Buri Baaton Se Bachna Farz Hai
♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Aur Jab Kisi Se Koi Buri Baat Suno Tou Uss Se Kinara Kar Lo, Door Ho Jao..”
– (Sureh (28)Al-Kasas-55)
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jo Momin Ke Baare Me Buri Baat Kahe,
Jo Usme Na Ho! Allah Usko Jahannam Ke Peep Aur Khoon Ke Keechad Me Rakhega..”
– (Abu Dawood)
♥ Qaul-e-Mubarak:
Buri Baaton aur Burey Kaamon Se Taubah Karna Achhi Baat Hai,
Magar Unsey Bachna Pahle Farz Hai.
– Hazrate Siddiq-e-Akbar(RaziAllahu Anhu)