♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Saeed Khudri (RaziAllahu Anhu) Se Marvi Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke –
“Jab Janaza Tayyar Ho Jaata Hai Aur Log Usey Kaandhe Par Uthate Hai
– Agar Wah Accha Hai Tou Kahta Hai Mujhe Jald Le Chalo
– Agar Bura Hai Tou Kehta Hai Mujhko Tum Kaha Liye Ja Rahe Ho.
*Iski Aawaz Ko Siwa Insano Ke Sab Sunte Hai Agar Insan Sun Le Tou Behosh Ho Jaaye..”
– (Sahee Bukhari Jild 01, Safaah 537, Kitaab-ul-Janayez Hadees 1231)
Related Posts:
Zameen Me Akad Kar Naa Chalo ..... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Aur Logo Say Moo Pher Kar Baat Na Kar, Na Zameen Me Akad Kar Chal, Allah Kisi Khud-Pasand Aur Fakhar Jatanay Waley Shakhs Ko Pasand Nahi Karta. Apni Chaal Me Ei’tedaal Ikhtiyar Kar, Aur Apni Awaaz Zara Past (Narm) Rakh, Kyunki Sab Awazon Se Zyada Buri Awaaz Gadhon Ki Awaaz Hoti Hai". - (Surah Luqman, Ayat: 18-19)
Rashk Kin Insano Par Hona Chahiye ? .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai - Rashk Do Hi Insano Par Hona Chahiye - ∗ (1). Jise Allah Ne Quraan Ka Ilm Diya Aur Wo Iss Ke Sath Raat Ki Gehrayion Me Khada Ho Kar Namaz Parhta Raha. ∗ (2). Jise Allah Ne Maal Diya Aur Wo Mohtajon Par Din Raat Khairat Karta Raha. - (Bukhari : Hadees-5025, Kitab-Fazaile Quran : Bab-Quran Parhne Wale Par Rashk Karna Jayaz Hai) • Note : Koi Neymat Dekh Kar Ye Khayal Paida Ho Ke Ye Neymat Uss Ke Paas Bhi Rahe Magar Mujhe Bhi Mil Jaaye! Isey Rashk Kehte Hai.…
Mujhe Ye Darr Nahi Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Uqba-Bin-Aamir (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Ek Roz Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Nikle Aur Uhad Ke Shaheedon Par Namaz Parhi Jaise Janaze Ki Namaz Parhte Hain Phir Minbar Ki Taraf Aaye Aur Farmaya - "Main Tumhara Paish Khaima Hunga Aur Gawah Hunga Aur Qasam Allah Ki - Main Hauz Ko Iss Waqt Dekh Raha Hoon Aur Mujhko Zameen Ke Khazano Ki Kunjiya Ata Ki Gayee Hain, - Yaa Zameen Ki Kunjiya Aur Qasam Allah Ki Mujhe Ye Darr Nahi Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge - Balki Ye Darr Hai Ki Tum Duniya Ki Lalach Me Aakar…
Khane Ke Faraiz : Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao… ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao, Ki Barqat Jamaat Ke Saath Hai, Aur Khadey Hokar Na Khaao Aur Na Piyo.." - (Ibne Maajah, Jild-4, Safa-21, Hadees-3287) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Koi Khaana Khaye Tou Wo Uss Waqt Tak Haath Na Dhoye Jab Tak Wo Ungliyon Ko Chaat Na Le.." - (Bukhari Sharif) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Khana Kha Ke Shukar Ada Karne Wale Ka Darja, Sabr Karne Wale Rozedar Ke Barabar Hota Hai.." - (Tirmizi, Hadees-2021)
Qazi (Judge) Kabhi Gusse Ki Haalat Me Koi Faisla Na Karey… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdur Rahman-bin-Abi Bakrah (Rahmatullah Alaihe) Se Riwayat Hai: “Mere Waalid Ne Ubaidullah bin Abi Bakrah (Radi Allahu Anhu) Jo Ki Qazi (Judge) They Unko Likha: "Gusse Ki Haalat Me Do Insano Ke beech Me Faisla Na Karna, KyunKi Maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Farmaate Huye Suna: 'Qazi Ko Gusse Ki Haalat Me Do Insaanon Ke Bich Me Faisla Nahi Karna Chahiye.'" - (Jami At-Tirmidhi , Hadith No.1334) ' #Takhreej: Gusse Ki Haalat Me Sahih Faisla Kar Paana Mushkil Hota Hai , Is Liye Aisi Haalat Me Faisla Nahi Karna Chahiye ,..
