hisaab ki Jagah se) nahi hatt sakte, jab tak uss se in paanch cheezon ke baarey me na puch liya jaaye.“
(1) Apni Umr kis kaam me Kharch ki ?,
(2) Apne Ilm par kya amal kiya ?,
(3) Maal kaha se kamaya ?,
(4) aur Kahan kharch kiya ?,
(5) Apni Jismani Quwwat kis kaam me lagayi ?
Hadees of the Day | Jumuah Series
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Jisne Ghusl Kiya, Phir Jumuah ke Liye Hazir Hua,
phir Uske Muqaddar mein Jitni (Nafil) Namaaz thi padhi,
phir Khamoshi se (Khutbah) sunta raha,
yahan tak ki Khateeb apne Khutbe se Faarigh ho gaya,
phir Uske Sath Namaz padhi, to Uske
us Jumuah se Lekar Ek aur Jumuah tak ke
Gunah bakhsh diye Jaate hain.
Aur Mazeed 3 Dinon ke bhi.”
Hadees of the Day
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne Suna ki :
Ek Shakhs Dusre Shakhs ki Tareef kar raha hai aur Tareef mein
Bohot Mubalgha se kaam le raha tha to Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya:
“Tumne Usey Halaak kar diya ya Tumne us Shakhs ki Kamar ko tod diya.”
Hadd se jyada Tareef karna ya kisi ke Mooh pe
Taarif Karna Goya usko Halaq karne ke barabar hai.
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Main Us Shakhs Ke Liye Jannat Mein Ek Mahel Ka Zimmedar Hun Jo Haq Par Hote Hue Zagda Chhod De.”
📕 Sunan Abu Dawood: 4800 (Sahih)
Allah Taala hum sabko kehne sunne se jyada
amal ki taufiq de. ameen! Allahumma ameen.
Dua | Hadees of the Day
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
Jab koi shakhs kisi aise mareez ki ayadat kare jiski maut ka waqt qareeb nahi aaya ho to uske paas jakar 7 martaba ye Dua padhe to Allah usko us marz se shifa ata farma dega:
أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ أَنْ يَشْفِيَكَ
❛ As’alullah Al-‘Azeem Rabbal ‘Arshil ‘Azeem an Yashfik ❜
“Main Azmat wale Allah Jo Azeem Arsh ka Malik hai
se Dua karta Hoon ki woh tumko Shifa de.”
Mareez ki Ayadat aur Shifa ke liye dua 1. RasoolAllah (ﷺ) jab beemar hote to …
Hadees of the Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Jo Jumah ke Din Surah Kahf padhta hai uske liye ek Jumah se Dusre jumah tak noor roshan ho jata hai.”