Sabr Ka Badla .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki: Allah Ta'ala Farmata Hai: "Mere Uss Momin Bandey Ka Jiska Main Koi Aziz Duniya Se Utha Lu Aur Wo Uss Par Sawaab Ki Niyat Se Sabr Kar Le Tou Uska Badla Mere Yahan Jannat Ke Siwa Aur Kuch Nahi.." - (Sahih Bukhari, Vol 7, Hadith no.6424) ♥ Subhan'Allah ! Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun'ne Se Jyada Amal Ki taufik Dey ,..
Allah ke Siwa kisi ki bhi Qasam khana Shirk hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah ibn Umar (RaziAllahu anhuma) se riwayat hai ki RasoolAllah (Sallalalahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Allah Subhanahu ke siwa kisi ki bhi Qasam khana Shirk hai" - (Al-Silsila As-Sahiha, 1073) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah ibn Umar (RaziAllahu anhuma) se riwayat hai ki RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ki: "Agar kisi ko Qasam khani ho tou Allah Subhanahu ki hi Qasam khaye warna khamosh rahe." - (Sahih Bukhari, Jild 4, 2679) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: हज़रत अब्दुल्लाह बिन उमर (रदी अल्लाहु अन्हु) से रिवायत है की रसूलअल्लाह (सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया: "अल्लाह सुबहानहु के सिवा किसी की भी कसम खाना शिर्क है" -…
Ilm Gayab Nahi Hota Jab Tak Ke Chupaya Na Jaaye ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Maine Pucha - “Ya Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Kaun Hai Woh Sabse Kismat Wala Jisko Aap Ka Waseela(Sha’afa) Milega Qayamat Ke Roz ?" Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Sab Se Kismat Wala Jo Mera Waseela(Shafa'at) Haasil Karega Qayamat Ki Roz Wo Hoga Jo Apne Dil Se Yeh Qubool Karega Ki, Allah Ke Siwa Koi Ibadat Ke Layak Nahi”. *Phir Umar Bin Abdul Aziz Ne Abu Bakr Bin Hazm Ko Likha “Hadees Ka Ilm Rakho Aur Usey Likhte Rehna, Kyunki Mai Darta Hu…
Magfirat ki Dua - Aye Allah! Beshaq Gunahaon ko tere siwa… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Bakr Siddique (RaziAllahu Anhu) ne Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se kaha ki "Mujhe aisee Dua sikha dijiye jo Main namaz me parha karu tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya ke ye parha karo - اللَّّهُمَّ إني ظَلمتُ نفسي ظُلمًاًًً كثيرًاًً. ولا يغفر الذنوبَ إلّّّا أَنْتَ فاغفر لي مغفرةًًًً من عندك. وارحمني، إنّّكَ أنتَ الغفورُ الرّحيم Allahumma Inni Zalamtu Nafsi Zulman Kaseeran Wala Yaghfiruz-Junuba Illa Anta, Faghfirli Maghfiratan Min Indika War-Hamni, Innaka Antal Ghafur-Ar Rahim." (Aye Allah mainey apni jaan par bahut zulm kiya hai aur gunaahaon ko tere siwa koyi muaf nahi karta! meri magfirat kar!…
Apni Aulaad Ka Naam Behtar Rakha Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Beshaq! Tum Roze Qayamat Apne Naamo Aur Apne Baapo Ke Naamo Se Pukare Jaoge Tou Apne(Baccho Ke) Naam Ache Rakha Karo.." - (Imaam Ahmed, Abu Dawood, Jild 3, Bab 485, Hadees 1513, Safa 550) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Aadat-e-Kareema Thi Ki, Aap Burey Naam Badal Diya Karte They. - (Tirmizi, Jild, Safa 301, Abu Dawood, Jild 3, Hadees 1517, Safa 551) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Ibne Umar (Razi'Allaho Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Allah Ta'ala Ko Tamaam Naamo Me Se…
Allah Ki Lanat Bad-Nigahi Karnewale Par ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - Allah Ki Lanat Bad-Nigahi Karnewale Par Aur Jiski Taraf Bad-Nigahi Ki Jaye,. - (Bayhaqi Sharif, Mishkat Sharif, Jild : 2, Safa : 77) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Jo Kisi Aurat Ki Khubiya Dekh Kar Nigaah Jhuka De Allah Ta'ala Usko Aesi Ibadat Ki Taufiq Bakhshega, Jiski Lizzat Wo Apne Dil Me Mehsoos Karega. - (Al Masanduli Imaam Ahmad Bin Hambal Jild:8 Safa:299 Hadees:22341)
Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai .... ♥ Al-Quraan: Allah Ta'ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. - [Surat Al-Mujadila(58): Ayat-11] ♥ Isi Tarha Ilm Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Talluk Se Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai - » Hadees: "Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai". - (Miskat P:24) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai". - (Sunan ibn Majah, Vol-1, Hadith-224) ♥ Mafhoom-e-Hadees: “Har Cheez Ka Ek Raasta Hai Aur Jannat Ka Raasta Ilm Hai”. - (K.Ummal) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Raat Me…
Allah Ka Bando Par Kya Haq Hai ? » Jawaab: Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke - ★ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ka Haq Bando Par Ye Hai Ke Sirf Usi Ki Ibadat Karey, Aur Kisiko Uska Shareek Na Thehraye.. Aur Bando Ka Haq Allah Par Ye Hai Ke Jo Koyi Shirk Na Karey Usey Azaab Na Dey. - (Bukhari:2856, Muslim:30) ♥ Al-Quraan: "Jo Log Emaan Laaye Aur Apne Emaan Ko Zulm Se Mahfooj Kiya Unke Liye Aman Hai Aur Wahi Hidayat Paney Wale Log Hain..” – (Surah 6 Al-An’am, Aayat-82)
Allah Ke Siwa Tumhara Koi Bhi Himayati Nahi .... ♥ Al-Quraan: "Kya Tumhe Pata Nahi Ki Aasmano Aur Zameen Ki Badshahi Allah Hi Ki Hai, Aur Allah Ke Siwa Tumhara Koi Bhi Himayati Aur Madad Karne Wala Nahi Hai". - [Surah(2) Al-Bakar, Aayat-107] ♥ अल-कुरान: "क्या तुम्हे पता नहीं की आसमान और ज़मीन की बादशाही अल्लाह ही की है, और अल्लाह के सिवा तुम्हारा कोई भी हिमायती और मदद करने वाला नहीं है" - [सुरह (२) अल-बक्र, आयत-१०७]
Allah Ki Neymat Ka Tark Karna Kufr Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, "Jab Koi Banda Allah Ta'ala Ke Diye Huve Neymat Par Alahmdulillah Kehta Hai Tou Allah Ta'ala Uss Se Afzal Neymat Ata Farmata Hai". - (Ibne Maaja Hadith no.3805) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, "Jab Tumney Alhamdulillah Kaha Tou Rab Ka Shukr Ada Huwa Aur Tumhari Neymat Me Ezaafa". - (Jameul Bayan 1/90) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Jis Ne Khaleel Chiz Ka Shukr Ada Nahi Kiya Usney Kaseer Chiz Ka Bhi Shukr Ada Na Kiya Aur Allah Ki Neymat Ka…